Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 2 December 2020

Wo kaunsa azkar hain jiske adda karne par Allah Subhanahu farmate hain mera banda farmabardar hogaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: Wo kaunsa azkar hain jiske adda karne par Allah Subhanahu farmate hain mera banda farmabardar hogaya hain

A: Sayyad-Al-Astigfar
B: Allahummastur awrati, wa amin raw'ati
C: La hawla wa la Quwwata illa billah
D: SubhanAllahi wa biHamdihi
E: Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin ﷺ nabiyya
F: SubhanAllahi wa biHamdihi
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahi Jawab - G✅

Laa Quwwata illa billah kehne se Allah Subhanahu farmata hain mera banda muttaqi aur farmabardar hogaya 

Reference📚:
------
Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain, wo kehte hain Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhse farmaya Eh Abu Huraira! kya mein aise kalme par tumhari rehnumai karoon, jo arsh ke neeche Jannat ke khazanon mein se Ek khazana hain? Mein ne kaha jee haan, mere Maa Baap aap par qurbaan hon, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tumhara ye kehna ke Laa Quwwata illa billah Mera khayaal hain ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala is ke jawab mein kehta hain mera bandah Muttai (Muttaqi) aur farmabardar hogaya hain Amr RadiAllahu Anhu ne kaha mein ne Syedna Abu Huraira RadiAllahu Anhu se kaha La hawla wa la Quwwata illa billah unhon ne kaha nahi, ye kalma Surah Kahaf mein hain, jaisa ke irshad baari taala hain (وَلَوْلَا إِذْ دَخَلْتَ جَنَّتَكَ قُلْتَ مَا شَاءَ اللَّـهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّـهِ)…aur jab tu apne baagh mein daakhil huwa to tune ye kyun na kaha jo Allah ne chaha, kuch quwwat nahi magar Allah ki madad ke saath. (Surah Al-Kahaf ayat 39)
-----
It is narrated on the authority of Abu Huraira (may Allah be pleased with him) that he said: The Prophet of Allah Sallallahu Alaihi wasallam said to me: O Abu Huraira! Shall I guide you to such a word, which is one of the treasures of heaven under the Throne? I said: Yes, my parents are a sacrifice to you. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: You say that there is no power except with Allah. Allah says in reply: My servant has become obedient and submissive. Amr RadiAllahu Anhu said to Abu Huraira RadiAllahu Anhu: There is no might and no power but that of Allah.. He said: No, this word is in Surah Al-Kahaf, (وَلَوْلَا إِذْ دَخَلْتَ جَنَّتَكَ قُلْتَ مَا شَاءَ اللَّـهُ لَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّـهِ)… And why did you not say this when you entered your garden? Whatever Allah wills, there is no power but with the help of Allah. (Surat Al-Kahaf: 39)
----
۔ سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: اللہ کے نبی نے مجھ سے فرمایا:  اے ابو ہریرہ! کیا میں ایسے کلمے پر تمہاری رہنمائی کروں، جو عرش کے نیچے جنت کے خزانوں میں سے ایک خزانہ ہے؟  میں نے کہا: جی ہاں، میرے ماں باپ آپ پر قربان ہوں، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  تمہار یہ کہنا کہ لَا قُوَّۃَ إِلَّا بِاللّٰہِ۔  ابو بلج راوی کہتے ہیں: میرا خیال ہے کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ اس کے جواب میں کہتا ہے: میرا بندہ مطیع اور فرمانبردار ہو گیا ہے۔  میں نے عمرو سے کہا: ابو بلج کہتے ہیں کہ عمرو نے کہا: میں نے سیدنا ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے کہا: لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّۃَ إِلَّا بِاللّٰہِ؟ انھوں نے کہا: نہیں، یہ کلمہ سورۂ کہف میں ہے، جیسا کہ ارشادِ باری تعالیٰ ہے:  {وَلَوْلَا إِذْ دَخَلْتَ جَنَّتَکَ قُلْتَ مَا شَائَ اللّٰہُ لَا قُوَّۃَ إِلَّا بِاللّٰہِ}…  اور جب تو اپنے باغ میں داخل ہوا تو تو نے یہ کیوں نہ کہا جو اللہ نے چاہا، کچھ قوت نہیں مگر اللہ کی مدد کے ساتھ۔  (سورۂ کہف: ۳۹) 
-----
Musnad Ahmed#5476-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...