Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Thursday 17 December 2020

Kaunse Nabi Alaihi Sallam ne apni umar mein se kuch saal dusre Nabi ko dene ke liye Allah Subhanahu se kaha tha.

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Kaunse Nabi Alaihi Sallam ne apni umar mein se kuch saal dusre Nabi ko dene ke liye Allah Subhanahu se kaha tha.

Sawal: Un dono Nabiyo ke naam kya thy?

A: Ibrahim Alaihi Sallam
B: Musa Alaihi Sallam
C: Adam Alaihi Sallam
D: Yusuf Alaihi Sallam
E: Yaqub Alaihi Sallam
F: Suleman Alaihi Sallam
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
********
Sahi Jawab - CG✅

Adam Aalihi Sallam ki takhleeq ka waqiya

Reference📚:
-----
(Adam Alaihi Salam ki takhleeq aur Farishto ke sazda karne ke baad) Allah subhanahu ne Adam alaihi salam ke samne do muththiya bharee aur haath ko band kiya aur farmaya ki inmein se ek ko ikhtiyar kar lo, Adam alaihi salam ne dahini taraf wali Muththi ikhtiyar ki aur Allah subhanahu ke dono janib dahine hi hain , Allah subhanahu ne jab unke samne muththi kholi usmein Adam Alaihi Salam ke tamam Aulad ki tasweere thi aur har insan ke saath unki umar bhi likhi huyee thi aur Adam alaihi salam ki umar 1000 saal darj thi .
usmein se ek jamat bahut noorani thi , Adam Alaihi Salam ne pucha ki mere RABB ye kaun log hain jin par noor chaya hua hai , farmaya ye Nabiyo aur Rasoolo ki jamat hai jo mere bando ki taraf bheje jayenge us jamat mein se ek sahab Nooraniyat mein kuch zyada numaya they magar unki umar sirf 40 saal likhi thi Adam alaihi salam ne kaha ki  ye kya hai unmein se sabse zyada chamakdar aur roshan chehre wale ki umar sirf 40 saal hai farmaya yahi uski taqdeer mein likha hai.
Adam Alaihi Salam ne arz kiya Eh mere RABB meri umar mein se 60 saal kum karke unko de dijiye.Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jab Allah subhanahu ne adam alaihi salam ko zameen par utara aur kuch arsa guzar jaane ke baad jabn unki rooh qaz karne malik al maut aaye to Adam alaihi salam ne farmaya Eh malik al maut tum mere paas waqt se pahle nahi aa gaye kya?
Malik al maut ne kaha ki maine aisa nahi kiya to Adam alaihi salam ne kaha abhi meri umar mein se 60 saal baqi hai Malik AL Maut ne kaha ki aapki umar mein se ab kuch baqi nahi hai apane apne RABB se darkhwast ki thi ki aapki umar mein se 60saal kam karke aapke bete dawud Alaihi salam ko de diya jaye , Adam Alaihi salam ne kaha maine aisa nahi kaha tha.
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Adam Alahi salam bhul gaye aur unki aulad bhi usee tarah bhul jati hai aur Adam Alaihi salam ne inkar kiya aur unki aulad bhi isee tarah inkar karti hai , isliye Allah subhanahu Qayamat ke din (aamal namo ki) likhi huyee kitab rakhega aur gawaho ke saath faisla farmayega
Tarikh At Tabri- Jild 1, Page 107-Hasan

http://library.islamweb.net/hadith/display_hbook.php?bk_no=334&pid=376624&hid=178

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...