Bismillahirrahmanirrahim
Har haal mein Alhamdulillah
---------------
1. RasoolAllah ﷺ ne farmaya jo koi dil se
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Alhamdulillahi Rabbil Aalamin kahega (yani zuban ke saath dil se bhi iska yakeen ho ki Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai) to uske liye 30 nekiya likhi jayegi aur 30 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 7813-Sahih,
-----------
2. Alhumdulillah الْحَمْدُ لِلَّهِ kahne se meezan bhar jata hai
الْحَمْدُ لِلَّهِ
Alhumdulillah
--------
Tamam tarife Allah ke liye hain
Sunan ibn Majah, Vol 1, 280-Sahih
--------------
3. Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab koi aisee cheez ya aisa kaam dekhte jo aap ko pasand na ho to farmate
اَلْحَمْدُ لِلهِ عَلَى كُلِّ حَالٍ
Al-Hamdu Lillah Ala Kulli Haal
Har haal mein Allah subhanahu ka shukr hai
Al-Silsila As Sahiha, 2887-Sahih
No comments:
Post a Comment