Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse Achche Amal ki taufeeq deta hai…
-----
Umar Jamee RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Allah Subhanahu taala apne bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh woh usse istemaal kar leta hai qoum mein se ek aadmi ne poocha usay istemaal karta hai, is se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala usay maut se pehlay achay Amal ki taufeeq de deta hai, phir usse isi haalat mein maut de deta hai.
-----
عمر جمعی رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جب اللہ تعالیٰ اپنے بندے کے ساتھ بھلائی کا ارادہ کرتا ہے تووہ اسے استعمال کر لیتا ہے۔ قوم میں سے ایک آدمی نے پوچھا: اسے استعمال کرتا ہے، اس سے کیا مراد ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اسے موت سے پہلے اچھے عمل کی توفیق دے دیتا ہے، پھر اسے اسی حالت میں موت دے دیتا ہے۔
-----
Musnad Ahmed#2983-Sahih
No comments:
Post a Comment