Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Achchi aur buri tareef ke zariye se Insan Jannat walon aur Jahannum walon ya naiko karon aur badkaaron ko pehchan sakta hain
-------
Syedna Zaheer Saqfi RadiAllahu Anhu se riwayat hai wo kehte hain mein ne Taif mein nabao maqam par Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ko yeh farmatay huwe suna Logo! beshak qareeb hai ke tum Jannat walon aur Jahannum walon ya naiko karon aur badkaaron ko pehchan lo. Ek bande ny kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam woh kaisay? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ny farmaya buri aur achi tareef ke zariye, darasal tum ek dusre par gawahi dene mein Allah Subhanahu taala ke gawah ho .
-----
۔ سیدنا زہیر ثقفی رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے طائف میں نباوہ مقام پر نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا: لوگو! بیشک قریب ہے کہ تم جنت والوں اور جہنم والوں یا نیکوکاروں اور بدکاروں کو پہچان لو۔ ایک بندے نے کہا: اے اللہ کے رسول! وہ کیسے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: بری اور اچھی تعریف کے ذریعے، دراصل تم ایک دوسرے پر گواہی دینے میں اللہ تعالیٰ کے گواہ ہو۔
------
Musnad Ahmed#10032-Sahih
No comments:
Post a Comment