Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 26 July 2021

Ek baar ek Nabi Alaihi Sallam ki Jawza ne unse kuch aisi baat keh di ya aisa kuch kiya ke usse sunte he Unhone hukum diya ke wo apni Maa ke ghar chali jaye

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 750❗

Ek baar ek Nabi Alaihi Sallam ki Jawza ne unse kuch aisi baat keh di ya aisa kuch kiya ke usse sunte he Unhone hukum diya ke wo apni Maa ke ghar chali jaye

Sawal: iski wajah kya thi

A: kuyke jab wo Nabi beemar huwe to wo unki kidmat nahi karti thi
B: wo Eman nahi laayi thi
C: wo chahati thi ke wo Nabi srif unhi se mohabbat kare
D: wo unse khulla lena cahahti thi
E: unhone uss Nabi se Allah ki panah talab ki thi
F: wo chadar odh kar bahar nahi jaya karti thi
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - E✅

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se unki ek biwi ne unse Allah ki panah mangi to unhone usse apne maike jane ko keh diya

Reference📚:
---
Al-Awza RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke unhone Az-Zuhri RafiAllahu Anhu se poocha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki kin biwi ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se panah mangi thi? Unhon ne bayan kiya ke mujhe Urwah bin Zubair RadiAllahu Anhu ne khabar di aur inhen Aisha RadiAllahu Anha ne ke Al-Jaun RadiAllahu Anhu ki beti (Amima ya Asma) jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke yahan (Nikah ke baad) layi gayeen aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam unke paas gaye to is ne ye keh diya ke Mein tum se Allah ki panah maangti hu. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne is par farmaya ke tum ne bohat badi cheez se panah mangi hain, apne Maike chali jao.
---
Narrated Al-Awza: I asked Az-Zuhri,   Which of the wives of the Prophet sought refuge with Allah from him?   He said   I was told by 'Urwa that `Aisha said, 'When the daughter of Al-Jaun was brought to Allah's Apostle (as his bride) and he went near her, she said,   I seek refuge with Allah from you.   He said,   You have sought refuge with The Great; return to your family.
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی کن بیوی نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے پناہ مانگی تھی؟ انہوں نے بیان کیا کہ مجھے عروہ بن زبیر نے خبر دی اور انہیں عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہ جون کی بیٹی  ( امیمہ یا اسماء )  جب نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے یہاں  ( نکاح کے بعد )  لائی گئیں اور نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ان کے پاس گئے تو اس نے یہ کہہ دیا کہ میں تم سے اللہ کی پناہ مانگتی ہوں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے اس پر فرمایا کہ تم نے بہت بڑی چیز سے پناہ مانگی ہے، اپنے میکے چلی جاؤ۔ ابوعبداللہ امام بخاری رحمہ اللہ نے اس حدیث کو حجاج بن یوسف بن ابی منیع سے، اس نے بھی اپنے دادا ابومنیع  ( عبیداللہ بن ابی زیاد )  سے، انہوں نے زہری سے، انہوں نے عروہ سے، انہوں نے عائشہ رضی اللہ عنہا سے روایت کیا ہے۔
---
Sahih Bukhari#5254

Wo kaunsi ghaati hain jaha par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ek Farishte ne kaha ki Umrah Hajj mein dakhil hogaya hain ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 749❗

Sawal : Wo kaunsi ghaati hain jaha par Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se ek Farishte ne kaha ki Umrah Hajj mein dakhil hogaya hain ?

A : Tuba
B : Al Qura
C : Taahir
D : Kiswa
E : Taaif
F : Aqeeq
G : In mein se koi nahi hain to apna sahih jawab likhiye
H : Sahi jawab ka Intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Waadi Aqeeq jo ek Mubarak Waadi hain jaha ye Elaan huwa ke Umrah Haaj mein Shareek hogaya hain

Reference📚:
-----
Umar RadiAllahu Anhu se suna inn ka bayan tha ki mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se Waadi Aqeeq mein suna Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tha ke raat mere paas Mere RABB ka ek Farishta aaya aur kaha ke is ”Mubarak Waadi" mein Namaz padh aur Elaan kar ke Umrah Hajj mein Shareek hogaya .
---
عمر رضی اللہ عنہ سے سنا، ان کا بیان تھا کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے وادی عقیق میں سنا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تھا کہ رات میرے پاس میرے رب کا ایک فرشتہ آیا اور کہا کہ اس ”مبارک وادی“ میں نماز پڑھ اور اعلان کر کہ عمرہ حج میں شریک ہو گیا۔ 
----
Narrated `Umar: In the valley of Al-`Aqiq I heard Allah's Apostle saying, To night a Messenger came to me from my Lord and asked me to pray in this blessed valley and to assume Ihram for Hajj and `Umra together. 
----
Sahih Bukhari#1534

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khairat karne ka hukum diya to ek sahabi ne apna aada maal khairat kardiya aur dusre sahabi ne unse bhi ziyada maal khairat kar diya to kisi ne ye kaha ke dusre sahabi ne to dhikhawe ke liye khairat kiya uske baad ek quran ki ayat nazil huwi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 748❗

❗Do Sawal hain

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne khairat karne ka hukum diya to ek sahabi ne apna aada maal khairat kardiya aur dusre sahabi ne unse bhi ziyada maal khairat kar diya to kisi ne ye kaha ke dusre sahabi ne to dhikhawe ke liye khairat kiya uske baad ek quran ki ayat nazil huwi

Sawal1️⃣: wo kaun they jihone kaha ke dhikhawe ke liye saqda kiya?

A: Ek Sahabi ne
B: khud Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne
C: Ek Yahudi aurat ne
D: Munafiqon ne
E: Kafiron ne
F: Ek Isayi mard ne
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
Sawal2️⃣: Quran ki kaunsi Surah ki aayt nazil huwi?
A: Surah Tauba
B: Surah Al Ahzab
C: Surah Aal e imran
D: Surah Al Araaf
E: Surah As Saffat
F.:Surah An Nisa
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezar hain
******
Sahih Jawab - DA✅

Hadith: Munafiq log kum maal wale jo badi mushaqqat se kamate hain aur jab wo khushi se sadqa karte hain to unper Aib lagate hain

Reference📚:
-----
Hazrat Abu Masud RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab humein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne sadqa karne ka hukum diya to Hazrat Abu Aqil RadiAllahu Anhu ne nisf Sa sadqa kiya Ek aur sahabi is se bohat ziyada maal le kar aaye. Munafiqeen kehne lage: Allah Subhanahu taala is shakhs (Hazrat Abu Aqil RadiAllahu Anhu) ke is qaleel sadqe se beniyaz hain aur is dusre shakhs ne sirf riyakari ke liye sadqa kiya hain to ye aayat utri 
اَلَّذِیۡنَ یَلۡمِزُوۡنَ الۡمُطَّوِّعِیۡنَ مِنَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ فِی الصَّدَقٰتِ وَ الَّذِیۡنَ لَا یَجِدُوۡنَ  اِلَّا جُہۡدَہُمۡ فَیَسۡخَرُوۡنَ مِنۡہُمۡ ؕ سَخِرَ  اللّٰہُ  مِنۡہُمۡ ۫ وَ لَہُمۡ عَذَابٌ  اَلِیۡمٌ (التوبہ:79)
Munafiq log khushi se kaseer sadqa karne wale imaan walon ko bhi Aib lagate hain aur un ghareeb musalmanoon ko bhi jin ke paas mushaqqat se kamaya huwa thoda sa maal hain.'
----
It was narrated that Abu Mas 'ud said: When the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam commanded us to give in charity, Abu 'Aqil give half a Sa', and another man brought much more than that. The hypocrites said: 'Allah has no need of the charity of the former, and the latter only did it to show off. Then the following was revealed: 'Those who defame such of the believers who give charity voluntarily, and such who could not find to give charity except what is available to them.
----
حضرت ابومسعود رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ جب ہمیں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے صدقہ کرنے کا حکم دیا تو حضرت ابوعقیل رضی اللہ عنہ نے نصف صاع صدقہ کیا ۔ ایک اور صحابی اس سے بہت زیادہ مال لے کر آئے ۔ منافقین کہنے لگے : اللہ تعالیٰ اس شخص ( حضرت ابوعقیل ) کے اس قلیل صدقے سے بے نیاز ہے اور اس دوسرے شخص نے صرف ریاکاری کے لیے صدقہ کیا ہے ۔ تو یہ آیت اتری : {اَلَّذِیْنَ یَلْمِزُوْنَ الْمُطَّوِّعِیْنَ… الآیۃ} ’’ منافق لوگ خوشی سے کثیر صدقہ کرنے والے ایمان والوں کو بھی عیب لگاتے ہیں اور ان غریب مسلمانوں کو بھی جن کے پاس مشقت سے کمایا ہوا تھوڑا سا مال ہے ۔‘‘ 
----
Sunnan e Nisai#2531-Sahih

AL Malaikaat ke Salaat yani Durud se kya muraad hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 747❗

Sawal1️⃣: AL Malaikaat ke Salaat yani Durud se kya muraad hain

Sawal2️⃣: RABB ke Salaat yani Durud se kya murad hain

A: La hawla wala quwata illah billah
B: Astagfaar
C: Allah Subhanahu ki Rehmat
D: uss sahaks ke liye 10 Rehmate aur 10 Gunah Maaf
E: Allah Subhanahu ka Qurb hasil karna
F: Aakhirat mein Allah Subhanahu ka deedar
G: Allah Subhanahu ki razamandi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahih Jawab - B/C✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalalm par Ek martaba Durud behjne ki fazilat 

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya”jo mujh par ek baar salaat (durud) bhejega, Allah is ke badle is par 10 baar salat (durud) bhejega
Imam tirmizi kehte hain :Abu Huraira RadiAllahu Anhu ki hadees husn sahih hai, ۲- is baab mein Abdul Rahman bin Auf RadiAllahu Anhu, Aamir bin Rabia RadiAllahu Anhu, Amaar RadiAllahu Anhu ,Abu Talha RadiAllahu Anhu, Anas RadiAllahu Anhu aur Abi bin Kaab RadiAllahu Anhu se bhi hadees aayi hain ۳- Sufyan Sauri  RadiAllahu Anhu aur deegar kayi ahal ilm se riwayat hai ke RABB ke salat (durud) se murad Allah ki Rehmat hain aur Fariston ke salaat (durud) se murad Astagfaar hain
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو مجھ پر ایک بار صلاۃ  ( درود )  بھیجے گا، اللہ اس کے بدلے اس پر دس بار صلاۃ  ( درود )  بھیجے گا“۔ 
امام ترمذی کہتے ہیں: ۱- ابوہریرہ رضی الله عنہ کی حدیث حسن صحیح ہے، ۲- اس باب میں عبدالرحمٰن بن عوف، عامر بن ربیعہ، عمار، ابوطلحہ، انس اور ابی بن کعب رضی الله عنہم سے بھی احادیث آئی ہیں، ۳- سفیان ثوری اور دیگر کئی اہل علم سے مروی ہے کہ رب کے صلاۃ  ( درود )  سے مراد اس کی رحمت ہے اور فرشتوں کے صلاۃ  ( درود )  سے مراد استغفار ہے۔
----
Jami Al Tirmazi Hadees # 485-Sahih

Kaun kaunse amal karne wale ke liye farmaya gaya hai ke wo gunah ko aise mitta deta hain jaise loha gandagi ko

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 746❗

Jawab ek se ziyada hain❗

Sawal: Kaun kaunse amal karne wale ke liye farmaya gaya hai ke wo gunah ko aise mitta deta hain jaise loha gandagi ko

A: Madina 
B: Tawaf
C: Makkah 
D: Beemari 
E: Hajj 
F: Kasrat se La ilaha illAllah padhna
G: Umrah
H: Bukhaar
I: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahih jawab - ADEGH✅

Hadith: Hajj, Umrah, Beemari aur Bukhaar gunaho ko aise khatam kar deti hain jaise loha gandagi ko

Reference📚:
----
Hadith 1: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Hajj aur umrah karte raho kyu ke ye dono faqah aur gunaho ko aise mita dete hain jaise bhatti lohe ki gandagi saaf kardeti hain.
----
حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا :’’ پے در پے حج اور عمرہ کرتے رہو کیونکہ یہ دونوں فقر اور گناہوں کو اس طرح زائل کرتے ہیں جیسے آگ کی بھٹی لوہے کے زنگ اور میل کچیل کو دور کرتی ہے ۔‘‘ 
Sunnan e Nisai#2631-Sahih
----
Hadith 2: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe ek aise shahar (mein hijrat) ka hukum huwa hain jo dusre shehron ko kha lega. (yani sab ka sardar banega) Munafiqeen usse Yasrab kahte hain lekin is ka Naam Madina hain wo (burre) logon ko is terhan bahar kar deta hai jis terhan Bhatti lohe ke zang ko nikaal deti hain.
-----
میں نے ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے سنا، انہوں نے بیان کیا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ مجھے ایک ایسے شہر  ( میں ہجرت )  کا حکم ہوا ہے جو دوسرے شہروں کو کھا لے گا۔  ( یعنی سب کا سردار بنے گا )  منافقین اسے یثرب کہتے ہیں لیکن اس کا نام مدینہ ہے وہ  ( برے )  لوگوں کو اس طرح باہر کر دیتا ہے جس طرح بھٹی لوہے کے زنگ کو نکال دیتی ہے۔ 
Sahih Bukhari#1871
------
Hadith 3: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jab Momeen Beemar hota hain to Allah Subhanahu usse Gunaho se iss tarha saaf kar deta hain jis tarha bhatti lohe ka mail saaf kar deti hain
------
عائشہ rسے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب مومن بیمار ہوتا ہے تواللہ تعالیٰ اسے(گناہوں سے) اس طرح صاف كردیتا ہےجس طرح بھٹی لوہے كا میل صاف كر دیتی ہے
Al-Silsila-tus-Sahiha#2284-Sahih
----
Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam (Ek Ansari khatoon) Hazrat Umm sayab ya Hazrat Umm Musayyab RadiAllahu Anha ke haan tashreef le gaye, Aap ne farmaya: Umm Sayab ya (farmaya) Umm Musayyab! Tumhe kya huwa? kya tum shiddat se kanp rahi ho? Unhon ne kaha Bukhaar hain, Allah Subahnahu taala is mein barkat na de! Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Bukhaar ko bura na kaho, kyunke ye Aadam ki Aulaad ke gunaaho ko is terhan durr karta hain jis terhan bhatti lohe ke zang ko durr karti hain
----
ابوزبیر نے کہا :  ہمیں حضرت جابر بن عبداللہ رضی اللہ عنہما نے حدیث بیان کی کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم  ( ایک انصاری خاتون )  حضرت ام سائب یا حضرت ام مسیب رضی اللہ عنہا کے ہاں تشریف لے گئے ،  آپ نے فرمایا :   ام سائب یا  ( فرمایا :   )  ام مسیب! تہیں کیا ہوا؟ کیا تم شدت سے کانپ رہی ہو؟    انہوں نے کہا :  بخار ہے ،  اللہ تعالیٰ اس میں برکت نہ دے! آپ نے فرمایا :   بخار کو برا نہ کہو ،  کیونکہ یہ آدم کی اولاد کے گناہوں کو اس طرح دور کرتا ہے جس طرح بھٹی لوہے کے زنگ کو دور کرتی ہے ۔    
Sahih Muslim#6570

Kaunse sahabi ke liye farmaya gaya hai ke wo Jannat ke dono Kinaro mein rahenge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 745❗

Sawal: Kaunse sahabi ke liye farmaya gaya hai ke wo Jannat ke dono Kinaro mein rahenge

A: Othman RadiAllahu Anhu
B: Zaid bin Harith RadiAllahu Anhu
C: Ali Radi Allahu Anhu
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
E: Saad bin Abi Waqaas RadiAllahu Anhu
F:Umar RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - C✅

Hadith: Ali RadiAllahu Anhu ki fazilat...

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Ali! Aap ke liye Jannat mein Ek khazana hain, tum Jannat ke dono kinaroon mein rahoge, lehaza nazar ke peechay nazar na daalna, beshak tujhe pehli nazar ki ijazat hain, doosri ki ijazat nahi hai .
---
 نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: اے علی! آپ کے لئے جنت میں ایک خزانہ ہے، تم جنت کے دونوں کناروں میں رہو گے، لہذا نظر کے پیچھے نظر نہ ڈالنا، بے شک تجھے پہلی نظر کی اجازت ہے، دوسری کی اجازت نہیں ہے۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalalm said: O 'Ali! There is a treasure in heaven for you, you will live on both sides of heaven, “Do not follow one glance at a woman with another. Verily, you have the first one and not the second.”
----
Musnad Ahmed#6657-Sahih

Allah Subhanahu ne ibadat ke saath saath kiske saath ehsan karne ko lazim qarar diya hai ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 744❗

Sawal : Allah Subhanahu ne ibadat ke saath saath kiske saath ehsan karne ko lazim qarar diya hai ?

A : Gareeb
B : Bewa
C : Walidain
D : Ristedaar
E : Yateem
F : Zaroorat mand
G : In mein se koi nahi to apna jawab likhein
H : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab C✅

Al Quran: Maa Baap ke saath ehsaan aur husn suluk karne ka ehkaam

Reference : 📚
---------
Bismillahirrahmannirrahim

 وَ قَضٰی رَبُّکَ اَلَّا تَعۡبُدُوۡۤا اِلَّاۤ  اِیَّاہُ وَ بِالۡوَالِدَیۡنِ اِحۡسَانًا ؕ اِمَّا یَبۡلُغَنَّ عِنۡدَکَ الۡکِبَرَ اَحَدُہُمَاۤ  اَوۡ  کِلٰہُمَا فَلَا تَقُلۡ لَّہُمَاۤ  اُفٍّ  وَّ لَا  تَنۡہَرۡہُمَا وَ قُلۡ  لَّہُمَا  قَوۡلًا کَرِیۡمًا ﴿۲۳﴾

Aur tera parwerdigar saaf saaf hukum de chuka hain ke tum us ke siwa kisi aur ki ibadat na karna aur Maa Baap ke saath ehsaan karna. Agar teri maujudgi mein in mein se ek àya ye dono burhape ko pahunch jaye to un ke agay uff tak na kehna na unhein daant dapat karna bulke unn ke saath adab o ehtram se baat cheet karna
---------
اور تیرا پروردگار صاف صاف حکم دے چکا ہے کہ تم اس کے سوا کسی اور کی عبادت نہ کرنا اور ماں باپ کے ساتھ احسان کرنا ۔ اگر تیری موجودگی میں ان میں سے ایک یا دونوں بڑھاپے کو پہنچ جائیں تو ان کے آگے اف تک نہ کہنا ، نہ انہیں ڈانٹ ڈپٹ کرنا بلکہ ان کے ساتھ ادب و احترام سے بات چیت کرنا۔
-------
And your Lord has decreed that you not worship except Him, and to parents, good treatment. Whether one or both of them reach old age [while] with you, say not to them [so much as], "uff," and do not repel them but speak to them a noble word. 
-------
Al Quran: Surah Bani Israel#23

Wo kaunsa amal hain jiske karne walo ko agar kisi ne azaa pahunchaya to Allah Subhanahu usko ulta karke aag mein dakhil karega ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 743❗

Sawal : Wo kaunsa amal hain jiske karne walo ko agar kisi ne azaa pahunchaya to Allah Subhanahu usko ulta karke aag mein dakhil karega ?

A : Jihaad karne wala
B : Asar ki namaz padne wala
C : Fajar ki namaz padne wala
D : Jisne shahadat ki gawahi di pir bhi usko qatl karne wala
E : kasrat se zikr karne wala
F : Kasrat se astaghfaar karne wala
G : Jisne tauheed to apnaya pir bhi usko qatal karne wala
H : Kasrat se sajde karne wala
I : In mein se koi nahi apna sahih jawab likiye
J : Sahi jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab C ✅

Hadith: Jo shakhs Fajar ki namaz padh leta hain to wo Allah Subhanahu ke aaman mein ajata hain

Reference : 📚
----------
Rasool-Allah SallAllahu Alahi Wasallam ne farmaya jis shaks ne Subha ki namaz padhi wo Allah Subhanahu ki zimmedari (Amaan) main hain. To aise na ho ke (aise shakhs ko kisi tarha nuqsan pauchane ki bina par) Allah Taala tum (mein se kisi shakhs) se apne zimme ke bare main kisi cheez ka mutalba karein, phir wo usse pakad le , phir usse aundhey muh Jahannum main dal de .
--------
بشر ،  یعنی ابن مفضل نے ہمیں حدیث سنائی ،  انھوں نے خالد سے انھوں نے انس بن سیرین سے روایت کی  ،  کہا : میں نے حضرت جندب بن عبداللہ رضی اللہ عنہ سے سنا  ،  وہ کہہ رہے تھے : رسول اللہ ﷺ نے فرمایا : جس شخص نے صبح کی نماز پڑھی وہ اللہ تعالیٰ کی ذمہ داری ( امان ) میں ہے ۔ تو ایسانہ ہو کہ ( ایسے شخص کو کسی طرح نقصان پہنچانے کی بناپر ) اللہ تعالیٰ تم ( میں سے کسی شخص ) سے اپنے ذمے کے بارے میں کسی چیز کا مطالبہ کرے ، پھر وہ اسے پکڑ لے ، پھر- اسے اوندھے منہ جہنم میں ڈال دے ۔ 
------------
Jundab b. 'Abdullah reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi  wasallam as saying: He who prayed the morning prayer (in congregation) he is in fact under the protection of Allah. And it can never happen that Allah should demand anything from you in connection with the protection (that He guarantees) and one should not get it. He would then throw him in the fire of Hell. 
-----
Sahih Muslim#1493

Kaunse shakhs ke liye farmaya ke wo ek laash ki tarha hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 742❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye farmaya ke wo ek laash ki tarha hain

A: Sadqa nahi dene wale
B: Allah ka Zikr nahi karne wale
C: Dua nahi mangne wala
D: Roza nahi rakhne wale
E: ilm hasil nahi karne wale
F: Namaz nahi padhne wale
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab B✅

Hadith: Allah Subhanahu ke Zikr karne wala Zinda ki tarha hai aur jo Zikr nahi karte wo Murde ki tarha hain

Reference : 📚
-------
Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu bayan karte hai, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya, "Wo shakhs jo apne RABB ka zikr karta hain wo zinda ki tarah hain aur wo shakhs jo zikr nahi karta Murde ki tarah hain".
---------
حضرت ابوموسی   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ وہ شخص جو اپنے رب کا ذکر کرتا ہے وہ زندہ کی طرح ہے اور وہ شخص جو ذکر نہیں کرتا مردہ کی طرح ہے ۔‘‘ متفق علیہ ، رواہ البخاری (۶۴۰۷) و مسلم
-----
Narrated Abu Musa: The Prophet said, The example of the one who celebrates the Praises of his Lord (Allah) in comparison to the one who does not celebrate the Praises of his Lord, is that of a living creature compared to a dead one. 
-------
Sahih BhukhariHadees#6407
Mishkat ul Masabeeh#2263-Sahih

Mafhoom E hadith ke mutabiq wo kounsa amal hai jisse bachne ke liye kaha gaya hai kynke Allah subhanahu ki taraf se sawal karne wala moujood rahega ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 741❗

Sawal : Mafhoom E hadith ke mutabiq wo kounsa amal hai jisse bachne ke liye kaha gaya hai kynke Allah subhanahu ki taraf se sawal karne wala moujood rahega ?

A : Bade gunah
B : Chote gunah
C : Zina
D : Sood
E : Qata talluq
F : Sharab
G : khayanat
H : Jhoot
 I : Qatl
J : In mein se koi nahi 
K : Sahi jawab ka Intezaar
******
Sahih Jawab -B✅

Hadith: Sagira gunaho ko haqeer na samajna kynke inke baare mein Allah ki taraf se sawal karne wala farishta hoga

Reference : 📚
------
Aisha Radi Allahu Anha se riwayat hai Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya sagira (chote) gunahon se bachte rahna kyn ke innke baare mein Allah Subhanahu ki taraf se sawal karne wala (farishta) hoga
-----
 ۔ سیدہ عائشہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا بیان کرتی ہیں کہ رسو ل اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے مجھے فرمایا: صغیرہ گناہوں کا ارتکاب کرنے سے بچتے رہنا، کیونکہ ان کے بارے میں اللہ تعالیٰ کی طرف سے سوال کرنے والا (فرشتہ) ہو گا۔
------
Ayesha RadiAllahu Anha narrates that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said to me: Avoid committing minor sins, Because there will be a questioner (Angel) from Allah about them.
-----
Musnad Ahmed # 9843-Sahih

Ek Momim ke Akhlaq ka sabse ziyada ghatiya pan inmein se kya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 740❗

Sawal: Ek Momim ke Akhlaq ka sabse ziyada ghatiya pan inmein se kya hain

A: Taqdeer ka inkaar karna
B: Tohmat lagana
C: Zakaat ka maal rok dena
D: Sadqe ka maal kha jana
E: Bughz rakhna
F: Fahash qalam karna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih jawab ka intezaar
*********
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Momeen ke Akhlaq mein sabse buri addat hain Fahash qalami

Reference📚:
----
Syedna Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu ne farmaya : ”Momim ke Akhlaq ka sabse ziyada ghatiya pan aur kameengi Fahash goi hain"
---
 سیدنا عبداللہ بن مسعود ؓ نے فرمایا : ”مومن کے اخلاق کا سب سے زیادہ گھٹیا پن اور کمینگی فحش گوئی ہے
---
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu said: “The most vile and immoral of a believer's character is vulgarity
-----
Al Adab ul Mufrad#314-Hukum Albani-Sahih

Astaghfaar karne walon ke liye kya kya fazilatein/inamaat hain?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 739❗

❗Jawab ek se zyada hain

Sawal : Astaghfaar karne walon ke liye kya kya fazilatein/inamaat hain?

A : Gum se nijaat dilayega
B : Gunah maaf kar diya jayega chahe wo maidan e jung se bhaag gaya ho
C : Rozi ata farmayega
D : Qarz se nijaat dilayega
E : Uska mubarak baadi dedi jayegi
F : Tangi se nikalne ka rasta farmayega
G : Achi sehat ata karega
H : Allah Subhanahu ki taraf se bakhshish ka zariya
I : Walidain ko jannat mein buland darja dilayega
J : Jannat mein ghar
K : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab ABCEFHI✅

Reference : 📚

Astagfaar ki fazilatein/inamaat
-------------
Zaid Radi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se farmate suna: Jis ne 
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
kaha to iske gunah maaf kar diye jayenge agarche wo maidan e jung se bhag gaya ho
زید رضی اللہ عنہ نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا:  جس نے«أستغفر الله الذي لا إله إلا هو الحي القيوم وأتوب إليه» کہا تو اس کے گناہ معاف کر دئیے جائیں گے اگرچہ وہ میدان جنگ سے بھاگ گیا ہو ۱؎ ۔ 
Sunan Abu Dawud#1517
----------
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo Astigfar karne ko apne upar laazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har gham se nijat dega aur aisi jagah se rozi ata farmayega jahan se usko guman bhi nahi hoga
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو استغفار کرنے کو اپنے اوپر لازم کررہے گا تو اللہ سبحانہ اس کو ہر تنگی سے نکلنے کا ایک راستہ عطا فرمائے گا اور ہر غم سے نجات دیگا اور ایسی جگہ سے روزی عطا فرمائے گا جہاں سے اس کو گمان بھی نہیں ہوگا-
Al Muajjam Al Kabir,Tabrani#10524-Sahih
------
Nabi Akram Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Mubarakbaadi hai is shakhs ke liye jo apne sahifa(naam aamaal) mein kasrat se astaghfaar paye
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مبارکبادی ہے اس شخص کے لیے جو اپنے صحیفہ (نامہ اعمال) میں کثرت سے استغفار پائے۔
Sunnan e ibn e Maja#3818
-------
Rasool Allah Sallallahu Alahi wasallam ka farmaan hain aadmi ka daraja jannat mein buland kiya jayega phir wo kehta hain ke mera daraja kaise buland hogaya (halaank hamein amal ka koi mauqa nahi raha) is ko jawab diya jayega :Tere liye teri Aulaad ki Dua aur Astaghfaar karne ke sabab se.
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا فرمان ہے:  آدمی کا درجہ جنت میں بلند کیا جائے گا، پھر وہ کہتا ہے کہ میرا درجہ کیسے بلند ہو گیا  ( حالانکہ ہمیں عمل کا کوئی موقع نہیں رہا )  اس کو جواب دیا جائے گا:  تیرے لیے تیری اولاد کے دعا و استغفار کرنے کے سبب سے ۔ 
----
The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: "A man will be raised in status in Paradise and will say: 'Where did this come from?' And it will be said:'From your son's praying for forgiveness for you.'"
Sunnan e Ibn e Maja#3660-Sahih
-----------
Sayyadna Abu Saeed khudri ‌ Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam nar farmaya : Iblees ne apne Rabb se kaha : teri izzat aur jalal ki qasam! jab tak bani adam mein roohein mojood rahegi, mein hamesha unko gumrah karta rahuga, Allah taala ne kaha : Mujhe meri izzat aur mere jalal ki qasam! Jab tak wo mujhse bakhshish (Astagfaar) talab karte rahenga, mein un ko bakhshta rahuga.
----
  سیدناابو سعید خدری  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  ابلیس نے اپنے ربّ سے کہا: تیری عزت اور جلال کی قسم! جب تک بنو آدم میں روحیں موجود رہیں گی، میں ہمیشہ ان کو گمراہ کرتا رہوں گا، اللہ تعالیٰ نے کہا: مجھے میری عزت اور میرے جلال کی قسم! جب تک وہ مجھ سے بخشش طلب کرتے رہیں گے، میں ان کو بخشتا رہوں گا۔
Musnad Ahmed#5479

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi se farmaya ke falan shakhs ki tarah mat hojana kuynke wo pehle ye amal kiya karta tha par abb nahi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 738❗

❗Do sawal hain

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi se farmaya ke falan shakhs ki tarah mat hojana kuynke wo pehle ye amal kiya karta tha par abb nahi

Sawal1️⃣: Wo shakhs kaunsa amal kiya karta tha jisse wo abb nahi kiya karta tha

A: Jihad mein hissa lena
B: Miswak karna
C: Fajar ke baad Quran ki tilawat karna
D: Tahhajud ki namaz padhna
E: Tahyatul wazu ki namaz padhna
F: Chast ki 4 rakat namaz padna
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar

Sawal2️⃣: Wo Sahabi kaun they jinhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ye farmaya tha ke falah shakhs ki tarah mat hojana

A: Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu
B: Saad bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu
C: Anas RadiAllahu Anhu
D: Umar RadiAllahu Anhu
E: Zaid bin Haritha RadiAllahu Anhu
F: Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu
G: inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - DA✅

Hadith: Jo Shakhs pabandi se  Tahhajud ki namaz padha karta tha aur abb chodh diya usse Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne napasand kiya

Reference📚:
-----
Abdullah bin Umro  RadiAllahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Eh Abdullah! falan ki tarha mat ho jana, pehle wo Qayam ul Lail karta tha (Tahhajud padhta tha) phir iss ne chordh diya
----
عبداللہ بن عمرو ؓ کہتے ہیں کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا : ” اے عبداللہ ! فلاں کی طرح مت ہو جانا ، پہلے وہ قیام اللیل کرتا تھا (تہجد پڑھتا تھا) ، پھر اس نے چھوڑ دیا “
----
Abdullah bin' Umro RadiAllahu Anhu said: The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, said to me: 'O Abdullah do not be like so-and-so; he used to pray Qiyam Al-Lail (Tahhajud) and then he stopped.' 
----
Sunnan Nasai Hadees #1765-Sahih

Mafhoom e hadith ke mutabiq wo kounsa azkar hai jo duniya aur akhirat ek kar denge

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 737❗

Sawal : Mafhoom e hadith ke mutabiq wo kounsa azkar hai jo duniya aur akhirat ek kar denge ?

A : La illaha illallah
B : As'alullah Al'-Azeem Rabbal Arshil Azeem an Yashfik
C : Allahummaghfirli warhamni wa Afini warzuqni
D : Sayyadul Astaghfar
E : Allahumma inni Aaudhubika min Munkarati-Akhlaq, Wal-Aamal, Wal-Aahwa
F : Subhan'Allah Alhamdulillah Laa illaha illallaha Allah Hu Akbar
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
*****
Sahi Jawab C✅

Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَارْزُقْنِي

Ye kalimaat tumare liye duniya aur akhirat dono jama kar denge

Reference : 📚
----------
Abu Malik apne walid se riwayat karte hai unhone Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam se suna (us waqt unke paas) ek shakhs ne hazir ho kar arz ki Ya RasoolAllah Sallallahu Alahi Wasallam jab main apne Rabb se mangu to kya kaha jaru Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya tum kaho
اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِي وَارْحَمْنِي وَعَافِنِي وَارْزُقْنِي
(Allahummaghfir li warhamni wa afini warzuqni)
Allah mujhe baksh de , mujhe par raham farma , mujhe afiyat de aur mujhe rizq ata farma 
Saath hi Aap Sallallahu Alahi Wasallam ne apne anguthey ke siwa ( ek ek kar ke ) sari ungliya band karte gaye aur farmaye ye kalimat tumare liye duniya aur akhirat dono jama kar denge
----------
ابومالک نے ہمیں اپنے والد سے خبر دی کہ انہوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا ، ( اس وقت ) ان کے پاس ایک شخص نے حاضر ہو کر عرض کی : اللہ کے رسول! جب میں اپنے رب سے مانگوں تو کیا کہا کروں؟ آپ نے فرمایا : تم کہو : اللهم اغفرلى وارحمنى وعافنى وارزقنى ساتھ ہی اپنے انگوٹھے کے سوا ( ایک ایک کر کے ) ساری انگلیاں بند کرتے گئے ( اور فرمایا : ) یہ کلمات تمہارے لیے تمہاری دنیا اور آخرت دونوں جمع کر دیں گے ۔ 
----------
Abu Malik reported on the authority Of his father that he heard Allah's Messenger ( صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم ‌ ) as saying to the person who bad come to him and asked him as to how he should beg his Lord, that he should utter these words: O Allah, grant me pardon, have mercy upon me, protect me, provide me sustenance, and he collected his fingers together except his thumb and said: It is in these words (that there is supplication) which sums up for you (the good) of this world and that of the Hereafter. 
-----------
Sahi Muslim#6516

Kaunse shakhs ke liye farmaya gaya hain issne chutkara paa liya..

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 736❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye farmaya gaya hain issne chutkara paa liya..

A: kum hasne wala
B: kum bolne wala
C: khamoshi ikhtiyaar karne wala
D: hasad nahi karne wala
E: har haal mein shukar karne wala
F: namaz ki pabandi karne wala
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahi Jawab - C✅

Hadith: jisne khamoshi ikhtiyaar ki usne nijaat paa li
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo Khamosh raha iss ne nijaat paali
----
Abdullah bin 'Amr narrated that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever is silent, he is saved. 
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو خاموش رہا اس نے نجات پائی“
----
Jam e Tirmazi # 2501-Sahih

Kaunse shakhs ke liye farmaya gaya hain ke agar wo Allah ke supurd kar ke sabr kare to anqareeb hai ke Allah uska rizq sawaar de

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 735❗

Sawal: Kaunse shakhs ke liye farmaya gaya hain ke agar wo Allah ke supurd kar ke sabr kare to anqareeb hai ke Allah uska rizq sawaar de

A: jo rizq usse mila usper shukar karne wala
B: tangi ke bawajud sadqa karne wala
C: Sila Rehami karne wala
D: Ristedaro ke saath husn suluq karne wala
E: Haram kamo se parhez karne wala
F: Tahhajjud ki pabandi karne wala
G: Inmein se koi nahi to apna jawab likhein
H: Sahi Jawab ka intezaar
******
Sahi Jawab - G✅

Hadith: jo shakhs faqe ka shikaar ho aur wo uss par sabr karke Allah Subhanahu ke hawale kar de to...

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: ” jo shakhs Faqe ka shikaar ho aur is par sabr na karke logon se bayan karta phire to is ka faqa khatam nahi hoga, aur jo Faqa ka shikaar ho aur usse Allah ke hawale kar ke is par sabr se kaam le to qareeb hai ke Allah Subhanahu taala usse dair ya sawair rozi de
---
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص فاقہ کا شکار ہو اور اس پر صبر نہ کر کے لوگوں سے بیان کرتا پھرے ۱؎ تو اس کا فاقہ ختم نہیں ہو گا، اور جو فاقہ کا شکار ہو اور اسے اللہ کے حوالے کر کے اس پر صبر سے کام لے تو قریب ہے کہ اللہ تعالیٰ اسے دیر یا سویر روزی دے
----
Abdullah bin Mas'ud narrated that the Messenger of Allah (s.a.w) said:
Whoever suffers from destitution and he beseeches the people for it, his destitution shall not end. And whoever suffers from destitution and he beseeches Allah for it, Allah will send provisions to him, sooner or later.
---
Jam e Tirmazi#2326-Sahih

Jo shakhs ye chahat rakhta hai ke wo Allah se musalman ki haisiyat se mile to usko kounsa amal karna chahiye ?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 734❗

Sawal : Jo shakhs ye chahat rakhta hai ke wo Allah se musalman ki haisiyat se mile to usko kounsa amal karna chahiye ?

A : Apne sharmgaah ki hifazat kare
B : Tangi aur khushhaali mein Allah subhanahu ka shukr ada kare
C : Apni zabaan mein narmi laye
D : Qarzdaar ko mohlat de
E : Masjid mein farz namazon ka ehtamaam kare
F : Jo Apne liye pasand kare wahi dusron ke liye bhi pasand kare
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab E✅

Reference : 📚
---------
Syedna Abdul Allah Bin Masood ‌Radi Allahu Anhu kehte hain : Jis ko yeh baat khush karti hai ke wo kal Allah Taala ko ba-hasiat musalman miley to is ko chahiye ke woh farz namazon ki hifazat is maqam par kere jahan un ke liye bulaya jata hai, kyunkay yeh hadaayat ke tareeqon mein se hain aur beshak Allah ne apne Nabi ke liye hidayat ke tareeqay muqarrar kiye hain. Tum mein se har aik ki is ke ghar mein masjid honi chahiye aur agar tum apne ghar mein namaz parhna shuru kar do ge, jaisa ke yeh peechay rehne wala ghar mein namaz ada karta hai to tum apne Nabi ki sunnat ko tark kar do ge aur agar tum ne apne Nabi ki sunnat chore di to tum gumraah ho jao ge. Mein ne dekha ke namaz se wohi peechay rehta tha jis ka nifaq wazeh hota tha aur mein ne dekha ke aik aadmi ko do admion ka sahara de kar ( masjid ki taraf ) laya jata, yahan tak ke is ko saf mein khara kardiya jata. Rasool Allah Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya : jo aadmi wudu karta hai aur achi terhan wudu karta hai, phir masjid ki taraf aata hai to woh jo qadam uthata haj, is ke aiwaz is ka aik darja buland kardiya jata hai ya is ka aik gunah mita diya jata hai aur is ke liye aik neki likh di jati hai. ( hamari sorat e haal to yeh thi ke hum masjid ki taraf atay waqt ) qareeb qareeb qadam rakhtay thy ( taakay kasrtat qadam ki wajah se naikiyan ziyada ho jaien ) aur be shak aadmi ki jamaat ke sath parhi hui namaz akailey parhi hui namaz se pachees guna ziyada fazeelat wali hoti hai .
---------
سیّدنا عبد اللہ بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ کہتے ہیں: جس کو یہ بات خوش کرتی ہے کہ وہ کل اللہ تعالیٰ کو بحیثیت ِ مسلمان ملے تو اس کو چاہیے کہ وہ فرض نمازوں کی حفاظت اس مقام پر کرے جہاں ان کے لیے بلایا جاتا ہے، کیونکہ یہ ہدایت کے طریقوں میں سے ہیں اوربے شک اللہ نے اپنے نبی کے لیے ہدایت کے طریقے مقرر کیے ہیں۔تم میں سے ہر ایک کی اس کے گھر میں مسجد ہونی چاہیے اور اگر تم اپنے گھر وںمیں نماز پڑھنا شروع کر دو گے، جیسا کہ یہ پیچھے رہنے والا گھر میں نماز ادا کرتاہے تو تم اپنے نبی کی سنت کو ترک کر دو گے اور اگر تم نے اپنے نبی کی سنت چھوڑ دی تو تم گمراہ ہوجاؤ گے۔ میں نے دیکھا کہ نماز سے وہی پیچھے رہتا تھا جس کا نفاق واضح ہوتا تھا اور میں نے دیکھا کہ ایک آدمی کو دو آدمیوں کا سہارادے کر (مسجد کی طرف) لایا جاتا، یہاں تک کہ اس کو صف میں کھڑا کردیا جاتا۔رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: جو آدمی وضو کرتا ہے اور اچھی طرح وضو کرتا ہے، پھر مسجد کی طرف آتا ہے تو وہ جو قدم اٹھاتاہے، اس کے عوض اس کا ایک درجہ بلند کردیا جاتا ہے یا اس کا ایک گناہ مٹا دیا جاتاہے اور اس کے لیے ایک نیکی لکھ دی جاتی ہے۔  (ہماری صورتحال تو یہ تھی کہ ہم مسجد کی طرف آتے وقت) قریب قریب قدم رکھتے تھے(تاکہ کثرتِ قدم کی وجہ سے نیکیاں زیادہ ہوجائیں)  اور بے شک آدمی کی جماعت کے ساتھ پڑھی ہوئی نماز اکیلے پڑھی ہوئی نماز سے پچیس گنا زیادہ فضیلت والی ہوتی ہے۔ 
---------
Musnad Ahmed#2441

In mein se kaunsi cheez Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sabse mehboob thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 733❗

Sawal: In mein se kaunsi cheez Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sabse mehboob thi

A: Anjeer
B: Tarbooz
C: Zaitoon
D: Khajoor
E: Doodh
F: Talbeena
G: In mein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - E✅

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka sabse pasandeeda mashroob thanda meetha paani aur doodh tha
-----
Reference 📚:

Ayesha Radi Allahu Anha kehti hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka sabse pasandeeda mashroob thanda meetha paani wa doodh tha
--------
عائشہ رضی اللہ عنہا كہتی ہیں كہ نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كا سب سے پسندیدہ مشروب ٹھنڈامیٹھا (پانی ودودھ )تھا ۔ 
-------
Al-Silsila-tus-Sahiha#854

Ek Sahabi jab apne ghar se nikle to unka ghulam janwaron ka chara gira raha tha ye dekh sahabi ne kaha ke mein tujhe zaroor saza deta agar mujhe darr na hota to

❗Only-Quran-Hadith-Quiz 732❗

Sawal: Ek Sahabi jab apne ghar se nikle to unka ghulam janwaron ka chara gira raha tha ye dekh sahabi ne kaha ke mein tujhe zaroor saza deta agar mujhe darr na hota to

Un Sahabi ko kis baat ka darr tha

A: Qayamat ke din Allah Subhanahu ka khauff
B: Qayamat ke din ruswayi
C: Allah Subhanahu ki narazgi
D: Allah Subhanahu ka Darr
E: Qayamat ke din Qisaas ka darr
F: Jahanum ki aag ka darr
G: Inmein se koi nahi

H: Sahih Jawab ka intezaar
*******

Sahih Jawab - E✅

Hadith: Ghulamon ke saath narmi se pesh aane ka bayan
Reference📚:
----
Hazrat Abu Laila Rahmallah se rivayat hain Salman (apne ghar se) nikle to dekha ke inke janwaron ka chaara, chaare ki jagah se gir raha hain. Inhone apne khadim se kaha: Agar mujhe (Qayamat ke din) qisaas ka darr na hota to main tumhe zaroor saza deta.
---
الادب المفرد --- كتاب --غلاموں کو بدلہ دینا [الادب المفرد]
حدیث نمبر: 182
حکم البانی: صحيح...
----
حضرت ابولیلیٰ رحمہ اللہ سے روایت ہے کہ سلمان (اپنے گھر سے) نکلے تو دیکھا کہ ان کے جانوروں کا چارہ ، چارے کی جگہ سے گر رہا ہے ۔ انہوں نے اپنے خادم سے کہا : اگر مجھے (قیامت کے دن) قصاص کا ڈر نہ ہوتا تو میں تمہیں ضرور سزا دیتا
----
AlAdab AlMafrad Hakam AlBaani-Hadees#182-Sahih

Zabardasti kis mein nahi ho sakti

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 731❗

Sawal: Zabardasti kis mein nahi ho sakti?

A: Namaz
B: Deen
C: Ilm hasil karne mein
D: Qurbani
E: Niyyat
F: Amal
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - B✅

Bismillahirrahmannirrahim

Al Quran: Deen ke mamle mein koi zabardadti nahi hain
---
لَاۤ اِکۡرَاہَ فِی الدِّیۡنِ
----
Deen ke mamle mein koi zabardasti nahi hain.
-----
دین کے بارے میں کوئی زبردستی نہیں ہے
-----
There shall be no compulsion in [acceptance of] the religion.
----
Surah Al Baqrah: (02:256)

Ek hadith ke mutabiq apni sharmgah ki hifazat karne walo ke kiye kaunsa ajar hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 730❗

Sawal: Ek hadith ke mutabiq apni sharmgah ki hifazat karne walo ke kiye kaunsa ajar hain

A: Gum se nijaat
B: Izzat aur waqqar
C: Jannat ke 8 darwaze mein se jis darwaze se chahe dhakil hojaye
D: Jannat
E: har tangi se nijaat ka rasta mil jata hain
F: Usse bakhsh diya jayega
G: Inmein se koi nahi
H: Sahih jawab ka intezaar
-------
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Jisne apni sharmgah ki hifazat ki uske liye Jannat hain
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Eh Quraish ke nojawanon! Apni sharamgahon KI hifazat karo, Zina na karo, khabardaar jis ne apni sharamgah ki hifazat ki is ke liye Jannat hain.
----
عبداللہ بن عباس  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اے قریش كے نوجوانوں  ! اپنی شرمگاہوں كی حفاظت كرو ، زنا نہ كرو، خبردار جس نے اپنی شرمگاہ كی حفاظت كی اس كے لئے جنت ہے۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: O youth of Quraish! Protect your private parts, do not commit adultery. Beware, he who protects his private parts, for him is Paradise.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#3681-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Jannat mein daraja buland hone ka kya sabab irshad farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 729❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Jannat mein daraja buland hone ka kya sabab irshad farmaya

A: Deen ki dawat dene ke sabab
B: ilm jo duniya mein phelaya uske sabab
C: Neik biwi ke sabab
D: Neik soch ke sabab
E: Ristedaron ke saath neik aamal karne ke sabab
F: Sadqa karne ke sabab
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahih Jawab - G✅

Hadith: Aulad ke Dua aur Astagfaar karne ke sabab Jannat mein Waledain ka darja buland hota hain

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : «Qinta» 12000 «Uqiyah» ka hota hai, aur har «Uqiyah» Aasman o zameen ke darmiyan payi jaane wali cheezon se behtar hain aur Rasool-Allah Sallallahu Alahi wasallam ka ye bhi farmaan hain aadmi ka daraja jannat mein buland kiya jayega phir wo kehta hain ke mera daraja kaise buland hogaya (halaank hamein amal ka koi mauqa nahi raha) is ko jawab diya jayega : Tere liye teri Aulaad ki Dua aur Astaghfaar karne ke sabab se.
----
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:   «قنطار» بارہ ہزار «اوقیہ» کا ہوتا ہے، اور ہر «اوقیہ» آسمان و زمین کے درمیان پائی جانے والی چیزوں سے بہتر ہے ۔ اور رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کا یہ بھی فرمان ہے:  آدمی کا درجہ جنت میں بلند کیا جائے گا، پھر وہ کہتا ہے کہ میرا درجہ کیسے بلند ہو گیا  ( حالانکہ ہمیں عمل کا کوئی موقع نہیں رہا )  اس کو جواب دیا جائے گا:  تیرے لیے تیری اولاد کے دعا و استغفار کرنے کے سبب سے ۔ 
----
Abu Hurairah, may Allah be pleased with them, narrated that:
Allah's Messenger said: "Qintar is twelve thousand 'Uqiyah, each 'Uqiyah of which is better than what is between heaven and earth." And the Messenger of Allah(ﷺ) said: "A man will be raised in status in Paradise and will say: 'Where did this come from?' And it will be said:'From your son's praying for forgiveness for you.'"
-----
Sunnan e Ibn e Maja#3660-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Jannat ko aziz rakhta hain wo kaunsa amal karen

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 727❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs Jannat ko aziz rakhta hain wo kaunsa amal karen 

A: Miskeen aur yateemo ki madad kare
B: Jo khud ke liye pasand kare wahi apne bhai ke liye pasand kare
C: Sila Rehami kare 
D: Jo kasrat se Durud padhe
E: Apni Zuban ki hifazat kare
F: Awal waqt mein namaz ada kare
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - B✅

Hadith: Jo shakhs Jannat ko pasand karta ho to Jo wo apne liye pasand karta ho wahi apne bhai ke liye pasand karo

Reference📚:
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek sahabi se farmaya kya tum Jannat ko pasand karte ho Unhone kaha ji Haan. Aap SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya to phir jo apne liye pasand karta hain wahi kuch apne bhai ke liye pasand kar
----
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: کیا تو جنت کو پسند کرتا ہے؟ انھوں نے کہا: جی ہاں، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: تو پھر جو اپنے لیے پسند کرتا ہے ، وہی کچھ اپنے بھائی کے لیے پسند کر۔ 
----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said to a sahaba do you love Paradise? He said yes Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said then love for your brother what you love for yourself
Musnad Aḥmad # 9120-Sahih

Inmein se Wo kya hai jisse insaan Allah Subhanahu se mangne se thakhta nahi?

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz 726❗

Sawal : Inmein se Wo kya hai jisse insaan Allah Subhanahu se mangne se thakhta nahi?

A : Ziyada Maal
B : Taweel Umar
C : Aasan Zindagi
D : Rutba
E : Bhalayi
F : Shaan o Shawkat
G : In mein se koi nahi
H : Sahi jawab ka Intezaar
----
Sahi Jawab  E ✅

Allah Subhanahu se Insaan bhalayi mangne se thakta nahi hain

Reference : 📚
------
Bismillahirrahmannirrahim

41 : سورة حم السجدہ 49

لَا یَسۡئَمُ الۡاِنۡسَانُ مِنۡ دُعَآءِ  الۡخَیۡرِ ۫ وَ اِنۡ مَّسَّہُ  الشَّرُّ  فَیَئُوۡسٌ قَنُوۡطٌ ﴿۴۹﴾

Bhalai ke mangne se insaan thakhta nahi aur agar ise koi takleef pahunch jaye to mayyus aur na umeed hojata hain. 
------
بھلائی کے مانگنے سے انسان تھکتا نہیں اور اگر اسے کوئی تکلیف پہنچ جائے تو مایوس اور نا امید ہو جاتا ہے ۔
----
Man is not weary of supplication for good [things], but if evil touches him, he is hopeless and despairing. 
----
Surah Ha Meem AsSajdah: (41:49)

Sunday, 18 July 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Ek din farmaya : ”tum mein se kis ne khawab dekha hain

 Bismillahirrahmannirrahim

---

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Ek din farmaya : ”tum mein se kis ne khawab dekha hain? “ Ek aadmi ne kaha : Mein ne dekha ke aasman se Ek tarazu utra, Aap Sallallahu Alahi wasallam aur Abu bakr tole gaye to Aap Abu Bakr se bhaari nikle, Abu Bakr aur Umar tole gaye, to Abu Bakr bhaari nikle, Umar aur Uthman tole gaye to Umar bhaari nikle phir tarazu utha liya gaya, Abu Bakr RadiAllahu Anhu kehte hain : hum ne Rasool- Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke chehray par nagawari ke assaar dekhe

---

Abu Bakr narrated:

One day the Prophet Sallallahu Alahi wasallam said: 'Who among you had a dream?' A man said: I did. I saw as if a scale had descended from the Heavens in which You and Abu Bakr were weighed So You outweighed Abu Bakr. Abu Bkar and 'Umar were weighed, and Abu Bakr outweighed ('Umar). 'Umar and 'Uthman were weighed and 'Umar outweighed ('Uthman). Then the scale was raised up.' Then I saw dislike in the the face of Messenger of Allah (s.a.w). 

----

نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے ایک دن فرمایا: ”تم میں سے کس نے خواب دیکھا ہے؟“ ایک آدمی نے کہا: میں نے دیکھا کہ آسمان سے ایک ترازو اترا، آپ اور ابوبکر تولے گئے تو آپ ابوبکر سے بھاری نکلے، ابوبکر اور عمر تولے گئے، تو ابوبکر بھاری نکلے، عمر اور عثمان تولے گئے تو عمر بھاری نکلے پھر ترازو اٹھا لیا گیا، ابوبکرہ رضی الله عنہ کہتے ہیں: ہم نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے چہرے پر ناگواری کے آثار دیکھے 

--

Jam e Tirmazi#2287-Sahih

Allah Taala deen ki madad gunahgaar se bhi karwadeta hai

 Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Taala deen ki madad gunahgaar se bhi karwadeta hai

----

Abdullah Radi Allahu Anhu se marfua hai ke yaqeenan Allah Azwajal is Deen ki madad gunahgaar admi se bhi karwadeta hain

------

 عبداللہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ:یقینا اللہ عزوجل اس دین كی مدد گناہگار آدمی سے بھی كروادیتاہے

--------

It is narrated on the authority of Marfu'a from Abdullah (may Allah be pleased with him) that: Surely, Allah Almighty helps this religion even with a sinful person

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#983

Ayesha RadiAllahu Anha aur Asma RadiAllahu Anha sabse zayda sakhawat kiya karti thi aur dono ki kafiyat juda juda thi...

 Bismillahirrahmannirahim


Hadith: Ayesha RadiAllahu Anha aur Asma RadiAllahu Anha sabse zayda sakhawat kiya karti thi aur dono ki kafiyat juda juda thi...

---

Sayyedana Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Anhu se riwayat hain wo farmate hain Maine Aurton mein se Sayyeda Ayesha   Radi Allahu Anha aur Sayyeda Asma Radi Allahu Anha se zyada sakhi Aurat nahi dekhi aur unki sakhawat ki kaifiyat juda juda thi .Sayeeda Ayesha Radi Allahu Anha maal jama karti thi. Jab inke pass kuch maal jama hojata to use kharch kar deti jab ke Sayyeda Asma Radi Allahu Anha kal ke liye kuch nahi rokti thi (Jo hota kharch kardete)

----

الادب المفرد --- كتاب --- دلی سخاوت کا بیان [الادب المفرد]

حدیث نمبر: 280 --- حکم البانی: صحيح... سیدنا عبداللہ بن زبیر ؓ سے مروی ہے ، وہ فرماتے ہیں : میں نے عورتوں میں سے سیدہ عائشہ اور سیدہ اسماء ؓ سے زیادہ سخی عورت نہیں دیکھی اور ان کی سخاوت کی کیفیت جدا جدا تھی ۔ سیدہ عائشہ ؓ مال جمع کرتی تھیں ، جب ان کے پاس کچھ مال جمع ہو جاتا تو اسے خرچ کر دیتیں جبکہ سیدہ اسماء ؓ کل کے لیے کچھ نہیں روکتی تھیں ۔ (جو ہوتا خرچ کر دیتیں)

----

Aladab Almafrad----kitaab----Dili Shakhawat Ka Bayaan (Aladab Almafrad)

Hadees No. 280 Hakim Albani-Sahih

Jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi...

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi...

----

Hazrat Kaseer bin Abaid Rehma Allah kehte hain ke mein Umm Al-Momineen Sayeda Aisha RadiAllahu Anha ki khidmat mein haazir huwa to unhon ne farmaya : zara thehro mein apna paijamay see lu. Hazrat Kaseer Rehma Allah kehte hain : mein thehar gaya aur kaha : Umm Al-Momineen! agar mein bahar ja kar batau ke aap purana kapda (paijaama) see rahi hain to log usse aap ki kanjoosi mein shumaar karenge unhon ne farmaya samajh kar baat karo, baat ye hain ke jo purana kapda na pehne is ka naye kapade mein koi haq nahi

 ----

حضرت کثیر بن عبید رحمہ اللہ کہتے ہیں کہ میں ام المؤمنین سیدہ عائشہ ؓ کی خدمت میں حاضر ہوا تو انہوں نے فرمایا : ذرا ٹھہرو میں اپنا پائجامہ سی لوں ۔ حضرت کثیر رحمہ اللہ کہتے ہیں : میں ٹھہر گیا اور کہا : ام المؤمنین ! اگر میں باہر جا کر بتاؤں کہ آپ پرانا کپڑا سی رہی ہیں تو لوگ اسے آپ کی کنجوسی میں شمار کریں گے ۔ انہوں نے فرمایا : سمجھ کر بات کرو ، بات یہ ہے کہ جو پرانا کپڑا نہ پہنے اس کا نئے کپڑے میں کوئی حق نہیں

----

Al-Adab Al-Mufrad (Imam Al-bani) 471-Hasan

Shiatan ko Zaleel karne wala amal hain Sajda Sahu

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Shiatan ko Zaleel karne wala amal hain Sajda Sahu

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Sajda Sahu ka naam Murgamateen 

« مرغمتین »

Shaitan ko zaleel aur khawar karne wali do cheeze rakha..

---

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے سجدہ سہو کا نام «مرغمتين»  ( شیطان کو ذلیل و خوار کرنے والی دو چیزیں )  رکھا۔ 

---

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam named the two prostrations of forgetfulness disgraceful for the devil

---

Sunnan e Abu Dawood#1025-Sahih

Jannat walo ki fazilat..

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jannat walo ki fazilat..

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : kuch Tawheed walon ko Jahannum mein Azab diya jayega hatta ki wo jal kar koyla hojayenge. Phir Allah Subhanahu ki Rehmat unhen pahunchegi' unhen nikala jayega aur jannat ke darwazon par daal diya jayega. Jannat wale unper pani chidkenge to wo us tarah aag ayegi jis tarah Sailab ke kachre men koi pauda nikal aata hain phir wo jannat mein daqil honge.

----

جابر  رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: كچھ توحید والوں كو جہنم میں عذاب دیا جائے گا۔ حتی كہ وہ جل كر كوئلہ ہوجائیں گے۔  پھر اللہ تعالیٰ كی رحمت انہیں پہنچے گی، انہیں نكال لیا جائے گا اور جنت كے دروازوں پر ڈال دیا جائے گا۔ جنت والے ان پر پانی چھڑكیں گے تو وہ اس طرح اگ آئیں گے جس طرح سیلاب كے كچرے میں كوئی پودا نكل آتا ہے ،پھر وہ جنت میں داخل ہوں گے

---

Al Sil Sila tus Sahiha # 1169-Sahih

Qarz ke liye mohalat ya narmi karne walo ko ajar aur sawab

 

Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Qarz ke liye mohalat ya narmi karne walo ko ajar aur sawab

-----

Hadith 1: Umar Radi Allahu Anhu se riwayat hai tum Qarz se bach kar raho kyu ke uski ibteda gam hai aur akhir (anjam)  ladayee hai 

----

عمر بن خطاب رضى اللہ تعالى عنہ سے روایت ہے " تم قرض سے بچ كر رہو، كيونكہ اس كى ابتداء غم ہے، اور آخر لڑائى ہے "

---

It was narrated that ‘Umar ibn al-Khattaab (may Allaah be pleased with him) said: 

Beware of debt, for it starts with worry and it ends with war.

Muwatta Malik (2/770).

----

Hadith 2: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Allah Subhanahu  is shakhs ko jannat mein daakhil karega jo khareed ne aur baichne mein ya Qarz lene aur wapas karne mein aasaan (naram khoo) tha .

----

عثمان بن عفان  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس شخص كو جنت میں داخل كر ے گا جو خرید نےاور بیچنے میں یا قرض لینے اور واپس کرنے میں آسان (نرم خو) تھا۔

Al-Silsila-tus-Sahiha#1200

----

Hadith 3: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Ek aadmi Jannat mein daakhil huwa to jannat ke darwazay par likha huwa tha, sadqe ka sawab 10 guna aur Qarze ka sawab 18 guna hain

----

ابو امامہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ایك آدمی جنت میں داخل ہوا تو جنت كے دروازے پر لكھا ہوا تھا،صدقہ دس  گنا اور قرض اٹھا رہ گنا

Al-Silsila-tus-Sahiha#1481

-----

Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tangdast ko mohlat de to usko har din ke badlay sadqe ka ajar milega aur jo adayeegi ki miyad ke baad bhi mohlat de to usko har roz qarze ke baqadar sadqe ka ajar mile ga

Sunan Ibn Maja-2418

-------

نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو کسی تنگ دست کو مہلت دے گا تو اس کو ہر دن کے حساب سے ایک صدقہ کا ثواب ملے گا، اور جو کسی تنگ دست کو میعاد گزر جانے کے بعد مہلت دے گا تو اس کو ہر دن کے حساب سے اس کے قرض کے صدقہ کا ثواب ملے گا

-------

It was narrated from Buraidah Al-Aslami that the RasoolAllah (ﷺ) said: Whoever gives respite to one in difficulty, he will have (the reward of) an act of charity for each day. Whoever gives him respite after payment becomes due, will have (the reward of) an act of charity equal to (the amount of the loan) for each day.

Sunan Ibn Maja,Book- 2418-Sahih

-------

Hadith 5: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: ”jo shakhs kisi tangdast (Qarzdaar) ko mohlat de ya is ka kuch Qarz maaf kar de, to Allah usse Qayamat ke din apne Arsh ke saye ke neechay jagah dega jis din is ke saye ke ilawa koi aur saya nah hoga“ .

-----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو شخص کسی تنگ دست  ( قرض دار )  کو مہلت دے یا اس کا کچھ قرض معاف کر دے، تو اللہ اسے قیامت کے دن اپنے عرش کے سایہ کے نیچے جگہ دے گا جس دن اس کے سایہ کے علاوہ کوئی اور سایہ نہ ہو گا“۔

-----

Narrated Abu Hurairah:

That the Messenger of Allah (ﷺ) said:   Whoever grants respite to an indigent or alleviates it for him, Allah will shade him on the Day of Judgement under His Throne, a Day in which there is no shade except His shade.  

------

Jam e Tirmazi#1306-Sahih

-----

Hadith 6: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: aadmi ki jaan is ke Qarz ke sath lataki rehti hai yahan tak ke is ki taraf se adaigi kar di jaye

-----

It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) that the Messenger of Allah (ﷺ) said: The soul of the believer is attached to his debt until it is paid off.” 

----

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  آدمی کی جان اس کے قرض کے ساتھ لٹکی رہتی ہے یہاں تک کہ اس کی طرف سے ادائیگی کر دی جائے  ۱؎۔ 

Sunnan e Ibn e Maja#2413-Sahih

Allah Subhanahu se Insaan bhalayi mangne se thakta nahi hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Al-Quran: Allah Subhanahu se Insaan bhalayi mangne se thakta nahi hain

------

Bhalai ke mangne se insaan thakhta nahi aur agar ise koi takleef pahunch jaye to mayyus aur na umeed hojata hain. 

------

بھلائی کے مانگنے سے انسان تھکتا نہیں اور اگر اسے کوئی تکلیف پہنچ جائے تو مایوس اور نا امید ہو جاتا ہے ۔

----

Man is not weary of supplication for good [things], but if evil touches him, he is hopeless and despairing. 

----

Surah Ha Meem AsSajdah: (41:49)

Allah Subhanahu kafiron ko apni nishaniyan kainaat aur khud unke apne wajood mein bhi dikhayenge

 Bismillahirrahmannirrahim


Al-Quran: Allah Subhanahu kafiron ko apni nishaniyan kainaat aur khud unke apne wajood mein bhi dikhayenge

----

Hum inhe (Kafiron ko) apni nishaniyan kainaat mein bhi dikhayenge aur khud inke apne wajood mein bhi, Yaha tak ke in par ye baat khulkar saamne ajaye ke yahi haq hain. Kya tumhare RABB ki ye baat kaafi nahi hain ke wo har cheez ka gawah hain? 

-----------

We will show them Our signs in the horizons and within themselves until it becomes clear to them that it is the truth. But is it not sufficient concerning your Lord that He is, over all things, a Witness?

----

ہم انہیں اپنی نشانیاں کائنات میں بھی دکھائیں گے اور خود ان کے اپنے وجود میں بھی ، یہاں تک کہ ان پر یہ بات کھل کر سامنے آجائے کہ یہی حق ہے ۔ کیا تمہارے رب کی یہ بات کافی نہیں ہے کہ وہ ہر چیز کا گواہ ہے؟

----

Surah Haa Meem AsSajdah: (41:53)

Jab tum Mayyat ke liye dua karo to khulus Dil se dua karo

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jab tum Mayyat ke liye dua karo to khulus Dil se dua karo

---------

Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya jab tum mayyat ki namaz e janaza padho to uske liye khulus Dil se dua karo

-----------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے سنا: جب تم میت کی نماز جنازہ پڑھو، تو اس کے لیے خلوص دل سے دعا کرو ۔

---

It was narrated that Abu Hurairah said: “I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam say: ‘When you offer the prayer for the deceased, supplicate sincerely for him.’”

----

Sunan ibn Maja #1497-Sahih

Jab Badshaon ke bete Iran aur Rome ke logon ki khidmat karenge tab...

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jab Badshaon ke bete Iran aur Rome ke logon ki khidmat karenge tab...

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jab meri Ummat mazoorana chaal chalegi aur badshahon ke bete Faris (Iran) aur Rome  (Europe) ke log, un ki khidmat karenge tab badtareen log behtareen logon par musallat kar diye jayenge

---

عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب میری امت مغرورانہ چال چلے گی اور بادشاہوں کے بیٹے فارس (ایران)اورروم (یورپ)کے لوگ، ان کی خدمت کریں گے تب بدترین لوگ بہترین لوگوں پر مسلط کر دیئے جائیں گے ۔

---

Al-Silsila-tus-Sahiha#2522- Sahih

Allah Subhanahu se Aafiyat ka sawal karo kuynke...

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Allah Subhanahu se  Aafiyat ka sawal karo kuynke...

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam minbar par khade huwe phir rone lagey aur farmaya Allah Subhanahu se Maffi aur Aafiyat ka sawal karo, kyunke kisi ko daulat Imaan naseeb ho jaane ke baad Aafiat se behtar koi cheez ataa nahi ki gayi.

----

حضرت ابوبکر   ؓ  بیان کرتے ہیں ، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم منبر پر کھڑے ہوئے پھر رونے لگے اور فرمایا :’’ اللہ سے معافی اور عافیت کا سوال کرو ، کیونکہ کسی کو دولت ایمان نصیب ہو جانے کے بعد عافیت سے بہتر کوئی چیز عطا نہیں کی گئی

----

Hazrat Abu Bakr RadiAllahu Anhu narrates that the Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam stood on the pulpit and began to weep and said: Ask Allah for forgiveness and well-being, for no one is given anything better than well-being after gaining the wealth of faith.

----

Mishkat ul Masabeeh#2489-Sahih

Kisi ki tareef karna us ka shukriya ada karna hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Kisi ki tareef karna us ka shukriya ada karna hain

---------

Jabir Binn Abdullah Radi Allahu Anhu se marwi hai ke Rasool-Allah SallallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya : Jis shakhs ko koi cheez di gayi agar is ke paas bhi istetat ho to badla de de aur agar is ke paas istetat na ho to wo is ki tareef kere kyunkay jis shakhs ne tareef ki is ne shukriya ada kya aur jis shakhs ne chupaya issne na shukri ki aur jis shakhs ne aisi cheez ka izhaar kiya jo usse nahi di gayi to wo jhoot ka libaas pehanne wale ki terhan hain.

---------

جابر بن عبداللہ   رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص کو کوئی چیز دی گئی اگر اس کے پاس بھی استطاعت ہو تو بدلہ دے دے اور اگر اس کے پاس  استطاعت نہ ہو تو وہ اس کی تعریف کرے کیونکہ جس شخص نے تعریف کی اس نے شکریہ ادا کیا اورجس شخص نے چھپایا اس نے نا شکری کی اور جس شخص نے ایسی چیز کا اظہار کیا جو اسے نہیں دی گئی تو وہ جھوٹ کا لباس پہنےر والے کی طرح ہے۔

----------

Silsila-tus-Sahiha#406

Zabardasti ki surat mein na talaq hoti hai na he ghulam azad hota

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Zabardasti ki surat mein na talaq hoti hai na he ghulam azad hota

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Zabardasti ki soorat mein na Talaq waqay hoti hain aur na Attaq (Ghulami se azadi) .

---

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  زبردستی کی صورت میں نہ طلاق واقع ہوتی ہے اور نہ عتاق  ( غلامی سے آزادی )

---

It was narrated that Safiyyah bint Shaibah said:

"Aishah told me that the Messenger of Allah (ﷺ) said: 'There is no divorce and no manumission at the time of coercion.' "

---

Sunnan e Ibn e Maja#2046-Sahih

Jung e Badr mein shamil hone wale Musalman ka shumaar Afzal Musalmaano mein hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jung e Badr mein shamil hone wale Musalman ka shumaar Afzal Musalmaano mein hain

-----

Rafa'ah ibn Rafi 'Al-Zarqi RadiAllahu Anhu kehte hain ke Jibraiel Alaihi Salam Nabi Sallallahu Allaihi wasallam ke paas aaye aur kehne lage : Tum Ahal Badr ko apne logon ke muqablay mein kya hasiyat dete ho? Aap Sallallahu Allaihi wasallam ne farmaya : Afzal Musalman. Jibraiel Alaihi Salam kehne lage : isi terhan hum mein se jo farishte Badr mein shareek huwe (hum inhen Afzal shumaar karte hain) 

----

رفاعہ بن رافع زرقی رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ جبریل علیہ السلام نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آئے اور کہنے لگے: تم اہل بدر کو اپنے لوگوں کے مقابلے میں کیا حیثیت دیتے ہو؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: افضل مسلمان ۔جبریل کہنے لگے: اسی طرح ہم میں سے جو فرشتے بدر میں شریک ہوئے (ہم انہیں افضل شمار کرتے ہیں)۔

----

It is narrated on the authority of Rafa'ah ibn Rafi 'al-Zarqi RadiAllahu Anhu that Jibraiel Alaihi Salam came to the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam and said: What do you think of the people of Badr compared to your own people? The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: The best Muslim. Jibraiel said: In the same way the angels among us who participated in Badr (we consider them the best)

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2024-Sahih

Do Musalmaan ke darmiyan Salam karne ke ehkaam

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Do Musalmaan ke darmiyan Salam karne ke ehkaam

---------

Abu Darda Radi Allahu Anhu se riwayat hai: Jab do musalman saat saat chal rahe ho aur in dono ke darmiyan koi darakht, patthar ya dewar(chattan) ajaye (jab isse guzar ho Jaye pir mile) to ek dusre ko salaam kahe aur salaam ka tabadla kare.

----------

ابو درداء‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے : جب دو مسلمان ساتھ ساتھ چل رہے ہوں اور ان دونوں کے درمیان کوئی درخت، پتھر یا دیوار(چٹان) آجائے(جب  اس سے گذر ہو جائےپھر ملیں) تو ایک دوسرے کو سلام کہیں اور سلام کا تبادلہ کریں

-----------

Al-Silsila-tus-Sahiha#225

Ziyada maal wale halaaq huwe siwaye un logon ke jo apna maal idhar udhar yani Allah ke raah mein karch kare

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Ziyada maal wale halaaq huwe siwaye un logon ke jo apna maal idhar udhar yani Allah ke raah mein karch kare

-----

Sayedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu kehte hain : mein Rassool-Allah Sallallahu Alaihi Sallam ke sath Madinah Munawwara ke ek khajoron ke baagh mein chal raha tha, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallan ne farmaya :Abu-Huraira! ziyada maal wale halaak hogay, ma siwaye un logon ke jo maal ko idher kharch karte hain, udher dete hain aur is taraf lutatay hain (yani Allah ki raah mein karch karte hain), phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne apni hatheli se dayen, bayen aur samne ki taraf ishara kiya, lekin aisse log thode hain

----

سیدناابوہریرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کہتے ہیں: میں رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ مدینہ منورہ کے ایک کھجوروں کے باغ میں چل رہا تھا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: ابوہریرہ! زیادہ مال والے ہلاک ہو گئے، ما سوائے ان لوگوں کے جو مال کو اِدھر خرچ کرتے ہیں، اُدھر دیتے ہیں اور اس طرف لٹاتے ہیں،پھر آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے اپنی ہتھیلی سے دائیں، بائیں اور سامنے کی طرف اشارہ کیا، لیکن ایسے لوگ تھوڑے ہیں۔  

---

Musnad Ahmed#3586-Sahih

jin par Allah Subhanahu duniya mein parda poshi farmata hain unhe qayamat ke din bhi sharminda nahi karenga

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: jin par Allah Subhanahu duniya mein parda poshi farmata hain unhe qayamat ke din bhi sharminda nahi karenga

----

Sayyedan Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu kahte hai Nabi Sallelahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah Subhanahu jis bande par duniya mein parda poshi farma de to isko qayamat ke din aar nahi dilate (yani sharminda nahi karnege)

---

سیدنا ابی موسیٰ اشعری ؓ کہتے ہیں نبی ﷺ نے فرمایا : ”اللہ تعالیٰ جس بندے پر دنیا میں پردہ پوشی فرما دیں تو اس کو قیامت کے دن عار نہیں دلاتے

----

Sayyedan Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said:

On the Day of Resurrection, Allah will not disgrace the servant whom Allah has covered in this world.

Muajim Sagheer At Tabrani#1156-Sahih

Jo log duniya mein neiki kiya karte they wo aakhirat mein bhi neki wale honge

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jo log duniya mein neiki kiya karte they wo aakhirat mein bhi neki wale honge

-----

Sayyeda Abu Musa Ashari Radi Allahu Anhu kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo log duniya mein neiki wale hote hai wo aakhirat mein bhi neiki wale hote hain, aur duniya mein burayi wale log akhirat mein bhi burayi wale he honge".

----

سیدنا ابوموسیٰ اشعری رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”جو لوگ دنیا میں نیکی والے ہوتے ہیں وہ آخرت میں بھی نیکی والے ہوتے ہیں، اور دنیا میں برائی والے لوگ آخرت میں بھی برائی والے ہی ہوں گے۔“

----

تخریج الحدیث: «بخاري، أدب المفرد، رقم: 221، قال الشيخ الألباني: صحيح لغيره - مجمع الزوائد: 262/7 - مسند شهاب، رقم: 301 - معجم الأوسط، رقم: 1

----

Takhreeg Alhadees: Bukhari, Adab AlMaghrad, Raqam: Qaala AlShaikh AlAbani: Sahih Lagheera- Majmah AlZawaid: 262/7- Musnad Shahab: Raqam: 301- Muajjam AlAusat, Raqam:1

Hadees#1157-Sahih

Fasiq aur Fajir shakhs jab beemaar hota hain..to uski misaal uss oont ki tarha hoti hai jisse malum he nahi padta usse banda kuyn tha ya usse choda kuyn tha...

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Fasiq aur Fajir shakhs jab beemaar hota hain..to uski misaal uss oont ki tarha hoti hai jisse malum he nahi padta usse banda kuyn tha ya usse choda kuyn tha...

-------

Hazrat Abdul Rehman bin Saeed apne baap se riwayat karte hain ke main Sayeedina Sulaiman Farsi ke saath tha . Jab wo Mareez ke paas aaye to unhon ne uss se kaha :  Khush hojao' bllashuba momin ki beemari ko Allah Subhanahu us ke gunahon ka kaffara aur Rida e ilahi ke husul ke zariye  bana deta hai. Aur Fasiq, Fajir aadmi ki beemari aisi oont ki tarah hain jis ko us ke ghar walon ne baandh diya ho , phir usko chode diya. Usse maloom he nahin ke usse kyun baandha gaya aur kyun choda gaya

-------

 حضرت عبدالرحمٰن بن سعید اپنے باپ سے روایت کرتے ہیں کہ میں سیدنا سلمان فارسی ؓ کے ساتھ تھا ۔ انہوں نے کندہ میں ایک مریض کی تیمار داری کی ۔ جب وہ مریض کے پاس آئے تو انہوں نے اس سے کہا : خوش ہو جاؤ ، بلاشبہ مومن کی بیماری کو اللہ تعالیٰ اس کے لیے گناہوں کا کفارہ اور رضا الٰہی کے حصول کا ذریعہ بنا دیتا ہے ۔اور فاسق ، فاجر آدمی کی بیماری ایسے اونٹ کی طرح ہے جس کو اس کے گھر والوں نے باندھ دیا ہو ، پھر اس کو چھوڑ دیا ۔ اسے معلوم ہی نہیں کہ اسے کیوں باندھا گیا اور کیوں چھوڑا گیا 

--------

Al Adaab ul Mufrad Hukum Albani, Hadith #493-Sahih

Gaane aur nachne wale shakhs ko Shaitaan kaha gaya hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Gaane aur nachne wale shakhs ko Shaitaan kaha gaya hain

----

Umm Alqama Rehmallah se rivayet hain ke Sayeda Aisha RadiAllahu Anha ki bhatijon ki khatne kiye gaye to Sayeda Aisha RadiAllahu Anha se arz ki gayi kya hum un ko behlaane ke liye kisi shakhs ko na bulayen? Unhon ne kaha theek hai chunancha is ne Adi ki taraf pegham bheja to wo aaya, Sayeda Aisha RadiAllahu Anha ke ghar se guzaren to dekha ke wo ga raha hain aur jhoom raha hain wo bahut balon wala tha Sayeda Aisha RadiAllahu Anha ne farmaya : uff! is shaitan ko nikaalo, nikaalo usse

-----

ام علقمہ رحمہا اللہ سے روایت ہے کہ سیدہ عائشہ ؓ کی بھتیجیوں کے ختنے کیے گئے تو سیدہ عائشہ ؓ سے عرض کی گئی : کیا ہم ان کو بہلانے کے لیے کسی شخص کو نہ بلائیں ؟ انہوں نے کہا : ٹھیک ہے ۔ چنانچہ اس نے عدی کی طرف پیغام بھیجا تو وہ آیا ، سیدہ عائشہ ؓ گھر سے گزریں تو دیکھا کہ وہ گا رہا ہے اور جھوم رہا ہے ۔ وہ بہت بالوں والا تھا ۔ سیدہ عائشہ ؓ نے فرمایا : اف ! اس شیطان کو نکالو ، نکالو اسے

----

Al Adab Al Mufrad # 1247-Sahih

Talbiya aur Takbir padne walo ke liye Jannat ki khushkhabri hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Talbiya aur Takbir padne walo ke liye Jannat ki khushkhabri hain

-------

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hain ki jab bhi koi Talbiya kehne wala ba aawaze buland Talbiya kehta hain to isse khushkhabri di jati hain aur Takbir (Allahu Akbar) kahega isse khushkhabri di jaati hain pucha gaya kya Jannat ki, Aap SallAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya ji Haan

Al-Silsila-As-Sahiha-1569-Sahih

------

Talbiya : Labbaika Allahumma Labbaik, Labbaika La sharika Laka Labbaik, inna-l-hamda wan-ni'mata Laka walmulk, La sharika Laka

-----------

Takbir : Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar La ilaha illAllah Allahu Akbar, Allahu Akbar, Wa lillahil hamd

------

Narrated by Abu Hurairah Radi Allahu Anhu anybody who recite Talbiya loudly, he will be given glad tidings (good news) and when anybody recite Takbir he will also be given glad tidings (good news), someone asked, is the glad tidings (good news) given for Paradise? Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wasallam said YES

----

ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: جب بھی کو تلبیہ کہنے والا بآواز بلند تلبیہ کہتا ہے اسے خوشخبری دی جاتی ہے اور تكبیر كہنے والا جب بھی تكبیر (اللہ اكبر) كہے گا اسے خوشخبری دی جاتی ہے۔ پوچھا گیا: كیا جنت كی؟ آپ نے فرمایا: جی ہاں

---

Al-Silsila-tus-Sahiha#1569-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar e Nabuwat ki misaal

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar e Nabuwat ki misaal

----

Hadith 1:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ” Eh Abu Zaid mere qareeb aao, aur meri pusht par haath phero. “ To mein ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki pusht par haath phera, to meri ungelian Mohar Nabuwat par ja lagen. (Albah bin Ahmar shakri) kehte hain mein ne poocha Mohar Nabuwat kaisi hain? “ unhon ne kaha : “Chand balon ka majmuaa”

--- 

رسول اللہ ﷺ نے مجھے فرمایا : ” اے ابوزید ! میرے قریب آؤ ، اور میری پشت پر ہاتھ پھیرو ۔ “ تو میں نے آپ ﷺ کی پشت پر ہاتھ پھیرا ، تو میری انگلیاں مہر نبوت پر جا لگیں ۔ (علباء بن احمر شکری) کہتے ہیں : میں نے پوچھا : ” مہر نبوت کیسی ہے ؟ “ انہوں نے کہا : ” چند بالوں کا مجموعہ

----

Sahih ibn Hibban#2096-Sahih

Mustadrak Hakim#(602/02)-Sahih

**

Hadith 2: Meri khalaa mujhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein le gayeen aur arz kiya ke ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam mera ye bhanja bemaar hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mere sir par apna haath phera aur mere liye barkat ki dua farmaie, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne wazu kiya aur mein ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam wazu ka bacha huwa pani piya phir mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki kamar ke peeche khada ho gaya aur mein ne mohar nabuwat dekhi jo Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke mohdon ke darmiyan aisi thi jaise Chappar khat ki ghundi (Ya kabutarri ka anda)

----

میری خالہ مجھے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں لے گئیں اور عرض کیا کہ یا رسول اللہ! میرا یہ بھانجا بیمار ہے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرے سر پر اپنا ہاتھ پھیرا اور میرے لیے برکت کی دعا فرمائی، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو کیا اور میں نے آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے وضو کا بچا ہوا پانی پیا۔ پھر میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی کمر کے پیچھے کھڑا ہو گیا اور میں نے مہر نبوت دیکھی جو آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے مونڈھوں کے درمیان ایسی تھی جیسے چھپر کھٹ کی گھنڈی۔  ( یا کبوتر کا انڈا ) ۔

----

Sahih Bukhari#190

***

Hadith 3: Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki peeth ke peeche khada huwa to mujhe Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke dono kandho ke darmiyan aap ki Mohar (Nabuwat) Misehri ke lattu ki terhan nazar aayi

----

پھر میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پیٹھ کے پیچھے کھڑا ہوا تو مجھے آپ کے د ونوں کندھوں کے درمیان آپ کی مہر ( نبوت )  مسہری کے لٹو کی طرح نظر آئی ۔

Sahih Muslim#6087-Sahih (part)

***

Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar nabuwat yani jo aap ke dono shaanon ke darmiyn thi kabutar ke ande ke manind surkh (laal) rang ki ek gilti thi.

----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر نبوت یعنی جو آپ کے دونوں شانوں کے درمیان تھی کبوتر کے انڈے کے مانند سرخ رنگ کی ایک گلٹی تھی۔ 

----

Jam e Tirmazi#3644-Sahih

***

Hadith 5: Abu Saeed Khadri RadiAllahu Anhu se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar ke baare mein sawal kiya to kehne lagey Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar Nabuwat aap ki pusht par ubhre huwe gosht ki shakal mein thi

----

ابو نضرہ عوفی سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں نے ابو سعید خدریرضی اللہ عنہ سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر کے بارے میں سوال کیا تو کہنے لگے: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر نبوت آپ کی پشت پر ابھرے ہوئے گوشت کی شکل میں تھی۔

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2182-Sahih

****

Hadith 6: Hazrat Abdullah bin Sirjis RadiAllahu Anhu bayan karte hain, mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha aur aap ke sath gosht roti khayi, ya kaha Sareed khayi, phir mein ghoom kar aap ke pichli janib gaya aur mein ne Aap ke dono kaandhon ke darmiyan bayen kandhe ki naram haddi ke paas Mohar Nabuwat dekhi, wo band mutthi ki terhan thi is par do til they, jaisay masse hon.

----

حضرت عبداللہ بن سرجس   ؓ  بیان کرتے ہیں ، میں نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو دیکھا اور آپ کے ساتھ گوشت روٹی کھائی ، یا کہا : ثرید کھائی ، پھر میں گھوم کر آپ کے پچھلی جانب گیا اور میں نے آپ کے دونوں کندھوں کے درمیان بائیں کندھے کی نرم ہڈی کے پاس مہر نبوت دیکھی ، وہ بند مٹھی کی طرح تھی اس پر دو تل تھے ، جیسے مسّے ہوں ۔‘‘ رواہ مسلم ۔

----

Mishkat ul Masabeeh#5780-Sahih

Sood ke baare mein sakhti ka bayan

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Sood ke baare mein sakhti ka bayan

----

Sayedna Kaab RadiAllahu Anhu kehte hain agar mein 33 martaba Zina karu to mujhe ye buraiee sood ka ek dirham khane se halki mehsoos ho gi, jabke Allah Subhanahu taala jaanta ho ke mein is ko sood samajh kar he kha raha hu.

----

سیدنا کعب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ کہتے ہیں: اگر میں تینتیس مرتبہ زناکروں تو مجھے یہ برائی سود کا ایک درہم کھانے سے ہلکی محسوس ہو گی، جبکہ اللہ تعالی جانتا ہو کہ میں اس کو سود سمجھ کر ہی کھا رہا ہوں۔

---

Sayedna Kaa'b RadiAllahu Anhu says: If I commit adultery thirty-three times, I will feel this evil by eating a dirham of usury (sood), while Allah Almighty knows that I am eating it as usury (sood).

---

Musnad Ahmed#5960-Sahih

Taqweem ke maiene insaan ko behtareen surat mein paida kiya

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Taqweem ke maiene insaan ko behtareen surat mein paida kiya

---

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Ek safar mein thay aur Isha ki Ek rakat mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Surah Al-Tin ki tilawat farmai thi. 

تقویم Taqweem 

ke maiene Paidaiesh, banawat ke hain.

Beshak humne insaan ko behtareen surat mein paida kiya (95:04)

 ---

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ایک سفر میں تھے اور عشاء کی ایک رکعت میں آپ نے سورۃ والتین کی تلاوت فرمائی تھی۔ «تقويم‏» کے معنی پیدائش، بناوٹ کے ہیں۔ 

----

Narrated Al-Bara: While the Prophet was on a journey, he recited Surat at-Tini waz-Zaituni (95) in one of the first two rak`at of the `Isha prayer. 

----

Sahih Bukhari#4952

Jab koi shakhs apni jagah se uthey aur phir wapis aaye to wo is jagah ka ziyada haqdaar hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jab koi shakhs apni jagah se uthey aur phir wapis aaye to wo is jagah ka ziyada haqdaar hain

---------

Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se riwayat hain inhone kaha ke Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jab koi shakhs apni jagah se uthey aur pir wapis aaye to wo is jagah ka ziyada haqdaar hain

-----------

ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب کوئی شخص اپنی جگہ سے اٹھے اور پھر واپس آئے تو وہ اس جگہ کا زیادہ حقدار ہے۔

-----------

Al-Silsila-tus-Sahiha#243-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se unki ek biwi ne unse Allah ki panah mangi to unhone usse apne maike jane ko keh diya

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se unki ek biwi ne unse Allah ki panah mangi to unhone usse apne maike jane ko keh diya

---

Al-Awza RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke unhone Az-Zuhri RafiAllahu Anhu se poocha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki kin biwi ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam se panah mangi thi? Unhon ne bayan kiya ke mujhe Urwah bin Zubair RadiAllahu Anhu ne khabar di aur inhen Aisha RadiAllahu Anha ne ke Al-Jaun RadiAllahu Anhu ki beti (Amima ya Asma) jab Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke yahan (Nikah ke baad) layi gayeen aur Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam unke paas gaye to is ne ye keh diya ke Mein tum se Allah ki panah maangti hu. Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne is par farmaya ke tum ne bohat badi cheez se panah mangi hain, apne Maike chali jao.

---

Narrated Al-Awza: I asked Az-Zuhri,   Which of the wives of the Prophet sought refuge with Allah from him?   He said   I was told by 'Urwa that `Aisha said, 'When the daughter of Al-Jaun was brought to Allah's Apostle (as his bride) and he went near her, she said, I seek refuge with Allah from you. He said, You have sought refuge with The Great; return to your family.

---

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی کن بیوی نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے پناہ مانگی تھی؟ انہوں نے بیان کیا کہ مجھے عروہ بن زبیر نے خبر دی اور انہیں عائشہ رضی اللہ عنہا نے کہ جون کی بیٹی  ( امیمہ یا اسماء )  جب نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے یہاں  ( نکاح کے بعد )  لائی گئیں اور نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ان کے پاس گئے تو اس نے یہ کہہ دیا کہ میں تم سے اللہ کی پناہ مانگتی ہوں۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے اس پر فرمایا کہ تم نے بہت بڑی چیز سے پناہ مانگی ہے، اپنے میکے چلی جاؤ۔ ابوعبداللہ امام بخاری رحمہ اللہ نے اس حدیث کو حجاج بن یوسف بن ابی منیع سے، اس نے بھی اپنے دادا ابومنیع  ( عبیداللہ بن ابی زیاد )  سے، انہوں نے زہری سے، انہوں نے عروہ سے، انہوں نے عائشہ رضی اللہ عنہا سے روایت کیا ہے۔

---

Sahih Bukhari#5254

Jo Momeen ke Aibo ke peeche padhega Allah Subahanhu uske Aibo ke peeche padh jayega aur usse uske ghar mein zalil aur ruswa kar denge

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jo Momeen ke Aibo ke peeche padhega Allah Subahanhu uske Aibo ke peeche padh jayega aur usse uske ghar mein zalil aur ruswa kar denge

------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Muslmano ki gheebat na karo, unke aibon ke peeche na pado, isliye ke jo unke aib ke peeche padega Allah Subhanahu Uske aib ke peeche padega aur Allah Subhanahu Jiske aib ke peeche padega usay uske ghar mein zalil aur ruswa Kar dega

Sunan Abu Dawud-4880-Sahih

------

 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا مسلمانوں کی غیبت نہ کرو اور ان کے عیوب کے پیچھے نہ پڑو، اس لیے کہ جو ان کے عیوب کے پیچھے پڑے گا، اللہ اس کے عیب کے پیچھے پڑے گا، اور اللہ جس کے عیب کے پیچھے پڑے گا، اسے اسی کے گھر میں ذلیل و رسوا کر دے گا

-----

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Do not back-bite Muslims, and do not search for their faults, for if anyone searches for their faults, Allah will search for his fault, and if Allah searches for the fault of anyone, He disgraces him in his house. 

Sunan Abu Dawud#4880-Sahih

Jo shakhs ye pasand kata hain ke log uske liye butt ki tarah khade hojaye to aise shakhs ka thikana jahannum mein hoga

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jo shakhs ye pasand kata hain ke log uske liye butt ki tarah khade hojaye to aise shakhs ka thikana jahannum mein hoga

---------

Abu Mujlis ne kaha ke Mawiya Radi Allahu Anhu ek ghar mein daakhil huwe is mein Abdullah bin Zubair aur Abdullah bin Aamir Radi Allahu Anhum thy, Abdullah bin Aamir khadey hogaye jab ke Abdullah bin Zubair baithy rahe wo dono se ziyada maahir aur tajurbah kaar thy. Muawiya ne kaha : Ibn Aamir baithy raho, kyunke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna aap farma rahe thy : Jo shakhs ye baat pasand karta hai ke log is ke liye mujasme ki tarha khade ho jayen to wo apna thikana jahannum mein bana le.

--------

ابو مجلز نے کہا کہ معاویہ‌رضی اللہ عنہ ایک گھر میں داخل ہوئے اس میں عبداللہ بن زبیر اور عبداللہ بن عامر رضی اللہ عنہم تھے، عبداللہ بن عامر کھڑے ہوگئے جب کہ عبداللہ بن زبیر بیٹھے رہے وہ دونوں سے زیادہ ماہر اور تجربہ کار تھے۔معاویہ نے کہا: ابن عامر بیٹھے رہو، کیونکہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا آپ فرما رہے تھے : جو شخص یہ بات پسند کرتا ہے کہ لوگ اس کے لئے مجسمے کی طرح کھڑے ہو جائیں تو وہ اپنا ٹھکانہ جہنم میں بنا لے۔

----------

Al-Silsila-tus-Sahiha#403

Allah Subhanahu apne bando ko sabse zyada Arfa ke din Aag se aazad karta hain

 Bismillahirrahmanirrahim


Hadith: Allah Subhanahu apne bando ko sabse zyada Arfa ke din Aag se aazad karta hain 

-------

Aisha Radi allahu anha se rivayat hain ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Arfa se badh kar koi din aisa nahi jismein Allah Subhanahu apne bando ko aag se aazad karta ho jitna ki Arfa ke din aazad karta hain, Allah Subhanahu qareeb se qareeb hota hain aur Farishto ke samne bando ka haal dekh kar fakhr karta hai aur farmata hai ki ye kis irade se jama huwe hain?

Sahih Muslim# 3288

------

حضرت عائشہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا نے کہا:بلاشبہ اللہ کے رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کوئی دن نہیں جس میں اللہ تعالیٰ عرفہ کے دن سے بڑھ کر بندوں کو آگ سے آزاد فرماتا ہو،وہ ( اپنے بندوں کے ) قریب ہوتا ہے۔ اور فرشتوں کے سامنے ان لوگوں کی بناء پر فخر کرتا ہے اور پوچھتا ہے:یہ لوگ کیا چاہتے ہیں؟

---

It was narrated from Ibn Musayyab that Aishah Radi allahu anha said that the Messenger of Allah sallallahu alaihi wasallam said: “There is no day on which Allah ransoms more slaves from the Fire than the Day of Arafah. He draws closer and closer, then He boasts about them before the angels and says: ‘What do these people want?’”

Sahih Muslim#3288

Dhul Hajj ke shuru ke 10 dino ke amal se ziyada kisi din ke amal mein Fazeelat nahi.

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Dhul Hajj ke shuru ke 10 dino ke amal se ziyada kisi din ke amal mein Fazeelat nahi.

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya un dinon (yani Dhul Hajj ke shuru ke 10 din) ke amal se ziyada kisi din ke amal mein Fazeelat nahi. Logon ne poocha aur Jihaad mein bhi nahi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke haan Jihaad mein bhi nahi siwa is shakhs ke jo apni jaan o maal khatrah mein daal kar nikla aur wapas aaya to sath kuch bhi na laya (sab kuch Allah Subahnahu ki raah mein qurbaan kar diya)

---

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ان دنوں کے عمل سے زیادہ کسی دن کے عمل میں فضیلت نہیں۔ لوگوں نے پوچھا اور جہاد میں بھی نہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ ہاں جہاد میں بھی نہیں سوا اس شخص کے جو اپنی جان و مال خطرہ میں ڈال کر نکلا اور واپس آیا تو ساتھ کچھ بھی نہ لایا  ( سب کچھ اللہ کی راہ میں قربان کر دیا

---

Narrated Ibn `Abbas: The Prophet said,   No good deeds done on other days are superior to those done on these (first ten days of Dhul Hijja).   Then some companions of the Prophet said,   Not even Jihad?   He replied,   Not even Jihad, except that of a man who does it by putting himself and his property in danger (for Allah's sake) and does not return with any of those things. 

---

Sahih Bukhari#969

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Dhul Hajj ke 9 dino ka roza rakha karte thy

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Dhul Hajj ke 9 dino ka roza rakha karte thy

----

Hazrat Hafsa RadiAllahu Anha farmati hain ke chaar kaam Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kabhi nahi chodhte they: Aashura (Muharam ka roza), Dhul Hajj ke pehle ashre( yani shuru ke 9din) ke roze, har mahine se 3 din ke roze aur namaz Fajar se pehle 2 rakaate

----

حضرت حفصہ رضی اللہ عنہا فرماتی ہیں کہ چار کام نبی صلی اللہ علیہ وسلم کبھی نہیں چھوڑتے تھے : عاشوراء ( ۱۰محرم ) کا روزہ ، ذوالحجہ کے پہلے عشرے ( یعنی نو دن ) کے روزے ، ہر مہینے سے تین دن کے روزے اور نماز فجر سے پہلے دو رکعتیں ۔‘‘ 

----

It was narrated that Hafsah said: There are four things which the Prophet never gave up: Fasting 'Ashura', (fasting during Dhul Hajj) the Nine days, (fasting) three days of each month, and praying two Rak'ahs before Al-Ghadah (Fajr). 

---

Sunnan e Nisai#2418-Sahih

Dhul Hajj ki 10 dino mein neik amal karne ki fazilat

 Bismillahirrahmannirrahim


Al-Quran: Dhul Hajj ki 10 dino mein neik amal karne ki fazilat


وَلَيَالٍ عَشۡرٍۙ


Aur 10 raaton ki


اور دس راتوں کی

---

Tafseer: iss se aksar mufasarin ke Nazdeek Dhul Hajja ki ibtidayi 10 raatain hain jin ki fazeelat hadees se saabit hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Ashra Dhul Hajja mein kiye gaye amal Saleh Allah ko sabse ziyada Mehboob hain, hatta ke Jihaad fi Sabeel Allah bhi itna pasandeeda nahi siwaye is Jihaad ke jis mein insaan shaheed hojaye. (Al Bhukhari)

-----

تفسیر:

2۔ 1 اس سے اکثر مفسرین کے نزدیک ذو الحجہ کی ابتدائی دس راتیں ہیں۔ جن کی فضیلت احادیث سے ثابت ہے، نبی کریم نے فرمایا عشرہ ذوالحجہ میں کیے گئے عمل صالح اللہ کو سب سے زیادہ محبوب ہیں، حتی کہ جہاد فی سبیل اللہ بھی اتنا پسندیدہ نہیں سوائے اس جہاد کے جس میں انسان شہید ہوجائے۔ (البخاری، کتاب العیدین، باب فضل العمل فی ایام التشریق)

---

Al-Quran- Surah Al Fajar (89:2)

Waadi Aqeeq jo ek Mubarak Waadi hain jaha ye Elaan huwa ke Umrah Hajj mein Shareek hogaya hain

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Waadi Aqeeq jo ek Mubarak Waadi hain jaha ye Elaan huwa ke Umrah Hajj mein Shareek hogaya hain

-----

Umar RadiAllahu Anhu se suna inn ka bayan tha ki mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se Waadi Aqeeq mein suna Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tha ke raat mere paas Mere RABB ka ek Farishta aaya aur kaha ke is ”Mubarak Waadi" mein Namaz padh aur Elaan kar ke Umrah Hajj mein Shareek hogaya .

---

عمر رضی اللہ عنہ سے سنا، ان کا بیان تھا کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے وادی عقیق میں سنا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تھا کہ رات میرے پاس میرے رب کا ایک فرشتہ آیا اور کہا کہ اس ”مبارک وادی“ میں نماز پڑھ اور اعلان کر کہ عمرہ حج میں شریک ہو گیا۔ 

----

Narrated `Umar: In the valley of Al-`Aqiq I heard Allah's Apostle saying, To night a Messenger came to me from my Lord and asked me to pray in this blessed valley and to assume Ihram for Hajj and `Umra together. 

----

Sahih Bukhari#1534

Munafiq log khushi se jo sadqa karte hain aur Iman walon par bhi Aib lagate hain..jab wo sadqa karte hain..

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Munafiq log khushi se jo sadqa karte hain aur Iman walon par bhi Aib lagate hain..jab wo sadqa karte hain..

-----

Hazrat Abu Masud RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke jab humein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne sadqa karne ka hukum diya to Hazrat Abu Aqil RadiAllahu Anhu ne nisf Sa sadqa kiya Ek aur sahabi is se bohat ziyada maal le kar aaye. Munafiqeen kehne lage: Allah Subhanahu taala is shakhs (Hazrat Abu Aqil RadiAllahu Anhu) ke is qaleel sadqe se beniyaz hain aur is dusre shakhs ne sirf riyakari ke liye sadqa kiya hain to ye aayat utri 


اَلَّذِیۡنَ یَلۡمِزُوۡنَ الۡمُطَّوِّعِیۡنَ مِنَ الۡمُؤۡمِنِیۡنَ فِی الصَّدَقٰتِ وَ الَّذِیۡنَ لَا یَجِدُوۡنَ  اِلَّا جُہۡدَہُمۡ فَیَسۡخَرُوۡنَ مِنۡہُمۡ ؕ سَخِرَ  اللّٰہُ  مِنۡہُمۡ ۫ وَ لَہُمۡ عَذَابٌ  اَلِیۡمٌ (التوبہ:79)


Munafiq log khushi se kaseer sadqa karne wale imaan walon ko bhi Aib lagate hain aur un ghareeb musalmanoon ko bhi jin ke paas mushaqqat se kamaya huwa thoda sa maal hain.'

----

It was narrated that Abu Mas 'ud said: When the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam commanded us to give in charity, Abu 'Aqil give half a Sa', and another man brought much more than that. The hypocrites said: 'Allah has no need of the charity of the former, and the latter only did it to show off. Then the following was revealed: 'Those who defame such of the believers who give charity voluntarily, and such who could not find to give charity except what is available to them.

----

حضرت ابومسعود رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ جب ہمیں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے صدقہ کرنے کا حکم دیا تو حضرت ابوعقیل رضی اللہ عنہ نے نصف صاع صدقہ کیا ۔ ایک اور صحابی اس سے بہت زیادہ مال لے کر آئے ۔ منافقین کہنے لگے : اللہ تعالیٰ اس شخص ( حضرت ابوعقیل ) کے اس قلیل صدقے سے بے نیاز ہے اور اس دوسرے شخص نے صرف ریاکاری کے لیے صدقہ کیا ہے ۔ تو یہ آیت اتری : {اَلَّذِیْنَ یَلْمِزُوْنَ الْمُطَّوِّعِیْنَ… الآیۃ} ’’ منافق لوگ خوشی سے کثیر صدقہ کرنے والے ایمان والوں کو بھی عیب لگاتے ہیں اور ان غریب مسلمانوں کو بھی جن کے پاس مشقت سے کمایا ہوا تھوڑا سا مال ہے ۔‘‘ 

----

Sunnan e Nisai#2531-Sahih

Jo Sabr rakh kar deen Islam ko haq se thame honge unhe...

 Bismillahirrahmannirrahim


Hadith: Jo Sabr rakh kar deen Islam ko haq se thame honge unhe...

---------

Atba bin Gazwan Radi Allahu Anha se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Tumhare baad Sabar ke din ayenge , jo us din haq ko thame rakhe ga us ke liye tumhare 50 aadmiyon ka sawab hoga , Sahaba ne kaha: Eh Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam! Kya wo 50 aadmi un mein se honge? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Nahi balke tum mein se.

--------

عتبہ بن غزوان رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: تمہارے بعد صبر کے دن آئیں گے،جو اس دن حق کو تھامے رکھے گا گا اس کے لئے تمہارے پچاس آدمیوں کا ثواب ہوگا، صحابہ نے کہا:اے اللہ کے نبی! کیا وہ پچاس آدمی ان میں سے ہوں گے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نہیں بلکہ تم میں سے۔ 

-----

Al Silsila-tus-Sahiha #2563-Sahih

Apne chote bachon par kharch karne se zillat se bachte hain aur gani (maal main barkat) hote hain

 Bismillahirrahmannirraim


Hadith: Apne chote bachon par kharch karne se zillat se bachte hain aur gani (maal main barkat) hote hain

---------

RasoolAllah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya behtareen dinar jise insan kharch karta hai wo dinar hai jise wo apne ghar walo par kharch karta hai aur wo dinar jise insaan Allah Subhanahu ki raah mein (Jihad karne ke liye)  apne janwar (Sawari) par kharch karta hai aur wo dinar jise wo Allah Subhanahu ke raste main apne saathiyon par kharch karta hai phir Abu Qilaba Radi Allahu Anhu ne farmaya: Aap ne Ahal aayal se ibteda faramayi phir Abu Qilaba Radi Allahu Anhu ne kaha ajar main us admi se badh kar kaun ho sakta hai jo chote bachon par kharch karta hai wo unko (sawal ki) zillat se bachata hai. Ya Allah Subhanahu is ke zariye se innhein fayda pohunchata hai aur gani(maal mein barkat) karta hai.

----------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فر ما یا : " بہترین دینار جسے انسان خرچ کرتا ہے وہ دینا ر ہے جسے وہ اپنے اہل و عیال پر خرچ کرتا ہے اور وہ دینار ہے جسے انسان اللہ کی را ہ میں ( جہاد کرنے کے لیے ) اپنے جانور ( سواری ) پر خرچ کرتا ہے اور وہ دینا ر ہے جسے وہ اللہ کے را ستے میں اپنے ساتھیوں پر خرچ کرتا ہے ۔ پھر ابو قلابہ نے کہا : آپ نے اہل و عیال سے ابتدا فر ما ئی پھر ابو قلا بہ نے کہا : اجر میں اس آدمی سے بڑھ کر کو ن ہو سکتا ہے جو چھوٹے بچوں پر خرچ کرتا ہے وہ ان کو ( سوال کی ) ذلت سے بچاتا ہے یا اللہ اس کے ذریعے سے انھیں فائدہ پہنچاتا ہے اور غنی کرتا ہے


-----------

Thauban reported Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam as saying: The most excellent dinar is one that a person spends on his family, and the dinar which he spends on his animal in Allah's path, and the dinar he spends on his companions in Allah's path. Abu Qilaba (one of the narrators) said: He (the narrator) started with family, and then Abu Qilaba said: Who is the person with greater reward than a person who spends on young members of his family (and thus) preserves (saves them from want) (and by virtue of which) Allah brings profit for them and makes them rich.

------

Sahih Mislim#2310

ZIna aur chori karna haraam hain..

 Bismillahirahannirrahim


Hadith: ZIna aur chori karna haraam hain..

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne sahaba se farmaya : Tum log Zina ke bare mein kya kehte ho? unhon ne kaha : Allah Subahanhu taala aur iss ke Rasool ne is ko Haraam qarar diya hai aur ye Qayamat ke din tak haraam hain, Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Ek aadmi ka 10 aurton se Zina karna, is ka jurm humsaye ki biwi se Zina karne ke jurm se kum hain. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Acha tum log Chori ke barre mein kya raye rakhte ho? Unhon ne kaha : Allah Subahnahu taala aur is ke Rasool ne is ko Haraam Qarar diya hai, pas ye Haraam hain. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Ek aadmi ka 10 gharon se chori karna, is ka jurm padosi ke ghar se chori karne ke jurm se kum hain.

----

سیدنا مقداد بن اسود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے روایت ہے کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے اپنے صحابہ سے فرمایا : تم لوگ زنا کے بارے میں کیا کہتے ہو؟  انہوں نے کہا: اللہ تعالیٰ اوراس کے رسول نے اس کو حرام قرار دیا ہے اور یہ قیامت کے دن تک حرام ہے، نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: ایک آدمی کا دس عورتوں سے زنا کرنا، اس کا جرم ہمسائے کی بیوی سے زنا کرنے کے جرم سے کم ہے۔  آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: اچھا تم لوگ چوری کے بارے میں کیا رائے رکھتے ہو؟  انہوں نے کہا: اللہ تعالیٰ اور اس کے رسول نے اس کو حرام قرار دیا ہے، پس یہ حرام ہے۔  آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: ایک آدمی کا دس گھروں سے چوری کرنا، اس کا جرم پڑوسی کے گھر سے چوری کرنے کے جرم سے کم ہے۔ 

----

It is narrated on the authority of Muqdad bin Aswad (may Allah be pleased with him) that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said to his companions: What do you people say about Adultery? He said: Allah and His Messenger have made it Haraam and it is Haraam until the Day of Resurrection. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: A man committing adultery with ten women is less guilty than committing adultery with a neighbour's wife.. He Sallallahu Alaihi wasallam said: Well, what do you think about stealing? He said: Allah and His Messenger have forbidden it, so it is forbidden. The Prophet Salallahu Alaihi wasallam said: Theft of a man from ten houses is less than the crime of stealing from a neighbour's house.

----

Musnad Ahmed#6650-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...