Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 10 November 2021

Aur tumahray RABB ne farmaya hain mujhe pukaro mein tumhari Dua qubool karoonga



Bismillairrahmannirrahim
 
وَقَالَ رَبُّكُمُ ادْعُونِي أَسْتَجِبْ لَكُمْ
----
Aur tumahray RABB ne farmaya hain mujhe pukaro mein tumhari Dua qubool karoonga
----
اور تمہارے رب نے فرمایا ہے مجھے پکارو میں تمہاری دعا قبول کروں گا
----
और तुमहरे रब्ब ने फरमाया हैं मुझे पुकारो में तुम्हारी दुआ क़ुबूल करूँगा
----
And your Lord says, "Call upon Me; I will respond to you."
----
Surah Gafir: (40:60)


 

Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne kaunse sahabi ke liye dua ki thi ke Eh Allah unki madad Jibraiel Alaihi Salaam ke sath kar

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 844❗

Sawal: Rasool-Allah Sallalallahu Alaihi wasallam ne kaunse sahabi ke liye dua ki thi ke Eh Allah unki madad Jibraiel Alaihi Salaam ke sath kar

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Abu Huraira RadiAllahu Anhu
C: Usman RadiAllahu Anhu
D: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
E: Ali RadiAllahu Anhu
F: Hassan RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
H: Sahih jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - F✅

Hadith: Hassan RadiAllahu Anhu ki Fazilat

Reference📚
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Umar RadiAllahu Anhu Hassan RadiAllahu Anhu ke paas se guzray, wo masjid mein shair padh rahe thy. Umar RadiAllahu Anhu ne un ki taraf dekh (kar toka) to Hassan RadiAllahu Anhu kehne lagey : Mein Masjid mein shair pada karta tha aur is Masjid mein tum se behtar shakhs ( yani Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam) Maujud tha phir Hassan RadiAllahu Anhu ne Abu Huraira RadiAllahu Anhu ki taraf dekha aur kehnay lagey : Mein tumhe Allah ki qasam deta hu, kya tum ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna ke Aap ne farmaya : (Eh Hassan) meri taraf se jawab do, Eh Allah (Hassan ki) Rooh Al Quddus (Jibraiel Alaihi Sallam) ke sath madad farma.
---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu narrated that 'Umar RadiAllahu Anhu passed by Hassan RadiAllahu Anhu and he was reciting poetry in the mosque. Umar RadiAllahu Anhu looked at him and stopped him, Hassan RadiAllahu Anhu said: I used to recite poetry in the mosque and there was a better person present (ie the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam) in that mosque, Then Hassan RadiAllahu Anhu looked at Abu Huraira RadiAllahu Anhu and said I swear by Allah to you, did you hear the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam saying (O Hassan) answer on my behalf, O Allah, help (Hassan) with the Holy Spirit (Jibril)۔
---
ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ عمر  رضی اللہ عنہ   حسان  رضی اللہ عنہ   کے پاس سے گزرے، وہ مسجد میں شعر پڑھ رہے تھے۔ عمر  رضی اللہ عنہ   نے ان کی طرف دیکھ (کر ٹوکا) تو حسان  رضی اللہ عنہ کہنے لگے: میں مسجد میں شعر پڑھا کرتا تھا اور اس مسجد میں تم سے بہتر شخص (یعنی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ) موجود تھا۔ پھر حسان  رضی اللہ عنہ  نے ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ  کی طرف دیکھا اور کہنے لگے: میں تمہیں اللہ کی قسم دیتا ہوں، کیا تم نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا کہ آپ نے فرمایا:(اے حسان) میری طرف سے جواب دو، اے اللہ(حسان کی) روح القدس کے ساتھ مدد فرما۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2026

Ek martaba ek Sahabi kuch kaam kar rahe thy tabhi zor se hawa chali aur aisa kuch huwa ke usse dekh kar log unper hasne lage

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 843❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Ek martaba ek Sahabi kuch kaam kar rahe thy tabhi zor se hawa chali aur aisa kuch huwa ke usse dekh kar log unper hasne lage

Sawal: kya wajah thi ke log unper hasne lage

A: Tez hawa se unke kapde badan se udd gaye
B: Unke baal bikhar gaye
C: Unke sine ke ghane baal nazar aa gaye
D: Unke hath se bartan gir gaya
E: Tez hawa ke wajah se wo gir gaye thy
F: Unki patli pindaliya dikhne lagi
G: achnak se wo phisal gaye
H: Sahih jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - AF✅

Hadith: Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu ki pinadaliya ka meezan mein Uhud Pahad se bhi bhari hone ka zikr...

Reference📚:
----
Abdullah bin Mas’ud RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke : wo pelo ki Miswaak kaat rahe they aur wo patli pindliyon walay they. Hawa chali to pindliyon se kapada hatt gaya log hansne lagay Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya tum kis wajah se hans rahay ho? Kehne lage : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam is ki patli pindliyon ki wajah se Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya iss zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hain! ye dono Meezan mein uhad pahad se bhi ziyada bhaari hain.
----
عبداللہ بن مسعودرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ: وہ پیلو کی مسواک کاٹ رہے تھے اور وہ پتلی پنڈلیوں والے تھے۔ ہوا چلی تو پنڈلیوں سے کپڑا ہٹ گیا۔ لوگ ہنسنے لگے۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم کس وجہ سے ہنس رہے ہو؟ کہنے لگے: اے اللہ کے نبی صلی اللہ علیہ وسلم اس کی پتلی پنڈلیوں کی وجہ سے ۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے! یہ دونوں میزان میں احد پہاڑ سے بھی زیادہ بھاری ہیں۔
----
Abdullah bin Mas'ud RadiAllahu Anhu narrates that he was cutting Miswaak and he had thin legs. When the wind blew, the cloth was removed from the legs. People started laughing. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Why are you laughing? They said: O Prophet Sallallahu Alaihi wasallam, because of his slender (thin) legs. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: By the One in whose hand is my soul! Both of these scales are heavier than Mount Uhud.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#3576

Tuesday, 9 November 2021

Namaz ke baad Wo kaunsa amal hai jiske bare mein irshad farmaya gaya hai ke jo ye amal karega wo kabhi nakaam nahi rahega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 842❗

Sawal: Namaz ke baad Wo kaunsa amal hai jiske bare mein irshad farmaya gaya hai ke jo ye amal karega wo kabhi nakaam nahi rahega

A: Ayat Al Kursi 
B: Allahumma Aa inni Ala Zikrika wa Shukrika wa Husni Ibadatika
C: 33 baar SubhanAllah 33 baar Alhumdullilah aur 34 baar Allahu Akbar
D:3 martaba Astagfirullah 
E: Allahumma Antas Salam wa minkas salam tabarakta Ya Dhal-Jalali wal-ikram
F: Radaitu billahi Rabba wa bil islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya
G: 10 baar SubhanAllah 10 baar Alhumdullilah aur 10 baar Allahu Akbar
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka intezaar
****
Sahih Jawab - C✅

 Hadith : Namaz ke baad in azkar ko padhne wala kabhi na ummed wa nakaam nahi hota

Reference📚 : 
-------
Kaab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya (Namaz ke ya) ek dusre ke peeche kahe jane wale aise kalimaat hain ke har Farz namaz ke baad unhe kehne wala ya inko adda karne wala kabhi na ummeed wa nakaam nahi rehta 

33 baar Subhan Allah ,
33 baar Alhamdulillah 
34 baar Allahu Akbar.

Sahih Muslim, Hadees#1349 
---------
کعب بن عجرہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے اور انھوں نے رسو ل اللہ سے روایت کی ، آپ نے فرمایا : ( نماز کے یا ) ایک دوسرے کے پیچھے کہے جانے والے ایسے کلمات ہیں کہ ہرفرض نماز کے بعد انھیں کہنے والا ۔ ۔ یا ان کو ادا کرنے والا ۔ کبھی نامراد و ناکام نہیں رہتا ، تینتیس بار سبحان اللہ ، تینتیس بار الحمد اللہ اور چونتیس بار اللہ اکبر ۔
----
Kaab bin Ujrah Radi Allahu Anhu  narrated that The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said There are certain ejaculations, the repeaters of which or the performers of which after every prescribed prayer will never be caused disappointment:" 

Subhan Allah 33 times, (Glory to be Allah)
Alhamdulillah 33 times, (Praise be to Allah)
Allahu Akbar 34 times. (Allah is most Great)

Sahih Muslim Hadees#1349

Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek ghar mein koi legaya jo bahut khubsurat aur pakeeza tha jisse unhone kabhi nahi dehka tha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 841❗

❗Ek martaba Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko ek ghar mein koi legaya jo bahut khubsurat aur pakeeza tha jisse unhone kabhi nahi dehka tha?

Sawal: wo ghar kis ka tha

A: Bilal RadiAllahu Anhu ka tha
B: Umar RadiAllahu Anhu ka tha
C: Jihad mein shamil hone walo ka tha
D: Shaheedon ka tha
E: Rozedaro ka tha
F: Tahhajud guzaron ka tha
G: Ali RadiAllahu Anhu ka tha
H: Ahle Bait ka tha
I: Namaziyon ka tha
J: Hajiyon ka tha
K: inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
L: Sahih Jawab ka intezaar
*****
Sahih Jawab - D✅

Hadith: Shaheedon ke makaan ka bayan

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mein ne raat mein do aadmi dekhe jo mere paas aaye phir wo mujhe le kar ek darakht par chaddhe aur is ke baad mujhe ek aise makaan mein le gaye jo nihayat khubsurat aur bada pakeeza tha, aisa khubsurat makaan mein ne kabhi nahi dekha tha un dono ne kaha ke ye ghar Shaheedon ka hain
----
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”میں نے رات میں دو آدمی دیکھے جو میرے پاس آئے پھر وہ مجھے لے کر ایک درخت پر چڑھے اور اس کے بعد مجھے ایک ایسے مکان میں لے گئے جو نہایت خوبصورت اور بڑا پاکیزہ تھا، ایسا خوبصورت مکان میں نے کبھی نہیں دیکھا تھا۔ ان دونوں نے کہا کہ یہ گھر شہیدوں کا ہے۔“ 
----
Narrated Samura: The Prophet said,   Last night two men came to me (in a dream) and made me ascend a tree and then admitted me into a better and superior house, better of which I have never seen. One of them said, 'This house is the house of martyrs.
----
Sahih Bukhari Hadees # 2791

Hume Salaam ke zariye kinko phala phula rahne ko farmaya gaya hain ..?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 840❗ 

 Sawal: Hume Salaam ke zariye kinko phala phula rahne ko farmaya gaya hain ..?

A: Sahaba
B: Shuhada
C: Anbiya
D: Padosi
E: Farishtey
F: Jinn
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhiye)
 H. Sahih Jawab ka Intezaar
****
Sahi Jawab- G(Rishtedariyon Ko) ✅

Hadith: Apne Rishtedarion ko Salaam kar ke tar o taaza rakho.

Reference:📚
---------
Suwaid bin Aamir ansari se riwayat hai ke : Apni Rishtedarion ko tar o taaza rakho. agarchay Salaam ke sath he
----------
سوید بن عامر انصاری سے مرفوعا مروی ہے کہ : اپنی رشتہ داریوں کو تر و تازہ رکھو۔ اگرچہ سلام کے ساتھ ہی
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 105

Ye amal itaat guzaar, tauba karne wale aur Allah ki taraf ruju karne wale logon ka amal hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz 839❗

Sawal: Ye amal itaat guzaar, tauba karne wale aur Allah ki taraf ruju karne wale logon ka amal hain?

A: Tahajjud padne wale
B: Raat ke waqt Safar karne wale
C: Salatul Tasbeeh padne wale
D: Tahyatul Wadu ki Namaz adda karne wale
E: Fajar ki Namaz adda karne wale
F: Awabeen ki Namaz aada karne wale 
G: Isha ki Namaz adda karne wale
H: In mein se koi naih (apna jawab likhiye)
I:  Sahi Jawab ka Intezaar
***
Sahi Jawab - F (Chast/Awabeen ki namaz)✅

Hadith: Chast/Awabeen ki Namaz padne walon ki fazilat

Reference📚:
------
Hazrat Zaid Bin Arqam Radi Allahu anhu ne kuch logon ko chasht ke waqt namaz padhte dehka to kaha, haan ye log achchi terhan jante hain ke Namaz is waqt ki bajaye ek aur waqt mein padhna Afzal hai beshak Rasool-Allah Salallahu Alaihi wasalam ne farmaya Awabeen (itaat guzaar, Tauba karne wale aur Allah Subhanahu ki taraf ruju karne wale logon) ki Namaz is waqt hoti hain jab (garmi se) oont ke doodh chhudaye janey wale bachon ke paon jalne lagte hain.
-----------
 ایوب نے قاسم شیبانی سے روایت کی کہ حضرت زید بن ارقم  رضی اللہ تعالیٰ عنہ  نے کچھ لوگوں کو چاشت کے وقت نماز پڑھتے دیکھاتو کہا : ہاں یہ لوگ اچھی طرح جانتے ہیں کہ نماز اس وقت کی بجائے ایک اور وقت میں پڑھنا  افضل ہے ۔ بے شک رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم   نے فرمایا   اوابین ( اطاعت گزار ، توبہ کرنے والے اور اللہ تعالیٰ کی طرف رجوع  کرنے والےلوگوں )  کی نماز اس وقت ہوتی ہے ۔  ، جب ( گرمی سے )  اونٹ کے دودھ چھڑائے  جانے والے بچوں کے پاؤں جلنے لگتے ہیں ۔   
----------
 Zaid b. Arqam, on seeing some people praying in the forenoon, said:
They well know that prayer at another time than this is more excellent, for Allah's Messenger Sallallahu Alaihi wasallam said: The prayer of those who are penitent is observed when your weaned camels feel the heat of the sun. 
----------
Sahih Muslim Hadees # 1746

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...