Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday 2 November 2022

Ek baar Alhumdullilahi Rabbil Aalamin kahne ki fazilat




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Ek baar Alhumdullilahi Rabbil Aalamin kahne ki fazilat
-----------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se Alhumdullilahi Rabbil Aalamin kahega (yani zuban ke saath dil se bhi iska yakeen ho ki Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hain) toh uske liye 30 nekiya likhi jayegi aur 30 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 5450- Sahih
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain
Sunan Ibn Majah, Vol1, 280-Sahih 
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا  جو کوئی دل سے الحمدلله رب العالمین  کہیگا (یعنی زبان کے ساتھ دل سے بھی اس کا  یکین ہو کی تمام تعارف الله کے لئے ہے اور وہ ہی  سارے جہاں کا پالنے والا  ہے ) تو اس کے لئے ٣٠ نیکیاں لکھی جائے گی اور  ٣٠ گناہ مٹا دیے جاینگے 
--------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا الحمد لله  کہنے سے میزان (نیکیوں سے)  بھر  جاتا ہے 
-------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said whoever says

 الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Alhumdulillahi Rabbil Aalamin
All praise and thanks is for Allah alone, the Lord of all things, from his heart, 30 deeds will be recorded for him and 30 sins will be erased from him
Masnad Ahmed 5450-Sahih 
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Alhumdullilah fils the Scale(of good deeds)
Sunan Ibn Majah, Book 1, 280- Sahih
https://pin.it/RhgHpcZ
https://www.youtube.com/DailyAzkars


 

Jo bhi hurf tum Surah Al Fatiha padh kar mangoge tumhe aata kiya jayega..



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo bhi hurf tum Surah Al Fatiha  padh kar mangoge tumhe aata kiya jayega..
--
Ek dafaa Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke paas Jibrail Alaihi Salam maujood thy ke Aap ne apne upar darwaaza khulne ki si aawaz (charcharahat) suni. Jibrail Alaihi Salam ne apni nigah upar (Aasman) ki taraf uthayi aur kaha : ye Aasman ka wo darwaaza khula hain jo kabhi nahi khula, phir is se ek Farishta utra wo Nabi Kareem SallAllahu Alaihi Wasallam ke paas aaya aur kehne laga : Aap khush ho jayen ke Allah Taala ne Aap ko do Noor ata farmaye hain jo Aap se pehle kisi Nabi ko nahi diye gaye : Fatiha Al-Kitab aur Surah Baqra ki aakhri aayaat. Aap un dono mein se jo harf bhi padhenge, wo diye jayenge 
-
حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہما سے مروی ہے کہ ایک دفعہ رسول اللہ  ﷺ  کے پاس جبریل علیہ السلام موجود تھے کہ آپ نے اپنے اوپر دروازہ کھلنے کی سی آواز ( چرچراہٹ ) سنی ۔ جبریل علیہ السلام نے اپنی نگاہ اوپر ( آسمان ) کی طرف اٹھائی اور کہا : یہ آسمان کا وہ دروازہ کھلا ہے جو کبھی نہیں کھلا ، پھر اس سے ایک فرشتہ اترا ۔ وہ نبی  ﷺ  کے پاس آیا اور کہنے لگا : آپ خوش ہو جائیں کہ اللہ تعالیٰ نے آپ کو دو نور عطا فرمائے ہیں جو آپ سے پہلے کسی نبی کو نہیں دیے گئے : فاتحۃ الکتاب اور سورۂ بقرہ کی آخری آیات ۔ آپ ان دونوں میں سے جو حرف بھی پڑھیں گے ، وہ دیے جائیں گے ۔
---
When Jibril was with the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam, he heard a sound from above like a door opening. Jibril, peace be upon him, looked up toward the sky and said: 'This is a gate in Heaven that has been opened, but it was never opened before.  He said:  An Angel came down from it and came to the Prophet Sallallqhu Alaihi wasallam and said: 'Receive the glad tidings of two lights that have been given to you and were never given to any prophet before you: The Opening of the Book (Al-Fatiha) and the last verses of Surat Al-Baqarah. You will never recite a single letter of them but you will be granted it.'
---
Sunnan e Nisai#913-Sahih
https://youtube.com/shorts/xm4xpm1CLVY?feature=share


 

Subah aur Shaam ko teen martaba padhne ki dua...Allahumma inni Auzubika minal-kufri wal-faqr, Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr, la illaha illa-ant



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Subah aur Shaam ko teen martaba padhne ki dua
-----
Abdul Al Rehman bin Abu Bakr RadiAllahu Anhu se rivayat hain wo kehte hain mein ne apne baap se kaha Eh Abba jaan! Mein aap ko har subah o shaam ko teen teen baar ye kalimaat padhte huwe sunta hu:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْکُفْرِ وَالْفَقْرِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma inni Auzubika minal-kufri wal-faqr, Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr, la illaha illa-ant

Eh Allah mein kufr aur faqr se teri panah mein aata hu, Eh Allah mein azab e qabr se teri panah mein aata hu tu he mabood barhaq hain

unhone kaha jee haan, Eh mere pyare bete Mein ne Rasool-Allah Sallalalhu Alaihi wasallam ko is kalimaat ke saath dua karte huwe suna tha aur Mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ki sunnat ki ibteda karna pasand karta hu 
-----
عبد الرحمن بن ابو بکرہ سے مروی ہے، وہ کہتے ہیں: میں نے اپنے باپ سے کہا: اے ابا جان! میں آپ کو ہر صبح و شام کو تین تین بار یہ کلمات کہتے ہوئے سنتا ہوں:

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْکُفْرِ وَالْفَقْرِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
(اے اللہ! میں کفر اور فقر سے تیری پناہ میں آتا ہوں، اے اللہ! میں عذاب ِ قبر سے تیری پناہ میں آتا ہوں، تو ہی معبودِ برحق ہے)۔ انھوں نے کہا: جی ہاں، اے میرے پیارے بیٹے! میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کو اس کلمات کے ساتھ دعا کرتے ہوئے سنا تھا اور میں آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کی سنت کی اقتدا کرنا پسند کرتا ہوں
--------
It is narrated on the authority of 'Abdul Rehman ibn Abu Bakr RadiAllahu Anhu that he said: I said to my father: O my father! I hear you say these words three times every morning and evening

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْکُفْرِ وَالْفَقْرِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
Allahumma inni Auzubika minal-kufri wal-faqr, Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr, la illaha illa-ant

O Allah I take refuge with You from disbelief and poverty, O Allah I take refuge with You from the punishment of the grave. None has the right to be worshipped except You.

He said: Yes O my dear son! I heard the Prophet of Allah Sallallahu Alaihi wasallam using these words as a supplication and I like to follow his Sunnah.
-----
Musnad Ahmed#5511-Sahih
https://youtube.com/shorts/iuezXTOTJ7Y?feature=share

*******

Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Dua to be recited every morning and evening
-----
It is narrated on the authority of 'Abdul Rehman ibn Abu Bakr RadiAllahu Anhu that he said: I said to my father: O my father! I hear you say these words three times every morning and evening

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْکُفْرِ وَالْفَقْرِ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ، لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ

Allahumma inni Auzubika minal-kufri wal-faqr, Allahumma inni Auzubika min aa’zaa-bil-qabr, la illaha illa-ant

O Allah I take refuge with You from disbelief and poverty, O Allah I take refuge with You from the punishment of the grave. None has the right to be worshipped except You.

He said: Yes O my dear son! I heard the Prophet of Allah Sallallahu Alaihi wasallam using these words as a supplication and I like to follow his Sunnah.
-----
Musnad Ahmed#5511-Sahih
https://youtube.com/shorts/1Tf-MIvnly8?feature=share



 

5waqt ki Namazain gunaaho ko is terhan khatam kar deti hain jis terhan pani mail kuchail ko khatam kar deta hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: 5waqt ki Namazain gunaaho ko is terhan khatam kar deti hain jis terhan pani mail kuchail ko khatam kar deta hain
-----
Uthman RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke unhon ne kaha ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se suna farma rahe they: Tumhara kya khayaal hain, agar tum mein se kisi shakhs ke sehan mein se ek Nahar guzar rahi ho, jis mein wo rozana paanch martaba ghusal kiya kare is par koi mail baqi rahayga? Sahaba ne kaha : kuch bhi baqi nahi rahayga. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Namazain gunaaho ko is terhan khatam kar deti hain jis terhan pani mail kuchail ko khatam kar deta hain
-----
عثمانرضی اللہ عنہ سے مروی ہے انہوں نے كہا كہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے: تمہارا كیا خیال ہے، اگر تم میں سے كسی  شخص كے صحن میں سے ایك نہر گزر رہی ہو ، جس میں وہ روزانہ پانچ مرتبہ غسل كرے، كیا اس پر كوئی میل كچیل باقی رہے گا؟ صحابہ نے كہا: كچھ بھی باقی نہیں رہے گا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: نمازیں گناہوں كو اس طرح ختم كر دیتی ہیں جس طرح پانی میل كچیل كو ختم كر دیتا ہے۔
-----
Uthman RadiAllahu Anhu narrates that I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam saying: What do you think, if a canal is passing through the yard of one of you, in which he bathes five times a day, will there be any dirt left on it? The companions said: Nothing will be left. The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Prayers remove sins in the same way that water removes dirt.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#535
https://pin.it/1x8lI7l
https://www.youtube.com/DailyAzkars


 

Jannat mein dhakil karne wala azkar... Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya ----



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jannat mein dhakil karne wala azkar... Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shaksh ne subah ke waqt ye alfaz kahe toh main uske liye iss baat ka zimmedar hu ki uska haath pakkad kar Jannat mein le jau

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا

Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya

Main raazi hu Allah ke RABB hone par, Islam ke deen hone per aur Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke Nabi hone per
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2963-Sahih
----
رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے سنا فرما رہے تھے: جس شخص نے صبح کے وقت کہا:

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا

 میں راضی ہوں اللہ کے رب ہونے پر، اسلام کے دین ہونے پر اور محمد ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کے نبی ہونے پر،
تو میں اس بات کا ذمہ دار ہوں کہ اسے ہاتھ سے پکڑ کر جنت میں لے جاؤں۔
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said, Whoever says these words when he enters the morning I guarantee that I will take hold of his hand and enter him into Paradise.

رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ نَبِيًّا

Radaitu billahi Rabba wa bil-Islami dina wa bi Muhammadin Nabiyya

I am happy with ALLAH as my Lord, Islam as my Religion and Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam as my Prophet
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 2963
https://youtu.be/mfjBP_oMiFc


 

La ilaha illAllah Jannat ki chabi hain...SubhanAllah



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: La ilaha illAllah Jannat ki chabi hain...SubhanAllah
-----
Hazrat Wahab bin Munabbia Radi Allahu Anhu se riwayat hain unhein kaha gaya kya 
"Laa illaha IllAllah " Allah ke siwa koi mabud barhaq nahi
Jannat ki chabi nahi hai, unhone kaha kyun nahi lekin har chabi ke dandane hote hain agar tum dandane wali chabi laoge to Aap ke liye usse khol diya jayega warna nahi khola jayega...(chabi ke dandane se murad hain ke La ilaha illAllah ka iqrar aur uske saath he neik amal, namaz, roza, zakat, hajj, sila rehami....)
---
 حضرت وہب بن منبہ   ؓ  سے روایت ہے ، انہیں کہا گیا ، کیا لا الہ الا اللہ ’’ اللہ کے سوا کوئی معبود برحق نہیں ۔‘‘ جنت کی چابی نہیں ؟ انہوں نے کہا : کیوں نہیں ، لیکن ہر چابی کے دندانے ہوتے ہیں ، اگر تم دندان والی چابی لاؤ گے تو آپ کے لیے اسے کھول دیا جائے گا ، ورنہ نہیں کھولا جائے گا ۔ 
---
Wahab bin Munabbia, on being asked whether La ilaha illAllah (‘There is no God but Allah’) was not the key of paradise, said, “Yes, but every key has wards. If you bring a key with wards the door will be opened for you, otherwise I it will not.”
----
Mishkat ul Masabeeh - 43 Sahih
https://pin.it/1x8lI7l
https://www.youtube.com/DailyAzkars


 

Momeen par lanat karna usay qatal karne ke barabar hain


Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Momeen par lanat karna usay qatal karne ke barabar hain
----
Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam ne farmaya jab admee apne bhai se kahe eh kafir to ye lafz usay qatl karne ke barabar hai aur momeen par lanat karna usay qatl karne ke barabar hai
---
نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب آدمی اپنے بھائی سے كہے: اے كافر، تویہ لفظ اسے قتل  كرنے كے برابر ہے۔ اور مومن پر لعنت كرنا اسے قتل كرنے كے برابر ہے۔
----
Rasool Allah Sallallahu Alahi Wasallam said When a man says to his brother: O disbeliever, this word is equivalent to killing him. And cursing a believer is equivalent to killing him
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#941
https://pin.it/1x8lI7l
https://www.youtube.com/DailyAzkars


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...