❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: wo kaunsi aadat hai ke jab Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam ko pata chalti toh wo apni taraf se aaraz kar lete jab tak unko maloom na hojata ke uss shaqs ne tauba kar li hain?
A: Zinakar
B: Sood khor
C: Gaali galoch karne wala
D: Jhoot bolne wala
E: Allah se kinara kaash rahne wala
F: Chugalkhor
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*****************
Sahi Jawab - D✅
Reference📚:
-----
Aisha RadiAllahu Anhu se riwayat hai kehti hain ke Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam ko Jhoot se ziyada koi aadat buri nahi lagti thi. Aap ko jis sahabi ke baarey mein aisi koi baat pata chalti to Aap apni taraf se is se aaraz karte ( bachte ) hatta ke aap ko maloom ho jata ke is ne tauba kar li hai
------
عائشہ رضی اللہ عنہا سے مروی ہے کہتی ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کو جھوٹ سے زیادہ کوئی عادت بری نہیں لگتی تھی۔ آپ کو جس صحابی کے بارے میں ایسی کوئی بات پتہ چلتی تو آپ اپنی طرف سے اس سے اعراض کرتے(بچتے) حتی کہ آپ کو معلوم ہو جاتا کہ اس نے توبہ کر لی ہے
------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 166
Alhumdulillah beautifully designed Islamic Images in Arabic, Azkar Quran Short Ayat Dua.
Islamic Images
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmanirrahim Jannat kahti hai ki YA ALLAH isko jannat mein dakhil farma ----------------- Rasool-Al...
-
Bismillahirahmanirrahim Wa antum fa JazakAllahu khairan --- Aur aapko bhi Allah aapko bhi achcha Sila ataa farmaye --- And you ...
-
Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...
-
Bismillahirrahmannirrahim اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur awrati, wa amin raw'ati ----- Eh Allah Mere A...
No comments:
Post a Comment