Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 3 February 2020

Mafhum e hadith mukammal kare Inmein se wo kya hai Jo Rehman se nikla hai aur Allah Subhanahu taala se Juda huwa hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e hadith mukammal kare  Inmein se wo kya hai Jo  Rehman se nikla hai aur Allah Subhanahu taala se Juda huwa hai

A: Laa illaha illallaha
B: Anbiya Alahai Salam
C: ilm 
D: Haya
E: Sabr 
F: Rishtedari
G: Inmein se koi nahi

H:Sahi Jawab ka Intezaar

******************


Sahi Jawab - F✅

Reference📚: 
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Reham Karne walo par Rehman (Allah Subhanahu) Reham karta hai tumlog Zameen walo par Reham Karo to Asman wala Reham karega Reham(Rishtedari) Rehman se nikla hai Jisne usko toda Allah Subhanahu usko apni Rehmat SE jodega aur jisne usko toda Allah Subhanahu usko apni Rehmat SE kat dega
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”رحم کرنے والوں پر رحمن رحم کرتا ہے، تم لوگ زمین والوں پر رحم کرو تم پر آسمان والا رحم کرے گا، رحم رحمن سے مشتق ( نکلا ) ہے، جس نے اس کو جوڑا اللہ اس کو ( اپنی رحمت سے ) جوڑے گا اور جس نے اس کو توڑا اللہ اس کو اپنی رحمت سے کاٹ دے گا“
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: The merciful are shown mercy by Ar-Rahman. Be merciful on the earth, and you will be shown mercy from Who is above the heavens. The womb is named after Ar-Rahman, so whoever connects it, Allah connects him, and whoever severs it, Allah severs him. 
------
Jamia Tirmidi Volume 2, 1294 Hasan

Allah Subhanahu ne Jahanam ko kitne baar saans lene ki ijazat di?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain!

Sawal: Allah Subhanahu ne Jahanam ko kitne baar saans lene ki ijazat di?

A: 01
B: 03
C: 05
D: 07
E: 02
F: 09
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sawal: jab jab Jahanam saas leti hai toh kya hota hai (apna jawab khud likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

******************

Sahi Jawab: E/✅{Sardi ka saans Sardi ki Shiddat aur Garmi ka saans Garmi ki Shiddat hain}

Reference📚:
----------------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jahannum ne apne RABB se shikayat ki aur kehnay lagi mere baaz hissay ne dosray ko kha liya hai to Allah Subhanahu taala ne usay do saans lainay ki ijazat di, ek saans sardi mein aur dosra garmi mein, is ka sardi ka saans sardi ki shiddat aur garmi ka saans garmi shiddat hai.
--------------
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جہنم نے اپنے رب سے شکایت کی اور کہنے لگی: میرے بعض حصے نے دوسرے کو کھا لیا ہے تو اللہ تعالیٰ نے اسے دو سانس لینے کی اجازت دی، ایک سانس سردی میں اور دوسرا گرمی میں، اس کا سردی کا سانس سردی کی شدت اور گرمی کا سانس گرمی شدت ہے۔
---------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3092

Quran aur Hadith ki roshni mein Allah Subhanahu ki rehamat se mutalliq kaunsi baate sahi hain?


❗ Only-Quran-Hadith Quiz ❗  

Jawab ek se ziada hai

Sawal : Quran aur Hadith ki roshni mein Allah Subhanahu ki rehamat se mutalliq kaunsi baate sahi hain?

A. Jo ek baar durud padhta hai us par Allah ki 100 rahmat nazil hoti hain
B. Allah ki rahmat uske gusse par ghalib hai
C. Allah ne uski rahmat ke 99 hisse duniya mein bhej diye aur ek hissa apne paas rakha 
D. Kaafir ko Allah ke paas mojud tamam Rahamt malum ho jaye jo wo jannat se na ummeed na ho
E.  Allah ki Rahmat ek palde mein rakhe aur duniya ki sari cheeze dusre mein to rahmat wala palda bhari hoga
F. Allah ki rehmat se wahi log naummed hote hain jo kafir hain
G. Allah ki rehmat se naummed hona kabira gunah hai

H. Sahi Jawab ka intezar hai

*************************

Sahi Jawab BDFG✅

Reference📚:
---------
✦ Al Quran : Aur Allah ki rahmat se naummed na ho beshak Allah ki rahmat se wahi log na ummed hote hain jo kafir hain
Surah Yusuf (12), 87
-----
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab ALLAH taala makhluq ko paida kar chuka to Apni kitab (lohey mehfooz) jo unkey paas arsh par mojud hai usmein likha  ki Meri Rahmat mere Ghazab( gussey) par ghalib hai
Sahih Bukhari, Vol 4, 3194
-----
✦  Ek Admee ne Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam kabira gunah kya hain to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Ke sath Shirk Karna Allah Subhanahu ki Shafqat se na umeed hona aur Allah Subhanahu ki Rahmat se Mayus hona 
Al-Silsila-As-Sahiha 1050
------
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki ALLAH subhanahu ne Rahmat ko jis din banaya to uske 100 hisse kiye aur apne pass unmein se 99 rakhe iske baad tamam makhluq ke liye sirf Ek hissa Rahmat ka bheja, agar kaafir ko wo tamam Raham malum ho jaye jo ALLAH subhanahu ke pass hai to jannat se na ummeed na ho, aur agar momeen ko wo tamam Azab malum ho jaye jo ALLAH ke pass hai to wo Dozakh se kabhi bekhauff na ho
Sahih Bukhari, Vol 7, 6469

Inmein se Momeen ko kya nahi hona chahaiye...?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zayda hain❗

Sawal: Inmein se Momeen ko kya nahi hona chahaiye...?

A: Chugali karne wala
B: Taane dene wala
C: Laanat karne wala
D: Mazaq udane wala
E: Gandi baate karne wala
F: Behayi karne wala
G: Badzubani karne wala
H: Bad Kalami karne wala

I: Sahi Jawab ka Intezaar

***********************

Sahi Jawab - BCEFGH ✅

Reference📚
-----
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya Momin taana dene waala, laanat karne waala, gandi baatein karne waala aur behaya nahin hota.

Jami` at-Tirmidhi 1977- Sahih
------'-
Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu kehte hain ke RasoolAllah Sal-Allahu Alaihi Wasallamne farmaya Momin bohat ziyada laanat karne wala, tane dainay wala, badzubaan aur bad kalaam nahi hota. 
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 388-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaya main tumhe ek aisee baat batata hu jo kisi nabee ne apni qaum ko nahi batayee wo baat kaunsi thi ya kiske bare mein thi


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek baar farmaya main tumhe ek aisee baat batata hu jo kisi nabee ne apni qaum ko nahi batayee wo baat kaunsi thi ya kiske bare mein thi 

A: Suraj ka mashreek se nikalna
B: Dajjal ke bare mein
C: Namaz aur Hajj ke bare mein
D: Jahannum ke bare 
E: Allah Subhanahu ke azab ke bare mein  
F: Qayamat ke bare mein  
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar?

************************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
-----------
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “kuy nah mein tumhe Dajjal ke mutaliq ek aisi baat bata doun jo kisi Nabi ne apni qoum ko ab taq nahi batayi woh kaana hoga aur Jannat aur Jahannum jaisi cheez laayega. pas jisay wo Jannat kahega dar haqeeqat wohi dozakh hogi aur mein tumhe is ke fitne se isi terhan darata hon, jaisay Noah Alehi Salam ne apni qoum ko daraya tha.
------------

 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”کیوں نہ میں تمہیں دجال کے متعلق ایک ایسی بات بتا دوں جو کسی نبی نے اپنی قوم کو اب تک نہیں بتائی۔ وہ کانا ہو گا اور جنت اور جہنم جیسی چیز لائے گا۔ پس جسے وہ جنت کہے گا درحقیقت وہی دوزخ ہو گی اور میں تمہیں اس کے فتنے سے اسی طرح ڈراتا ہوں، جیسے نوح علیہ السلام نے اپنی قوم کو ڈرایا تھا۔“ 
------------
Sahih Hadees
Sahih Bukhari Hadees # 3338

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kis ke liye farmaya ke roz qayamat uss shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne kis ke liye farmaya ke roz qayamat uss shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi?

A: Jaldbazi karne wala
B: Jhoot bolne wala
C: Bukhl karne wala
D: Aulad
E: Chugalkhor
F: logo ke Aib nikalne wala
G: Inmein se koi nahi (apna jawab likhe) 

H: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab – G ✅(Amel/Governor) joh apni zimmedari na nibha sake

Reference📚:

Abuzer RadiAllahu Anhu bayan karte hain, mein ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam aap mujhe Amel (governor) kyun nahi muqarrar farma dete? woh bayan karte hain, Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne mere kandhay par haath maar kar farmaya Abuzer! Tum kamzor aadmi ho, jabkay woh ek amanat hai, jis shakhs ne usay is ke haq ke mutabiq nah liya aur nah is ki zimmedariyon ko nibhaya to woh rozِ qayamat is shakhs ke liye baais ruswai o nedamat hogi
----------------
ابوذر ؓ بیان کرتے ہیں ، میں نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! آپ مجھے عامل (گورنر) کیوں نہیں مقرر فرما دیتے ؟ وہ بیان کرتے ہیں ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے میرے کندھے پر ہاتھ مار کر فرمایا :’’ ابوذر ! تم کمزور آدمی ہو ، جبکہ وہ ایک امانت ہے ، جس شخص نے اسے اس کے حق کے مطابق نہ لیا اور نہ اس کی ذمہ داریوں کو نبھایا تو وہ روزِ قیامت اس شخص کے لیے باعث رسوائی و ندامت ہو گی
---------------
Sahi Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 3682

Mahfhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne inemin se kaun se shaqs ko danishmand kaha hain?


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne inemin se kaun se shaqs ko danishmand kaha hain?

A: Khamosh rehne wala
B: Raat ko sote waqt ki dua padh ke sone wala
C: Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam par subha aur sham darood padne wala
D: Jihad karne wala
E: Witr ki namaz padke sone wala
F: Logo ko achchi baat ki naseehat karne wala
G: Inmein se koi nahi (Apna Jawab likhe)

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sahi Jawab - E✅

Reference📚:
----------
Saad Bin Abi Waqqas RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke wo Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki Masjid mein Isha ki namaz padha karte thy phir ek witr padhte, is se ziyada nahi padhte. Unse kaha jata Abu Ishaq aap ek witr padhte hain, is se ziyada nahi padhte? Woh kehte haan, mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se suna farma rahe thy jo shaqs witr padh kar sota hain woh Danishmand hain.
----------------
سعد بن ابی وقاصرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ وہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم كی مسجد میں عشاء كی نماز پڑھا كرتے تھے ۔ پھر ایك وتر  پڑھتے، اس سے زیادہ نہ پڑھتے۔ ان سے كہا جاتا: ابواسحاق   آپ ایك وتر پڑھتے ہیں، اس سے زیادہ نہیں پڑھتے؟ وہ كہتے ہاں، میں نے رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے جوشخص وتر پڑھ كر سوتا ہے وہ دانش مند ہے
-----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 963

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...