Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 11 February 2020

Kaunse shaqs ke liye duniya mein bhi aur qayamat ke din bhi ruswae hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye duniya mein bhi aur qayamat ke din bhi ruswae hain

A: Jisne apne sharmgah ki hifazat nahi ki
B: Jo logo ko Allah ki raah se behka de 
C: Jo Sitaro per Iman laya
D: Jo Qayamat ka inkaar kare
E: Jo apne walid ka inkaar kare
F: Jo Sood ko halal samaj le
G: Jo shaqs miya biwi ke darmiyan duri paida kare
H: In mein se koi nahi

I: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Bismillahirrahamannirrahim

Sahi Jawab -B✅

Refernce📚:
-------
ثَانِیَ عِطۡفِہٖ  لِیُضِلَّ عَنۡ  سَبِیۡلِ اللّٰہِ ؕ لَہٗ فِی الدُّنۡیَا خِزۡیٌ وَّ نُذِیۡقُہٗ یَوۡمَ الۡقِیٰمَۃِ  عَذَابَ  الۡحَرِیۡقِ ﴿۹﴾

  Jo apni pehloo morney wala bann ker iss liye kay Allah ki raah say behka dey ussay duniya mein bhi ruswaee hogi aur qayamat kay din bhi hum ussay jahannum mein jalney ka azab chakhayen gay.
------
 Twisting his neck [in arrogance] to mislead [people] from the way of Allah . For him in the world is disgrace, and We will make him taste on the Day of Resurrection the punishment of the Burning Fire [while it is said], 
-------
Al Quran Surat Ul Hajj Ayat no 9

Inmein se kaunse amal ko shaitani amal kaha gaya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Inmein se kaunse amal ko shaitani amal kaha gaya hai?

A: Taweez phene par
B: Zina karne par
C: Khane ke baad ki dua nahi padhne par
D: Wazu ke bagira mushaf ko haath lagane par
E: Namaz mein susti karne par
F: Padosi ko takleef dena par
G: khane ke waqt Bismillah nahi padhne par
H: Inmein se koi nahi 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

****************

Sahi Jawab - A✅

Reference📚:
-------------
Hazrat Abdullah bin masood ki biwi Zainab Radhi allahu anhuma ne kaha ki Abdulllah bin Masud Radi Allahu Anhu ne kaha Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki taweez, gandey (mantra) wagairah sab shirk hai , ye sunkar zainab ( Hazrat Abdullah ki biwi Radi allahu anhu) ne kaha ki tum ye kya kahte ho Allah ki kasam meri aankh Dard ki shiddat se bahar nikalne ko thi aur main falah yahudi ke pass jaya karti thi wo mujhe taweez diya karta tha jab usne mujhe taweez diya to mujhe sukun ho gaya to Hazrat Abdullah kahne lage ye to shaitani amal hai jabki wo ( Shaitan) apne haath se usey ( yani aankh) dabaya karta tha jab us yahudi ne us par dam kiya to wo shaitan us Amal sey ruk gaya ( taaki tum us taweez par hi yakeen karne lag jao) aur beshak tumhare liye yahi kaafi hai ki tum is tarah kah diya karo jaise ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam farmaya kartey they 

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا

Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa'an La Yugadiru Saqama

Eh Allah logon ke Rab , Takleef ko dur karne wale, Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai, aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
-----------
-Sunan Abu Dawud, Vol3, 485-Sahih-

Inmein se kya kya Nabuwat ka hissa hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziada hain

Sawal: Inmein se kya kya Nabuwat ka hissa hai?

A: achcha chaal challan
B: achcha akhlaq
C: achcha padosi 
D: achcha shohar
E: achcha Ilm 
F: haya 
G: Nikah karna

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*************

Sahi Jawab - AB✅

أَنَّ نَبِيَّ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم قَالَ 
إِنَّ الْهَدْىَ الصَّالِحَ وَالسَّمْتَ الصَّالِحَ وَالاِقْتِصَادَ جُزْءٌ مِنْ خَمْسَةٍ وَعِشْرِينَ جُزْءًا مِنَ النُّبُوَّةِ 
-------- 
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya achcha chal chalan , ahcha akhlaq aur mayanarai nabuwat ke 25 hisso mein se ek hissa hai 
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1348-Hasan 
-------- 
Narrated Abdullah ibn Abbas Radi Allahu Anhu The Prophet (ﷺ) said: Good way, dignified good bearing and moderation are the twenty-fifth part of Prophecy. 
Sunan Abu Dawud,Book 42, 4758-Hasan

Ek baar ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ke Allah Subhanahu ko kaun kaunsa amal sab se zaiyada mehboob hai toh Nabi ne irshad farmaya… apna jawab tarteeb se de?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hai aur pehle sawal mein jawab ek se zaida hai tarteeb se jawab de!

Sawal1: Ek baar ek sahabi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ke Allah Subhanahu ko kaun kaunsa amal sab se zaiyada mehboob hai toh Nabi ne irshad farmaya… apna jawab tarteeb se de?

A: Jamat se namaz adaa karna
B: Witr ki namaz sone se pehle ada karna 
C: Waledain se achcha salooq karna
D: Allah ki raah mein Jihad karna
E: Waqt par namaz ada karna
F: har mahine 13, 14 aur 15 ke roze rakna 
G: Quran seekhna 

H: Sahi Jawab ka intezaar?

Sawal2: Wo Sahabi kaun thy jinhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se sawal kiya tha?

A: Abu Huraira RadiAllahu Anhu
B: Abu Bakr RadiAllahu Anhu
C: Umar RadiAllahu Anhu
D: Abu Ubaida bin Jarah RadiAllahu Anhu
E: Ibn Masood RadiAllahu Anhu
F: Anas bin Malik RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

*******************

Sahi Jawab - ECD/E✅

Reference📚:
---------------------
Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Mein ne Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ke Allah Subhanahu ko kaunsa Amal sabse ziyada Mehboob hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam nefarmaya “Waqt par Namaz ada karna” Mein ne arz kya, phir kaunsa? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “Walidain se achcha sulooq karna” Mein ne arz kiya, phir kaunsa? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya “Allah ki raah mein Jihaad karna”. Ibn Masood RadiAllahu Anhu bayan karte hain, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe yeh baten batlayi, agar mein mazeed daryaft karta to Aap mujhe aur ziyada batatay.
------------------
 ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، میں نے نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم سے دریافت کیا کہ اللہ کو کون سا عمل سب سے زیادہ محبوب ہے ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ وقت پر نماز ادا کرنا ۔‘‘ میں نے عرض کیا ، پھر کون سا ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ والدین سے اچھا سلوک کرنا ۔‘‘ میں نے عرض کیا ، پھر کون سا ؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ اللہ کی راہ میں جہاد کرنا ۔‘‘ ابن مسعود ؓ بیان کرتے ہیں ، آپ نے مجھے یہ باتیں بتائیں ، اگر میں مزید دریافت کرتا تو آپ مجھے اور زیادہ بتاتے
------------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 568

Mafhum e Hadith Mukamal Kijiye.. Allah Subhanahu inmein se kaunsi Ibadat bahut ziada muaziz hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mafhum e Hadith Mukamal Kijiye.. Allah Subhanahu inmein se  kaunsi Ibadat bahut ziada muaziz hain?

A: Roza
B: Awwal Waqt Mai Namaz adaa krna 
C: Sabr
D: Wadu ki halat Mai rehna  
E: Zakat adaa karna
F: Shahadat ki gawai dena 
G: Ek Namaz ke bad dusri Namaz ka intezar karna
H: Hajj, Umrah
I: Innmai se koi nahi

J: Sahi Jawab Ka Intezar

*********************


Sahi Jawab - I✅ (Dua)

Reference📚:
-----------
Nabi (ﷺ) ne farmaye:"Allah Subhanahu ke Nazdik Dua se Muaziz aur Makrum (Bahut Aziz) Koi Cheez (Ibadat ) nahi hai
--------
 نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ کے نزدیک دعا سے زیادہ معزز و مکرم کوئی چیز  ( عبادت )  نہیں ہے“ ۱؎۔ 
---------
Abu Hurairah narrated that: The Prophet said: “There is nothing more honorable with Allah [Most High] than supplication.”
---------
Sahih hadees
Jam e Tirmizi Hadith # 3370

yh misal kiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmayi wo shaqs jahannum mein nahi ja sakta Jab tak doodh thann mein wapis nahi pahoch jaye


❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: yh misal kiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmayi wo shaqs jahannum mein nahi ja sakta Jab tak doodh thann mein wapis nahi pahoch jaye

A: Aisa shaqs jisne kabhi koi qarz na liya 
B: Allah Subhanahu ka kasrat se zikr karne wala
C: Fitne ke waqt shahid hone wala
D: Allah ke kahuf se rone wala
E: Allah ki raha mein pehra dene wala
F: Allah ke liye mohabbat aur nafrat karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar


**********************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-------------
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam nay farmaya : ”Allah Subhanahu ke khauf se rone wala shakhs jahannum mein nahi ja sakta" jab tak ke doodh than mein wapas nah pahonch jaye aur Allah ke rastay ka gird o gubhar aur jahannum ki aag ka dhuwan akhatta nahi ho satke.
----------------
It was narrated from Abu Hurairah that the Prophet (ﷺ) said: No man will enter the Fire who weeps for fear of Allah, Most High, until the milk goes back into the udders. And the dust (of Jihad) in the cause of Allah, and the smoke of Hell will never be combined. 
-------------------
Sahih Hadees
Sunnan e Nisai Hadees # 3110

Kaunse Amal ko har amal ki intehaa kaha gaya hai? Sawal: Kaunse Amal ko Islam ki rahbaniyat kaha gaya hai?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do sawal hai!

Sawal: Kaunse Amal ko har amal ki intehaa kaha gaya hai?
Sawal: Kaunse Amal ko Islam ki rahbaniyat kaha gaya hai?


A: Zakat
B: Tilawat
C: Salam
D: Dua
E: Taqwa
F.: Zikre ilahi
G: Namaz
H: Sila rahmi 
I: Jihad
J: Hajj

K: Sahi Jawab ka Intezaar


****************

Sahi Jawab - EI✅

Reference📚:
--------------
Abu Saeed Khudri  Radi Allahu Anhu se marwi hai ke ek aadmi in ke pas aaya aur kehne laga :mujhe nasihat kijiye Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu ne kaha:tum ne mujh se aisa sawal kiya hai jo mai ne tum se pahle Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se kiya tha. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mai tumhe Allah ke taqwe ki wasiyat karta hon kiyo ki ye har amal ki intehaa hai aur tumhe Jihad ki nasihat karta hon kiyo ki  ye islam ki rahbaniyat hai aur Allah ke zikar aur tilawat ko lazim kar lo kiyo ki ye aasman mai tumhari rooh aur zameen mai tumhara zikar hai. 
--------------
ابو سعید خدری  سے مروی ہے کہ ایک آدمی ان کے پاس آیا اور کہنے لگا: مجھے نصیحت کیجئے۔ ابو سعید نے کہا: تم نے مجھ سے ایسا سوال کیا ہے جو میں نے تم سے پہلے رسول اللہ ﷺ سے کیا تھا۔ آپﷺ نے فرمایا: میں تمہیں اللہ کے تقویٰ کی وصیت کرتا ہوں کیوں کہ یہ ہر عمل کی انتہا ہے اور تمہیں جہاد کی نصیحت کرتا ہوں کیوں کہ یہ اسلام کی رہبانیت ہے ۔اور اللہ کے ذکر اور تلاوت کو لازم کر لو کیوں کہ یہ آسمان میں تمہاری روح اور زمین میں تمہارا ذکر ہے
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2834

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...