Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar e Nabuwat ki misaal
----
Hadith 1:Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ” Eh Abu Zaid mere qareeb aao, aur meri pusht par haath phero. “ To mein ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki pusht par haath phera, to meri ungelian Mohar Nabuwat par ja lagen. (Albah bin Ahmar shakri) kehte hain mein ne poocha Mohar Nabuwat kaisi hain? “ unhon ne kaha : “Chand balon ka majmuaa”
---
رسول اللہ ﷺ نے مجھے فرمایا : ” اے ابوزید ! میرے قریب آؤ ، اور میری پشت پر ہاتھ پھیرو ۔ “ تو میں نے آپ ﷺ کی پشت پر ہاتھ پھیرا ، تو میری انگلیاں مہر نبوت پر جا لگیں ۔ (علباء بن احمر شکری) کہتے ہیں : میں نے پوچھا : ” مہر نبوت کیسی ہے ؟ “ انہوں نے کہا : ” چند بالوں کا مجموعہ
----
Sahih ibn Hibban#2096-Sahih
Mustadrak Hakim#(602/02)-Sahih
**
Hadith 2: Meri khalaa mujhe Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein le gayeen aur arz kiya ke ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam mera ye bhanja bemaar hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mere sir par apna haath phera aur mere liye barkat ki dua farmaie, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne wazu kiya aur mein ne Aap Sallallahu Alaihi wasallam wazu ka bacha huwa pani piya phir mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki kamar ke peeche khada ho gaya aur mein ne mohar nabuwat dekhi jo Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke mohdon ke darmiyan aisi thi jaise Chappar khat ki ghundi (Ya kabutarri ka anda)
----
میری خالہ مجھے نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت میں لے گئیں اور عرض کیا کہ یا رسول اللہ! میرا یہ بھانجا بیمار ہے، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرے سر پر اپنا ہاتھ پھیرا اور میرے لیے برکت کی دعا فرمائی، پھر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو کیا اور میں نے آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے وضو کا بچا ہوا پانی پیا۔ پھر میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی کمر کے پیچھے کھڑا ہو گیا اور میں نے مہر نبوت دیکھی جو آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے مونڈھوں کے درمیان ایسی تھی جیسے چھپر کھٹ کی گھنڈی۔ ( یا کبوتر کا انڈا ) ۔
----
Sahih Bukhari#190
***
Hadith 3: Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki peeth ke peeche khada huwa to mujhe Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke dono kandho ke darmiyan aap ki Mohar (Nabuwat) Misehri ke lattu ki terhan nazar aayi
----
پھر میں آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی پیٹھ کے پیچھے کھڑا ہوا تو مجھے آپ کے د ونوں کندھوں کے درمیان آپ کی مہر ( نبوت ) مسہری کے لٹو کی طرح نظر آئی ۔
Sahih Muslim#6087-Sahih (part)
***
Hadith 4: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar nabuwat yani jo aap ke dono shaanon ke darmiyn thi kabutar ke ande ke manind surkh (laal) rang ki ek gilti thi.
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر نبوت یعنی جو آپ کے دونوں شانوں کے درمیان تھی کبوتر کے انڈے کے مانند سرخ رنگ کی ایک گلٹی تھی۔
----
Jam e Tirmazi#3644-Sahih
***
Hadith 5: Abu Saeed Khadri RadiAllahu Anhu se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar ke baare mein sawal kiya to kehne lagey Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki Mohar Nabuwat aap ki pusht par ubhre huwe gosht ki shakal mein thi
----
ابو نضرہ عوفی سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں نے ابو سعید خدریرضی اللہ عنہ سے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر کے بارے میں سوال کیا تو کہنے لگے: آپ صلی اللہ علیہ وسلم کی مہر نبوت آپ کی پشت پر ابھرے ہوئے گوشت کی شکل میں تھی۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2182-Sahih
****
Hadith 6: Hazrat Abdullah bin Sirjis RadiAllahu Anhu bayan karte hain, mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko dekha aur aap ke sath gosht roti khayi, ya kaha Sareed khayi, phir mein ghoom kar aap ke pichli janib gaya aur mein ne Aap ke dono kaandhon ke darmiyan bayen kandhe ki naram haddi ke paas Mohar Nabuwat dekhi, wo band mutthi ki terhan thi is par do til they, jaisay masse hon.
----
حضرت عبداللہ بن سرجس ؓ بیان کرتے ہیں ، میں نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو دیکھا اور آپ کے ساتھ گوشت روٹی کھائی ، یا کہا : ثرید کھائی ، پھر میں گھوم کر آپ کے پچھلی جانب گیا اور میں نے آپ کے دونوں کندھوں کے درمیان بائیں کندھے کی نرم ہڈی کے پاس مہر نبوت دیکھی ، وہ بند مٹھی کی طرح تھی اس پر دو تل تھے ، جیسے مسّے ہوں ۔‘‘ رواہ مسلم ۔
----
Mishkat ul Masabeeh#5780-Sahih
No comments:
Post a Comment