❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Do sawal hai aur dusre sawal mein jawab ek se zyada hai!
Sawal: Ramadan ki wo kaunsi Raat hai jis mein ek pukarne (farishta) wala pukar kar kehta hai, "Eh khair ke talabgar aage badh (yani Neki kar) aur Eh burayi ke talabgar ruk jaa (yani gunah se ruk jaa)
Sawal: Ramadan ka wo konsa ashra ye waqt hai jis ki Raaton mein Allah Subahnahu apne bandon mein se bahut se logon ko dozakh se nijat de deta hai.
A: Ramadan ka aakhri ashra
B: Iftar ke waqt
C: Ramadan ka darmiyani ashra
D: Ramadan ka pehla ashra
E: Ramadan ki pehli raat
F: Laila tul Qadr wali raat
G: Ramadan ki har juma ki raat
H: Sehri ke waqt
I: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - E/ABCE✅
Hadith: Ramadan ki fazilate jin mein Allah Subhanahu logo ko dozak se azad karte hain
📚Reference:
-----
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ramdan ki pahli shab aate hi shayateen aur sarkash jinnat ko qaid kar liya jata hai aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hain ek darwaza bhi khula nahi rahta, aur Jannat ke darwaze khol diye jate hain ek darwaza bhi band nahi rahta aur pukarne wala pukarta hai , eh khair ke talabgar aage badh aur eh burayee ke talabgar thahar ja aur Allah subhanahu bahut sare logo ko dozakh se aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai
Sunan Ibn Maja, 1642, Jild 1-Hasan
----------------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Messenger of Allah (ﷺ) said:
“When the first night of Ramadan comes, the Satans and mischievous jinns are chained up, and the gates of the Fire are closed, and none of its gates are opened. The gates of Paradise are opened and none of its gates are closed. And a caller cried out: ‘O seeker of good, proceed, O seeker of evil, stop.’ And Allah has necks (people) whom He frees (from the Fire), and that happens every day.”
Sunan Ibn Maja, Book 7, 1642-Hasan
--------------------
Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya iftari ke waqt Allah subhanahu bahut se logo ko (dozakh se) aazad farma dete hain aur aisa har raat hota hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1643- Hasan
----------------------
It was narrated from Jabir radi allahu anhu that the Messenger of Allah peace be upon him said At every breaking of the fast Allah has people whom He frees (from the Fire), and that happens every night.
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1643- Hasan