Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 30 December 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya agar koi unhe in baaton ki zamanat dede to wo unhe Jannat ki zamanat denge

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya agar koi unhe in baaton ki zamanat dede to wo unhe Jannat ki zamanat denge

❗Sawal: Wo kaun kaunse amal hain jiske karne wale ko Jannat ki zammant mil jayegi


A: Baat kare to jhoot na bole

B: Neki ka hukum de aur burai se ruk jaye

C: Amanat mein khayanat na kare

D: wada kare to wada khilafi na kare

E: Nigahen neeche rakhe

F: Apne haath roke rakho 

G: apni Sharamgaah ki hifazat karo

H: Salam mein pehal kare


I: Sahi Jawab ka intezar

************

Sahi Jawab: ACDEFG✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne in aamal karne walo ko Jannat ki zamanat di hain


Reference📚:

------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: mujhe che (6) chizon ki zamanat do mein tumhen Jannat ki zamanat deta hu, jab tum mein se koi shakhs baat kare to jhoot mat bole, aur jab us ke paas Amanat rakhi jaye to khayanat na kare, aur jab wada kare to wada khilafi na kare, apni nigahen neeche rakho, apne haath roke rakho, aur apni sharamgaah ki hifazat karo.

-----

ابو امامہ باہلی  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: مجھے چھ چیزوں كی ضمانت دو میں تمہیں جنت كی ضمانت دیتا ہوں۔جب تم میں سے كوئی شخص بات كرے تو جھوٹ مت بولے، اور جب اس كے پاس امانت ركھی جائے تو خیانت نہ كرے، اور جب وعدہ كرے تو وعدہ خلافی نہ كرے، اپنی نگاہیں نیچی ركھو، اپنے ہاتھ روكے ركھو، اور اپنی شرمگاہوں كی حفاظت كرو۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1329-Sahih

wo kaun kaunsa amal karne per shaitan uss shakhs se durr hojata hain ya uss shakhs ke pass apna thikhana nahi bana paata

 ❗ Only-Quran-Hadith-Quiz ❗

❗Jawab ek se ziyada hain

Sawal: wo kaun kaunsa amal karne per shaitan uss shakhs se durr hojata hain ya uss shakhs ke pass apna thikhana nahi bana paata

A: Bazar mein dakhil hote waqt ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
B: Ghar se nikalte waqt ye padhne se..
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La hawla wa La quwwata illa billah
C: Subah aur Shaam ke waqt teen baar Surah Al Ikhlas, Surah Al Falaq aur Surah An Nas padne se..
D: Subah aur shaam ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd, wa huwa Ala kulli shai'in qadir
E: Subah ke waqt 3 baar ye padhne se...
Allahumma bika Asbahna wa bika Amsayna, wa bika nahya wa bika namutu wa ilaik An nushur
F: Masjid mein dakhil hote waqt ye padhne se..
Aawuzu billahil-Azim, Wa bi-Wajhihil-Karim, wa Sultanihil-qadim, minash-Shaytanir-rajim
G. Bistar per late te waqt Ayat al Kursi padne de
H: Ghar mein dhakil hote waqt aur Khana khate waqt Bismillah padhne se
I: Fajar ki namaz ke baad 10 baar ye padhne se..
La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
J: Sahi jawab ka intezar
*************
Sahi Jawab - BDFGHI✅

Reference📚:

Hadith:1) Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar se nikle aur ye dua padhe
بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
Bismillahi tawakkaltu AlAllahi La haula wa La quwwata illa billah
to usse (Allah ki taraf se) kaha jata hain ki tujhe hidayat di gayee, teri kifayat ki gayee aur teri hifazat ki gayee aur shaitan us se dur ho jata hai. Aur dusra shaitan us se kahta hai ki us aadmi ke saath tera kya haal ho sakta hai jise hidayat di gayee ho, jiski kifayat ki gayee ho aur jiski hifazat ki gayee ho
Sunan Abu Dawud, jild 3, 1654-Sahih
-----
Hadith:2) Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke jis shakhs ne subah ki Namaz ke baad dus (10) martaba ye kalma kaha:
لَا إِلٰه إِلَا الله، وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْمُلك، وَلَه الْحَمْد، وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk wa lahu-l-hamd wa huwa 'ala kulli shai'in qadir
-----
Allah ke siwa koi mabud nahi hain, Wo tanha hain uska koi sharik nahi hain, ussi ke liye baadshahi hain aur ussi ke liye tarifein hain Aur wo har cheez par kudrat rakhne wala hain
Allah taala is ke liye dus (10) nekiya likhega, is ki dus (10) buraiyan mitayega aur is ke dus (10) darjaat buland karega aur is ko Aulaad Ismael Alaihi Sallam mein se do (2) gardanein aazad karne ka sawab mileyga. agar is ne shaam ke waqt isi terhan kaha to iske liye isi terhan hai aur subah hone tak ye kalimaat shaitan se rukawat honge.
Al-Silsila-tus-Sahiha#2975-Sahih
----
Hadith:3) Amr bin aas Radi Allahu anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah Sallallahau Alaihi wasallam jab masjid mein tashreef le jaate to farmate
أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ 
Main Allah ki azmat ki aur uski zaat e kareem ki aur uski qadeem badshahat ki shaitan mardud se panah chahta hu
aur jab masjid mein dakhil hone wala aadmee ye kahta hai to shaitan kehta hain ab wo mere shar se din bhar ke liye mehfooz ho gaya
Sunnan Abu Dawood Jild 1, Hadith 463-Sahih
----
Hadith 4): Rasool-Allah SallAllahu Alaihi wasallam ne farmaya ki jab bistar par leto to Aayat Al Kursi (Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Qayyum) se aakhir tak puri padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega.
Sahih Bukhari#2311Sahih
----
Hadith 5) Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar mein jata hai aur ghar mein dakhil hote waqt aur khate waqt Allah Subhanahu ka naam leta hai (yani Bismillah kehta hain) to shaitan kehta hain yaha na tumhare rahne ka thikana hain aur na khane ka. Aur jab ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam nahi leta to shaitan kahta hai tumhare rahne ka thikana mil gaya aur jab khate waqt bhi Allah ka naam nahi leta hai to shaitan kahta hai tumhare rahne ka bhi thikana mil gaya aur tumhare khane ka bhi
Sahih Muslim,Hadees#, 5262-Sahih
----
Hadith:6) Abu Dharr Radi Allahu Anhu se riwayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs fajr ki namaz ke baad do zanu hokar baitha rahe
(jis tarah tashahud mein baithta hai ) aur phir kisi se baat kiye bagair 10 baar ye padhe
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
To uske liye 10 nekiya likh di jayengi , 10 gunah maaf kar diye jayenge, 10 darjat buland kiye jayenge,
Aur us din har burayee se mehfooz rahega, Aur usko shaitan ki pahuch se dur kar diya jayega
aur usko us din shirk ke alawa koi gunah halaq nahi kar sakega
Jamia Tirmizi, Jild 2, 1399-Hasan

Monday, 21 December 2020

Kaunsa amal Allah Subhanahu ke gusse ko durr karta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsa amal Allah Subhanahu ke gusse ko durr karta hain

A: Qarz maaf karna 
B: apne gusse par qabu karna
C: logo ko maaf karna
D: sulah karana
E: logo ke aibo ko apne andar chupa lena
F: tauba astagfaar karna 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab – G✅

jo shaks poshida karke sadqa deta hain to wo Allah Subhanahu ke gusse ko durr karta hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya poshida sadqa Allah Tabarak o taala ke gusse ko durr karta hain.
----
The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: The hidden charity removes the wrath of Allah
----
رسول اللہ 
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: پوشیدہ صدقہ اللہ تبارک و تعالیٰ کے غصے کو دور کرتا ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1840-Sahih

Innmein se wo kaunsa amal hain jisse zameen mein tumahara zikr kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Innmein se wo kaunsa amal hain jisse zameen mein tumahara zikr kaha gaya hain

A: La illaha IllAllah
B: La hawla wala quwwata illah billah
C: Durood padhna
D: Namaz padhna
E: Quran padhna 
F: Ilm ki dawat dena 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*****
Sahi Jawab - E✅

Allah ka Zikr aur Quran ki tilawat karne wali ki fazeelat

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya mein tumhe Allah ke taqwe ki waseeyat karta hu kuyke ye Islam ki rehbaniyat hain aur Allah ka Zikr aur tilawat (Quran) ko lazim kar lo kyu ke ye Asman mein tumahari rooh aur Zameen mein tumhara Zikr hain
----
رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: میں تمہیں اللہ کے تقویٰ کی وصیت کرتا ہوں کیوں کہ یہ ہر عمل کی انتہا ہے اور تمہیں جہاد کی نصیحت کرتا ہوں کیوں کہ یہ اسلام کی رہبانیت ہے ۔اور اللہ کے ذکر اور تلاوت کو لازم کر لو کیوں  کہ یہ آسمان میں تمہاری روح اور زمین میں تمہارا ذکر ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2834-Sahih

Shaheed ke liye inmein se kya kya sawab hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain!

Sawal: Shaheed ke liye inmein se kya kya sawab hain?

A: Wo azab e qabr se bacha liya jata hain
B:Us ko Qayamat ke din ezzat ka taj pahnaya jayega
C: Uske sir par waqar wala taaj rakha jata hain jo dunya aur jo kuch usmein hain us se behter hain
D: Usse Imaan ka Libaas pehna diya jata hain
E: 70 Huroon se is ki shadi kar di jati hain
F: 72 gharwalo ki shifarish karega
G: Khoon ka pehla qatra girte he uski bakshish ho jati hain
H: Wo Jannat mein apna thikana dhek leta hain
I. Sahi jawab ka intezar hain
*****
Sahi Jawab - ACDGH✅

Shaheed ke liye Inamaat

Reference📚:
----
Miqdam Bin Madiyjarib Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Raool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ke waha Shaheed ke liye kuch inamaat hain
1. Khoon ka pehla qatra girte he uski bakshish ho jati hain
2. Wo Jannat mein apna thikhana dehk leta hain
3. Usse Imaan ka Libaas pehna diya jata hain
4. Bahattar (72) Huroon se is ki shadi kar di jati hain
5. Azab e qabar se bacha liya jata hain
6. Badi Ghabrahat se Aman mein rehta hain
7. Uss ke sir per waqar (izzat) ka taaj rakh diya jata hain jis ka ek yaqoot duniya aur joh kuch iss mein hain iss se behtar hain
8. Sattar (70) gharwalo ki shifarish karega 
--------------
مقدام بن معدیكربرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ كے ہاں شہید كے لئے كچھ انعامات ہیں: ١۔خون كا پہلا قطرہ گرتے ہی اسے معاف كر دیا جاتا ہے۔٢۔ وہ جنت میں اپنا ٹھكانہ دیكھ لیتا ہے۔٣۔ اسے ایمان كا لباس پہنا دیا جاتا ہے۔٤۔ (بہتر 72)حوروں سے اس كی شادی كر دی جاتی ہے۔ ٥۔ عذابِ قبر سے بچا لیا جاتاہے۔٦۔ بڑی گھبراہٹ سے امن میں رہتا ہے۔٧۔ اس كے سر پر وقار كا تاج ركھ دیا جاتاہے جس كا ایك یاقوت دنیا اور جو كچھ اس میں ہے اس سے بہتر ہے۔٨۔ اپنے ستر(70) گھر والوں كی سفارش كرے گا
----------------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1495

Thursday, 17 December 2020

Wo kaun kaunse amal hain jinko adda karne wale shakhs ke gunah maaf kardiye jaate hain chahe wo samundar ke jhaag ke barabar kuy na ho

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Sawal: Wo kaun kaunse amal hain jinko adda karne wale shakhs ke gunah maaf kardiye jaate hain chahe wo samundar ke jhaag ke barabar kuy na ho

A: Zameen per jab koi ye kalimaat kehta hain Lailaha ilallah, Subhanallah, Alhamdulillah, Allahu Akbar, laa hawla wala quwwata illah billah
B: 100 martaba Subhanallahi wabihamdihi kehne se
C: Din raat me 12 rakaat sunnat aada karne se
D: Jab bistar per aaye to ye kehne se
لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللّه
سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ
وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر
E: Jo shaks Fajar ki namaz ke baad 100 baar SubhanAllah aur 100 baar La ilaha IllAllah padhe 
F: Jo Fajar ki namaz padh kar wahi zikr kare aur 2 rakat chast ki adda kare
G: Har namaz ke baad 33 baar Subhan Allah, 33 baar Alhamdulillah, 33 baar Allahu Akbar aur ek baar ye kahne se
لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير
H: Jo shakhs chast ki 2 rakat per pabandi kare
I: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab: ABDGH ✅

Samundar ke barabar gunah maaf karne wale amal aur azkar

Reference📚
----
Abdullah bin Umro RadiAllahu anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Zameen per Jo Aadmi ye kalimat ada karta hai: Lailaha ilallah, Allahu Akbar, SubhanAllah, Alhamdulillah, la hawla wala quwwata illah billah, uske gunaah Maaf kardiye jaate hain, agarche wo samundar ki jhaag ke barabar ho 
----
Musnad Ahmed Hadees # 5445
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jis ne Subhanallahi wabihamdihi din mein 100 martaba kaha, uske Gunaah maaf kardiye jaate hin, khawah Samundar ki jhaag ke barabar he kuy na ho.
------
Sahih Bukhari Hadees # 6405
Abu Huraira RaziAllahu anhu se marwi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Jis shaqs ne apne bistar par aate huwe ye kalimaat kahe Lailaha ilallahu wahadahu laa shareeka lahu lahul mulku walahul hamdu wahuwa ala kulli shayeen qadeer, laa hawla wala quwwata illah billah, SubhanAllahi walhamdulillahi wala ilaha ilallahu wallahu akbar uske gunaah muaaf kardiye jaayenge. Agar che Samundar ki jhaag ke barabar ho.
-------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 415
Abu Huraira RaziAllahu anhu se riwayat hain ke: Jis shaqs ne har Namaz ke baad 33 martaba SubhanAllah, 33 martaba Alhamdulillah, 33 martaba Allahu Akbar kaha, yeh 99 hogaye, phir 100 pura karne ke liye kaha: Lailaha ilallahu wahadahu laa shareeka lahu lahul mulku walahul hamdu wahuwa ala kulli shayeen qadeer. To uski khataye maaf kardi jaayenge agar che Samundar ki jhaag ke barabar ho. 
-------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2955
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaks Namaz Doha (Chast) ki do rakhate per muhafizat (pabandi) karega iss ke gunah baksh diye jayenge khawa samundar ki jaagh ke barabar ho 
-----
Sunnan e Ibn e Maja#1382-Sahih

Kaunse Nabi Alaihi Sallam ne apni umar mein se kuch saal dusre Nabi ko dene ke liye Allah Subhanahu se kaha tha.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Kaunse Nabi Alaihi Sallam ne apni umar mein se kuch saal dusre Nabi ko dene ke liye Allah Subhanahu se kaha tha.

Sawal: Un dono Nabiyo ke naam kya thy?

A: Ibrahim Alaihi Sallam
B: Musa Alaihi Sallam
C: Adam Alaihi Sallam
D: Yusuf Alaihi Sallam
E: Yaqub Alaihi Sallam
F: Suleman Alaihi Sallam
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - CG✅

Adam Aalihi Sallam ki takhleeq ka waqiya

Reference📚:
-----
(Adam Alaihi Salam ki takhleeq aur Farishto ke sazda karne ke baad) Allah subhanahu ne Adam alaihi salam ke samne do muththiya bharee aur haath ko band kiya aur farmaya ki inmein se ek ko ikhtiyar kar lo, Adam alaihi salam ne dahini taraf wali Muththi ikhtiyar ki aur Allah subhanahu ke dono janib dahine hi hain , Allah subhanahu ne jab unke samne muththi kholi usmein Adam Alaihi Salam ke tamam Aulad ki tasweere thi aur har insan ke saath unki umar bhi likhi huyee thi aur Adam alaihi salam ki umar 1000 saal darj thi .
usmein se ek jamat bahut noorani thi , Adam Alaihi Salam ne pucha ki mere RABB ye kaun log hain jin par noor chaya hua hai , farmaya ye Nabiyo aur Rasoolo ki jamat hai jo mere bando ki taraf bheje jayenge us jamat mein se ek sahab Nooraniyat mein kuch zyada numaya they magar unki umar sirf 40 saal likhi thi Adam alaihi salam ne kaha ki  ye kya hai unmein se sabse zyada chamakdar aur roshan chehre wale ki umar sirf 40 saal hai farmaya yahi uski taqdeer mein likha hai.
Adam Alaihi Salam ne arz kiya Eh mere RABB meri umar mein se 60 saal kum karke unko de dijiye.Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab Allah subhanahu ne adam alaihi salam ko zameen par utara aur kuch arsa guzar jaane ke baad jabn unki rooh qaz karne malik al maut aaye to Adam alaihi salam ne farmaya Eh malik al maut tum mere paas waqt se pahle nahi aa gaye kya?
Malik al maut ne kaha ki maine aisa nahi kiya to Adam alaihi salam ne kaha abhi meri umar mein se 60 saal baqi hai Malik AL Maut ne kaha ki aapki umar mein se ab kuch baqi nahi hai apane apne RABB se darkhwast ki thi ki aapki umar mein se 60saal kam karke aapke bete dawud Alaihi salam ko de diya jaye , Adam Alaihi salam ne kaha maine aisa nahi kaha tha.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Adam Alahi salam bhul gaye aur unki aulad bhi usee tarah bhul jati hai aur Adam Alaihi salam ne inkar kiya aur unki aulad bhi isee tarah inkar karti hai , isliye Allah subhanahu Qayamat ke din (aamal namo ki) likhi huyee kitab rakhega aur gawaho ke saath faisla farmayega
Tarikh At Tabri- Jild 1, Page 107-Hasan

http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376624&hid=178

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...