Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 17 June 2020

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek aadmi ko quran ki ek surat padhte huwe sunaa aur farmane lage Jannat wajib hogayi

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne ek aadmi ko quran ki ek surat padhte huwe sunaa aur farmane lage Jannat wajib hogayi

Wo kaunsa surah yh ayat tilawat kar raha tha

A: Ayat Al Kursi
B: Surah Fatiha
C: Surah Kafiroon
D: Surah Ale Imran ki shuru ki 10 ayat
E: Surah Al Kahaf ki shuru ki 10 ayat
F: Surah Baqrah ki akhiri do aayat
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

************

Sahi Jawab G✅(Surah Ikhlas)

Jannat wajib karne wala Surah

Reference📚:
---‐---
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat haibke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne ek aadmi ko Surah Ikhlas padhte huwe suna to farmaya :' ' Wajib ho gayi.' ' Mein neh arz kiya, kya Wajib ho gayi? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya :' "Jannat"

❗Ek baar sabhi Surah Al Ikhlas padh lijiye

بسم الله الرحمن الرحيم

قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ اللَّهُ الصَّمَدُ لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُن لَّهُ كُفُوًا أَحَدٌ

Qul Hu Wallahu Ahad, ALLAHus-Samad, Lam Yalid walam Yulad, Walam Yakul-lahu Kufuwan Ahad
-------
Kah do Wo ALLAH Ek hai, ALLAH beniyaz hai, Na uski koi Aulad hai aur na wo kisi ki Aulad hai, Aur uskey barabar ka koi nahi hai
------
Say He is ALLAH , the One and Only ALLAH , the Eternal, He begets not, nor was He begotten.And there is none like unto Him. 
Surah Al-ikhlas (112)
------
ابوہریرہ ؓ سے روایت ہے کہ نبی صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے ایک آدمی کو سورۂ اخلاص پڑھتے ہوئے سنا تو فرمایا :’’ واجب ہو گئی ۔‘‘ میں نے عرض کیا : کیا واجب ہو گئی ؟ آپ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جنت ۔‘‘      ، رواہ مالک و الترمذی و النسائی ۔ 
-----
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh#2160

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...