Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 28 July 2020

in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo





Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
------------------------
✦ Hazrat Abdullah ibn umar Radi allahu anhuma se rivayat hai Rasoollallah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ke nazdeek koi amal itna mehboob aur ba-azmat nahi jitna wo amal hai jo in das dino ( yani Dhil Hija ke pahle 10 din ) mein kiya jaye , isliye tum in das dino mein zyada se zyada Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) padha karo
Masnad Ahmad, Vol 7 , 224
--------------------------
رسول اللہ صلی الله علیه وسلم نے فرمایا الله سبحان تعالیٰ​ کے نزدیک کوئی عمل اتنا محبوب اور با عزت نہیں جتنا وہ عمل ے جو ان دس دنوں (یعنی  ذی الحجہ کے پہلے دس دن ) میں کیے جائیں اسلیے تم ان دس دنوں میں زیادہ سے زیادہ تحلیل (لا إله إلا الله) تکبیر (الله اکبر) اور تمہید (الحمد لله) پڑھا کروں
مسند احمد جلد ۷ ۲۲۴ 
-----------------
✦ हज़रत अब्दुल्लाह इब्न उमर रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है रसूल अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु के नज़दीक कोई अमल इतना महबूब और अजमत वाला नही जितना वो अमल है जो इन दस दीनो ( यानी ज़ुल हिज्जा के पहले 10 दिन ) में किया जाए , इसलिए तुम इन दस दिनों में ज़्यादा से ज़्यादा तहलील (ला इलाहा इल अल्लाह ) तकबीर ( अल्लाहू अकबर) , और तमहीद (अल्हम्दुलिल्लाह) पढ़ा करो
मसनद अहमद, जिल्द 7 , 224
----------------------
✦Abdullaah ibn Umar (may Allaah be pleased with him) that the Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: “There are no days that are greater before Allaah or in which good deeds are more beloved to Him, than these ten days (of Dhul Hijja)), so recite a great deal of Tahleel (La ilaha illAllah) Takbeer ( Allahu AKbar) , aur tamheed (Alhamdulilah) during them.” 
Masnad Ahmad, Vol 7 Hadith: 224

Jis Hajj ke dauran Buland aawaz se Talbiya padhi jaye wo Hajj Afzal hai




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jis Hajj ke dauran Buland aawaz se Talbiya padhi jaye wo Hajj Afzal hai
----
Abu Bakr Siddique RadiAllahu Anhu kehte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya kaunsa Hajj Afzal hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis mein buland aawaz se Talbiya padha jaye aur qurbani ke janwaron ka khoon bahaya jaye.
---
ابو بكر صدیق‌رضی اللہ عنہ كہتے ہیں كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سےپوچھاگیا:كونسا حج افضل ہے؟آپ صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا:جس میں بلند آواز سے تلبیہ پڑھا جائے اور قربانی کے جانوروں کا خون بہایا جائے۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1547-Sahih

Allah ke raste mein Jihad, Hajj aur Umrah karne wale Allah Subhanahu ke mehman hai jinko Allah ne bulaya aur unhone Allah ka bulawa kabul kiya





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah ke raste mein Jihad, Hajj aur Umrah karne wale Allah Subhanahu ke mehman hai jinko Allah ne bulaya aur unhone Allah ka bulawa kabul kiya
----
Ibn Umar Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya Allah ki raah mein jihad karne wala , Hajj karne wala aur umrah karne wala Allah subhanahu ke mehman hain Allah subhanhu ne unko bulaya to wo hazir huye aur unhone Allah subhanahu se maanga to usne inko ata kiya gaya
----'
Sunan Ibn maja, Jild 2, 1050-Hasan
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما کہتے ہیں کہ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﮧ ﻋﻠﯿﮧ ﻭﺳﻠﻢ ﻧﮯ ﻓﺮﻣﺎﯾﺎ : ﺍﻟﻠﮧ ﮐﯽ ﺭﺍﮦ ﻣﯿﮟ ﺟﮩﺎﺩ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ، ﺣﺞ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﺍﻭﺭ ﻋﻤﺮﮦ ﮐﺮﻧﮯ ﻭﺍﻻ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﮐﺎ ﻣﮩﻤﺎﻥ ﮨﮯ، ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﻧﮯ ﺍﻥ ﮐﻮ ﺑﻼﯾﺎ ﺗﻮ ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﺣﺎﺿﺮﯼ ﺩﯼ، ﺍﻭﺭ ﺍﻧﮩﻮﮞ ﻧﮯ ﺍﻟﻠﮧ ﺗﻌﺎﻟﯽٰ ﺳﮯ ﻣﺎﻧﮕﺎ ﺗﻮ ﺍﺱ ﻧﮯ ﺍﻧﮩﯿﮟ ﻋﻄﺎ ﮐﯿﺎ
-----------------------
It was narrated from Ibn Umar Radi Allahu Anhu that the Prophet (ﷺ ) said “The one who fights in the cause of Allah, and the pilgrim performing Hajj and Umrah are a delegation to Allah (Guest of Allah). He invited them, so they responded to Him, and they ask Him and He gives to them.”
----
Sunan Ibn Maja,Book-25,2893-Hasan

Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat








Bismillahirahmanirrahim

Surah Al-Baqarah ki aakhri do aayato ki fazilat
-----
✦ Abdullah ibn masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, Vol 6, 5009 
------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ
------
✦  Al Quran : Rasool (sallallahu alaihi wasallam) imaan le aaye jo kuch un par unke RAB ki taraf se nazil hua aur momeen bhi
sab imaan rakhte hain Allah par aur uske farishton par aur uski kitabon par aur uske Rasoolo par , (aur kahte hain ki) hum uske Rasoolo mein se kisi mein kuch farq nahi karte aur kahte hain ki humne suna aur qubul kiya , Eh hamare RAB hum teri bakhshis chahte hain aur teri hi taraf laut kar aana hai.
✦  ALLAH Subhanahu kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga 
✦ Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , 
✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , 
✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, 
✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. 
✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
------
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286

*****************

Bismillahirrahmanirraheem

--------
✦  The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said, "If somebody recited the last two Verses of Surat Al-Baqara at night,that will be sufficient for him.(it means he will be protected from all kind of evils in that night)
Sahih Bukhari, Vol. 6, Book 61, Hadith 530
------
آمَنَ الرَّسُولُ بِمَا أُنزِلَ إِلَيْهِ مِن رَّبِّهِ وَالْمُؤْمِنُونَ  كُلٌّ آمَنَ بِاللَّهِ وَمَلَائِكَتِهِ وَكُتُبِهِ وَرُسُلِهِ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍ مِّن رُّسُلِهِ وَقَالُوا سَمِعْنَا وَأَطَعْنَا غُفْرَانَكَ رَبَّنَا وَإِلَيْكَ الْمَصِيرُ

لَا يُكَلِّفُ اللَّهُ نَفْسًا إِلَّا وُسْعَهَا لَهَا مَا كَسَبَتْ وَعَلَيْهَا مَا اكْتَسَبَتْ  رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَاأَوْ أَخْطَأْنَا رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا، رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِه،ِ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ،أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ
------
✦  Al Quran : The Messenger (Muhammad sallallahu alaihi wasallam ) believes in what has been sent down to him from his Lord, and (so do) the believers. Each one believes in Allah, His Angels, His Books, and His Messengers. (They say), We make no distinction between one another of His Messengers" - and they say, We hear, and we obey. (We seek) Your Forgiveness, our Lord, and to You is the return (of all).
✦ Allah burdens not a person beyond his scope. He gets reward for that (good) which he has earned, and he is punished for that (evil) which he has earned. 
✦ Our Lord ! Punish us not if we forget or fall into error, 
✦ Our Lord ! Lay not on us a burden like that which You did lay on those before us (Jews and Christians); 
✦ Our Lord ! Put not on us a burden greater than we have strength to bear. 
✦ Pardon us and grant us Forgiveness. Have mercy on us. 
✦ You are our Maula (Patron, Supporter and Protector, etc.) and give us victory over the disbelieving people. 
------
Surah Al-Baqara (2) Verse 285 - 286

Museebat aur pareshni ke waqt padhne ki dua





Bismillahirrahmanirrahim


✦ Museebat aur pareshni ke waqt padhne ki dua
-----------------------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam pareshaani (aur mushkil) ke waqt ye dua padhte

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ
وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏

✦ La ilaha illAllahul Azimul-Haleem, 
✦ La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-il-Azeem 
✦ La ilaha illAllahu Rabbus-samawati wa Rabbul ard 
✦ Wa Rabbul Arsh-il-kareem

Tarjuma : Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo badi azmat wala burdbar hai 
Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo bade arsh ka malik hai 
Koi sachcha mabud nahi siwa Allah ke jo malik hai aasman ka aur malik hai zameen ka 
Aur malik hai arsh ka jo ezzat wala hai. 
Sahih Muslim, Jild 6, 6921 
----------
ابن عباس رضی اللہ تعالیٰ عنہما سے روایت ہے کہ اللہ کے نبی صلی اللہ علیہ وسلم مصیبت (پریشانی) کے وقت  یہ دعا پڑھتے 

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ 
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏

اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں جو بڑھی عظمت والا بردبار  ہے عرش عظیم کے پروردگار کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں آسمانوں کے رب زمین کے رب اور عزت والے عرش کے رب اللہ کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں، پڑھتے۔
صحیح مسلم - جلد ٦-٦٩٢١ 
----------
इब्न अब्बास रदी अल्लाहू अन्हुमा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम परेशानी (और मुश्किल) के वक़्त ये दुआ पढ़ते

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ 
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏

✦ ला ईलाहा ईलअल्लाहुल अज़ीमुल-हलीम, 
✦ ला ईलाहा ईलअल्लाहुल रब्बुल अर्श-अल-अज़ीम 
✦ ला ईलाहा ईलअल्लाहु रब्बुस-समावती वा रब्बुल अर्द 
✦ वा रब्बुल अर्श-अल-करीम

तर्जुमा : कोई सच्चा माबूद नही सिवा अल्लाह के जो बड़ी अज़मत वाला बुर्दबार है 
कोई सच्चा माबूद नही सिवा अल्लाह के जो बड़े अर्श का मलिक है 
कोई सच्चा माबूद नही सिवा अल्लाह के जो मालिक है आसमान का और मालिक है ज़मीन का 
और मालिक है अर्श का जो  ईज्ज़त  वाला है. 
सही मुस्लिम, जिल्द 6, 6921
******************

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Dua to recite at the time of trouble
-----------------
The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam used to supplicate during the time of trouble (with these words):

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ الْعَظِيمُ الْحَلِيمُ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ الْعَرْشِ الْعَظِيمِ
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَرَبُّ الأَرْضِ
وَرَبُّ الْعَرْشِ الْكَرِيمِ‏‏
✦ La ilaha illAllahul Azimul-Haleem, 
✦ La ilaha illAllahul Rabbul Arsh-Al-Azeem 
✦ La ilaha illAllahu Rabbus-Samawati Wa Rabbul Ard 
✦ Wa Rabbul Arsh-il-kareem

Translation
✦ There is no god but Allah, the Great, The Tolerant, 
✦ There is no god but Allah, the Lord of the Magnificent Throne 
✦ There is no god but Allah, the Lord of the Heaven and the earth, 
✦ The Lord of the Edifying Throne.
Sahih Muslim, Book 35, 6582

Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai
-----
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Yaum E Arafa ke ilawa aisa koi din nahi jis mein Allah Subhanahu taala bandoh ki baddi tadaad ko Jahannum se azad karta ho. Allah Subhanahu qareeb hota hai, phir farishton par fakhar karta hai aur farmata hai yeh aur kya chahtay hain
-----
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یومِ عرفہ کےعلاوہ ایسا كوئی دن نہیں جس میں اللہ تعالیٰ بندوں کی بڑی تعداد كو جہنم سے آزاد كرتا ہو۔ اللہ قریب ہوتا ہے ،پھر فرشتوں پر فخر كرتا ہے اور فرماتا ہے: یہ اور كیا چاہتے ہیں؟
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1570-Sahih

Allah Subhanahu fariston ke samne kab faqr karte hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu fariston ke samne kab faqr karte hai

A: Jab banda apne achche aur bure takdeer per raazi hojata hai
B: Jab banda hikmat se kaam leta hai
C: Aazmaish mein jab banda sabr karta hai
D: Jab banda Allah se dua karta hai
E: Jab bande ka Hajj mukammal hojata hai
F: Yaum e Arafah ke din
G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*****************

Sahi Jawab - F✅

Yaum E Arafah ke din baddi tadad mein Allah Subhanahu logo ko Jahannum se azad karte hai

Reference📚
-----
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Yaum E Arafa ke ilawa aisa koi din nahi jis mein Allah Subhanahu taala bandoh ki baddi tadaad ko Jahannum se azad karta ho. Allah Subhanahu qareeb hota hai, phir farishton par fakhar karta hai aur farmata hai yeh aur kya chahtay hain
-----
عائشہ رضی اللہ عنہا  سے مروی ہے كہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یومِ عرفہ کےعلاوہ ایسا كوئی دن نہیں جس میں اللہ تعالیٰ بندوں کی بڑی تعداد كو جہنم سے آزاد كرتا ہو۔ اللہ قریب ہوتا ہے ،پھر فرشتوں پر فخر كرتا ہے اور فرماتا ہے: یہ اور كیا چاہتے ہیں؟
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1570-Sahih

Inmein se sabse ziyada hurmat wala kya hai ya kaun hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se sabse ziyada hurmat wala kya hai ya kaun hain

A: Kaba
B: Hajre aswad
C: Momeen
D: Safa
E: Marwa
F: Mazlum
G: Koh e toor
H: Inmein se koi nahi 

I: Sahi jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye

******
Sahi Jawab - C✅

Allah Subahnahu ke nazdeek sabse ziyada hurmat wala Momeen hain

Reference📚:
------
Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hain Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam ne kabe ki tarf Dekha toh farmaye iss Ghar Ko Marhaba tum kitne Azeem aur tumari hurmat kitni Azeem hain Jab ke Allah Subhanahu Ke Nazdik Momeen tumse bhi zyada hurmat wala hain Allah Subhanahu ne tumari ek Cheez haram ki aur Momeen ki teen cheezein haram kiye uska Khoon, uska Maal, aur Uske bare Mai Bura guman
----
Narretd by Abdullah bin Abbas Radi Allahu Anhu Once  Rasool-Allah Sal-Allahu Alahai Wasallam looked at the kaba and said How delightful you are,  How magnificent you are, and how great is your sanctity ! But in the sight of Allah subhanahu  the sanctity of a believer is greater than your sanctity.
Verily, Allah sanctified your one thing but He sanctified the three thing of the believer, his blood, his wealth, and to assume evil about him.
----
Al-Silsila-As-Sahiha  # 3572-Sahih

Sunday, 26 July 2020

Apne RABB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo





Bismillahirrahmanirrahim

فَصَلِّ لِرَبِّكَ وَانْحَرْ
-----------
Apne RABB ke liye namaz parha karo aur Qurbani kiya karo
------------
اپنے رب کے لیے نماز پڑھا کرو اور قربانی کیا کرو 
------------
अपने रब के लिए नमाज़ पढ़ा करो और क़ुर्बानी किया करो
------------
Pray to your Lord and sacrifice (to Him alone).
-------------
Surah Al-Kauther (108:02)

Hajj aur Umrah baar baar karne wale ke liye mohtaji aur gunah khatam karne ka zariya ban jati hai




Bismillahirrahmnnirrahim

Hadith: Hajj aur Umrah baar baar karne wale ke liye mohtaji aur gunah khatam karne ka zariya ban jati hai
-----
Aap Sallallahu Alaihi wasallan ne farmaya Hajj aur Umrah baar baar karo kuyke mohtaji aur gunah is terhan khatam kar deta hain jis tarhan Bhatti lohay ka zang khatam kar deti hai.
----
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:حج اورعمرہ بار باركرو كیوں كہ یہ محتاجی اورگناہ اس طرح ختم كر دیتے ہیں جس طرح بھٹی لوہےكا زنگ ختم كر دیتی ہے۔ یہ حدیث عبداللہ بن عباس، عبداللہ بن مسعود، عبداللہ بن عمر، عمر بن خطاب اور جابر بن عبداللہ رضی اللہ عنہم سے مروی ہے۔ 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1545-Sahih

Jumme ke din Surah Ale Imran padhne wale ke liye raat tak faristey rehmat ki duwae karte rehte hai





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jumme ke din Surah Ale Imran padhne wale ke liye raat tak faristey rehmat ki duwae karte rehte hai
------
Makhul bayan karte hai jo shaqs Jumme ke roz Surah Ale Imran padhta hai toh raat tak Faristey iss ke liye Rehmat ki duwae karte rehte hai
-----
مکحول بیان کرتے ہیں ، جو شخص جمعہ کے روز سورۂ آل عمران پڑھتا ہے تو رات تک فرشتے اس کے لیے رحمت کی دعائیں کرتے رہتے ہیں
------ 
Mishkat ul Masabeeh#2172-Sahih

3 martaba Astagfar padhne ki fazilat



Bismillahirrahmannirraim

Hadith: 3 martaba Astagfar padhne ki fazilat
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jis shakhs ne teen (3) martaba ye kaha to is ke gunah maaf kar diye jate hain agarche woh lashkar se mafroor ho (yani Maidan e jung se bhag gaya ho)

أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ

Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih

Tarjuma: Main Allah se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi, Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu
Al-Silsila-tus-Sahiha#2965-Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جس شخص نے کہا: 
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
میں اللہ سے اپنے گناہوں کی معافی مانگتا ہوں جس کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں جو زندہ اور ہمیشہ رہنے والا ہے اور میں اسی کی طرف رجوع کرتا ہوں ،تین مرتبہ کہا تو اس کے گناہ معاف کر دیئے جاتے ہیں۔ اگرچہ وہ لشکر سے مفرور ہو یعنی میدان جنگ سے بھاگ گیا ہوں
-----
Bismillahirrahmannirraim

Hadith: The Virtue of saying Astagfar (3 times)

The RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said: If anyone of you says these words three times his sins will be forgiven, even if he has run away in the time of the battle.
-----
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ

Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih

I seek the forgiveness of Allah the Almighty, Whom there is no god except him, The Living, The Eternal, and I repent unto Him
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2965-Sahih


 

Saturday, 25 July 2020

Jannat wajib karne wala Surah









Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jannat wajib karne wala Surah
---‐---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat haibke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne ek aadmi ko Surah Ikhlas padhte huwe suna to farmaya :' ' Wajib ho gayi.' ' Mein neh arz kiya, kya Wajib ho gayi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :' "Jannat"

❗Ek baar sabhi Surah Al Ikhlas padh lijiye

بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
------
Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him. 
Surah Al-ikhlas (112)
------
ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ نبی صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے ایک آدمی کو سورۂ اخلاص پڑھتے ہوئے سنا تو فرمایا :’’ واجب ہو گئی ۔‘‘ میں نے عرض کیا : کیا واجب ہو گئی ؟ آپ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جنت ۔‘‘      ، رواہ مالک و الترمذی و النسائی ۔ 
-----
Mishkat ul Masabeeh#2160-Sahih

Kaun sa amal ke liye farmaya gaya hai ke yh mohtaji aur gunah ko khatam kar deta hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaun sa amal ke liye farmaya gaya hai ke yh mohtaji aur gunah ko khatam kar deta hai

A: Tangi ke bawajud Sadqa karne se
B: Hajj aur Umrah karne se
C: pancho Namaz ki hifazat karne se
D: Yawm E Arafat ke din roza rakhna
E: Quran ki tilawat karna
F: SubhanAllah Alhamdulillah Laa Ilaha IllAllah Allah Akbar kehna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

************

Sahi Jawab -B✅

Hajj aur Umrah baar baar karne wale ke liye mohtaji aur gunah khatam karne ka zariya ban jati hai

Reference📚:
-----
Aap Sallallahu Alaihi wasallan ne farmaya Hajj aur Umrah baar baar karo kuyke mohtaji aur gunah is terhan khatam kar deta hain jis tarhan Bhatti lohay ka zang khatam kar deti hai.
----
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:حج اورعمرہ بار باركرو كیوں كہ یہ محتاجی اورگناہ اس طرح ختم كر دیتے ہیں جس طرح بھٹی لوہےكا زنگ ختم كر دیتی ہے۔ یہ حدیث عبداللہ بن عباس، عبداللہ بن مسعود، عبداللہ بن عمر، عمر بن خطاب اور جابر بن عبداللہ رضی اللہ عنہم سے مروی ہے۔ 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1545-Sahih

Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai goya wo aisa hai jaise dusro ki matta (jaidad) per nazar lagaye huwe hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai goya wo aisa hai jaise dusro ki matta (jaidad) per nazar lagaye huwe hai

A: joh dusre ke maal per hasad kare
B: dhikhawe ke liye sadqa khairat karne wala
C: Jis Ilm se Fahida hasil nahi kiya jaata
D: dhikhawe ke liye masjid jane wale
E: logo mein mehboob bannane ke liye amal karne wale
F: jo apne taqdeer per sabr na kare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar jawab G hai toh sahi jawab likhiye

******************

Sahi Jawab - G✅

Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki Masjid (Nabwi) mein sirf khair (ilm deen) seekhne ya sikahne ke liye jane wala shaqs Allah Subhanahu ke rasta mein Jihaad karne ka darjah hasil karta hai

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs meri is masjid (yani Masjid Nabwi) mein sirf khair (ilm deen) seekhne ya sikahne ke liye aaye toh woh Allah Subhanahu ta'ala ke rasta mein Jihaad karne wale ke darjah mein hai, aur jo is ke ilawa kisi aur maqsad ke liye aaye to woh is shakhs ke darjah mein hai jis ki nazar dusaron ki Mataa (property) par lagi hoti hai
-----
It was narrated that Abu Hurairah said:
 I heard the Messenger of Allah say: 'Whoever comes to this mosque of mine, and only comes for a good purpose, such as to learn or to teach, his status is like that of one who fights in Jihad in the cause of Allah. Whoever comes for any other purpose, his status is that of a man who is keeping an eye on other people's property.' 
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  جو شخص میری اس مسجد میں صرف خیر  ( علم دین )  سیکھنے یا سکھانے کے لیے آئے تو وہ اللہ تعالیٰ کے راستہ میں جہاد کرنے والے کے درجہ میں ہے، اور جو اس کے علاوہ کسی اور مقصد کے لیے آئے تو وہ اس شخص کے درجہ میں ہے جس کی نظر دوسروں کی متاع پر لگی ہوتی ہے
-----
Sunnan e Ibn e Maja#227-Sahih

Allah Subhanahu kis ke bikhare huwe kaam samaitt deta hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah Subhanahu kis ke bikhare huwe kaam samaitt deta hai

A: Jo duniya aur akhirat ki khair mangta hai
B: Jo deen e ilm ko apna maqsad bana leta hai
C: Jo neik kaam mein pehal karta hai
D: Jo Tahhajud ki namaz pabandi se adda karta hai
E: Jis shaqs ka maqsad akhirat ki behtari ho
F: Jo logo ko khair aur bhalayi ki baate shikhaye
G: Inmein se koi nahi 

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*************

Sahi Jawab - E✅

Akhirat ki behtari jis ka maqsad ban jata hai Allah Subhanahu uske bikhare huwe kaam samaitt deta hai

Reference📚:
-----
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke jis shakhs ka Maqsad akhirat ki behtari ho Allah taala is ke dil mein Ghana rakh deta hai, is ke bikhare huwe kam samaitt deta hai, aur duniya zaleel ho kar is ke paas aati hai. aur jis shakhs ka maqsad sirf duniya kamana ho Allah taala is ke aankhon ke darmiyan mohtaji rakh deta hai, is ke kam bighad deta hai, aur duniya se usay itni he millti hai jitna is ka muqaddar hai
----
انس‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: جس شخص كا مقصد آخرت كی بہتری ہو اللہ تعالیٰ اس كے دل میں غنا ركھ دیتا ہے، اس كےبكھرے ہوئے كام سمیٹ دیتا ہے ، اور دنیا ذلیل ہو كر اس كے پاس آتی ہے۔ اور جس شخص كا مقصد صرف دنیا كمانا ہو اللہ تعالیٰ اس كی آنكھوں كے درمیان محتاجی ركھ دیتا ہے، اس كے كام بكھیر دیتا ہے ، اور دنیا سے اسے اتنی ہی ملتی ہے جتنا اس كا مقدر ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1407-Sahih

Momeen apne app ko kis terhan zaleel karta hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Momeen apne app ko kis terhan zaleel karta hai

A: ek dusre ki jasusi karke
B: miya biwi ke darmiyan ladayi karwa ke
C: har baat mein jhoot kehne se
D: haq ka inkaar karne se
E: khud ko aisi azmaish mein dalna jiski taaqat na rakhta ho
F: Takkabur karne se aur dusro ko haqeer samajne se
G: khud ko dusro se afzal samjhna 
H: Inmein se koi nahi

i: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab H hai toh sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - E✅

Momeen ke liye layaq nahi ke woh apne app ko zaleel kare...

Reference📚:
----
Huzaifa RadiAllahu Anhu sr riwayat hai ke Momin ke liye Layaq nahi ki woh apne aap ko zaleel kare sahaba ne kaha woh apne aap ko zaleel kis terhan katta hai? Aap ne farmaya : aisi azmaish ke darpay hojata hai jis ki taaqat nahi rakhta
-----
حذیفہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: مومن كے لئے لائق نہیں كہ وہ اپنے آپ كو ذلیل كرے۔ صحابہ نے كہا: وہ اپنے آپ كو ذلیل كس طرح كرتا ہے؟ آپ نے فرمایا: ایسی آزمائش كے درپے ہو جاتا ہے جس كی طاقت نہیں ركھتا
----'
Al-Silsila-tus-Sahiha#1422-Sahih

Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen




Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua
-------
Saad RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhe aisee dua na sikhauu ke jab tum mein se kisi shakhs ko koi takleef ya duniya ki koi aazmayeesh pahunche aur woh yeh dua kare to is ki pareshani dur ho jaye? Aap Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya gaya kyun nahi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Machhli wale (Yuuns Alaihi Salam) ki dua hai:
لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
Eh Allah tere siwa koi ibadat ke layaq nahi, tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
Al Silsila As sahiha 2784-Sahih
------
سعد رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ ہم نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کے پاس بیٹھے ہوئے تھے آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا میں تمہیں ایسی دعا نہ بتاؤں کہ جب تم میں سے کسی شخص کو کوئی تکلیف یا دنیا کی کوئی آزمائش پہنچے اور وہ یہ دعا کرے تو اس کی پریشانی دور ہو جائے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے عرض کیا گیا: کیوں نہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مچھلی والے (یونس علیہ السلام) کی دعا ہے: (لا الٰہ الاّ أنت سبحٰنک انی کنت من الظلمین) اے اللہ تیرے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں تو پاک ہے اور بے شرمی قصوروار ہوئے۔
-----
Hadith: Dua to be recited at the time of distress, difficulties or calamities
-------
Narrated by Saad Radi Allahu Anhu that the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said shall I not teach you a supplication which anybody recite in any distress, difficulties or calamities it will be removed ? 
he said yes (teach me) The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said it is the dua of Dhun-Nun (Yunus Alaihi salam) 
لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
None has the right to be worshipped but You , Glorified be You ! Truly, I have been of the wrong-doers.
------
Al Silsila As sahiha 2784-Sahih


 

Hum ne tumhe paida kiya to tum kyun nahi sach mantey







Bismillahirrahmannirrahim

*نَحْنُ خَلَقْنَاكُمْ فَلَوْلَا تُصَدِّقُونَ *
----
Hum ne tumhe paida kiya to tum kyun nahi sach mantey
----
ہم نے تمہیں پیدا کیا تو تم کیوں نہیں سچ مانتے
----
We have created you, so why do you not believe?
----
Surah Al Waqi'a: (56:57)

Takbeer















Bismillahirrahmanirrahim

✦ Takbeer
------
اَللهُ أَكْبَرُ ، اَللهُ أَكْبَرُ، اَللهُ أَكْبَرُ
لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ
اللهُ أَكْبَرُ، اَللهُ أَكْبَرُ، وَلِلَّهِ الْحَمْدُ
-------
✦ Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar
Laa ilaaha ill-Allah,
Allahu Akbar, Allah Akbar, wa Lillaah il-hamd
-------
✦ Allah bahut bada hai, Allah bahut bada hai,Allah bahut bada hai
Allah ke siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi,
Allah sabse bada hai aur uske liye bahut zyada tarefein hain
----------
اللہ بہت بڑا ہے، اللہ بہت بڑا ہے، اللہ بہت بڑا ہے،
اللہ کے سوا کوئی معبود نہیں ہے، 
اللہ بہت بڑا ہے، اللہ بہت بڑا ہے، اور تمام تعریفیں اللہ کیلیے ہیں
---------------
✦ Allah is Most Great, Allah is most Great, Allah is most Great
there is no god but Allah,
Allah is Most great, Allah is most great, and to Allah be praise

La ilaha ilAllah ki fazilat




Bismillahirrahmannirahim

Hadith: La ilaha ilAllah ki fazilat
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko yh farmate huwe suna mein Ek aisa kalma jaanta hu ke jo aadmi dil ki sachaai ke saath is ko kahega, woh aag ke haq mein haraam ho jayega. yeh sun kar Sayedna Umar RadiAllahu Anhu ne kaha mein batlata hu ke woh kalma kaunsa hai, woh toh woh kalma Ikhlaas hai ke Allah taala ne jis ke zariye hazrat Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam aur Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba ko izzat bakhshi, woh kalma taqwa hai jo Allah ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne apne chacha Abu Taalib ki maut ke waqt is par paish kiya tha aur woh hai Laa Illaha Illallaha ki shahadat dena
--------
سیدنا عثمان بن عفانؓ سے یہ بھی مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کو یہ فرماتے ہوئے سنا:  میں ایک ایسا کلمہ جانتا ہوں کہ جو آدمی دل کی سچائی کے ساتھ اس کو کہے گا، وہ آگ کے حق میں حرام ہو جائے گا۔  یہ سن کر سیدناعمرؓ نے کہا: میں بتلاتا ہوں کہ وہ کلمہ کون سا ہے، وہ تو وہ کلمہ اخلاص ہے کہ اللہ تعالیٰ نے جس کے ذریعے حضرت محمد  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ اور آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ کے صحابہ کو عزت بخشی، وہ کلمۂ تقوی ہے جو اللہ کے نبی  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ‌ نے اپنے چچا ابو طالب کی موت کے وقت اس پر پیش کیا تھا اور وہ ہے  لَا إِلٰہَ إلَّا اللّٰہُ  کی شہادت دینا۔ 
---------
Musnad Ahmed#38-Sahih
------
Rasool Allah sallallahu  Alaihi wasallam ne farmaya : Baaqiyat salihaat ka bahut zyadah zikr kiya karo.kisi ne kaha  Eh Allah ke Rasool ! Wo kya hai ? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Al-Millat (Deen)
Kisi ne kaha Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam wo kya hai ? Aapne farmaya : Al-Millat (Deen)
Kisi ne kaha Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam  wo kya hai? Aapne farmaya: Al-Millat (Deen)
Kisi na jaha Ya RasoolAllah Sallallahu alaihi wasallam  wo kya hai ? Aapne farmaya: Takbir (Allahu Akbar), Tehlil (La ilaha illAllah), Tasbeeh (SubhanAllah), Tehmeed (Alhamdulillah) aur La Hawla wa La Quwwata illa Billah
---
Musnad Ahmed -5448-Sahih

Juma ki raat surah Al-kahaf padhni ki fazilat




Bismillahirrahmannirrahim

Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat
----
Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Juma ki raat Surah Kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan Noor ki roshni ho jati hain
 (Note: Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hain)

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan
----
ابوسعید خدری رضي اللہ تعالی عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جس نے جمعہ کی رات سورۃ الکھف پڑھی اس کے اور بیت اللہ کے درمیان نورکی روشنی ہوجاتی ہے
------
Narrated by Abu Saeed Al-Khudri RadiAllahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said whoever reads Surah Al Kahaf on the night of Friday, will have a light that will stretch between him and the Ancient House (The Kabah).

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan

Allahumma Salli Ala Muhammed





Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

✦ Allahumma Salli Ala Muhammed
----
✦ Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par 
--------
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر 
-------
✦ एह अल्लाह रहमत नाज़िल फरमा मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  पर
-----
✦ Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Jab tak Banda Durud padhta hai Farishtein Uske liye rahamt ki duayein Karte rahte hai






Bismillahirrahmanirrahim

✦Mafhum e Hadith: Jab tak Banda Durud padhta hai Farishtein Uske liye rahamt ki duayein Karte rahte hai
------
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا

✦ Al Quran : Beshak Allah subhanahu aur uske farishte Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur salam bheja karo. 
Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

✦Amir bin Rabia Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi mujh par durud bhejta hai to farishte us waqt tak uske liye rahmat ki duayein karte rahte hain jab tak wo mujh par durud padhta rahta hai , ab bande ki marzi Hain ke wo kam padhe ya zyada.
Masnad Ahmed Hadees # 5715-Sahih
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed
--------------
القرآن:بیشک اللہ اور ا س کے فرشتے نبیِ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم پر درود بھیجتے رہتے ہیں ، اے ایمان والو! تم ( بھی ) اُن پر درود اور سلام بھیجا کرو
سورة الا حزاب(۳۳) آیت ٥٦ 

  عامر بن ربیعہ  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے  روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا جب کوئی مجھ پر  درود  بھیجتا ہے تو فرشتے اس وقت تک اس کے لیے  رحمت کی  دعائے کرتے رہتے ہیں  جب تک وہ مجھ پر درود پڑھتارہتا ہے  اب بندے کی مرضی ہے کہ وہ کم پڑھے یا زیادہ۔ 
مسند احمد ۵۷۱۵ صحیح
اللَّهُمَّ صل على مُحمد و على آل محمد
--------------
✦ अल कुरान : बेशक अल्लाह सुबहानहु और उसके फ़रिश्ते नबी सल अल्लाहु अलैहि वसल्लम पर दुरुद भेजते हैं , एह ईमान वालो तुम भी उन पर दुरुद और सलाम भेजा करो 
सुरह अल-अहज़ाब (33) , आयत 56

✦ रसूल -अल्लाह सल्लल्लाहु अलहै  वसल्लम ने फ़रमाया जब कोई मुझ पर दुरुद भेजता है तो  फ़रिश्ते उस वक़्त तक उसके लिए रहमत की दुआएं करते रहते हैं जब तक वो मुझ पर दुरुद पढता रहता है अब बन्दे की मर्ज़ी हैं के वो कम पढ़े या ज़्यादा 
मसनद  अहमद  हदीस  # 5715-सही
✦ अल्लाहुम्मा सल्ली अला  मुहम्मद वा आली मुहम्मद
----------
✦Al Quran : Verily ! Allah and His angels send blessings on the Prophet ( Sallallahu Alaihi Wasallam): O you who believe! Send your blessings on him, and salute him with all respect. 
Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

✦ Narrated by Amir bin Rabia radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam said the angels will continue  send blessing for the one who send blessing on me, as long as he continues to do so, now its up to the the servant, either he reduce or increase this. 
Masnad Ahmed Hadees # 5715-Sahih
✦ Allahumma Salli Ala  Muhammed Wa Aali Muhammed

Toh kya tumhe nahi maloom ke Allah dekh raha hai






Bismillahirrahmannirrahim

أَلَمْ يَعْلَم بِأَنَّ اللَّـهَ يَرَىٰ 
----
Toh kya tumhe nahi maloom ke Allah dekh raha hai
----
تو کیا تمہیں نہیں معلوم کہ اللہ دیکھ رہا ہے
----
Does he not know that Allah sees everything? 
----
Surah Al Alaq: (96:14)

Momeen ki madad karne wale ko qayamat ke din Allah Subhanahu izzat ka libaas pehnayege




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Momeen ki madad karne wale ko qayamat ke din Allah Subhanahu izzat ka libaas pehnayege
---------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi momeen kisi museebat mein apne momeen bhai ko tasalli (madad) deta hai is se taaziyat karta hai toh Allah Subhanahu Ta’aala Qayamat ke din use izzat ka libaas pehnayega.
-------
محمد بن عمرو بن حزم رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے كہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جو كوئی مومن كسی مصیبت میں اپنے مومن بھائی كو تسلی(مدد) دیتا ہے اس سے تعزیت کرتا ہے  تو اللہ تعالیٰ قیامت كے دن اسے عزت كا لباس پہنائے گا۔
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3305-Sahih

Kisi cheez ke nuqsan ya naimat ke chale jane par padhne ki dua




Bismillahirahmanirrahim 

✦ Kisi cheez ke nuqsan ya naimat ke chale jane par padhne ki dua 
-------------------------
✦ Umm Salma (Hind bint Abu Umayya) Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Agar koi musalman jisko koi museebat pahuche aur wo ye kahe jiska Allah subhanahu ne usko hukm farmaya 

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
inna Lillahi Wa inna ilahi rajeuun , Allahumma Ajurni fi Musibati Wa Akhlifli Khairam Minha
Tarjuma : Beshak hum Allah ke hain aur Usee ki taraf laut kar jane wale hain ,Eh Allah mujhe meri museebat par ajar de aur mujhe is se behtar naimat ata farma
 to Allah subhanahu usko (zaya naimat se) behtar naimat ata farma dega 

Umm salma Radi Allahu Anha farmati hain ki jab (unke shohar) Abu Salma Radi Allahu Anhu ki wafat ho gayee to maine (dil mein) socha ki kaunsa musalman Abu Salma Radi Allahu Anhu se behtar ho sakta hai wo pahla gharana hai jisne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki taraf hijrat ki phir maine ye dua padhi to Allah subhanahu ne mujhe Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki surat mein us naimat ka badal ata farmaya aur Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne Hatib bin Abu batla Radi Allahu Anhu ko mere paas unke nikah ka paigam dekar bheja 
Sahih Muslim, Jild 2, 2126 
-------------------------
حضرت ام سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا سے روایت کی،انھوں نے کہا:میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو فرماتے ہوئے سنا: کوئی مسلمان جسے مصیبت پہنچے اور وہ ( وہی کچھ ) کہے جس کا اللہ نے اسے حکم دیا ہے:

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏
بےشک ہم اللہ کے ہیں اور اسی کی طرف لوٹنے والے ہیں،اے اللہ!مجھے میری مصیبت پر اجر دے اور مجھے ( اس کا ) اس سے بہتر بدل عطا فرما
تو اللہ تعالیٰ اسے اس ( ضائع شدہ چیز ) کا بہتر بدل عطا فرمادیتا ہے۔

( ام سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہا نے ) کہا:جب ( میرے خاوند ) ابو سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ فوت ہوگئے تو میں نے ( دل میں ) کہا:کون سا مسلمان ابو سلمہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے بہتر ( ہوسکتا ) ہے!وہ پہلا گھرانہ ہے جس نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی طرف ہجرت کی۔پھر میں نے وہ ( کلمات ) کہےتو اللہ تعالیٰ نے مجھے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی صورت میں اس کا بدل عطا فرما دیا ،کہا:رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے لئے نکاح کا پیغام دیتے ہوئے حاطب بن ابی بلتعہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ کو میرے پا س بھیجا ۔
صحیح مسلم جلد ٢ ، ٢١٢٦ 
-------------------------
✦ उम्म सलमा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अगर कोई मुसलमान जिसको कोई मुसीबत पहुचे और वो ये कहे जिसका अल्लाह सुबहानहु ने उसको हुक्म फरमाया 

إِنَّا لِلَّهِ وَإِنَّا إِلَيْهِ رَاجِعُونَ اللَّهُمَّ أْجُرْنِي فِي مُصِيبَتِي وَأَخْلِفْ لِي خَيْرًا مِنْهَا ‏

इन्नालिल्लाहि वा इन्ना ईलयही राजिऊन ,
अल्लाहुम्मा अजुरनी फ़ि मुसीबाती वा अखलिफली खैरम मिन्हा 
बेशक हम अल्लाह के हैं और उसी की तरफ लौट कर जाने वाले हैं ,एह अल्लाह मुझे मेरी मुसीबत पर अजर दे और मुझे इस से बेहतर नैमत आता फरमा 

तो अल्लाह सुबहानहु उसको (ज़ाया नैमत से) बेहतर नैमत अता फरमा देगा 
उम्म सलमा रदी अल्लाहू अन्हा फरमाती है की जब (उनके शोहर) अबू सलमा रदी अल्लाहू अन्हु की वफात हो गयी तो मैने (दिल में) सोचा की कौनसा मुसलमान अबू सलमा रदी अल्लाहू अन्हु से बेहतर हो सकता है वो पहला घराना है जिसने रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की तरफ हिजरत की फिर मैने ये दुआ पढ़ी तो अल्लाह सुबहानहु ने मुझे रसूल-अल्लाह साल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की सूरत में उस नैमत का बदल अता फरमाया और रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने हतिब बिन अबू बतला रदी अल्लाहू अन्हु को मेरे पास उनके निकाह का पैगाम देकर भेजा 
सही मुस्लिम, जिल्द 2, 2126

Jo is dua ko subah sham padhega to Allah subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge




Bismillahirrahmannirrahim

Jo is dua ko subah sham padhega toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko jarur khush farma denge
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo bhi Musalman Ya Insaan (ya banda) Subah Sham yh kalimat kahe

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
Radaitu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan 

Toh Allah Subhanahu Qayamat ke din usko zarur khush farma denge

Tarjumah: Main raazi hu Allah ke RABB hone par, aur Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam ke NABI hone par

Sunan Ibn Majah, Jild3, 751- Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870-Hasan
-----------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب کوئی مسلمان یا کوئی آدمی یا کوئی بندہ صبح و شام یہ کہتا ہے 
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
میں راضی ہوں اللہ کے رب ہونے، اسلام کے دین ہونے، اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم کے نبی ہونے سے تو اللہ تعالیٰ قیامت کے دن اس کو ضرور خوش فرما دینگے 
-----
Hadith: The one who says below dua in the morning and evening he will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection
-----
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: "Any Muslim or Any person or Any slave (of Allah) who says in the morning and evening
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا
Radaitu billahi Rabban wa bil-islami dinan wa bi Muhammadin Nabiyyan

I am Happy with Allah as my Lord, Islam as my Religion and Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam as my Prophet. 
"He will have a promise from Allah to make him pleased on the Day of Resurrection"
 
Sunan Ibn Maja, Book 34, 3870- Hasan
Sahih Ibn Hibban, 870

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...