Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 2 December 2020

Wo kaun log honge jo Jannat Al firdous mein hamesha rahenge?

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

jawab ek se ziyada hai

Sawal : Wo kaun log honge jo Jannat Al firdous mein hamesha rahenge?

A. Jo Zakat dete hain
B. Jo Sila rahmi karte hain
C. Jo faltu baato se dur rahte hain
D.  Jo apni zuban ki hifazat karte
E. Jo Namaz ki pabandi karte hain
F. Jo Amanat mein khayanat nahi karte
G. Jo wada khilafi nahi karte
H. Sahi jawba ka intezar hai
*********
Bismillahirahmanirrahim

✅ Sahi jawab-ACEFG 💐

قَدْ أَفْلَحَ الْمُؤْمِنُونَ
 Beshaq Imaan wale kamyab ho gaye
 
الَّذِينَ هُمْ فِي صَلَاتِهِمْ خَاشِعُونَ
Jo apni namaz main Aajizi karne wale hai
وَالَّذِينَ هُمْ عَنِ اللَّغْوِ مُعْرِضُونَ
Aur Jo behuda baaton se muh modne wale hai
 
وَالَّذِينَ هُمْ لِلزَّكَاةِ فَاعِلُونَ
Aur jo zakat dene wale hai
 
وَالَّذِينَ هُمْ لِفُرُوجِهِمْ حَافِظُونَ
 Aur Jo apni Sharamgah ki hifazat Karne wale hai
 
إِلَّا عَلَىٰ أَزْوَاجِهِمْ أَوْ مَا مَلَكَتْ أَيْمَانُهُمْ فَإِنَّهُمْ غَيْرُ مَلُومِينَ
Magar apni biwiyon ya  Gulam aurton par islye ke un main koi ilzam nahi
 
فَمَنِ ابْتَغَىٰ وَرَاءَ ذَ‌ٰلِكَ فَأُولَـٰئِكَ هُمُ الْعَادُونَ
Islye Jo Shaksh iss ke alawa talabgar ho to wahi hadd se nikalne wala hai
 وَالَّذِينَ هُمْ لِأَمَانَاتِهِمْ وَعَهْدِهِمْ رَاعُونَ
Aur jo apni aamanton aur apne wadon Ka lihaz rakhne wale hai

وَالَّذِينَ هُمْ عَلَىٰ صَلَوَاتِهِمْ يُحَافِظُونَ
Aur jo apni namazon ki hifazat Karte hai
 
أُولَـٰئِكَ هُمُ الْوَارِثُونَ
Wahi Warees hai
الَّذِينَ يَرِثُونَ الْفِرْدَوْسَ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ
Jo Jannat ul firdous ke Warees honge wo usmain hamesha rahne wale honge
Surah Al-Muminoon (23), 1-11

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...