Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday 10 February 2020

kaunse shaqs ke liye Allah Subhnahu na Jannat halal karenge na dozakh haram karenge?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: kaunse shaqs ke liye Allah Subhnahu na Jannat halal karenge na dozakh haram karenge?

A: jab ladde toh badzubani per utar aaye
B: logo ko hasane ke liye jhoot bolne wala
C: Ahad karne par ahad ko pura na karne wale
D: Jahannum ka zikr anne par Jahannam se panah nahi mangte hain
E: Jannat ka zikr aane par jannat nahi mangte hain
F: Halal ko halal aur haram ko haram nahi samjhne wale
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

❗Note agar jawab G hai toh apna sahi jawab likhiye

----------------

Sahi Jawab - G✅ (Namaz mein ghuroor o taqqabur ki wajah se teh band thakno se neechay latkane wale)

Reference📚:
-------
ibn Mas'ud RadiAllahu Anhu ne Rasool-Allah Sallalahu Alahi waSallam ko farmatay suna jo shakhs Namaz mein ghuroor o taqqabur ki wajah se apna teh band ( thakno se neechay) latkayega ga to Allah Subhanahu taala na is ke liye Jannat halal karega, na is par Dozakh haraam karega ya na is ke gunah bakhshay ga aur na usay buray kamon se bachaaye ga.
------------
Narrated Abdullah ibn Mas'ud: I heard the Messenger of Allah (ﷺ) say: He who lets his garment trail during prayer out of pride, Allah, the Almighty, has nothing to do with pardoning him and protecting him from Hell.
----------
Grade : Sahih (Al-Albani)
Reference : Sunan Abi Dawud 637
In-book reference : Book 2, Hadith 247
English translation : Book 2, Hadith 637

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...