Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday 9 August 2020

Adam Alaihi Sallam) ke qaum mein 1000 mein se 999 afraad ko Jahannum mein dhakil karne ka hukum aur Ek ko Jannat mein dhakil karne ka hukum


Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Adam Alaihi Sallam) ke qaum mein 1000 mein se 999 afraad ko Jahannum mein dhakil karne ka hukum aur Ek ko Jannat mein dhakil karne ka hukum------Syedna Abu Darda RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din Allah Subhanahu taala Adam Alaihi sallam se farmaiye ga tum utho aur apni Aulaad ke har (1000) hazaar afraad mein se (999) navso ninanway Aadmi Jahannum ke liye aur Ek Jannat ke liye allag kardo yeh sun kar tamam Sahaba karaam ajmaeen RadiAllahu Anhu Rone lag gaye  Iss ke baad Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya apne sir upar uttaya, is zaat ki qasam jis ke haath mein Meri yh jaan hai! Doosri ummaton ke muqablay mein meri ummat ki misaal aissi hai jaise siyah bail ki jild par ek safaid baal ho yeh sun kar sahaba ka gham kuch halka huwa------سیدنا ابو درداء  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے کہ نبی کریم  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا: قیامت کے دن اللہ تعالیٰ آدم علیہ السلام  سے فرمائے گا: تم اٹھو اور اپنی اولاد کے ہر ہزار افراد میں سے نو سو ننانوے آدمی جہنم کے لیے اور ایک جنت کے لیے الگ کردو۔  یہ سن کر تمام صحابہ کرام رضی اللہ عنہم اجمعین رونے لگ گئے، اس کے بعدرسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے ان سے فرمایا: اپنے سر اوپر اٹھاؤ، اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میر ی جان ہے! دوسری امتوں کے مقابلے میں میری امت کی مثال ایسے ہے، جیسے سیاہ بیل کی جلد پر ایک سفید بال ہو۔  یہ سن کر صحابہ کا غم کچھ ہلکا ہوا۔ -----Musnad Ahmed#12492-Sahih
 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...