Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
La Ilaha IllAllah
Tuesday, 11 February 2020
Jo yh baat pasand karta ho ke Allah aur iss ka Rasool Sallallahu Alaihi wasallam un se Mohabbat kare toh inmein se kaun kaunsi Aadatoh ki hifazat karni chaihaye?
Jawab ek se zaida hai!
Sawal: Jo yh baat pasand karta ho ke Allah aur iss ka Rasool Sallallahu Alaihi wasallam un se Mohabbat kare toh inmein se kaun kaunsi Aadatoh ki hifazat karni chaihaye?
A: Sacchi baat kehna
B: Amanat ada karna
C: Behtareen padosi banna
D: Hasad na karna
E: Momeen ki madad karna
F: Janaze ki namaz adda karna
G: Halal kamayee se sadqa karna
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*************
Sahi Jawab - ABC✅
Reference📚:
----------------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhon ne kaha ke Bahrain se kuch mehman Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke paas aakar thehray. Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne wudu ka pani mangwaya aur wudu kiya to woh jaldi se Aap ke wudu ke pani ki taraf doray jo mila usay pi liya, aur jo zameen par gir gaya usay apne cheharon, siron, aur seenon par laga liya. Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne un se kaha tumhe kis baat ne is kaam par ubhara? Unhon ne kaha Aap ki Mohabbat ne, shayad Allah Subhanahu taala hum se Mohabbat karne lagey Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya agar tumhe yeh baat pasand hai ke Allah aur is ka Rasool tum se Mohabbat karen to phir teen aadaat ki hifazat karo, Sachhi baat kehna, Amanat ada karna, aur Behtareen padosi banna kyunkay padosi ko takleef dena nakiyon ko is terhan mita deta hai jis terhan Sooraj barf ko pighla deta hai.
------------------
انس بن مالکرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ بحرین سے کچھ مہمان نبی صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس آکر ٹھہرے ۔نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو کا پانی منگوایا اور وضو کیا تو وہ جلدی سے آپ کے وضو کے پانی کی طرف دوڑے جو ملا اسے پی لیا، اور جو زمین پر گر گیا اسے اپنے چہروں ،سروں، اور سینوں پر لگا لیا۔ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے ان سے کہا تمہیں کس بات نے اس کام پرابھارا؟ انہوں نے کہا : آپ کی محبت نے ، شاید اللہ تعالیٰ ہم سے محبت کرنے لگےاے اللہ کے رسول! رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اگر تمہیں یہ بات پسند ہے کہ اللہ اور اس کا رسول تم سے محبت کریں تو پھر تین عادات کی حفاظت کرو ،سچی بات کہنا، امانت ادا کرنا، اور بہترین پڑوسی بننا ۔کیونکہ پڑوسی کو تکلیف دینا نیکیوں کو اس طرح مٹا دیتا ہے جس طرح سورج برف کو پگھلا دیتا
-----------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 78
Qayamat ke din Allah Subhanahu bande se yaha tak sawal karega ke____?
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Mafhum e hadith Mukammal karo......

A: Jab tum se kaha gaya ke Ahle bait se Mohabbat rakho to tum ne un se kuy bughz rakha
B: Jab tum ko hukm diya gaya ke halal rizq kahao toh tum ne haram ka rasta kuy ikhtiyar kiya
C: Jab tum ko do naraz musalmano k beech sulah ka hukm diya gaya to tum ne un ke beech judaye dal di
D: Jab tum ko maal ata kiya gaya to zakat kuy ada na ki
E: Jab tumhe jihad ka hukm huwa to tum ne jihad kuy nahi kiya
F: Jab tum ne buraye dekhi to tumhe kis cheez ne mana kiya tha ke iska inkaar na karo
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - F✅
Reference📚:
---------
Abu Saeed Kudri Radi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya Qayamat ke din Allah Subhanahu taala bande se yahan taq sawal karega ke jab tum ne buraiee dekhi to tumhe kis cheez ne mana kiya tha ke is ka inkaar na karo? Jab Allah Subhanhu taala bande ko is ki Hujjat sikha dega to woh bandah kahega Eh mere parvardigaar! Mein ne tujh par bhrosa kiya tha aur logon se darr gaya tha
--------------------
ابو سعید خدری رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ نے فرمایا: قیامت کے دن اللہ تعالیٰ بندے سے یہاں تک سوال کرے گا کہ: جب تم نے برائی دیکھی تو تمہیں کس چیز نے منع کیا تھا کہ اس کا انکار نہ کرو؟ جب اللہ تعالیٰ بندے کو اس کی حجت سکھا دے گا۔ تو وہ بندہ کہے گا:اے میرے پروردگار! میں نے تجھ پر بھروسا کیا تھا اور لوگوں سے ڈر گیا تھا
--------------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2542

inmein se kaun se kalimaat ke zariye se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Hifazat aur Aafiyat ki dua kiya karte thy
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: inmein se kaun se kalimaat ke zariye se Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Hifazat aur Aafiyat ki dua kiya karte thy?
A: Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor
B: Adhhibil basa, Rabban Naas, Washfi Antash-shafi, La Shifa’a illa shifa’uka Shifa’an La Yughadiru Saqama
C: Allahumma inni Asaluka An Taj'al Kulla Qada'in Qadaytahu Li Khairan
D: Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
E: A’oodhu Bikalimatillahi-Tammatti Min Kulli Shaytaanin Wa Hammatin Wamin Kulli ‘Aynin Lammatin
F: Allahumma inni Aawuzubika an Ushrika Bika WA Ana Aalam, Wa Astagfiruka Limaa Laa Aalam
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**************
Sahi Jawab - B✅
Reference📚:
-----------------
Nabi Akram Sallallahu Alaihi wasallam un kalimaat ke zariya hifazat o Aafiyat ki dua karte thy « أَذْهِبِ الْبَاسَ رَبَّ النَّاسِ وَاشْفِ أَنْتَ الشَّافِي لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا» Adhhibil basa, Rabban Naas, Washfi Antash-shafi, La Shifa’a illa shifa’uka Shifa’an La Yughadiru Saqama..Eh logon ke RABB! Beemari durr kar de, aur Shifa de, tu he Shifa dene wala hai, Shifa to bas teri hi Shifa hai, tu aisi Shifa inayat farma ke koi beemari baqi nah rahe. Jab Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki woh beemari sakht ho gayi jis mein Aap ka inteqaal huwa, to Mein Aap ka haath pakar kar Aap ke jism par pharti thi, aur yeh kalmaat kehti jati thi, to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny apna haath mere haath se nikaal liya, aur farmaya :«اللهم اغفر لي وألحقني بالرفيق الأعلى» Eh Allah ! Mujhe bakhash de, aur Rafeeqe aala se mila de yahi aakhri kalma tha jo mein ny Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna.
---------------
It was narrated that ‘Aishah said: “The Prophet (ﷺ) used to seek refuge using the following words: ‘Adhhibil-ba’s, Rabbin-nas, washfi Antash-shafi, la shifa’a illa shifa’uka, shifa’an la yughadiru saqaman (Take away the affliction, O Lord of mankind, and grant healing, for You are the Healer and there is no healing that leaves no sickness).’ When the Prophet (ﷺ) fell sick with the sickness that would be his last, I took his hand and wiped it over his body and recited these words. He withdrew his hand from mine and said: ‘O Allah, forgive me and let me meet the exalted companions (i.e., those who occupy high positions in Paradise).’ Those were the last words of his that I heard.”
---------------
Sahih Hadees
Sunnan e Ibn e Maja Hadees # 1619

Aur Gunah aur Zulm par madad na karo
Bismillahirrahmannirrahim
وَلَا تَعَاوَنُوا عَلَى الْإِثْمِ
----
Aur Gunah aur Zulm par madad na karo
----
اورگناہ اور ظلم پر مدد نہ کرو
----
और गुनाह और ज़ुल्म पर मदद ना करो
----
Do Not Help One Another Towards SIN
----
Surah Al-Ma'ida: (05:02)
Kaunsa taqqabur Allah Subhanahu ko pasand hain
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Jawab ek se ziyada hai!
Sawal: Kaunsa taqqabur Allah Subhanahu ko pasand hain
A: Sadqa dete waqt khushi se itrana
B: wo Namazi jo panch waqt ki namaz masjid mein adda kare aur khushi mehsoos kare yh khushi se itraye
C: Allah Subhanahu ke zikr ki majlis mein baithne wala aur khushi se itrane wala
D: Quran ki achchi tarah tilawat karna aur khushi mehsos karna
E: Ilm hasil karne wala aur apne ilm par itrana
F: Jung ke dauran jihad karte waqt itrana
G: Sarhad par pehrah dena aur usper itrana
H: Sahi Jawab ka Intezaar
************
Sahi Jawab - AF✅
Reference📚:
-------
Nabi Akram Salallahu Alahi wasallam farmatay thy Ek ghairat woh hai jisay Allah pasand karta hai, aur doosri ghairat woh hai jisay Allah napasand karta hai, rahi woh ghairat jisay Allah pasand karta hai to woh shak ke maqamat mein ghairat karna hai, rahi woh ghairat jisay Allah napasand karta hai woh shak ke ilawa mein ghairat karna hai, aur taqqabur mein se aik woh hai jisay Allah napasand karta hai aur dosra woh hai jisay Allah pasand karta hai, pas woh taqqabur jisay Allah pasand karta hai woh larai ke douran aadmi ka kafiroon se Jihaad karte waqt taqqabur karna aur itrana hai, aur sadqa dete waqt is ka khushi se itrana hai, aur woh taqqabur jisay Allah napasand karta hai woh zulm mein taqqabur karna hai, aur Moosa ki rivayet mein hai : fakhr o mubabad mein taqqabur
karna hai
------------
Narrated Jabir ibn Atik: The Prophet (ﷺ) said: There is jealousy which Allah loves and jealousy which Allah hates. That which Allah loves is jealousy regarding a matter of doubt, and that which Allah hates is jealousy regarding something which is not doubtful. There is pride which Allah hates and pride which Allah loves. That which Allah loves is a man's pride when fighting and when giving sadaqah and that which Allah hates is pride shown by oppression. The narrator Musa said: "by boasting."
-------------
Grade : Hasan (Al-Albani)
Reference : Sunan Abi Dawud 2659
In-book reference : Book 15, Hadith 183
English translation : Book 14, Hadith 2653

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho
Surah Al Ikhlas sawab mein ek teehaii Quran padne ke barabar hain
Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Surah Al Ikhlas sawab mein ek teehaii Quran padne ke barabar hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya (Qul Hu Wallahu Ahad)(yani Surah Al-Ikhlas) sawab mein teehaii Quran ke barabar hain
-----
بسم الله الرحمن الرحيم
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAH us-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
-----
Surah Al-ikhlas (112)
-----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: «قل هو الله أحد» ( یعنی سورۃ الاخلاص ) ( ثواب میں ) تہائی قرآن کے برابر ہے ۔
-----
It was narrated that Anas bin Malik said: The Messenger of Allah(ﷺ) said: Qul Huwa Allahu ahad [Say: He is Allah, (the) One] is equivalent to one third of the Quran.
-----
بسم الله الرحمن الرحيم
قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAH us-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him.
Surah Al-Ikhlas, 112
------
Sunnan e Ibn e Maja#3788-Sahih
Subscribe to:
Posts (Atom)
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Fajar ki Namaz ke baad padhne ki dua..Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr wa min fitnatil-Qabri. -...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Insan ka bure hone ka saboot kaise pata chalta hain A: Mazlum ki madad na karna B: Maal ki zakat ada na kar...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Insan kab tak yani kis waqt tak bhalayee per rahenge A: jab tak wo sila rehami karte rahenge B: jab tak w...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne kis ke liye farmya ke yh har musalmaan par haq hain A: Nikah kar...
-
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Allah Subhanahu ke naam ke muqable mein koi cheez bhaari nahi ho sakti {أَشْهَدُ أَنْ ل...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz 942❗ Sawal: Dhokha dene wala Qayamat ke din kaise pehchana jayega? A: wo sabse ziyada khauff mein mubtala hoga B: w...
-
Bismillahirrahmannirrahim Museebat ya pareshani ke waqt padhne ki dua ------ Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki kya main...
-
❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗ Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke liye farmaya samjho ke wo gharaat hogaya? A: Joh Husn ...