Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 2 March 2020

Rasool-Allah Salallahu Alahi Wasallam ne kaun kaunse shaqs ke liye farmaya ke wo Allah ke raaste mein hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Rasool-Allah Salallahu Alahi Wasallam ne kaun kaunse shaqs ke liye farmaya ke wo Allah ke raaste mein hain

A: Shaheed 
B: Insaaf karne wala
C: Qarzdaar ke saath Sila Rehami karna
D: jiske Akhlaq bahut aala ho
E: Walidain ki khidmat karne wala
F: Ahal o Ayal ke liye koshish karne wala
G: Apne nafs ko paak karne ke liye mehnat karne wala
H: Mareez ki ayadat karna 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************

Sahi Jawab - AEFG✅

Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se rivayat hai unhone kaha ke hum Rasool-Allah Salallahu Alahi Wasallam ke pass baithy huwe thy kya dekhte hain ke ghaati se ek nojawan aadmi namodaar huwa jab hum ne usay apni aankhon se dekha (ek rivayat mein hai hum ne is par apni nigahein dali) to hum ne kaha kash yeh apni jawani, nishat, aur apni quwat Allah Subhanahu ke rastay mein kharch karta. Rasool-Allah Salallahu Alahi Wasallam ne hamari yeh baat sun li farmaya kya Allah ka rasta sirf yahi hai ke aadmi shaheed kar diya jaye? jis ne apne walidain ke liye daud dhoop ki woh Allah ke rastay mein hai, jis ne apne ahal o Ayal ke liye koshish ki woh Allah ke rastay mein hai, jis ne apne nafs ke liye usay pak karne ke liye mehnat ki woh Allah ke rastay mein hai aur jis ne dosray par barhotri haasil karne ke liye koshish ki woh shaitan ke rastay mein hai aur aik rivayat mein hai Taghoot ke rastay mein hai.
----
ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ ہم رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس بیٹھے ہوئے تھے کیا دیکھتے ہیں کہ گھاٹی سے ایک نوجوان آدمی نمودار ہوا جب ہم نے اسے اپنی آنکھوں سے دیکھا(ایک روایت میں ہے ہم نے اس پر اپنی نگاہیں ڈالیں) تو ہم نے کہا کاش یہ اپنی جوانی،نشاط، اور اپنی قوت اللہ کے راستے میں خرچ کرتا۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہماری یہ بات سن لی۔ فرمایا کیا اللہ کا راستہ صرف یہی ہے کہ آدمی شہید کر دیا جائے؟ جس نے اپنے والدین کے لئے دوڑ دھوپ کی وہ اللہ کے راستے میں ہے، جس نے اپنے اہل و عیال کے لئے کوشش کی وہ اللہ کے راستے میں ہے، جس نے اپنے نفس کے لئے اسے پاک کرنے کے  لئے محنت کی وہ اللہ کے راستے میں ہے۔ اور جس نے دوسرے پر بڑھوتری حاصل کرنے کے لئے کوشش کی وہ شیطان کے راستے میں ہے ۔ اور ایک روایت  میں ہے طاغوت کے راستے میں ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 190

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...