Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 30 August 2020

Inmein se kisse RABB ka hukum kaha gaya hai jiska zikr Quran ki ek ayat mein bhi kiya gaya hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Inmein se kisse RABB ka hukum kaha gaya hai jiska zikr Quran ki ek ayat mein bhi kiya gaya hai


A: Dil

B: Zuban

C: Jism

D: Sharmgah 

E: Rooh

F: Raan

G: Maut

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka intezaar

*******************

Sahi jawab - E✅

Rooh Mere RABB ka hukum hain 

Reference📚:

Sayedna Abdullah Bin Masood RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke wo kehte hai mein Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ke saath Madine k eek khet mein chal raha tha jabke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ek tehni par take laga rahe thy itne mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ka guzar yahudion ki ek jamaat ke paas se huwa, unhonne ek dusre se kaha is se rooh ke baaray mein sawal karo, baaz ne kaha ke is se koi baat mat pucho, lekin phir unhon ne pooch liya aur kaha Eh Mohammad Sallallahu Alaihi wasallam! Rooh kya cheez hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam tehni par take laga kar khade hogaye mein ne khayaal kiya ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam par wahi nazil ho rahi hai, phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne yh aayat padhi : {وَیَسْأَ لُونَکَ عَنْ الرُّوحِ قُلِ الرُّوحُ مِنْ أَ مْرِ رَبِّی وَمَا أُوتِیتُمْ مِنْ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِیلًا} [الاسرائ: ۸۵ } … yeh log aap se rooh ke mutaliq sawal karte hain, keh do ke Rooh mere RABB ke hukum se hai, tumhe sirf thoda sa ilm diya gaya hai. phir un mein se baaz afraad doosron se kehnay lagey hum ne tum ko kaha to tha ke un se sawal nahi karo .

------------------

 ۔ سیدنا عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت ہے، وہ کہتے ہیں: میں نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے ساتھ مدینہ کے ایک کھیت میں چل رہا تھا، جبکہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ایک ٹہنی پر ٹیک لگارہے تھے،اتنے میں آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کا گزر یہودیوں کی ایک جماعت کے پاس سے ہوا، انھوں نے ایک دوسرے سے کہا: اس سے روح کے بارے میں سوال کرو، بعض نے کہا کہ اس سے کوئی بات مت پوچھو، لیکن پھر انہوں نے پوچھ لیا اورکہا: اے محمد! روح کیا چیز ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ٹہنی پر ٹیک لگا کرکھڑے ہو گئے، میں نے خیال کیا کہ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم پر وحی نازل ہو رہی ہے، پھر آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے یہ آیت پڑھی: {وَیَسْأَ لُونَکَ عَنِ الرُّوحِ قُلِ الرُّوحُ مِنْ أَ مْرِ رَبِّی وَمَا أُوتِیتُمْ مِنَ الْعِلْمِ إِلَّا قَلِیلًا} … یہ لوگ آپ سے روح کے متعلق سوال کرتے ہیں، کہہ دو کہ روح میرے رب کا حکم ہے، تمہیں صرف تھوڑا سا علم دیا گیا ہے۔ پھر ان میں سے بعض افراد دوسروں سے کہنے لگے: ہم نے تم کو کہا تو تھا کہ ان سے سوال نہ کرو۔ 

-------------

Musnad Ahmed#8659-Sahih


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...