❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Hadith mein kiske liye kaha gaya hai ki us se Nafs ko taskeen aur dil ko itminan milta hain
A: Laa ilaha illAllah
B: Neiki karna
C: Namaz ka awwal waqt mein adda karna
D: Niyat
E: Dua
F: Quran Majid
G: Ilm
H: Inmein se koi nahi
I: Sahi Jawab ka Intezaar
************
Sahi Jawab - B✅
Neki wo hai jis par nafs ko taskeen miley aur dil ko itmenan ho
Reference📚:
------
Syedna Abu Khushni RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hai mein ne kaha Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam Mujhe un cheezon ke barre mein batlaein jo mere liye halal aur mujh par haraam hain, Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne is ki taraf nigah buland ki aur phir pust ki aur farmaya : Neki woh hai, jis par nafs ko taskeen miley aur dil ko itmenan ho aur Buraiee woh hai ke jis par na nafs ko sukoon miley aur na dil mutmaeen ho, agarchay fatwa dene wale fatwa dete rahen Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny mazeed farmaya gharelu gadhay ke gosht aur khujli waledarinde ke kareeb na jaa.
-----------
۔ سیدنا ابو ثعلبہ خشنی رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے ان چیزوں کے بارے میں بتلائیں جو میرے لیے حلال اور مجھ پر حرام ہیں، نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے اس کی طرف نگاہ بلند کی اور پھر پست کی اور فرمایا: نیکی وہ ہے، جس پر نفس کو تسکین ملے اور دل کو اطمینان ہو اور برائی وہ ہے کہ جس پر نہ نفس کو سکون ملے اور نہ دل مطمئن ہو، اگرچہ فتوی دینے والے فتوی دیتے رہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے مزید فرمایا: گھریلوں گدھے کے گوشت اور کچلی والے درندے کے قریب نہ جا۔
-----
Musnad Ahmed#8987-Sahih
No comments:
Post a Comment