Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 17 August 2020

Juma ki raat surah Al-kahaf padhni ki fazilat




Bismillahirrahmannirrahim

Juma ki raat Surah Al-Kahaf padhne ki fazeelat
----
Abu Saeed Khudri RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jisne Juma ki raat Surah Kahaf padhi uske aur baitullah ke darmiyan Noor ki roshni ho jati hain
 (Note: Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hain)

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan
----
ابوسعید خدری رضي اللہ تعالی عنہ بیان کرتے ہیں کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جس نے جمعہ کی رات سورۃ الکھف پڑھی اس کے اور بیت اللہ کے درمیان نورکی روشنی ہوجاتی ہے
------
Narrated by Abu Saeed Al-Khudri RadiAllahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said whoever reads Surah Al Kahaf on the night of Friday, will have a light that will stretch between him and the Ancient House (The Kabah).

Saheeh Al-Jaami, 6471, Sunan Al-Daarimi, 3407-Sahih
Al Baihiqi, Subbul Iman 2231-Hasan

Allahumma Salle Ala Muhammed





Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

✦ Allahumma Salle Ala Muhammed
----
✦ Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par
--------
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر
-------
✦ एह अल्लाह रहमत नाज़िल फरमा मुहम्मद सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  पर
-----
✦ Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam
 

Jab tak Banda Durud padhta hai Farishtein Uske liye rahamt ki duayein Karte rahte hai




Bismillahirrahmanirrahim

✦Mafhum e Hadith: Jab tak Banda Durud padhta hai Farishtein Uske liye rahamt ki duayein Karte rahte hai
------
إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا

✦ Al Quran : Beshak Allah subhanahu aur uske farishte Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam par durud bhejte hain, Eh imaan walo tum bhi un par durud aur salam bheja karo. 
Al Quran, Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

✦Amir bin Rabia Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi mujh par durud bhejta hai to farishte us waqt tak uske liye rahmat ki duayein karte rahte hain jab tak wo mujh par durud padhta rahta hai , ab bande ki marzi Hain ke wo kam padhe ya zyada.
Masnad Ahmed Hadees # 5715-Sahih
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed
--------------
القرآن:بیشک اللہ اور ا س کے فرشتے نبیِ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم پر درود بھیجتے رہتے ہیں ، اے ایمان والو! تم ( بھی ) اُن پر درود اور سلام بھیجا کرو
سورة الا حزاب(۳۳) آیت ٥٦ 

  عامر بن ربیعہ  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے  روایت ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا جب کوئی مجھ پر  درود  بھیجتا ہے تو فرشتے اس وقت تک اس کے لیے  رحمت کی  دعائے کرتے رہتے ہیں  جب تک وہ مجھ پر درود پڑھتارہتا ہے  اب بندے کی مرضی ہے کہ وہ کم پڑھے یا زیادہ۔ 
مسند احمد ۵۷۱۵ صحیح
اللَّهُمَّ صل على مُحمد و على آل محمد
--------------
✦ अल कुरान : बेशक अल्लाह सुबहानहु और उसके फ़रिश्ते नबी सल अल्लाहु अलैहि वसल्लम पर दुरुद भेजते हैं , एह ईमान वालो तुम भी उन पर दुरुद और सलाम भेजा करो 
सुरह अल-अहज़ाब (33) , आयत 56

✦ रसूल -अल्लाह सल्लल्लाहु अलहै  वसल्लम ने फ़रमाया जब कोई मुझ पर दुरुद भेजता है तो  फ़रिश्ते उस वक़्त तक उसके लिए रहमत की दुआएं करते रहते हैं जब तक वो मुझ पर दुरुद पढता रहता है अब बन्दे की मर्ज़ी हैं के वो कम पढ़े या ज़्यादा 
मसनद  अहमद  हदीस  # 5715-सही
✦ अल्लाहुम्मा सल्ली अला  मुहम्मद वा आली मुहम्मद
----------
✦Al Quran : Verily ! Allah and His angels send blessings on the Prophet ( Sallallahu Alaihi Wasallam): O you who believe! Send your blessings on him, and salute him with all respect. 
Surah Al-Ahzab (33), Aayah 56

✦ Narrated by Amir bin Rabia radi Allahu Anhu that Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam said the angels will continue  send blessing for the one who send blessing on me, as long as he continues to do so, now its up to the the servant, either he reduce or increase this. 
Masnad Ahmed Hadees # 5715-Sahih
✦ Allahumma Salli Ala  Muhammed Wa Aali Muhammed

 

Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse Achche Amal ki taufeeq deta hai…



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah SubhanAllah jab bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh usse Achche Amal ki taufeeq deta hai…
-----
Umar Jamee RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab Allah Subhanahu taala apne bande ke saath bhalai ka iradah karta hai toh woh usse istemaal kar leta hai qoum mein se ek aadmi ne poocha usay istemaal karta hai, is se kya muraad hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu taala usay maut se pehlay achay Amal ki taufeeq de deta hai, phir usse isi haalat mein maut de deta hai.
-----
عمر جمعی  رضی اللہ عنہ  سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  جب اللہ تعالیٰ اپنے بندے کے ساتھ بھلائی کا ارادہ کرتا ہے تووہ اسے استعمال کر لیتا ہے۔  قوم میں سے ایک آدمی نے پوچھا:  اسے استعمال کرتا ہے، اس سے کیا مراد ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ اسے موت سے پہلے اچھے عمل کی توفیق دے دیتا ہے، پھر اسے اسی حالت میں موت دے دیتا ہے۔   
-----
Musnad Ahmed#2983-Sahih

 

Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu



Bismillahirrahmanirrahim

✦Kalma Shahadat
-------
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu
--------
✦Main gawahii deta hu ki Allah ke siwa koi maabood nahi aur Muhammad (Sallallahualaihi wasallam)Allah ke bande aur Rasool hain
------
ترجمہ:  میں گواہی دیتا ہوں کہ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں اور گواہی دیتا ہوں کہ محمد  ( صلی اللہ علیہ وسلم )  اللہ کے بندے اور رسول ہیں 
--------
✦मैं गवाही देता हूँ की अल्लाह के सिवा कोई माबूद नही और मुहम्मद (सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ) अल्लाह के बंदे और रसूल हैं
--------
✦I bear witness that there is no God except Allah, and I bear 
witness that Muhammad is the slave and Messenger of Allah

 

Rabbi Zidni Ilman





Bismillahirrahmanirrahim

✦ ilm Hasil karne ki Qurani Dua
------------
رَّبِّ زِدْنِي عِلْمًا

✦ Rabbi Zidni Ilman
------------ 
✦ Mere RABB mujhe aur ziyada ilm ata farma
----------
میرے رب مجھے اور زیادہ علم عطا فرما
--------
मेरे रब्ब मुझे और ज़ियादा इल्म अता फरमा
------------ 
✦ My Lord ! Increase me in knowledge.
Al-Quran Surah Taha (20)#114

 

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se yh dua padha karte

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam kasrat se ye dua kiya karte thy

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
-----
Eh dilo ko phenrne wale mere dil ko tere deen par qayam rakh

Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke sahaba aur ahal o Ayal ne kaha : Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam kya Aap ko humare bare mein koi darr hain, jabke hum Aap par aur Aap ki layi ho Shariyat par Emaan laaye hain? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Beshak tamam dil Allah Subhanahu taala ke haath mein hain wo inko alat palat kar deta hain
Musnad Ahmed#8939-Sahih
-----
 ۔ سیدنا انس بن مالک ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کثرت سے یہ دعا کیا کرتے تھے: … یَا مُقَلِّبَ الْقُلُوْبِ! ثَبِّتْ قَلْبِیْ عَلٰی دِينِكَ۔(اے دلوں کو پھیرنے والے میرے دل کو تیرے دین پر قائم رکھ)۔ آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے صحابہ اور اہل و عیال نے کہا: اے اللہ کے رسول! کیا آپ کو ہمارے بارے میں کوئی ڈر ہے، جبکہ ہم آپ پر اور آپ کی لائی ہو شریعت پر ایمان لائے ہیں؟آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: بیشک تمام دل اللہ تعالیٰ کے ہاتھ میں ہیں، وہ ان کو الٹ پلٹ کر دیتا ہے۔ 
------
It is narrated on the authority of Anas bin Malik RadiAllahu Anhu that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam used to pray: 

يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ

Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak
----
O Changer of the hearts, make my heart firm upon Your religion

The companions and family of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: O Messenger of Allah! Do you have any fear about us, while we believe in you and in the law (Shariya) that you have brought? Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Verily, all hearts are in the hands of Allah, He turns them upside down.
-----
Musnad Ahmed#8939-Sahih


 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...