Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 19 February 2020

Kaunse shaqs ke liye Rasool-Allah Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya ke goya tumne uski garden toar di?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye Rasool-Allah Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya ke goya tumne uski garden toar di?

A: Qata taluq karne wala
B: Riyakari karne wala
C: Behas aur takrar karne wala
D: Muh par tareef karne wala 
E: Peeth peehche burai karne wala
F: Momeen bhai par hasad karne wala
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

***************

Sahi Jawab - D✅

Reference📚:
-----
Nabi Kareem Salalahu Alahi Wasallam ki majlis mein ek shakhs ka zikar aaya to ek dosray shakhs ne un ki mubaligha se tareef ki to Nabi Kareem Salalahu Alahi Wasallam ne farmaya ke afsos tum ne apne saathi ki gardan toar di. Nabi Kareem Salalahu Alahi Wasallam ne yeh jumla kayi baar farmaya, agar tumahray liye kisi ki tareef karni zaroori ho to yeh kehna chahiye ke mein is ke mutaliq aisa khayaal karta hon, baqi ilm Allah ko hai woh aisa hai. agar is ko yeh maloom ho ke woh aisa hi hai aur yun nah kahe ke woh Allah ke nazdeek achha he hain. Khalid se yun rivayat ki arrey teri kharabi tu ne is ki gardan kaat daali. 
----
Narrated Abu Bakra: A man was mentioned before the Prophet (ﷺ) and another man praised him greatly The Prophet (ﷺ) said, "May Allah's Mercy be on you ! You have cut the neck of your friend." The Prophet (ﷺ) repeated this sentence many times and said, "If it is indispensable for anyone of you to praise someone, then he should say, 'I think that he is so-and-so," if he really thinks that he is such. Allah is the One Who will take his accounts (as He knows his reality) and no-one can sanctify anybody before Allah." (Khalid said, "Woe to you," instead of "Allah's Mercy be on you.")
----
Reference : Sahih al-Bukhari 6061
In-book reference : Book 78, Hadith 91
USC-MSA web (English) reference : Vol. 8, Book 73, Hadith 87

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...