Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday, 30 January 2020

"Eh hamare RAB teri Rahmat aur tera Ilm sab par hawi hai, jin logo ne tauba ki hai aur tere raste par chalte hain un sabko bakhsh de aur unhe dozakh ki aag se bacha"


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal : Ye Dua kiski hai ?

"Eh hamare RAB teri Rahmat aur tera Ilm sab par hawi hai,  jin logo ne tauba ki hai aur tere raste par chalte hain un sabko bakhsh de aur unhe dozakh ki aag se bacha"

A. Jannat mein jaane wale logo ki
B. Jannat ka darogah
C. Rooh ko lene aane wale farishto ki
D. Musa alaihi salam ki
E. Shab-e-Qadr mein nazil hone wale farishto ki
F. Inmein se koi nahi

G. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - F
In mein se koi nahi
kyunki ye dua Arsh ko uthane wale farishte maangte hain
--------
الَّذِينَ يَحْمِلُونَ الْعَرْشَ وَمَنْ حَوْلَهُ يُسَبِّحُونَ بِحَمْدِ رَبِّهِمْ وَيُؤْمِنُونَ بِهِ وَيَسْتَغْفِرُونَ لِلَّذِينَ آمَنُوا
رَبَّنَا وَسِعْتَ كُلَّ شَيْءٍ رَّحْمَةً وَعِلْمًا
فَاغْفِرْ لِلَّذِينَ تَابُوا وَاتَّبَعُوا سَبِيلَكَ وَقِهِمْ عَذَابَ الْجَحِيمِ
--------------
Jo (Farishte) Arsh ko uthaye huye hain aur jo uske ird gird hain wo apne RABB ki hamd ke saath tasbeeh karte hain aur us par imaan laate hain aur imaan walo ke liye bakhshish maangte hain ki "Eh hamare RAB teri rahmat aur tera ilm sab par hawi hai, jin logo ne tauba ki hai aur tere raste par chalte hain un sabko bakhsh de aur unhe dozakh ki aag se bacha"

Surah Gafir (40) , Verse 7
-------------------
Those (angels) who bear the Throne (of Allah) and those around it glorify the praises of their Lord, and believe in Him, and ask forgiveness for those who believe (in the Oneness of Allah) (saying): "Our Lord! You comprehend all things in mercy and knowledge, so forgive those who repent and follow Your Way, and save them from the torment of the blazing Fire!

Surah Gafir (40) , Verse 7

Wo kaunse sahabi hain jinko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam fateh Makka ke baad se sabse zyada mehboob ho gaye?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Wo kaunse sahabi hain jinko Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam fateh Makka ke baad se sabse zyada mehboob ho gaye?

A.            Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu
B.            Safwan Bin Umayyah Radi Allahu
C.            Ibn Umar RadiAllahu Anhu
D.            Abu Hurairah RadiAllahu Anhu
E.            Osama bin Zaid RadiAllahu Anhu
F.            Saeed bin Zaid RadiAllahu Anhu
G.           Abu Barza RadiAllahu Anhu
H.            In mein se koi nahi

I.             Sahi Jawab ka Intezaar?
Sahi Jawab - B

Reference📚:

Safwan Bin Umayyah Radi Allahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Hunain ke roz mujhe diya, Aap mujhe (Fatah Mecca se qabal) tamam makhlooq mein sab se ziyada magbus (napasand) thy, aur barabar Aap mujhe dete rahay yahan tak ke Aap mujhe makhlooq mein sab se ziyada mehboob ho gaye.
-----------------
Sa'eed bin Al-Musayyab narrated from Safwan bin Umayyah who said: The Messenger of Allah gave to me on the Day of Hunain, and he was the most hated creature to me. But he did not stop giving to me until he was the most loved creature to me.
-----------------
صفوان بن امیہ رضی الله عنہ کہتے ہیں کہ
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے حنین کے روز مجھے دیا، آپ مجھے   ( فتح مکہ سے قبل )  تمام مخلوق میں سب سے زیادہ مبغوض تھے، اور برابر آپ مجھے دیتے رہے یہاں تک کہ آپ مجھے مخلوق میں سب سے زیادہ محبوب ہو گئے۔
-----------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 666

Wo kya hai jis mein Ummat ke kuch log hadd se tajaweez karege?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Wo kya hai jis mein Ummat ke kuch log hadd se tajaweez karege?

Jawab ek se zayda hai!

A. Maal kamane mein
B. Meri tarif mein
C. Auwliya Allah ki tazeem mein
D. Paaki hasil karne mein
E. Sajda karne mein
F.  Dua karne mein
G. Apne nasab ki tarif karne mein
H. Maal kharch karne mein

I. Sahi jawab ka intezar hai?
Sahi Jawab - DF

Reference 📚:

Abdullah Ibn Mughaffal Radi Allahu Anhu ne apne betay ko kehte suna: Eh Allah ! Mein jab Jannat mein daakhil hon to mujhe Jannat ke dayen taraf ka safaid Mahal ataa farma, Aap ny kaha mere betay! tum Allah Subahnahu se Jannat talabb karo aur Jahannum se panah mango, kyunkay mein ny Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko farmatay suna hai is Ummat mein anqareeb aisay log paida honge joh Taharat mein (yani paki hasil karne mein)  aur dua mein hadd se tajaweez karenge.
----------------
Narrated Abdullah Ibn Mughaffal: Abdullah heard his son praying to Allah: O Allah, I ask Thee a white palace on the right of Paradise when I enter it. He said: O my son, ask Allah for Paradise and seek refuge in Him from Hell-Fire, for I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: In this community there will be some people who will exceed the limits in purification as well as in supplication.
------------------
 عبداللہ بن مغفل رضی اللہ عنہ نے اپنے بیٹے کو کہتے سنا: اے اللہ! میں جب جنت میں داخل ہوں تو مجھے جنت کے دائیں طرف کا سفید محل عطا فرما، آپ نے کہا: میرے بیٹے! تم اللہ سے جنت طلب کرو اور جہنم سے پناہ مانگو، کیونکہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا ہے:  اس امت میں عنقریب ایسے لوگ پیدا ہوں گے جو طہارت اور دعا میں حد سے تجاوز کریں گے
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Abu Dawood Hadees # 96

Ek Sahabhi ne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se arz kiya ke unko unki Qaum ka Imam bana de toh Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne un sahabi ko Imam banakar kya kya naseehat di?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zyada!

Sawal: Ek Sahabhi ne Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam se arz kiya ke unko unki Qaum ka Imam bana de toh Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne un sahabi ko Imam banakar kya kya naseehat di?

A: Namaz ko taweel mat karna
B: Quran ki achchi tilawat karna
C: Apne ahal wa ayal mai insaf karna
D: Zayda kamzoor ka khayal rakhna
E: Aisa Muaazin rakhna joh apni azan per ujrat na le
F: Apne Muslman Bhai se Muskura kar milna
G: Apni aawaz mein Narmi ikhtiyar karna

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

Sahi Jawab - DE

Reference📚:

Syedna Utmaan Bin Abi alaas Radi Allahu Anhu kehte hain mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallalahu Alaihi wasallam Allah mujhe meri qoum ka Imam bana dijiye. Aap Sallalahu Alaihi wasallam Allah ne farmaya (theek hai), to unn ka Imam hai, un mein se ziyada kamzor ka khayaal rakhna aur Raisha Muaazin mukarrar karna joh apni azan per ujrat na leta ho.
----------------
 سیّدنا عثمان بن ابی العاص  رضیاللہعنہ  کہتے ہیں: میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے میری قوم کا امام بنا دیجئے۔ آپصلیاللہعلیہوآلہوسلم  نے فرمایا:  (ٹھیک ہے)، تو اُن کا امام ہے، ان میں سے زیادہ کمزور کا خیال رکھنا او رایسا مؤذن مقرر کرنا جو اپنی اذان پر اجرت نہ لیتا ہو۔
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 1281

Wo zulm jo bakhsha nahi jayega wo____hai. 2. Wo zulm jise Allah Subhanahu Ta'ala bakhsh de ga wo ye zulm hai jo______hai. 3. Wo zulm jise choda nahi jaye ga wo_____ke zulm hai.


Only-Quran-Hadith-Quiz

Fill in the blanks!

1. Wo zulm jo bakhsha nahi jayega wo____hai.

2. Wo zulm jise Allah Subhanahu Ta'ala bakhsh de ga wo ye zulm hai jo______hai.

3. Wo zulm jise choda nahi jaye ga wo_____ke zulm hai.

A: Shirk
B: Riyakari
C: Bande aur uske RABB ke darmiyan
D:Ambiyao aur bando ke darmiyan
E: Jhoot
F: Janwaro
G: Bandoh ke zulm hai
H: Waledain

I: Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - ACG

📚Reference:

Anas Radi Allahu Anhu se marfua marwi hai ke zulm teen qisam ke hain Ek zulm ko Allah Subahanhu taala nahi chhorey ga, aur Ek zulm ko bakhash dega aur teesra zulm bakhsha nahi jayega woh zulm jo bakhsha nahi jaye ga woh Shirk hai, jisay Allah Subahanhu taala maaf nahi karega. aur woh zulm jisay Allah Subahanhu taala bakhash dega to woh yeh zulm hai jo bande aur is ke RABB ke darmiyan hai, aur woh zulm jisay chorra nahi jayega woh bandon ke zulm hain, Allah Subahanhu taala Ek dosray ko badla lekar dega.
--------------------------
انس  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ ظلم تین قسم كے ہیں: ایك ظلم كو اللہ تعالیٰ نہیں چھوڑے گا، اور ایك ظلم كو بخش دے گا اور تیسرا ظلم بخشا نہیں جائے گا۔ وہ ظلم جو بخشا نہیں جائے گا وہ شرك ہے، جسے اللہ تعالیٰ معاف نہیں كرے گا ۔اور وہ ظلم جسے اللہ تعالیٰ بخش دے گا تو وہ یہ ظلم ہے جو بندے اور اس كے رب كے درمیان ہے، اور وہ ظلم جسے چھوڑا نہیں جائے گا وہ بندوں كے ظلم ہیں ، اللہ تعالیٰ ایك دوسرے كو بدلہ لے كر دے گا۔
-------------------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1056

Wo kaunsi neki hai jo Allah Subhanahu ke haath mein badhti rahti hai?



Only-Quran-Hadith-Quiz

Sawal: Wo kaunsi neki hai jo Allah Subhanahu ke haath mein badhti rahti hai?

A: Sila Rahmi
B: Tauba Astagfar
C: Allah ka Zikr
D: Durud
E: Sabr
F: Roza
G: Sadqa
H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar?

Sahi Jawab - G

Reference📚:

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya : ” Jis ne bhi kisi pakeeza cheez ka Sadqa kiya aur Allah pakeeza cheez hi qubool karta hai to Rehman usay apne dayen haath se leta hai agarchay woh ek khajoor hi ho, yeh maal Sadqa Rehman ki hatheli mein barhta rehta hai, yahan tak ke woh pahar se bara ho jata hai, jaisay ke tum mein se ek apne ghoray ke bachay ya gaaye ke bachay ko palatta hai
---------------
Abu Hurairah narrated that :the Messenger of Allah ()  said: "None gives charity from Tayyib - and Allah does not accept but Tayyib - but that Ar-Rahman accepts it with His Right (Hand). Even if it is a date, it is nurtured in the Hand of Ar-Rahman until it is greater than a mountain, just as one of you nurtures his foal or young camel."
----------------
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جس نے بھی کسی پاکیزہ چیز کا صدقہ کیا اور اللہ پاکیزہ چیز ہی قبول کرتا ہے ۱؎ تو رحمن اسے اپنے دائیں ہاتھ سے لیتا ہے ۲؎ اگرچہ وہ ایک کھجور ہی ہو، یہ مال صدقہ رحمن کی ہتھیلی میں بڑھتا رہتا ہے، یہاں تک کہ وہ پہاڑ سے بڑا ہو جاتا ہے، جیسے کہ تم میں سے ایک اپنے گھوڑے کے بچے یا گائے کے بچے کو پالتا ہے۔
------------
Sahih Hadees
Jam e Tirmazi Hadees # 661

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne Jannatul Firdous ke bare kya irshad farmaya hai?


Only-Quran-Hadith-Quiz

Jawab ek se zayda hai!

Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne Jannatul Firdous ke bare kya irshad farmaya hai?

A. Firdous Jannat ka Buland tareen darja hai
B. Jannatul Nayeem Jannatul ke niche hai
C. Jannatul Firdous se 4 Nahre bah rahi hai
D. Arsh Jannatul Firdous ke uper hai
E. Allah Tabarak o taala se sawal karo to Firdous ka sawal karo.
F. Jannatul firdous puri sone aur yaqut se bani hai
G. Jannatul firdous Jannat ka wasti aur Khubsurat tareen hissa hai
H. Jannatul Firdous se Shahad ki nahre nikalti hai

I. Sahi jawab ka intezar hai
Sahi Jawab - ACDEG

Reference📚:

Ubda Bin Samat Radi Allahu Anhu kehte hain ki Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Jannat ke sau (100) darje hain, har darje ke darmain sau(100) saal ki masafat hai aur aafan ne kaha Aasman o zameen ke darmain jitna faasla hai. Firdous Jannat ka buland tareen darjaa hai, is se chaar nahare beh rahi hain, Arsh is ke upar hai aur jab tum Allah Tabarak o taala se sawal karo to Firdous ka sawal karo.
-----------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1479
--------------------
Samrah RadiAllahu Anhu se marfua rivayat hai ki Firdous Jannat ka Buland hissa hai, aur yeh Jannat ka wasti aur khoobsurat tareen hissa hai.
------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1491

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...