Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 21 April 2020

Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun hai jiske kaan se le kar kaandhey taq ka fassla saat so saal ki masafat ka hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Mahfhum e hadith ke mutabiq wo kaun hai jiske kaan se le kar kaandhey taq ka fassla saat so saal ki masafat ka hain?

✒️📚 Apna jawab khud likhe______

H: Sahi JawAab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - Arsh ko uthany wale farishton mein se ek Farishta  ✅

Reference📚:
------
Jabir RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke mujhe ijazat di gayi hai ke Allah Subhanahu taala ke arsh ko uthany wale farishton mein se ek farishte ke baare mein batao, is ke kaan se le kar kaandhey taq ka faasla saat so saal ki masafat ka hai.
----
جابر‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: مجھے اجازت دی گئی ہے کہ اللہ تعالیٰ کے عرش کو اٹھانے والےفرشتوں میں سے ایک فرشتے کے بارے میں بتاؤں ،اس کے کان سے لے کر کاندھے تک کا فاصلہ سات سو سال کی مسافت کا ہے۔
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3090

Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Momeen ka wo kaun kaunsa amal hai jiske karne wale ko maut ke baad bhi uske liye sadqa e jariya ya Eesal-e-sawab ka zariya ban jata hain?

A: wo ilm jis se log fahida utaye
B: neik aulad ka jo uske liye dua kare
C: Aulad ka apne waledain ke liye sadqa karna
D: koi darakhta lagana aur fir logo ka yh janwar ka usse fahida uthana 
E: Waledain ke liye uske faut hone ke baad hajj karna 
F: Raah-e-khuda mein tainati ki halat mein faut hona 
G: Aulad ka apne walidain ke liye astagfar karna
H: padosi se husn suluk karna

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*******************

Sahi Jawab - ABCDEFG✅

Reference📚:
------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jab koi insan mar jata hai to uska amal moquf ho jata hai (ruk jata hai) magar ten cheezon ka sawab jari rahta hai ek sadqa e jariya ka, dusra wo ilm jis se log fayda uthaye, teesra neik bachche ka jo uske liye dua kare
Sahih Muslim, Vol 4, 4223
-------
Sad bin 'Ubada Radhi allahu anhu ki Maa ka jab inteqal hua to wo unki khidmat mein mojud nahi they unhoney aakar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya, ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam meri walida ka jab inteqal hua to main unki khidmat mein hazir nahi tha, agar main koi cheez sadqa karu to us sey unhey fayda pahunch sakta hai Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, unhoney kaha main Aapko gawah banata hun mera Makhraf naam ka baag unki taraf se sadqa hai.
Sahih Bukhari, Vol 4, 2756
---------
Anas Bin Malik Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar koi musalman koi darakht lagata hai aur is darakht se koi insaan ya janwar khata hai to lagane wale ke liye wo sadqa hota hai(yani jab tak koi isme se khayega sadqe ka sawab milta rahega)
Sahih Bukhari, Vol 7, 6012
----------
 Ayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek shaksh aaya aur usney Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se pucha ki meri Maa achanak mar gayee aur waseeyat na kar saki, agar wo bolti to jarur sadqa deti, ab agar main Uski taraf se sadqa du to kya usey Sawab hai ? Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya HAAN
Sahih Muslim, Vol 3, 2326
----------
Ibn Abbbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek aurat ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se apni walid ke bare mein pucha jiska inteqal bagair hajj kiye ho gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum unki taraf se hajj karo
Sunan Nasaii, Vol 2, #545 -Sahih
-----------
Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shaksh ne Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se farmaya ki mere walid ki wafat ho gayi aur wo hajj nahi kar sakey , kya main unki janib se hajj kar sakta hu, Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya agar tumhare walid sahib par karz hota to kya tum unki taraf se wo karz ada kartey ? usney kaha ji haan to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya phir Allah subhanahu ka karz ada karney ka haq zyada hai
Sunan Nasaii, Vol 2, 550 -Sahih
-------------
Umma Aayesha Radhi allahu anhu se rivayat hai ki ek shakhsh ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se pucha ki Meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhein baat karney ka moka milta to wo kuch na kuch khairat karti ,agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhein iska sawab milega ? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , Haan milega 
Sahih Bukhari , Vol 2, 1388 
------------
Abu Hurairah Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo raah-e-khuda mein tainati ki halat mein is duniya se gaya to jo bhi ( achcha) amal wo karta tha ALLAH subhanahu uska ajar jaari farma dega aur Allah iska rizq bhi (Qabr mein) jari farma dega Aur wo Qabr ki aazmayeesh se mehfooz rahega aur ALLAh usey qayamat ke roz har tarah ke khauff aur ghabrahat se mutmaeen uthayega 
Sunan ibn Majah, Vol 2, 924-Sahih
----------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jannat mein mard ka darja buland kar diya jata hai to wo arz karta hai ye kaise hua irshad hota hai ki tumhare Aulad ke tumhare haq mein astigfar ke sabab.
Sunan Ibn majah, Jild 3, 541-Hasan

wo kaun log honge jo roze qayamat Jannat ki khusboo bhi nahi payege?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: wo kaun log honge jo roze qayamat Jannat ki khusboo bhi nahi payege?

A. Namaz mein dairi karne wale
B. Neik kaamo se rokne wale
C. Burey kaam karne ko kahne wale
D. Zina karne wale mard
E.  Naqli baal lagane wali aurtein
F.  Khula lene wali aurtein
G. Aisa shaqs jo duniyawi maal hasil karne ke liye ilm seekhe
H. Apne imamo ko qatl karne wale
I. Allah ki raah mein kharch nahi karne wale

J: Sahi Jawab ka intezaar

*****************

Sahi Jawab - FG✅

Reference📚:
------
Abu Huraira Radi Allahu anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaks aisa ilm jis ke zariye Allah Subhanahu ki razamandi hasil ki jaati hai, mahaz duniya ka maal wa matta hasil karne ke liye seekhta hai toh wo roze qayamat jannat ki khushboo bhi nahi payega.

Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 227
---------
Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain. Jo aurtein apne shohar se bina kisi wajah se khula (talaq) leti hain wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi

Jamia Tirmizi, Jild 1 , #1188, 1189-Sahih

Ek baar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye toh dehka kuch log guftagu kar rahe hai uss guftagu ko sunne par RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak ghusse se surkh hogya jaise koi anaar ka dana unke chehray par phatt gaya..

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam bahar tashreef laaye toh dehka kuch log guftagu kar rahe hai uss guftagu ko sunne par RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak ghusse se surkh hogya jaise koi anaar ka dana unke chehray par phatt gaya..

Sawal: wo guftagu kya thi jiss se sunkar RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ka chehara mubarak surkh hogaya tha?

A: Gaib ke Ilm ke baare mein
B: Taqdeer ke baare mein
C: Qayamat ke baare mein
D: Nabiyo ki wirasat ke baare mein
E: Mairaj mein Allah ke deedar ke baare mein
F: Har saal Hajj karne ke baare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

************

Sahi Jawab - B✅

Reference📚:
------
Syedna Abdullah bin Umro bin Aas RadiAllahu Anhu se rivayat hai ke RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam ek din bahar tashreef laaye aur log taqdeer ke mauzo par guftagu kar rahay thy Aap Sallalahu Alaihi Wasallam ko itna gussa aaya ke yun laga ke aanar ka dana aap Sallalahu Alaihi Wasallam ke chehray par phatt gaya hai ( yani ghusse se chehra surkh ho gaya ), phir App Sallalahu Alaihi Wasallamny farmaya tumhe kya ho gaya hai, Allah taala ki kitaab ke ek hissay ko dusray se takra rahay ho, isi wajah se tum se pehlay walay log halaak ho gaye. Syedna Abdullah ny kaha jis majlis mein RasooliAllah Sallalahu Alaihi Wasallam hotay they, is mein haazir nah honay ka itna rashk kabhi nahi huwa tha, jo is majlis ke baaray mein huwa ke kash mein is mein mojood nah hota ( taakay aap ‌Sallalahu Alaihi Wasallam ke ghusse ka misdaaq ban'nay se bach jata
----
Sahih Hadees
Musnad Ahmed Hadees # 228

Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke uska sawab us Haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal hogaya ho?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse shaqs ke liye farmaya gaya hai ke uska sawab us Haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal hogaya ho?

A. Kisi Musalman ki madada ke liye jana 
B. Khair ki baat sikhne ya shikhane ke liye masjid jana 
C. Farz namaz ke liye ghar se wudhu karke nikalna 
D. Maa Baap ki khidmat karna 
E. Khauff ke waqt Allah ki raah mein ek raat pahra dena 
F. Chasht ki 2 rakat namaz padhna 
G. Jo kisi mujahid ke ghar ki dekh bhal kare
H. Inmein se koi nahi

I. Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab "H" hai toh apna jawab likhiye

*********************
Sahi Jawab – B✅

Reference📚:

RasoolAllah SalAllahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh sirf khair ki baat sikhne ya sikhane ke liye masjid mein jaye to uska sawab us haji ke sawab ki tarah hai jiska hajj mukammal ho gaya ho
-------
RasoolAllah salalahu alaihi wasallam  said  Whoever goes to the Masjid just to learn goodness or teach others, then he will have a reward as if he has completed the Hajj pilgrimage.
-------
رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص صرف خیر کی بات سیکھنے کے لئے مسجد میں جاۓ تو اس کا ثواب اس حاجی کے ثواب کی طرح ہے جس کا حج مکمّل ہو گیا ہو 
-------
Al Mu'jam Al Kabir, Tabarani, 7346-Sahih

wo kaun hain jinhe Qayamat ke din Allah Subhanahu paak karke uthayege.

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaun hain jinhe Qayamat ke din Allah Subhanahu paak karke uthayege.

A: Jo Ilm seekhe aur amal bhi kare
B: Jo kisi marz mein mubtila ho aur ussi mein faut hojaye
C: Jo kisi mulk mein ho aur achanak hadase wali maut mein faut hojaye
D: Jo kisi tangdast ki madad kare
E: Jo apne gunaho se darta ho aur tauba karta ho
F: Jo kisi marz mein ho aur fir bhi sabr kare
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

*******
Sahi Jawab - B✅

Reference📚;
-----
Abu Umaima Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke agar koi (momin) bandah kisi marz mein mar jata (pachhar diya jata) hai toh Allah Subhanahu taala usay is se gunaaho se pak karkay uthaye ga.
----
ابو امامہ رضی اﷲ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: اگر کوئی( مومن) بندہ کسی مرض میں مر جاتا (پچھاڑ دیا جاتا)ہے تو اﷲ تعالیٰ اسے اس سے گناہوں سے پاک کرکے اٹھائے گا۔
----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3304

kisi shaqs ko aapas mein mil jol kara dena yahi sulaa kara dene se insaan darje mein kaunse se amal ke barabar hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hai!

Sawal: kisi shaqs ko aapas mein mil jol kara dena yahi sulaa kara dene se insaan darje mein kaunse se amal ke barabar hain?

A: Shaheed
B: parezgaari
C: Roze
D: Hajj
E: Sila Rehmi
F: Namaz
G: Zakat

H: Sahi Jawab ka Intezaar

************

Sahi Jawab - CFG✅

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya mein tumhe woh baat na batau jo darje mein roze, namaz aur zakat se barh kar hai? logon ne kaha kyun nahi, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam  ne farmaya aapas mein mil jol kara dena, aur aapas ki ladai aur phoot to sir mondne wali hain.
-----
Narrated AbudDarda': The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: Shall I not inform you of something more excellent in degree than fasting, prayer and almsgiving (sadaqah)? The people replied: Yes, Prophet of Allah! He said: It is putting things right between people, spoiling them is the shaver (destructive).
-----
Sahih Hadees
Sunan Abi Dawud 4919

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...