❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Ek baar Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam Khutba de rahe thy tabhi unhone Allah ki Qasam kha kar logo se farma rahe thy mujhe tumhare mutaliq kisi baat ka khauf nahi hai par darr hain?
Sawal: Wo kis darr ka Zikr kar rahe thy?
A: Najaaiz tareeqe se maal hasil karna
B: Allah Subahanhu ka tumhe hikmat se nawazna
C: Allah Subhanahu ke raah mein jihad na karna
D: Allah Subhanahu ka tumhe Izzat se nawazna
E: Allah Subhanahu ka tumhe Maal o Daulat se nawazna
F: Allah Subhanahu ka tumhe Ilm se nawazna
G: Fuzul karchi karna
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar jawab H hai toh sahi jawab likhiye
**************
Sahi Jawab - E✅
Reference📚:
-------
Rasool Allah Sallalahu Alahi Wasallam khadhe huwe aur khutba dete huwe logon se farmaya : Allah ki qasam, logo! Mujhe tumahray mutaliq kisi baat ka khauf nahi, haan sirf is baat ka dar hai ke Allah taala tumhe dunyawi maal o doulat se nawazay ga, Ek shakhs ne arz kiya : Allah ke Rasool Sallalahu Alahi waSallam! kya khair ( maal o doulat ) se shar paida hota hai? Yeh sun kar aap sallalahu Allahi wasallam khamosh ho gaye, phir qadray sukut ke baad farmaya : Tum ne kaisay kaha tha? Mein ne arz kiya kya khair (yani maal o doulat ki zayad-ti ) se shar paida hota hai? Aap Sallalahu Alahi waSallam ne farmaya : Khair se to khair he paida hota hai, aur kya woh maal khair hai? Har woh sabza jisay mausam bahhar ugata hai, janwar ka pait phula kar bad_hazmi se maar dalta hai, ya marnay ke qareeb kar deta hai, magar is janwar ko jo ghaas khaye yahan tak ke jab pait phool kar us ke dono pehlu tan jayen to dhoop mein chal phir kar, pakhana pishaab kare, aur jugali kar ke hazam karle, aur wapas aa kar phir khaye, to isi terhan jo shakhs maal ko jaaiz tareeqay se haasil karega, to us ke maal mein barkat hogi, aur jo usay najaaiz taur par haasil karega, toh uski misaal aisi hai jaisay koi khaata rahe aur aasooda nah ho.
------
Sahih Hadees
Sunnan Ibne Maja Hadith, 3995
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmanirrahim رَبَّنَا إِنَّكَ رَؤُوفٌ رَّحِيْمٌ -------- Eh hamare RABB tu bada Meharban aur Raham karne wala hai -------- اے ہ...
-
Bismillahirrahmannirrahim وَّ ذَکِّرۡ فَاِنَّ الذِّکۡرٰی تَنۡفَعُ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ ----- Aur Naseehat karte rahen Yaqeen...
-
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkat...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Ek baar ek Nabi Alahi Salam ne Allah Subhanahu se kuch khoobiyon ke bare mein sawal kiya jis ke bare mein wo guma...
-
Bismillahirrahmanirrahim Mareez ki Ayadat ke liye dua --- لاَ بَأْسَ طَهُورٌ، إِنْ شَاءَ اللَّهُ La Basa Tahuran In S...
-
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkat...
-
Bismillahirrahmanirrahim وَلاَ يَعِزُّ مَنْ عَادَيْتَ Wa la yaizzu man aadayat ------ And he can never be disgraced...
-
Bismillahirrahmannirrahim فَاسْعَوْا إِلَىٰ ذِكْرِ اللَّهِ ---- Allah Subhanahu ke Zikar ki taraf daud padho ----- ال...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Jawab ek se zaida hain! Sawal: Mahfum e hadith ke mutabiq Astagfar karne walo ke liye kya fazilat ya inamat hai...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain A: Mazlum ki madad na karna B: Maal ki zakat ada na kar...
No comments:
Post a Comment