Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 8 March 2020

Ek baar ek Nabi Alahi salam bait Al Muqqadas ke tamer se farigh hone ke baad Allah Subhanahu se kuch cheese maangi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai aur dusre sawal mein jawab ek se ziyada hain!

Ek baar ek Nabi Alahi salam bait Al Muqqadas ke tamer se farigh hone ke baad Allah Subhanahu se kuch cheese maangi

Sawal1: Wo Nabi Alaihi Salam kaun thy?

A: Ismaiel Alaihi Salam
B: Isa Alaihi Salam
C: Ibrahim Alaihi Salam
D: Sulaiman Alaihi Salam
E: Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wa Sallam
F: Ayyub Alaihi Salam
G: Inmein se koi nahi

Sawal2: un Nabi Alaihi Salam ne Allah Subhanahu se kaun kaun si dua mangi thi?

A: jab muqadmaat mein jo faisla kare wo Allah Subhanahu ke faisle ke mutabiq ho
B: bait Al Muqqadas mein hijraat karna aur waha kabhi faaqa yh gareebi na ho
C: wo Allah se aisi hukumat ki dua kiye ke unke baad aisi hukumat kisi ko bhi na mile
D: unki aulaad mein se bhi ek Nabi behjna 
E: joh shaqs is ummeed se bait al muqaddas aaye ke uski niyat srif namaz padhna ho toh wo gunaho se aisa paak hoga jaisay is din tha jis din is ki maa ne is ko jana tha
F: unke qaum bait al muqaddis ke tameer ke baad buttoh ki pooja na kare
G: unke qaum ke logo ki jahalat ko maaf kar diya jaaye

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab : D/ACE✅

Reference📚:
-----
Nabi Akram Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab Sulaiman bin Dawud Alahi Salam bait Al Muqqadas ki taamer se farigh huwe, to unhon ne Allah Subhanahu taala se teen cheeze mangeen, ek to yeh ke mein muqadmaat mein jo faisla karoon, woh tere faislay ke mutabiq ho, dosray mujh ko aisi hukoomat de ke mere baad phir waisi hukoomat kisi ko nah miley, teesray yeh ke jo koi is masjid mein sirf namaz he ke iraday se aaye woh apne gunaaho se aisa paak ho jaye jaisay is din tha jis din is ki maa ne is ko jana tha, Nabi Akram Salallahu Alaihi Wasallam ne farmaya do baate to Allah Subahnahu taala ne Sulaiman Alaihi salam ko ataa farmaen, Mujhe umeed hai ke teesri cheez bhi inhen ataa ki gayi hogi
-------
It was narrated from ‘Abdullah bin ‘Amr that the Prophet (ﷺ) said: “When Sulaiman bin Dawud finished building Baitil-Maqdis, he asked Allah for three things: judgment that was in harmony with His judgment, a dominion that no one after him would have, and that no one should come to this mosque, intending only to pray there, but he would emerge free of sin as the day his mother bore him.” The Prophet (ﷺ) said: “Two prayers were granted, and I hope that the third was also granted.”
------------
Sahih hadees 
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1408

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...