Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 2 November 2022

5waqt ki Namazain gunaaho ko is terhan khatam kar deti hain jis terhan pani mail kuchail ko khatam kar deta hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: 5waqt ki Namazain gunaaho ko is terhan khatam kar deti hain jis terhan pani mail kuchail ko khatam kar deta hain
-----
Uthman RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke unhon ne kaha ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe they: Tumhara kya khayaal hain, agar tum mein se kisi shakhs ke sehan mein se ek Nahar guzar rahi ho, jis mein wo rozana paanch martaba ghusal kiya kare is par koi mail baqi rahayga? Sahaba ne kaha : kuch bhi baqi nahi rahayga. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namazain gunaaho ko is terhan khatam kar deti hain jis terhan pani mail kuchail ko khatam kar deta hain
-----
عثمانرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہا كہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے: تمہارا كیا خیال ہے، اگر تم میں سے كسی  شخص كے صحن میں سے ایك نہر گزر رہی ہو ، جس میں وہ روزانہ پانچ مرتبہ غسل كرے، كیا اس پر كوئی میل كچیل باقی رہے گا؟ صحابہ نے كہا: كچھ بھی باقی نہیں رہے گا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نمازیں گناہوں كو اس طرح ختم كر دیتی ہیں جس طرح پانی میل كچیل كو ختم كر دیتا ہے۔
-----
Uthman RadiAllahu Anhu narrates that I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam saying: What do you think, if a canal is passing through the yard of one of you, in which he bathes five times a day, will there be any dirt left on it? The companions said: Nothing will be left. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Prayers remove sins in the same way that water removes dirt.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#535
https://pin.it/1x8lI7l
https://www.youtube.com/DailyAzkars


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...