Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 13 October 2020

Bazar mein dakhil hote waqt ye dua padhne se 10 lakh nekiya milti hain aur 10 lakh gunah maaf hote hain



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Bazar mein dakhil hote waqt ye dua padhne se 10 lakh nekiya milti hain aur 10 lakh gunah maaf hote hain
--------------
✦ Umar Radi Allahu anhu se rivayat kiya ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shakhs kisi bazar mein dakhil ho aur ye kalimat kahe to uske liye 10 lakh nekiya likh di jati hain aur uske 10 lakh gunah mita diye jate hain


لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ  وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd , wa huwa Ala kulli shayin qadir

✦ Tarjumah : Allah ke siwa koi sachch mabud nahi hai wo akela hai aur uska koi sharik nahi , usee ke liye baadshahat hai aur usee ke liye tarif hai aur wo har cheez par qadir hai
Al-Silsila-As-Sahiha, 2952 (Sheikh Albani)
Al-Mustadrak Sahihain, 1908-Hasan (Imam Hakim)
Sahi Al Targib Wa Al Tarhib, 1694 (Hafiz Ibn Hajar)
Sahi jamia Sagir, 6231 (Sheikh Albani)
------------------------------
عمر رضی الله انہو سے روایت ہے کہ رسول اللہ ﷺ نے فرمایا 
جو شخص کسی بازار میں داخل ہو اور یہ کلمات کہے تو اللہ تعالیٰ اس کے لئے دس لاکھ نیکیاں لکھ دیتا ہے اور اس کی دس لاکھ برائیاں مٹا دیتا ہے 

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

للہ کے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں، وہ اکیلا ہے اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لئے بادشاہت ہے
اور اسی کے لئے تعریف ہے اور وہ ہر چیز پر قادر ہے۔
السلسلہ صحیحہ حدیث ٢٩٥٢ 
المستدرك على الصحيحي ١٩٠٨-حسن 
صحيح الترغيب و الترهيب ١٦٩٤ 
صحيح الجامع الصغير ٦٢٣١ 
-------------
✦ उमर रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत किया की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शख्स किसी बाज़ार में दाखिल हो और ये कलीमात कहे तो उसके लिए 10 लाख नेकियाँ लिख दी जाती हैं और उसके 10 लाख गुनाह मिटा दिए जाते हैं

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ  وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ

✦ ला ईलाहा इल अल्लाह वाह्दहू ला शारिका लहू , लहु अल-मुल्क वा लहू अल-हम्द ,  वा हुवा अला कुल्ली शयईन क़दीर 

✦ अल्लाह के सिवा कोई माबूद नही, वो अकेला है उसका कोई शरीक नही , मुल्क उसी का है , और तमाम तारीफेंउसी के लिए हैं ,  और वो हर चीज़ पर कादिर है
अल-सिलसिला-अस-सहिहा, 2952 
अल-मुस्तदरक सहीहैन , 1908-हसन
सही अल तरगिब वा अल तरहिब, 1694
सही जामिया सग़ीर, 6231
---------
Narrated by Umar radi Allahu Anhu The Prophet ﷺ said: Whoever enters in the market and says below dua
Allah will record a million good deeds for him, wipe a million evil deeds away from him

لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd. wa huwa Ala kulli shayin qadir

✦There is no Lord except Allah , Alone with no partner, to Him belongs the dominion, and to Him is all the praise, and 
 and He is powerful over all things.

Al-Silsila-tus-Sahiha, 2952 (Sheikh Albani)
Al-Mustadrak Sahihain, 1908-Hasan (Imam Hakim)
Sahi Al Targib wa Al Tarhib, 1694 (Hafiz Ibn Hajar)
Sahi jamia Sagir, 6231 (Sheikh Albani)


 

Har Aadmee par Shaitan ka waswasa hota hain..

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Do Sawal hai aur pehle sawal mein jawab ek se ziyada hain


Har Aadmee par Shaitan ka waswasa hota hain..


Sawal1: wo waswasa kaun kaunsa hain


A: Bakheeli karna

B: Haq ka inkar karna

C: Ilm chupana

D: Khayanat karna

E: Wada Khilafi karna

F: Buraiee ka wada karna

G: Allah Subhanhu ke zikr se muu modna

H: Sahi Jawab ka intezaar


Sawal2: Jab Admee uss waswase ko mehsoos kare toh kya amal karne ka irshad farmaya gaya hain


A: Allah Subhanahu ka kasrat se zikr kare

B: Allah Subhanahu ki panah hasil kare

C: Allah Subhanahu se astagfaar kare

D: Neik kaam kare

E: Namaz ki pabandi kare

F: Allah Subhanahu ke raah mein karch kare

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

******

Sahi Jawab - BF/B✅


Admee par Shaitan ka waswasa hota hai aur Farishton ka bhi asar hota hai


Reference📚:

----------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Admee par Shaitan ka Asar ( waswasa) hota hai aur Farishton ka bhi asar (ilham) hota hai Shaitan ka Asar ye hai ke insan se buraiee ka wada karta hai aur Haq ko jhutlata hai aur Farishtein ka Asar ye hai ke wo khair ka wada karta hai aur Haq ko Qubul karta hai toh Jo Shaks ye hasil karen us par Allah Subhanahu ka shukr adaa karen aur Jo dusra Asar hasil karen yani Shaitan ka toh Shaitan se Allah Subhanahu ki panah hasil karen phir Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne ye aayat tilawat farmayee


الشَّيْطَانُ يَعِدُكُمُ الْفَقْرَ وَيَأْمُرُكُمْ بِالْفَحْشَاءِ

( Shaitan tumhein faqeeri se darata hai aur behayayee ka hukum deta hai)

----


Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said: Indeed the Shaitan has an effect on the son of Adam, and the angel also has en effect. As for the Shaitan, it is by threatening evil repercussions and rejecting the truth. As for the effect of the angel, it is by his promise of a good end and believing in the truth. Whoever finds that, let him know that it is from Allah, and let him praise Allah for it. Whoever finds the other then let him seek refuge with Allah from the Shaitan (the outcast) then recite: Shaitan threatens you with poverty and orders you to commit Fahisha (2:268).

------

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”آدمی پر شیطان کا اثر ( وسوسہ ) ہوتا ہے اور فرشتے کا بھی اثر ( الہام ) ہوتا ہے۔ شیطان کا اثر یہ ہے کہ انسان سے برائی کا وعدہ کرتا ہے، اور حق کو جھٹلاتا ہے۔ اور فرشتے کا اثر یہ ہے کہ وہ خیر کا وعدہ کرتا ہے، اور حق کی تصدیق کرتا ہے۔ تو جو شخص یہ پائے ۱؎ اس پر اللہ کا شکر ادا کرے۔ اور جو دوسرا اثر پائے یعنی شیطان کا تو شیطان سے اللہ کی پناہ حاصل کرے۔ پھر آپ نے آیت «الشيطان يعدكم الفقر ويأمركم بالفحشاء» ۲؎ پڑھی۔

-----

Jamia Tirmazi - 2988-Sahih

Mahfhum mukammal kijiye... Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Badgumani se bachte raho aur inn kaamo se bachte raha karo kuyke........

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se zyada hain❗


Sawal: Mahfhum mukammal kijiye... Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Badgumani se bachte raho aur inn kaamo se bachte raha karo kuyke........


A: wo burai ki taraf lejati 

B: wo aksar jhooti hoti hain

C: logo ke aibo ko talash karne ke peeche mat padho

D: Apas mein hasad na karo

E: peeth peeche burai nah karo

F: Bughz na karo

G: Aapas mein mil jhul kar raho


H: Sahi Jawab ka intezaar

*******

Sahi Jawab - BCDEFG✅


Badgumani se bachte raho kuyke badgumani aksar jhoot hoti hain....


Reference📚:

-----

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallan ne farmaya badgumani se bachte raho kyunke badgumaani ki baatein Aksar jhooti hoti hain, logon ke aib talaash karne ke peeche nah padho, aapas mein hasad nah karo, kisi ki peeth peechay buraiee nah karo, bughz nah rakho, balke sab Allah ke bande aapas mein bhai bhai ban kar raho

-----

 Narrated Abu Huraira: The Prophet said,   Beware of suspicion, for suspicion is the worst of false tales; and do not look for the others' faults and do not spy, and do not be jealous of one another, and do not desert (cut your relation with) one another, and do not hate one another; and O Allah's worshipers! Be brothers (as Allah has ordered you!  ) 

-----

نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”بدگمانی سے بچتے رہو کیونکہ بدگمانی کی باتیں اکثر جھوٹی ہوتی ہیں، لوگوں کے عیوب تلاش کرنے کے پیچھے نہ پڑو، آپس میں حسد نہ کرو، کسی کی پیٹھ پیچھے برائی نہ کرو، بغض نہ رکھو، بلکہ سب اللہ کے بندے آپس میں بھائی بھائی بن کر رہو

----

Sahih Bukhari#6064

Wo kaunsa amal hai jiske liye farmaya gaya hai ke woh haar taraf se uski hifazat karti hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo kaunsa amal hai jiske liye farmaya gaya hai ke woh haar taraf se uski hifazat karti hain


A: Eman ki hifazat

B: Sila Rehmi

C: Sabr karne per

D: Ilm hasil karne wala

E: Deen ki dawat dena

F: Masjid se jude rehna

G: SubhanAllah Alhumdullilah Laa Illaha illAllah Allahu Akbar

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka Intezaar

******

Sahih Jawab - E✅


 Deen ki dawat Momeen ki haar taraf se hifazat karti hain


Reference📚:

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya teen cheezein aise hai jinki wajah se ek muslman ka dil dhoka nahi khaa sakta 1. Amal khalis Allah Subhanahu ke liye 2. Musalmano ke Aimmah (yani ulma) ke saath khair khuwayee 3. Musalmano ki jamat se jud kar rehna kyu na ke, dawat inke charoo (haar) taraf se Ahata (yani hifazat) karti hai

----

تین چیزیں ایسی ہیں جن کی وجہ سے ایک مسلمان کا دل دھوکہ نہیں کھا سکتا، ( ۱ ) عمل خالص اللہ کے لیے ( ۲ ) مسلمانوں کے ائمہ کے ساتھ خیر خواہی ( ۳ ) اور مسلمانوں کی جماعت سے جڑ کر رہنا، کیونکہ دعوت ان کا چاروں طرف سے احاطہٰ کرتی ہے“۔ 

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said There are three with which the heart of a Muslim shall not be deceived. Sincerity in deeds for Allah, giving Nasihah to the A'immah of Muslims, and sticking to the Jama'ah. For indeed the call is protected from behind them

----

Jamia Tirmazi # 2658-Sahih

inmein se wo kaunsi dua hai jinke baare mein farmaya gaya hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua huwa karti thi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: inmein se wo kaunsi dua hai jinke baare mein farmaya gaya hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua huwa karti thi


A: Allahumma inni As’aluka emanan La yartad, Wa Naiman La yanfad

B: Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta

C: Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu

D: Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.

E: Allahumma inni zalamtu nafsi zulman kasiran wala yagfiruz-zunuba illa anta, Fagfirli magfiratan min indika wa-arhamni, innaka Antal Gafur-ArRahim.

F: Allahumma inni Aawuzubika An Ushrika Bika Wa Ana Aalam, Wa Astagfiruka Limaa Laa Aalam

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

*********

Sahi Jawab - C✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam Dua


Reference📚:

-----

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua yeah hoti thi 


(اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ)


Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu 


(Eh Allah ! Mere liye woh gunah baksh de, jo mein ne nadanista taur par kiye, jo jaan bujh kar kiye, jo makhfi taur par kiye, jo Ehlaniya taur par kiye, jo jahalat ki wajah se kiye aur jo janne bujhne ke bawajood kiye)

-----

The regular dua of the Prophet (SAW), it was: Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu (O Allah, please forgives sin for me, which I did unknowingly, that Intentionally, what I did secretly, what I did openly, what I did out of ignorance, and what I did knowingly).

-----

 ۔ سیدنا عمران بن حصین  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کی عام دعا یہ ہوتی تھی:  اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ۔(اے اللہ! میرے لیے وہ گناہ بخش دے، جو میں نے نادانستہ طور پر کیے، جو جان بوجھ کر کیے، جو مخفی طور پر کیے، جو علانیہ طور پر کیے، جو جہالت کی وجہ سے کیے اور جو جاننے بوجھنے کے باوجود کیے)۔  

-----

Musnad Ahmed#5660-Sahih

Namaz ki khoobsurti kisse kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Namaz ki khoobsurti kisse kaha gaya hain


A: Wazu

B: Surah Fatiha

C: Tahhashud

D: Dua

E: Azan 

F: Safon ko sida karna 

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*********

Sahi Jawab - F✅


Safon ka seedha karna Namaz ki khoobsurti hain


Reference📚:

--------

Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namaz mein saf seedhi kiya karo kuy na ke Saf ka seedha karna Namaz ki khoobsurti se hain.

-------

ابو ہریرہرضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نماز میں صف سیدھی كیا كرو، كیونكہ صف كا سیدھا كرنا نماز كی خوب صورتی سے ہے۔

-------

Al-Silsila-tus-Sahiha#547-Sahih

Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se kehne wala shaqs Jannat mein jayega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Wo amal kaunsa hai jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne irshad farmaya ke woh sache dil se kehne wala shaqs Jannat mein jayega


A: Durud E Ibrahim

B: Sayyadul Astagfar

C: Ayat Al Kursi

D: Surah Ikhlas

E: Allahumma Agfirlli lil momeenina wal momeenaat

F: Azaan ke Alfaaz

G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

***********

Sahi Jawab - F✅

Azan ke alfaaz ko sacche dil se dohrane wala shaqs Jannat mein jayega

Reference📚:

------

Abu Huraira RadiAllahu Anhu bayan karte hai ke hum Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath thy Bilal RadiAllahu Anhu khade hokar Azan dene lage chunache jab wo khamosh hogaye toh Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shaqs khulus Dil se yeh kalimat kahega wo jannat me jayega..

----

ابوہریرہ ؓ بیان کرتے ہیں ، ہم رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کے ساتھ تھے ۔ بلال ؓ کھڑے ہو کر اذان دینے لگے ، چنانچہ جب وہ خاموش ہو گئے تو رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جو شخص خلوص دل سے یہ کلمات کہے گا وہ جنت میں داخل ہو گا ۔‘‘

-----

Mishkat ul Masabeeh Hadees # 676-Sahih

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...