Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 7 June 2023

Baqi rehne wali nekiya hain SubhanAllah, Alhumdullilah, La ilaha illAllah, Allahu Akbar, La haula wala quwaata illah billah

 





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Baqi rehne wali nekiya hain SubhanAllah, Alhumdullilah, La ilaha illAllah, Allahu Akbar, La haula wala quwaata illah billah
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne mere wudu ki terhan wudu kiya aur phir khada huwa aur Namaz-e Zohar ada ki, is ke wo gunah bakhash diye jayenge jo iss Zohar aur Fajar ke darmiyan honge, phir jab wo Asar ki namaz padhega to Asar aur Zohar ke darmiyan wale gunah maaf kar diye jayenge, jab wo Maghrib padhega to iss namaz aur Asar ki namaz ke darmiyan wale gunah bakhash diye jayenge, jab wo Isha padhega to Isha aur Maghrib ke darmiyan wale gunah bakhash diye jayenge, phir mumkin hai ke wo raat guzare aur ulat palat hota rahegq, phir jab utthega aur wudu kar ke Namaz-e Fajar ada karega to iss namaz aur Isha ki Namaz ke darmiyan ke gunah bakhash diye jayen, ye Neikiyan hain, jo buraiyon ko mita deti hain. logon ne kaha : ye to neikiyan hain, baqi rehne wali cheeze kaun si hain, Eh Usmaan RadiAllahu Anhu unhon ne kaha : wo ye azkar hain: La ilaha illAllah, SubhanAllah, Alhumdullilah, Allahu Akbar, La haula wala quwaata illah billah.
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جس نے میرے وضو کی طرح وضو کیا اور پھر کھڑا ہوا اور نمازِ ظہر ادا کی، اس کے وہ گناہ بخش دیئے جائیں گے جو اِس ظہر اور فجر کے درمیان ہوں گے، پھر جب وہ عصر کی نماز پڑھے گا تو عصر اور ظہر کے درمیان والے گناہ معاف کر دیئے جائیں گے، جب وہ مغرب پڑھے گا تو اِس نماز اور عصر کی نماز کے درمیان والے گناہ بخش دیئے جائیں گے، جب وہ عشا پڑھے گا تو عشا اور مغرب کے درمیان والے گناہ بخش دیئے جائیں گے، پھر ممکن ہے کہ وہ رات گزارے اور الٹ پلٹ ہوتا رہے، پھر جب اٹھے گا اور وضو کر کے نمازِ فجر ادا کرے گا تو اِس نماز اور عشا کی نماز کے درمیان کے گناہ بخش دیئے جائیں، یہ نیکیاں ہیں، جو برائیوں کو مٹا دیتی ہیں۔  لوگوں نے کہا: یہ تو نیکیاں ہیں، باقی رہنے والی چیزیں کون سی ہیں، اے عثمان!؟ انھوں نے کیا:  وہ یہ اذکار ہیں: لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ، سُبْحَانَ اللّٰہِ، اَلْحَمْدُ لِلّٰہِ، اَللّٰہُ أَکْبَرُ،لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّۃَ اِلَّا بِاللّٰہِ
----
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Reciting SubhanAllah, Alhumdullilah, La ilaha illAllah, Allahu Akbar, La haula wala quwaata illah billah are deeds which will always remain...
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever performs ablution like my ablution and then stands up and prays the Zuhr prayer, his sins will be forgiven between this Zuhr and Fajr, then when he performs the Asr prayer, the Asr and Zuhr prayers will be forgiven. The sins in between will be forgiven, when he prays Maghrib, the sins between this prayer and the Asr prayer will be forgiven, when he prays Isha, the sins between Isha and Maghrib will be forgiven, then possible. He should spend the night and keep tossing and turning, then when he gets up and performs ablution and performs the Fajr prayer, then the sins between this prayer and the Isha prayer should be forgiven. These are good deeds that erase bad deeds. People said: These are good deeds, what are the remaining things, O Usman RadiAllahu Anhu He did: They are these Azkar:  La ilaha illAllah, SubhanAllah, Alhumdullilah, Allahu Akbar, La haula wala quwaata illah billah.
----
Musnad Ahmed#1013-Sahih
https://youtube.com/shorts/E7VmHAOUwek?feature=share4


No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...