Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 11 June 2023

Aise Azkar jiske padhne se 12 farishte daud padhte hain iss kalme ka sawab likhne..



Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Aise Azkar jiske padhne se 12 farishte daud padhte hain iss kalme ka sawab likhne..
--
Hazrat Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke ek aadmi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke peeche namaz padhi aur kaha

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً
Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa Asila

Allah bahut bada hai aur uske liye bahut zyada tarefein hain Allah ki zaat paak hain, mein subah shaam uski paaki bayan karta hu

Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ye kalimat kis ne kahe the ek aadmi ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam meine, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ki Qasam! 12 farishte be waqt in kalimat ki taraf lapke the (har ek ki khwahish thi ke wo in kalimat ko Allah Subhanahu ke huzoor pesh kare)
Sunan Nasaii,886-Sahih
-
ابن عمر رضی الله عنه سے روایت ہے کی ایک شخص نے نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم کے پیچھے کھڑے ہو کر پڑھا: اللہ أكبر كبيرا والحمد لله كثيرا وسبحان اللہ بكرة وأصيلا‏ اللہ بہت بڑا ہے اور اسی کے لیے بہت زیادہ تعریف ہیں اللہ کی ذات پاک ہے میں صبح و شام اس کی پاکی بیان کرتا ہوں تو نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے پوچھا:  یہ کلمے کس نے کہے ہیں؟  تو اس آدمی نے عرض کیا: اللہ کے نبی! میں نے، تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  میں نے بارہ فرشتوں کو اس پر جھپٹتے دیکھا
---
It was narrated from Abdullah bin Umar RadiAllahu Anhu that: A man stood behind the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  and said: 

اللَّهُ أَكْبَرُ كَبِيرًا وَالْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا وَسُبْحَانَ اللَّهِ بُكْرَةً وَأَصِيلاً

Allahu Akbar kabira wal-hamdu Lillahi kathira, wa subhan-Allahi bukratan Wa-Asila 

Allah is Most Great and much praise be to Allah and glorified be Allah at the beginning and end of the day.

The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: "Who spoke these words?" A man said: "I did, Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam  said Twelve angels rushed (to take them up).
Sunan Nasaii,886-Sahih
https://youtube.com/shorts/hMpGODra5ko?feature=share


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...