Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 17 February 2021

kaunse shakhs ke gunaho ko Allah Subhanahu itni he miqdaar mein kaffara bana dega

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz❗

Sawal: kaunse shakhs ke gunaho ko Allah Subhanahu itni he miqdaar mein kaffara bana dega

A: apni kisi pyari cheez ka sadqa karne par
B: apne neend ka sadqa dena (yani serhad par pehrah dena)
C: Allah ki raah mein jode se sadqa karne par
D: Allah ki raah mein oont saqda karne par
E: apne zuban ke zariye sadqa dene par (yani achchi baat karna ya koi ilm seekhna)
F: apne Jism ki taraf se koi cheez sadqa karne par
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab F-✅

Apne jism ki taraf se sadqa dene par Allah Subahnahu itni he miqdaar mein uske gunaho ka kaffara bana dega

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: jo shakhs apne jism ki taraf se koi cheez sadqa karega, Allah Subahnahu is ko is ke gunaaho ki itni he miqdaar ke liye kaffara bana dega.
----
۔ سیدناعبادہ بن صامت رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا:  جو شخص اپنے جسم کی طرف سے کوئی چیز صدقہ کرے گا،اللہ تعالیٰ اس کو اس کے گناہوں کی اتنی ہی مقدار کے لیے کفارہ بنا دے گا۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said: Whoever gives something out of his body in charity, Allah Subhanahu will make him an expiation for the same amount of his sins.
----
Musnad Ahmed#3615-Sahih

Kaunse sahabi ke liye irshad farmaya gaya ke tum to kashti ho

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗ 

❗Sawal: Kaunse sahabi ke liye irshad farmaya gaya ke tum to kashti ho

A: Umar RadiAllahu Anhu
B: Ali RadiAllahu Anhu
C: Safina RadiAllahu Anhu
D: Hamza RadiAllahu Anhu
E: Huzaifa RadiAllahu Anhu
F: Othman RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi 
H: Sahi Jawab ka Intezaar
**********
Sahi Jawab: C✅

Hadith: Safina RadiAllahu Anhu ki fazilat

Reference📚:
----
Safina RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hain ke hum (Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam) ke sath ek safar mein thy, jab kabhi koi aadmi thak jata to mujh par apni dhaal ya talwar daal deta, jab mein ne bohat ziyada cheeze utha li to Nabi Salallalhu Alaihi wasallam ne farmaya: tum to Safina (kashti) ho.
---
سفینہ  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ: ہم (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ) کے ساتھ ایک سفر میں تھے، جب کبھی کوئی آدمی تھک جاتا تو مجھ پر اپنی ڈھال یا تلوار ڈال دیتا، جب میں نے بہت زیادہ چیزیں اٹھالیں تو نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: تم تو سفینہ(کشتی) ہو۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3436-Sahih

Kaunse Sahabi ko apni Lakdi ke saath dafnaya gaya tha

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunse Sahabi ko apni Lakdi ke saath dafnaya gaya tha

A: Abu Ubaidah Radi Allahu anhu
B: Sufiyan Radi Allahu Anhu
C: Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu
D: Abdullah bin Unais Radi Allahu Anhu
E: Utman Radi 
 Allahu Anhu
F: Zubair Radi Allahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - D✅

Hadith: Syedna Abdullah bin Unais RadiAllahu Anhu ki fazilat

Reference📚:
------
Syedna Abdullah bin Unais RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehte hain Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe bulwa kar farmaya mujhe ittila mili hai ke Khalid bin Sufyan mujh par hamla karne ke liye logon ko jama kar raha hai, wo is waqt  Arna waadi mein hai, tum ja kar usse qatal kar do. mein ne arz kiya : Eh Allah ke Rasool! aap mujhse is ka huliya bayan farmaye taake mein usse pehchan sakoo. Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum usse dekhoge to tum par kapkapi taari ho jayegi. pas mein ne apni talwar latkai aur chal pada, jab mein Arna mein is ke paas pouncha to dekha ke is ke sath aurtain bhi theen aur wo un ke liye jagah tayyar kar raha tha, ye Asar ka waqt tha jab mein ne usse dekha to Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke bayan ke mutabiq mujh par kapkapi taari ho gayi, mein is ki taraf badha, mujhe andesha huwa ke mumkin hain ke is ke aur mere darmiyan ladai shuru hojaye aur mein Namaz na padh sakoo, is liye mein ne is ki taraf chalte chalte namaz padh li aur ishare se ruku o sajda kar liye, jab mein is ke paas pouncha to is ne poocha tum kaun ho? mein ne kaha : mein ek arab hu, suna hain ke tum is yani Mohammad ( ‌Sallallahu Alaihi wasallam) ke muqable ke liye lashkar jama kar rahe ho, mein bhi isi maqsad ke liye aaya hu is ne kaha : haan haan isi mission par hu mein kuch durr tak is ke saath saath chala, jab mujhe mauqa mila to mein ne is par talwar se waar kar ke usse qatal kar diya aur wahan se nikal aaya, mein ne is ki aurton ko is haal mein wahan chorra ke wo is par jhuki huwi theen. jab mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas aaya, aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe dekh kar farmaya : chehra kamyaab ho gaya hain mein ne arz kiya : Allah ke Rasool! mein ne usse qatal kar diya hain Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne farmaya : bilkul tum theek kehte ho is ke baad Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam mere saath uth kar chalay aur apne ghar tashreef le gaye, Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ek laathi inayat ki aur farmaya : Abdul Rahman bin Unais RadiAllahu Anhu ! usse apne paas mehfooz rakhna mein wo laathi le kar bahar logon mein aaya. unhon ne poocha : ye kaisi laathi hai? mein ne batlaya ke Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ne mujhe ye laathi inayat ki hain aur mujhe hukum diya hai ke mein usse mehfooz rakhon unhon ne kaha kya tum Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌ke paas wapas ja kar aap se is ke barre mein mazeed wazahat nahi kara lete? pas mein Rasool-Allah ‌Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat mein dobarah gaya aur mein ne arz kiya Allah ke Rasool ‌Sallallahu Alaihi wasallam ‌aap ne ye laathi mujhe kis maqsad ke liye di hain? Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat ke din ye laathi mere aur tumahre darmiyan nishani hogi, Qayamat ke din bohat kam log aisse honge jin ke paas take lagane ke liye asa wagher hoga pas Syedna Abdullah RadiAllahu Anhu ne is asa ko apni talwar ke saath bandh liya aur wo hamesha unke paas raha, yahan tak ke jab un ka inteqaal huwa to is asa ko bhi un ke kafan ke saath rakh kar dono ko dafan kar diya gaya.
----
سیدنا عبداللہ بن انیس ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے، وہ کہتے ہیں: رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے بلوا کر فرمایا:  مجھے اطلاع ملی ہے کہ  خالد بن سفیان بن نبیح مجھ پر حملہ کرنے کے لیے لوگوں کو جمع کر رہا ہے، وہ اس وقت عرنہ وادی میں ہے، تم جا کر اسے قتل کر دو۔  میں نے عرض کیا: اے اللہ کے رسول! آپ مجھ سے اس کا حلیہ بیان فرمائیں تا کہ میں اسے پہچان سکوں۔ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  جب تم اسے دیکھو گے تو تم پر کپکپی طاری ہو جائے گی۔  پس میں نے اپنی تلوار لٹکائی اور چل پڑا، جب میں عرنہ میں اس کے پاس پہنچا تو دیکھا کہ اس کے ساتھ عورتیں بھی تھیں اور وہ ان کے لیے جگہ تیار کر رہا تھا، یہ عصر کا وقت تھا۔ جب میں نے اسے دیکھا تو رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے بیان کے مطابق مجھ پر کپکپی طاری ہو گئی، میں اس کی طرف بڑھا، مجھے اندیشہ ہوا کہ ممکن ہے کہ اس کے اور میرے درمیان لڑائی شروع ہو جائے اور میں نماز نہ پڑھ سکوں، اس لیے میں نے اس کی طرف چلتے چلتے نماز پڑھی لی اور اشارے سے رکوع و سجود کر لیے، جب میں اس کے پاس پہنچا تو اس نے پوچھا: تم کون ہو؟ میں نے کہا: میں ایک عرب ہوں، سنا ہے کہ تم اس یعنی محمد( ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ) کے مقابلے کے لیے لشکر جمع کر رہے ہو، میں بھی اسی مقصد کے لیے آیا ہوں۔ اس نے کہا: ہا ں ہاں اسی مشن پر ہوں۔ میں کچھ دور تک اس کے ساتھ ساتھ چلا، جب مجھے موقعہ ملا تو میں نے اس پر تلوار سے وار کر کے اسے قتل کر دیا اور وہاں سے نکل آیا، میں نے اس کی عورتوں کو اس حال میں وہاں چھوڑا کہ وہ اس پر جھکی ہوئی تھیں۔ جب میں رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے پاس واپس آیا، آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے دیکھ کر فرمایا: چہرہ کامیاب ہو گیا ہے۔  میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! میں نے اسے قتل کر دیا ہے۔ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  بالکل تم ٹھیک کہتے ہو۔  اس کے بعد رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  میرے ساتھ اٹھ کر چلے اور اپنے گھر تشریف لے گئے، آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے ایک لاٹھی عنایت کی اور فرمایا:  عبدالرحمن بن انیس! اسے اپنے پاس محفوظ رکھنا۔  میں وہ لاٹھی لے کر باہر لوگوں میں آیا۔ انہوں نے پوچھا: یہ کیسی لاٹھی ہے؟ میں نے بتلایا کہ اللہ کے رسول  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے مجھے یہ لاٹھی عنایت کی ہے اور مجھے حکم دیا ہے کہ میں اسے محفوظ رکھوں۔ انہوں نے کہا: کیا تم رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کے پاس واپس جا کر آپ سے اس کے بارے میں مزید وضاحت نہیں کرا لیتے؟ پس میں رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کی خدمت میں دوبارہ گیا اور میں نے عرض کیا: اللہ کے رسول ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم ! آپ نے یہ لاٹھی مجھے کس مقصد کے لیے دی ہے؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  قیامت کے دن یہ لاٹھی میرے اور تمہارے درمیان نشانی ہوگی، قیامت کے دن بہت کم لوگ ایسے ہوں گے جن کے پاس ٹیک لگانے کے لیے عصا وغیر ہ ہوگا۔  پس سیدنا عبداللہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے اس عصا کو اپنی تلوار کے ساتھ باندھ لیا اور وہ ہمیشہ ان کے پاس رہا، یہاں تک کہ جب ان کا انتقال ہوا تو اس عصا کو بھی ان کے کفن کے ساتھ رکھ کر دونوں کو دفن کر دیا گیا۔ 
----
Musnad Ahmed#11770-Sahih

Kaunsi sahabiya ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unper tabassum kiya aur farmaya unki umar taweel ho

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Kaunsi sahabiya ke liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unper tabassum kiya aur farmaya unki umar taweel ho

A: Halima bint Abi Dhuayb RadiAllahu Anhu
B: Khawlah bint Hakim RadiAllahu Anhu
C: Sayeda Umm Qais RadiAllahu Anhu
D: Habiba bint UbaidAllah RadiAllahu Anhu
E: Rumaysa bint Milhan RadiAlalhu Anhu
F: Afraa' bint Al-Sakan RadiAllahu Anhu
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
*-******
Sahi Jawab - C✅

Sayeda Umm Qais RadiAllahu Anhu ki fazilat

Reference📚:
-----
Sayeda Umm Qais RadiAllahu Anhu se riwayat hai, wo kehti hain mera beta wafaat pa gaya, mein is par bohat ziyada ghamgeen huwi, mein ne ghusal dene wale se kaha ke mere bete ko thande pani se ghusal de kar usse maar na dena, to un ke bhai Sayeda Ukasha bin Moshin RadiAllahu Anhu ne ja kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko unki ye baat batlai to Aap ‌Sallallahu Alaihi wasallam ne is par tabassum kiya aur farmaya : is ne kya kaha? is ki Umar taweel ho. Abu Al Hasan kehte hain : mere ilm ke mutabiq jitni Umar unko mili, itni Umar kisi khatoon ki nahi thi..
---
سیدہ ام قیس ‌رضی ‌اللہ ‌عنہا  سے مروی ہے، وہ کہتی ہیں: میرا بیٹا وفات  پا گیا، میں اس پر بہت زیادہ غمگین ہوئی، میں نے غسل دینے والے سے کہا کہ میرے بیٹے کو ٹھنڈے پانی سے غسل دے کر اسے مار نہ دینا، تو ان کے بھائی سیدہ عکاشہ بن محصن ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے جا کر رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کو ان کی یہ بات بتلائی تو آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے اس پر تبسم کیا اور فرمایا:  اس نے کیا کہا؟ اس کی عمر طویل ہو۔  ابو الحسن کہتے ہیں: میرے علم کے مطابق جتنی عمر ان کو ملی، اتنی عمر کسی خاتون کی نہیں تھی۔ 
---
Musnad Ahmed#12001-Sahih

Wo kya hai jisko talab karne wale ki badniyati qayamat ke din Allah sab ke samne zahir kar dega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Wo kya hai jisko talab karne wale ki  badniyati qayamat ke din Allah sab ke samne zahir kar dega

A: Jannat
B: Sohrat
C: Daulat
D: Hukumat
E: Khilafat
F: Hasad
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai to sahih jawab likhiye tabhi winner list mein naam likha jaeyga
*****
Sahi Jawab - B✅

Naik kaam ke nateeje mein shohrat hasil ki talab karne wale shakhs ko Qayamat ke din Allah uski niyaat ke bare mein sabko bata denge

Reference📚:
------
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ke (kisi naik kaam ke nateeje mein) jo shohrat ka taalib ho Allah Subhanahu taala is ki badniyati qayamat ke din sab ko suna dega isi terhan jo koi logon ko dikhaane ke liye naik kaam karega Allah bhi qayamat ke din is ko sab logon ko dikhla dega .
-----
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اور میں نے آپ کے سوا کسی کو یہ کہتے نہیں سنا کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، چنانچہ میں ان کے قریب پہنچا تو میں نے سنا کہ وہ کہہ رہے تھے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ  ( کسی نیک کام کے نتیجہ میں )  جو شہرت کا طالب ہو اللہ تعالیٰ اس کی بدنیتی قیامت کے دن سب کو سنا دے گا۔ اسی طرح جو کوئی لوگوں کو دکھانے کے لیے نیک کام کرے گا اللہ بھی قیامت کے دن اس کو سب لوگوں کو دکھلا دے گا۔ 
------
Narrated Jundub: The Prophet (ﷺ) said, "He who lets the people hear of his good deeds intentionally, to win their praise, Allah will let the people know his real intention (on the Day of Resurrection), and he who does good things in public to show off and win the praise of the people, Allah will disclose his real intention (and humiliate him).
Sahih Bukhari#6499

Hazrat Jibrail Alaihi Sallam ne badar wale din kis rang ka amamah pahna huwa tha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Hazrat Jibrail Alaihi Sallam ne badar wale din kis rang ka amamah pahna huwa  tha?

A: Safed rang ka
B: Kaale rang ka
C: Surkh rang ka
D: Sabz rang ka
E: Zard rang ka
F: Koi bhi amamah nahi pahna tha
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: Agar jawab G hai to sahih jawab likhiye tabhi winner list mein naam likha jaeyga
-----------
Sahi Jawab E✅

Badar wale din Harazt Jibraiel Alaihi Salam ne zard rang ka amamah pehna huwa tha

Reference📚:
-----
Hazrat Urwah farmate hain Hazrat Jibraiel Alaihi Salam badar ke din aaye jis rang ka Hazrat Zubair bin Awam RadiAllahu Anhu ne amaamah bandha huwa tha isi rang ka Hazrat Jibraiel Alaihi Salam ne bandha huwa tha yani zard rang ka..
-----
حضرت عروہ فرماتے ہیں حضرت جبرائیل علیہ سلام بدر کے دن اے جس رنگ کا حضرت زبیر بن عوام  رضی اللہُ عنہ نے عمامہ باندھا ہوا تھا اسی رنگ کا حضرت جبرائیل علیہ سلام نے باندھا ہوا تھا یعنی زرد رنگ کا
Muajjam Al kabeer Tabrani -230-Sahih

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ek Aurat ke pass se guzare uske samne kuch kankariyan padhi huwi thi jinper wo tasbeeh padh rahi thi Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya ki wo unhe isse bhi assan aur Afzal Zikr batlata hu

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek baar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ek Aurat ke pass se guzare uske samne kuch kankariyan padhi huwi thi jinper wo tasbeeh padh rahi thi Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne unse farmaya ki wo unhe isse bhi assan aur Afzal Zikr batlata hu

Sawal: Rasool-Allah Sallalalhu Alaihi wasallam ne kaunsa Zikr farmaya

A: 100 baar SubhanAllahi wabihamdihi
B: Har Namaz ke baad 10 bar Subhan'Allaah, Allhmadullilah , La Ilaha illAllah kehna
C: 10 martaba surah Al Ikhlas padhna
D: Allahumma Agfirli Wa tub Alayya Innaka Antat-Tawwabul-Gafoor
E: SubhanAllah Alhumdullilah Laa Ilaha IllAllah Allahu Akbar
F: La ilaha illAllah, walAllahu Akbar, waSubhanAllah, walAlhamdulillah, wa La hawla wa la Quwwata illa Billah
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
Note agar apka jawab G hain to sahi jawab likhiye tabhi winner list mein naam ayega
***********
Sahi Jawab - G✅

Azkar jo asaan aur sabse afzal hain

سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي السَّمَاءِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي الأَرْضِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا بَيْنَ ذَلِكَ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا هُوَ خَالِقٌ وَاللَّهُ أَكْبَرُ مِثْلَ ذَلِكَ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ مِثْلَ ذَلِكَ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ مِثْلَ ذَلِكَ ‏"‏

Reference📚:
-------
Hazrat Saad bin Abi Waqas RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke wo Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke saath ek Aurat ke paas aaye is ke samne khajoor ki ghutlia ya kankariyan padhi huwi theen aur wo unpar tasbeeh padh rahi thi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhe aisi cheez na batao jo tumhare liye is se aasaan tar ya afzal hain? 
 سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي السَّمَاءِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي الأَرْضِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا بَيْنَ ذَلِكَ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا هُوَ خَالِقٌ وَاللَّهُ أَكْبَرُ مِثْلَ ذَلِكَ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ مِثْلَ ذَلِكَ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ مِثْلَ ذَلِكَ ‏"‏
SubhanAllahi adada ma khalaqa fis-sama wa SubhanAllahi adada ma khalaqa fil-ard, wa subhan Allahi adada ma baina dhalik, wa subhan Allahi adada ma huwa khalaq, wa Allahu akbaru mithla dhalik, wal hamdu lillahi mithla dhalik, wa la hawla wa la quwwata illa billahi mithla dhalik).”
----
Tarjuma: Paaki hain Allah ki itni jitni is ne aasman mein cheeze paida ki hain, aur paaki hai Allah ki itni jitni is ne zameen mein cheeze paida ki hain, aur paaki hai is ki itni jitni ke un dono ke darmiyan cheeze hain, aur paaki hai is ki itni jitni ke wo (aindah) paida karne wala hai, aur aisay he Allah ki badayi hain aur aisay he Allah ke liye hamd hain aur aisay he Laa hawla wa la quwaata hai, (yani Allah ki makhlooq ki tadaad ke barabar) “ .
----
Aishah bint Sa`d bin Abi Waqqas narrated from her father that he entered with the Messenger of Allah (ﷺ) upon a women, before her was a date-seed or he said stone that she would make Tasbih with. So he (ﷺ) said: “Should I not inform you of what is easier for you then this, and better? 
 سُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي السَّمَاءِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا خَلَقَ فِي الأَرْضِ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا بَيْنَ ذَلِكَ وَسُبْحَانَ اللَّهِ عَدَدَ مَا هُوَ خَالِقٌ وَاللَّهُ أَكْبَرُ مِثْلَ ذَلِكَ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ مِثْلَ ذَلِكَ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ مِثْلَ ذَلِكَ ‏"‏
SubhanAllahi adada ma khalaqa fis-sama wa SubhanAllahi adada ma khalaqa fil-ard, wa subhan Allahi adada ma baina dhalik, wa subhan Allahi adada ma huwa khalaq, wa Allahu akbaru mithla dhalik, wal hamdu lillahi mithla dhalik, wa la hawla wa la quwwata illa billahi mithla dhalik).”
Translation: Glory to Allah according to the number of what He created in the sky, and glory to Allah according to the number of what He created in the earth, and glory to Allah according to the number of what is between that, and glory to Allah according to the number of what He is going to create, and Allah is great, in similar amount to that, and all praise is due to Allah, in similar amount to that, and there is no might or power except by Allah, in similar amount to that. 
-------
حضرت سعد بن ابی وقاص   ؓ  سے روایت ہے کہ وہ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم کے ساتھ ایک عورت کے پاس آئے ۔ اس کے سامنے کھجور کی گھٹلیاں یا کنکریاں پڑی ہوئی تھیں اور وہ ان پر تسبیح پڑھ رہی تھی ۔ آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ کیا میں تمہیں ایسی چیز نہ بتاؤں جو تمہارے لئے اس سے آسان تر یا افضل ہے
«سبحان الله عدد ما خلق في السماء، وسبحان الله عدد ما خلق في الأرض، وسبحان الله عدد ما بين ذلك، وسبحان الله عدد ما هو خالق، والله أكبر مثل ذلك، والحمد لله مثل ذلك، ولا حول ولا قوة إلا بالله مثل ذلك» ”پاکی ہے اللہ کی اتنی جتنی اس نے آسمان میں چیزیں پیدا کی ہیں، اور پاکی ہے اللہ کی اتنی جتنی اس نے زمین میں چیزیں پیدا کی ہیں، اور پاکی ہے اس کی اتنی جتنی کہ ان دونوں کے درمیان چیزیں ہیں، اور پاکی ہے اس کی اتنی جتنی کہ وہ  ( آئندہ )  پیدا کرنے والا ہے، اور ایسے ہی اللہ کی بڑائی ہے اور ایسے ہی اللہ کے لیے حمد ہے اور ایسے ہی لا حول ولا قوۃ ہے،  ( یعنی اللہ کی مخلوق کی تعداد کے برابر )
------
Grade: Hasan (Darussalam) (Sunna.com)
Reference : Jami` at-Tirmidhi 3568
In-book reference : Book 48, Hadith 199
English translation : Vol. 6, Book 46, Hadith 3568
-----
Mishkat al-Masabih 2311-Sahih (Islam 360)

Thursday, 11 February 2021

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Misar walon ke sath Jung jeet jane par unke saat kis tarah Ka sulook Karne ke liye kaha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Misar walon ke sath Jung jeet jane par unke saat kis tarah Ka sulook Karne ke liye kaha?

A: Unke saat narmi se baat karna
B: Unhe pareshan mat karna
C: Unke saat Acha bartao karna
D: Unhe takleef mat dena
E: Unke saat sakhti se paish ana
F: Unke saat sakhti se paish mat ana
G: Unke saat haqtalfi nahi karna
H: Sahi Jawab ka intezaar
********
Sahi Jawab - C✅

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Isaeyon ke saath Achcha bartao karne ka hukum diya

Reference📚:
----
Kaab bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jab tum Misar ko fatah kar lo to qabt (Misar mein Isaeyon ka firqa) ke saath achcha bartav karna, kuynke un ke liye zimma aur sila Rehmi hai
---
كعب بن مالك‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جب تم مصر كو فتح كر لو تو قبط (مصر میں عیسائیوں کا فرقہ)كے ساتھ اچھا برتاؤ كرنا، كیوں كہ ان كے لئے ذمہ اور صلہ رحمی ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3348-Sahih

EK baar ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se hijrat par bait lene aaye lekin Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse bait nahi li aur farmaya mein unse kisi aur baton ke liye bait loonga

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

EK baar ek Sahabi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se hijrat par bait lene aaye lekin Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse bait nahi li aur farmaya mein unse kisi aur baton ke liye bait loonga

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne uss shakhs se kin baton par bait li

A: Jihad
B: Namaz
C: Zakat
D: Hajj
E: Emaan
F: Sadqa
G: Islam 
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - AEG✅

Reference📚:
-----
Majasha bin Masood RadiAllahu Anhu kehte hain ke mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke paas Fatah Makkah ke baad apne bhai Mujalid ko laya aur kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! mein aap ke paas apne bhai Mujalid ko laya hu, taake aap is se hijrat par bait le Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Ahale hijrat, hijrat ka ajar le gaye, mein ne kaha Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! phir kis baat par Aap is se bait lenge? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mein is se Islam, Emaan aur Jihaad par bait lunga.
----
مجاشع بن مسعود رضی اللہ عنہ  کہتے ہیں کہ میں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس فتح مکہ کے بعد اپنے بھائی مجالد کو لایا اور کہا: اے اللہ کے رسول! میں آپ کے پاس اپنے بھائی مجالد کو لایا ہوں، تاکہ آپ اس سے ہجرت پر بیعت لیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اہل ہجرت، ہجرت کا اجر لے گئے، میں نے کہا: اے اللہ کے رسول! پھر کس بات پر آپ اس سے بیعت لیں گے ؟آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں اس سے اسلام، ایمان اور جہاد پر بیعت لوں گا۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#3494-Sahih

Allah Subhanahu ke farman (Quran) mein farmaya لَهُمُ الْبُشْرَى فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الآخِرَةِ

 ❗Only-Quran-Hadith Quiz ❗

Allah Subhanahu ke farman (Quran) mein farmaya لَهُمُ الْبُشْرَى فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الآخِرَةِ

Sawal: Iss aayat ke mutabiq hadith mein Allah Subhanhu ne kya tafseer bayan ki hain

A: Musalman ke liye duniya aur akhirat mein khair aur barkat hain
B: Achche khawab 
C: Musalman ke liye Halal rizq duniya aur akhirat mein hain
C: Musalman ke liye Mushkil ke saath Asani hain
E: Masjid mein 5 waqt ki namaz padhne walo ke liye dono jaha mein khuskhabri hain
F: Musalman ki madad karna farz hain
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahih Jawab – B✅

Hadith: Achche khawab Musalmaan ke liye duniya mein khushkhabri hain

Reference📚:
-----
Ubadah bin Samit RadiAllahu kehte hain ke mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se Allah Subhanahu ke farmaan 
لَهُمُ الْبُشْرَى فِي الْحَيَاةِ الدُّنْيَا وَفِي الآخِرَةِ
 (Surah Yunus: 10:64)
Unke liye duniya ki zindagi aur akhirat mein khushkhabri hain ke barre mein sawal kiya (ke is aayat ka kya matlab hain?) to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: ye achche khawab hain jinhein Musalmaan dekhta hain ya iske liye koi aur dekhta hain.
-----
It was narrated that ‘Ubadah bin Samit said:
“I asked the Messenger of Allah (ﷺ) the about the Saying of Allah, Glorious is He: ‘For them are glad tidings, in the life of the present world, and in the Hereafter.”[10:64] He said: ‘Those are good dreams that a Muslim sees or are seen about him.’”
-----
 میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے اللہ تعالیٰ کے فرمان: «لهم البشرى في الحياة الدنيا وفي الآخرة» ( سورة يونس: ۶۳ )   ان کے لیے دنیا کی زندگی اور آخرت میں خوشخبری ہے  کے بارے میں سوال کیا  ( کہ اس آیت کا کیا مطلب ہے؟ )  تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  یہ اچھے خواب ہیں جنہیں مسلمان دیکھتا ہے یا اس کے لیے کوئی اور دیکھتا ہے ۔ 
------
Sunnan e Ibn e Maja#3898-Sahih

Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis namaz ke liye farmaya ki Jo bhi padhna chahe padhle is khauf se ki log isse zaroori na samjh le?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis namaz ke liye farmaya ki Jo bhi padhna chahe padhle is khauf se ki log isse zaroori na samjh le?

A: Witr ki namaz ko tahhajud padne ke baad ada kare
B: Tahhajud ki 8 rakaat
C: Isha se pahle 4 rakaat
D: Zohar se pahle 4 rakaat
E: Maghrib se pahle 4 rakaat
F: Maghrib se pahle 2 rakaat
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - F✅

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam Maghrib se pahle 2  rakaat padha karte they

Reference📚:
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Maghrib se pehle do rakate namaz padhi phir farmaya : Maghrib ki namaz se pehle do rakate padho, (teen dafaa farmaya aur) phir teesri martaba farmaya jo padhna chahe, is dar se ki kahi log usse lazim na samajh le
----
عبداللہ مزنی‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے مغرب سے پہلے دو ركعت نماز پڑھی پھر فرمایا: مغرب كی نماز سے پہلے دو ركعتیں  پڑھو، (تین دفعہ فرمایا اور) پھر تیسری مرتبہ فرمایا: جو پڑھنا چاہے، اس ڈر سے كہ كہیں لوگ اسے لازم نہ سمجھ  لیں۔
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam prayed two rak'ahs before Maghrib, then he said: Pray two rak'ahs before Maghrib prayer. 
Recite two rak'ahs before the Maghrib prayer, (said three times and then) the third time: Whoever wants to recite, for fear that some people may not consider it obligatory.
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#635-Sahih

Jab islam Ajnabi ban jayega us waqt Kaunse shakhs ke liye khush khabri aur mubarak baat hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jab islam Ajnabi ban jayega us waqt Kaunse shakhs ke liye khush khabri aur mubarak baat hain

A: Islam mein bhude hone wale ke liye
B: Bewa aur miskeen ki maddad karne walo ke liye
C: Musalman bhai ki izzat aur ehtram karne walo ke liye
D: Jihad karne walo ke liye
E: Namaz ki hifazat karne walo ke liye
F: har haal mein Deen e Islam per qayam rehne walo ke liye
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
***********
Sahi Jawab - F✅

Deen e Islam par qayam rehne walo ke liye khushkhabri aur Mubarak baat hain.

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Islam ajnabi halat mein shuru huwa, anqaeeb phir ajnabi ban jayega, lehaza aise waqt mein iss par qayam rehne wale ajnabiyon ke liye khushkhabri wa mubarak baadi hain..
----
Wahazat:
Mafhoom ye hai ki Islam jab abaad huwa iske manne walon ki Zindagi jis ajnabiyat ke mahool me guzar rahi thi yaha tak ki log inse nafrat karte they aur in ke saat uthne baithne ko haqarat samajhte they unhe takleefein pahunchate they theek is ajnabiyat ke alam me Islam ke aakhri daur me iske pairokar honge lekin khushkhabri aur Mubarak baadi hai in logon ke liye Jin logon ne ajnabi halat me Islam ko gale se lagaya aur Jo iske  aakhri daur me isae gale se lagayinge aur dusmano ki takleef bardast karke jaan wa maal se inki qidmat wa asha'at karte rahenge
-----
Narrated 'Abdullah bin Mas'ud: that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallan said: Indeed Islam began as something strange and it will return to being strange as it began. So Tuba is for the strangers. 
----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اسلام اجنبی حالت میں شروع ہوا، عنقریب پھر اجنبی بن جائے گا، لہٰذا ایسے وقت میں اس پر قائم رہنے والے اجنبیوں کے لیے خوشخبری و مبارک بادی ہے“ 
----
Jam e Tirmazi#2629-Sahih

Ek he khandan ke teen afraad Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wa Sallam ke saat thy Walid ne Apne bete se tahajjud ki namaz padhne ko kaha par bete ne kaha ki usko itni quwwat nahi tab walid ne bete se kya irshad farmaya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Ek he khandan ke teen afraad Rasool-Allah SallAllahu Alaihi Wa Sallam ke saat thy Walid ne Apne bete se tahajjud ki namaz padhne ko kaha par bete ne kaha ki usko itni quwwat nahi tab walid ne bete se kya irshad farmaya

A: Kasrat se Allah Subhanahu ka Zikr karo
B: SubhanAllah Alhumdullilah La ilaha Illaha Allahu Akbar
C: Fajar aur Isha pehli saf mein jammat se adda karna
D: Fajar se pehle ki 2 rakat ka ehtemam karna 
E: La ilaha illAllaha Allahu Akbar, SubhanAllah Alhumdulliah La hawla wa la Quwwata illa billah
F: Tahhajud ki niyat karke soya karo
G: Inmein se ko nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*******
Sahih jawab - D✅

Hadith: Jo Tahhajud ki namaz padhne ki taqat nahi rakhte wo fajar ki 2 sunnat namaz ki hifazat kare

Reference📚:
-----
Salma bin Nabeet kehte hain : Mere Baap, Dada aur Chacha Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ke saath thy, Mere baap ne kaha: Mein ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ko Arfa ke din pichlle pehar surkh oont par sawaar khutba dete huwe dekha phir mere baap ne mujhe Tahajjud ki namaz padhne ka hukum diya, lekin mein ne kaha :Abba jaan mujh mein itni taaqat nahi hai, ye sun kar unhon ne kaha : to phir Fajar se pehle do rakaato ka khayaal rakhna aur in ko hargiz tark na karna aur fitnah mein apne aap ko zahir na karna .
----
Salma bin Nabeet said: My father, grandfather and uncle were with the Prophet (peace and blessings of Allah be upon him). My father said: seeing them my father ordered me to offer Tahajjud prayers, but I said: Abajan! I do not have that much strength. Hearing this, he said: Then take care of the two rak'ahs before Fajr and never abandon them and do not show yourself in fitnah.
----
سلمہ بن نبیط کہتے ہیں: میرے باپ، دادا اور چچا نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کے ساتھ تھے، میرے باپ نے کہا: میں نے نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کو عرفہ کے دن پچھلے پہر سرخ اونٹ پر سوار خطبہ دیتے ہوئے دیکھا۔ پھر میرے باپ نے مجھے تہجد کی نماز پڑھنے کا حکم دیا، لیکن میں نے کہا: اباجان! مجھ میں اتنی طاقت نہیں ہے، یہ سن کر انھوں نے کہا: تو پھر فجر سے پہلے دو رکعتوں کا خیال رکھنا اوران کو ہرگز ترک  نہ کرنااور فتنہ میں اپنے آپ کو ظاہر نہ کرنا۔
----
Musnad Ahmed#2096-Sahih

Ek hadees se mutabik Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaks ko zameen par sajda Karne ya ishare se sajda Karne ko Kaha?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

Ek hadees se mutabik Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaks ko zameen par sajda Karne ya ishare se sajda Karne ko Kaha?

Sawal: WO shaks kis par sajda Kar Raha tha pir kis par sajda kiya?

A: Lakdi
B: Kursi
C: Takiya
D: Rumaal
E: Kapda
F: Kitab
G: Moze(socks)
H: Sahi jawab ka intezaar
**********

Sahi Jawab - AC✅
Hadith: Jab beemar ho to Namaz mein Sajda karo to zameen par karo warna ishare se sajda karo

Reference📚:
----
Abdullah bin umro RadiAllahu Anhu kehte hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne ek sahabi ki ayadat ki Mein Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke saath tha. Aap is ke paas to wo ek lakdi par namaz padh raha tha. (sajde ke waqt wo apni peshani lakdi par rakh deta. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne is ki taraf (mana ke andaaz mein) ishara kiya to is ne lakdi pheink kar takiya le liya. Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya usse chore do, agar ho sake to zameen par sajda karo, warna ishara kardo, aur apne sajde ko ruku se ziyada neeche le jao.
----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما كہتے ہیں كہ رسول صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے ایك صحابی كی عیادت كی میں آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كے ساتھ تھا۔ آپ اس كے پاس  تو وہ ایک لکڑی پر نماز پڑھ رہا تھا۔ (سجدے کے وقت وہ اپنی پیشانی لکڑی پر رکھ دیتا۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اس کی طرف (منع کے انداز میں) اشارہ کیا تو اس نے لکڑی پھینک کر تکیہ لے لیا۔ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اسے چھوڑ دو، اگر ہو سكے تو زمین پر سجدہ كرو، وگرنہ اشارہ كردو، اور اپنے سجدے كو ركوع سے زیادہ نیچے لے جاؤ۔
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#639-Sahih

Wednesday, 3 February 2021

Ek shakhs ne kuch sahabi ko dehka lekin sirf ek sahabi ka naam lekar unko Salam kaha to jawab mein unhone kaha Sadaq Allahu wa Rasooluhu jab unse poocha gaya apne aisa kyun kaha to unhone kya jawab diya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Ek shakhs ne kuch sahabi ko dehka lekin sirf ek sahabi ka naam lekar unko Salam kaha to jawab mein unhone kaha Sadaq Allahu wa Rasooluhu jab unse poocha gaya apne aisa kyun kaha to unhone kya jawab diya

A: Log Takkabur mein aake Salam karne mein bhakeeli karenge
B: Log masrufiyat ke wajah se ek dusre ko Salam karna chordh denge
C: Log apne se ameer logo ko he Salam kahenge
D: Salam karne se Izzat mein izafa hota hain
E: Salam karne se Mohabbat badhti hain
F: Log jaan pehchan ke bina par Salam karenge 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
***********
Sahi Jawab - F✅

Hadith: Qayamat ki nishanio mein se ek nishani ye hain ke log apne Jaan pehchaan ke bina par he Salam karnege

Reference📚:
-----
Syedna Aswad Bin Yazid RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Masjid mein namaz khadhi  ho chuki thi aur hum Syedna Abdullah Bin Masood ‌ RadiAllahu Anhu ke saath chalte huwe aa rahe thay, jab logon ne ruku kiya to Syedna Abdullah  Radi Allahu Anhu ne bhi ruku kiya aur hum ne bhi unke saath ruku kiya, jabke hum chal bhi rahe thay, itne mein ek aadmi guzra aur is ne kaha : Eh Abu Abdul Rahman ! SalamAlaikum, ye sun kar syedna Abdullah Bin Masood RadiAllahu Anhu ne ruku ki haalat mein he kaha Sadaq Allah Wa Rasooluhu (Allah taala aur iss ke Rasool ne sach kaha hain) jab wo namaz se farigh hue to baaz logon ne kaha : jab aap par ek aadmi ne salam kaha tha to aap ne ye kyun kaha tha ke Allah taala aur is ke Rasool ne sach kaha hai? unhon ne kaha mein ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko ye farmate huwe suna tha ke  Qayamat ki nishanion mein se ek nishani ye hain ke Maarfat (Jaan pehchaan) ki bina par salam ho ga
-----
سیدنا اسود بن یزید ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ بیان کرتے ہیں کہ مسجد میں نماز کھڑی ہوچکی تھی اور ہم سیدنا عبداللہ بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ کے ساتھ چلتے ہوئے آرہے تھے، جب لوگوں نے رکوع کیا تو سیدنا عبداللہ ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ نے بھی رکوع کیا اور ہم نے بھی ان کے ساتھ رکوع کیا، جبکہ ہم چل بھی رہے تھے، اتنے میں ایک آدمی گزرا اور اس نے کہا: اے ابو عبدالرحمن! السلام علیکم، یہ سن کر سیدنا عبداللہ بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ نے رکوع کی حالت میں ہی کہا: صَدَقَ اللّٰہُ وَرَسُولُہُ (اللہ تعالیٰ اوراس کے رسول نے سچ کہا ہے)۔ جب وہ نماز سے فارغ ہوئے تو بعض لوگوں نے کہا: جب آپ پر ایک آدمی نے سلام کہا تھا تو آپ نے یہ کیوں کہا تھا کہ اللہ تعالیٰ اور اس کے رسول نے سچ کہا ہے؟ انھوں نے کہا: میں نے نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم کو یہ فرماتے ہوئے سنا تھا کہ قیامت کی نشانیوں میں سے ایک نشانی یہ ہے کہ معرفت کی بنا پر سلام ہو گا۔ 
-----
Musnad Ahmed#8256-Sahih

Murgamateen kya hain ya kise kaha gaya hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Murgamateen kya hain ya kise kaha gaya hain

A: Dozakhi darakht ke phal
B: Jahannum ka darakth
C: Shaitan ki giza
D: Fariston ki giza
E: Dajjal ki Giza 
F: Yajuj Majuj ki deewar 
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka Intezaar
*********
Sahih Jawab - G✅ (Sajda Sahu ka naam Murgamateen)

Shiatan ko Zaleel karne wala amal hain Sajda Sahu

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne Sajda Sahu ka naam Murgamateen « مرغمتین » ( shaitan ko zaleel o khawar karne wali do cheeze ) rakha
---
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے سجدہ سہو کا نام «مرغمتين»  ( شیطان کو ذلیل و خوار کرنے والی دو چیزیں )  رکھا۔ 
---
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam named the two prostrations of forgetfulness disgraceful for the devil
---
Sunnan e Abu Dawood#1025-Sahih

Monday, 1 February 2021

Aur App ke liye kabhi na khatam hone wala Ajar hai.




Bismillahirrahmannirrahim

وَإِنَّ لَكَ لَأَجْرًا غَيْرَ مَمْنُونٍ
----
Aur App ke liye kabhi na khatam hone wala Ajar hai.
----
اور آپ کے لئے کبھی نہ ختم ہونے والا اجر ہے 
----
You will have a never Ending reward 
-----
Surah Al Qalam: (63:03)

https://dailyazkarislamicpost.blogspot.com


 

Wo seenon ki (chhupi) baton ko (bhi) khoob jaanta hain



Bismillahirrahmannirrahim

إِنَّهُ عَلِيمٌ بِذَاتِ الصُّدُورِ
----
Wo seenon ki (chhupi) baton ko (bhi) khoob jaanta hain
----
وہ سینوں کی (چھپی) باتوں کو (بھی) خوب جانتا ہے
----
वह सीनों की छिपी बातों को भी खूब जानता है
-----
He indeed knows what lies within the hearts! 
----
Surah Al Mulk: (67:13)
https://pin.it/1MPHh0q


 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki meri Ummat mein se ek jammat ek he waqt mein Jannat mein dhakil hogi

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Do Sawal hain

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki meri Ummat mein se ek jammat ek he waqt mein Jannat mein dhakil hogi

Sawal 1: Wo jamaat mein kitne log honge?
A: 30 hazar
B: 60 hazar
C: 90 hazar
D: 1 lakh
E: 5 lakh
F: 7 lakh
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar

Sawal 2: Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke Hauz kitne dino ki musafat ke barabar hain?

A: 3 mahine
B: 6 mahine
C: 9 mahine
D: 1 mahine
E: 3 saal
F: 7 saal
G: In mein se koi nahi
 
H. Sahi jawab ka intezar
************
Sahih Jawab - F/D✅

Reference 📚:
----
Sahl bin Saad Radi'Allahu Anhu se rivayat hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: "Meri Ummat mein se sattar hazaar ya (Aap ﷺ ne ye farmaya ke) saat (7) lakh ki ek jamaat Jannat mein ek he waqt mein dakhil honge aur un sabke chehre aise chamkenge jaise chaudhween ka chand chamakta hain
------
نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”میری امت میں سے ستر ہزار یا  ( آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے یہ فرمایا کہ )  سات لاکھ کی ایک جماعت جنت میں ایک ہی وقت میں داخل ہوں گی اور ان سب کے چہرے ایسے چمکیں گے جیسے چودہویں کا چاند چمکتا ہے۔“
-----
Narrated Sahl bin Sa'd Radi'Allahu Anhu: The Prophet ﷺ said: "Verily ! 70,000 or 700,000 of my followers will enter Paradise altogether; so that the first and the last amongst them will enter at the same time, and their faces will be glittering like the bright full moon".
Sahih Al Bukhari 3247-Sahih
----
Abdullah bin Umro Radi'Allahu Anhu se rivayat hain ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya: Mera Hauz (1) ek mahine ki musafat ke barabar hoga. Is ka paani doodh se zyada safaid aur is ki khusbhoo mushk se ziyada achchi hogi aur is ke koze aasman ke sitaron ki tadaad ke barabar honge. Jo shaksh is mein se ek martaba pi lega wo phir kabhi bhi (Maidan Mehshar mein) pyasa na hoga.
----
 نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”میرا حوض ایک مہینے کی مسافت کے برابر ہو گا۔ اس کا پانی دودھ سے زیادہ سفید اور اس کی خوشبو مشک سے زیادہ اچھی ہو گی اور اس کے کوزے آسمان کے ستاروں کی تعداد کے برابر ہوں گے۔ جو شخص اس میں سے ایک مرتبہ پی لے گا وہ پھر کبھی بھی  ( میدان محشر میں )  پیاسا نہ ہو گا۔“ 
------
Narrated Abdullah bin Amr Radi'Allahu Anhu: The Prophet ﷺ said: "My Lake Fount is (so large that it takes) a month's journey to cross it. Its water is whiter than milk, and its smell is nicer than musk (a kind of Perfume), and its drinking cups are (as numerous) as the (number of) stars of the sky; and whoever drinks from it, will never be thirsty".
-----
Sahih Al Bukhari 6579-Sahih

Kaunse Amal Allah ke azaab se chutkara aur jannat mein dakhiley ka sabab banega?

 ❗ Only-Quran-Hadith Quiz❗ 

❗Jawab ek se zyada hain!

❗Sawal: Kaunse Amal Allah ke azaab se chutkara aur jannat mein dakhiley ka sabab banega?

A: Allah ki Ibadat karna aur iske saath kisi ko shareek na tehrana
B: Ramdan ke roze rakho
C: khud ke liye jo amal pasand karte ho wahi amal logo ke liye bhi pasand karna
D: Farz Zakat adda karo
E: Hajj aur Umrah karna
F: Padosi ke saath Sila Rehmi karo
G: Farz Namaz adda karo
H: Nafil ibadat karo 
I: Sahi Jawab ka Intezaar
************
Sahih Jawab - ABCDEG✅

Allah ke azaab se chutkara aur Jannat mein dakhiley ka sabab banne wale aamal

Reference📚:
----
Abu Muntafaq RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke mein Arfa mein Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke pass aaya, Aap ke itna kareeb huwa ke app ki sawari aur meri sawari ki gardan milne lagi mein ne kaha: Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam mujhe kisi aise amal ke bare mein bataye jo mujhe Allah ke Azaab se nijaat dede aur Jannat mein daakhil karde? Aap ne farmaya Allah ki Ibadat karo, is ke sath kisi ko shareek na karo, Farz Namaz ada karo, Farz Zakat ada karo, Hajj karo aur Umrah karo aur mera khayaal hain ke ye bhi farmaya ya ghaliban ye bhi farmaya Ramadan ke roze rakho aur dehko ke tum logon se apne muamle mein kis tarz e amal ko pasand karte ho inke sath bhi aisa he tarz amal karo, aur logon ke jis tarz e amal ko apne liye na pasand karte ho issi terhan ka tarz amal unse bhi na karo
---
ابومنتفق سے مروی ہے كہ میں عرفہ میں نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌كے پاس آیا،آپ كے اتناقریب ہواكہ آپ كی سواری اور میری سواری كی گردن ملنےلگی ۔ میں نے كہا:اے اللہ كے رسول  مجھے كسی ایسے عمل كے بارے میں بتایئے جومجھے اللہ كے عذاب سے نجات دےدےاور جنت میں داخل كر دے؟آپ نے فرمایا:اللہ كی عبادت كرو، اس كے ساتھ كسی كوشریك نہ كرو، فرض نماز ادا كرو، فرض زكاۃ ادا كرو، حج كرواور عمرہ كرو اور میرا خیال ہے کہ یہ بھی فرمایا: یا غالباً یہ بھی فرمایا: رمضان كے روزے ركھواور دیكھوكہ تم لوگوں سے اپنے معاملے میں کس طرزعمل كوپسند كرتےہوان كے ساتھ بھی ایسا ہی طرز عمل كرو، اور لوگوں كے جس طرزعمل كو اپنے لیے نا پسند كرتے ہواس طرح كا طرز عمل ان سے بھی نہ كرو۔( )
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#952-Sahih

Qayamat ki nishani in mein se konsi hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Qayamat ki nishani in mein se konsi hain?

A: Aulad ko Zinda dafan kiya jayega
B: Gair Musalmano se nikah ziyada hoga
C: Janwaro ko be rehami se qatal kar diya jayega
D: Biwi Shohar se daghabaazi karegi
E: Namaz padne mein susti karegi
F: Sood lena aur dena aam hojayega
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*******
Sahi Jawab - G✅

Qayamat ki nishani mein se ek ye hain ke log Masjid se guzrege lekin 2 rakat Tahiyat Al-Masjid ada nahi karenge

Reference📚:
-----
Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhu se rivayat hain ke Qayamat ki nishani hain ke aadmi masjid mein se guzre ga lekin is mein do rakat (Tahiyat Al-Masjid) bhi ada nahi karega
----
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ قیامت کی نشانی ہے کہ آدمی مسجد میں سے گزرے گا لیکن اس میں دو رکعت (تحیۃ المسجد) بھی ادا نہیں کرے گا
---
Abdullah bin Masood  RadiAllahu Anhu said that the sign of the Hour is that a person will pass through the masjid but will not perform even two rak'ahs (Tahiyat Al-Masjid) in it.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2560-Sahih

Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke saat bhai chara Qayam kiya

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

Sawal: Rasool- Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne kis ke saat bhai chara Qayam kiya

A: Abu Bakr Radi Allahu Anhu
B: Ali Radi Allahu Anhu
C: Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu
D: Umar Radi Allahu Anhu
E: Utman Radi 
 Allahu Anhu
F: Zubair Radi Allahu Anhu
G: Abu Ubaidah Radi Allahu anhu
H: Sahi Jawab ka intezaar
************
Sahi Jawab - CF✅

Reference📚:
----
Anas RadiAllahu Anhu se riwayat hain bayan karte hain ke Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne Zubair  aur Abdullah bin Masood RadiAllahu Anhuma ke mabian  mawaqah ( bhai charah ) qaim kiya.
---
انس رضی اللہ عنہ سے مروی ہے، بیان کرتے ہیں کہ آپ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے زبیر اور عبداللہ بن مسعود کے مابین مواخاۃ (بھائی چارہ)قائم کیا۔ 
---
Al-Silsila-tus-Sahiha#1-Sahih

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ummat Ka anjaam kis ke saat kaha hain?

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ummat Ka anjaam kis ke saat kaha hain?

A: Bhut parasti ke saath
B: Hadd se ziyada Zulm karne wale logo ke saath
C: Zalim Hurkaman ke saath
D: Ladai Jahgda karne walo ke saath
E: Khudkhusi ke saath
F: Talwaar ke saath
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi Jawab ka intezaar
*********
Sahih Jawab - F✅

Iss ummat ki saza talwaar hain

Reference📚:
----
Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne farmaya is ummat ki saza (Anjaam) talwar ke saath hain.
----
عقبہ بن عامر  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اس امت کی سزا (انجام)تلوار کے ساتھ ہے۔
---
The Prophet (peace and blessings of Allaah be upon him) said: The punishment of this ummah is with the sword
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2625-Sahih

SubhanAllahi wa biHamdihi kehne ki fazilat ajar aur sawab bataye

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

❗Jawab ek se zyada hain

❗Sawal: SubhanAllahi wa biHamdihi kehne ki fazilat ajar aur sawab bataye

A: Afzal Emaan hain
B: ek baar kehne se 10 nekiya militi hain
C: jo ye azkar padh ke Allah se bakhish mange to usse baksh diya jayega
D: 10 baar kehne se 1000 nekiya milti hain
E: Afzal Kalaam hain
F: sone aur chandi ke pahad kharch karne se bhi behatar hain kasrat se ye azkar padhna 
G: jo ye azkar zyada padhega uski nekiyon mein izafah hoga
H: Qayamat ke din sabse behtar amal 
I: Afzal Ibadat hain
J: 100 baar padhne se uske gunah mita diye jayege agar wo samundar ke jhaag ke barabar kuy na ho
K: Sahi Jawab ka intezaar
****************
Sahi Jawab - BCEFGHJ✅

Hadith: SubhanAllahi wa biHamdihi kehne ki fazilat

Reference📚:

Abu Zar RadiAllahu Anhu se riwayat hain kehte hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se poocha gaya kaunsa kalaam Afzal hai? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya wo kalaam jo Allah taala ne apne bandon ke liye pasand kiya hain: 
سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ 
SubhanAllahi wa biHamdihi
----
Allah taala apni tareef ke sath paak hain
----
 ابو ذر  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا گیا: کون سا کلام افضل ہے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ کلام جو اللہ تعالیٰ نے اپنے بندوں کے لئے پسند کیا ہے: سبحان اللہ وبحمدہ(اللہ تعالیٰ اپنی تعریف کے ساتھ پاک ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2930-Sahih
******
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs subha aur sham ko 100 baar SubhanAllahi wa Bihamdehi padhega toh Qayamat ke din usse behtar amal koi lekar nahi aayega magar jo utna kare ya usse ziyada kare
Sahih Muslim - 6843
-----
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ سے روایت ے، کہا: رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کوئی شخص جب صبح کرے اور جب شام کرے تو سو بار سبحان الله وبحمده کہے تو قیامت کے روز کوئی شخص اس سے بہتر عمل لے کر نہیں آئے گا، سوائے اس کے جو اتنی بار ( یہ کلمات ) کہے یا اس سے زیادہ بار کہے
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Anybody recities SubhanAllahi Wa Bihamdehi 100 times in the morning and in the evening, nobody will bring on the Day of Qayamah anything excellent than this, except one who recites these same words or recites more than these words.
Sahih Muslim, Book 35, 6509
******
Ibn Umar Radi Allahu Anhu ne ek din Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne apne sahaba se farmaya
* سبحان اللہ وبحمدہ*
SubhanAllahi, wa bihamdihi
Allah ki zaat paak hai aur usee ki hamd hai
kaha karo, jis ne ye kalma ek baar kaha is ke liye 10 nekiya likhi jayengi, aur jis ne 10 baar kaha is ke liye 100 nekiya likhi jayengi, aur jis ne 100 baar kaha is ke liye 1000 nekiya likhi jayengi, aur jo zyada kahega Allah is ki nekiyon mein bhi izafah farma dega, aur jo Allah Subhanahu se bakhshish chahega Allah Subhanahu is ko bakhash dega“
------------
Ibn `Umar narrated that one day, The Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam  said to his Companions: “Say ‘Glory is to Allah and with His Praise (Subḥān Allāhi, wa biḥamdihi)’ a hundred times. Whoever says [it] one time, it is written for him ten, and whoever says it ten (times), it is written for him a hundred, and whoever says it a hundred (times), it is written for him a thousand, and whoever increases, Allah will increase for him, and whoever seeks Allah’s forgiveness, [Allah] will forgive him.”
-------------
 ایک دن رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے صحابہ سے فرمایا: «سبحان الله وبحمده» کہا کرو، جس نے یہ کلمہ ایک بار کہا اس کے لیے دس نیکیاں لکھی جائیں گی، اور جس نے دس بار کہا اس کے لیے سو نیکیاں لکھی جائیں گی، اور جس نے سو بار کہا اس کے لیے ایک ہزار نیکیاں لکھی جائیں گی، اور جو زیادہ کہے گا اللہ اس کی نیکیوں میں بھی اضافہ فرما دے گا، اور جو اللہ سے بخشش چاہے گا اللہ اس کو بخش دے گا“۔
---------------
Jami` at-Tirmidhi 3470- Sahih
**********
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne ek din mein 100 baar SubhanAllahi wa Bihamdehi kaha to is ke gunah mita diye jayenge, agarche wo samandar ki jhaag ke barabar ho.
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
SubhanAllahi wa Bihamdehi
Allah ki zaat paak hain aur usee ki hamd hain
----
Musnad Ahmed#5456-Sahih
----
نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جس نے ایک دن میں سو (۱۰۰) بار سُبْحَانَ اللّٰہِ وَبِحَمْدِہٖ کہا،  الله کی ذات پاک ہے اور اسی کی حمد ہے اس کے گناہ مٹا دیئے جائیں گے، اگرچہ وہ سمندر کی جھاگ کے برابر ہوں۔ 
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Anybody recities SubhanAllahi Wa Bihamdehi 100 times than His sins are wiped away even if they are like the form of the sea.
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
SubhanAllahi wa Bihamdehi
Glory be to Allah, and Praise
Musnad Ahmed#5456-Sahih
*********
Abu Umama Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis Shaks ko raat ki ibadat (yani Qayam Tahhajud ki namaz) mushkil ho aur maal ke kharch karne mein bakhil ho aur dushman se qital karne mein buzdil ho usay cahahaye ke SubhanAllahi wa bihamdehi kasrat se padha karen islye ke ye kalmat Allah Subhanahu ke nazdik sone aur chandi ke pahad kharch karne se bhi zyada mehbub aur pasandeeda hain
---
حضرت ابوامامہ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ   نبی کریمﷺ نے  اِرشاد فرمایا  ہیں:”جو شخص رات کی (عبادت کی) مشقت جھیلنے سے ڈرتا ہو اور مال کے خرچ کرنے میں بخیل ہو اور دُشمن سے قتال کرنے میں بُزدل ہو اُسے چاہیئے کہ”سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ“کثرت سے پڑھا کرے اِس لئے کہ یہ کلمات اللہ تعالیٰ کے نزدیک سونے اور چاندی کے پہاڑ خرچ کرنے سے بھی زیادہ محبوب اور پسندیدہ ہیں
---
 Hazrat Umaama Radi Allahu Anhu narrates that Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  said: “One who is unable to pray during the night (Qayam) or is too miser to spend money or is too coward to take part in Jihad, should recite “SubhanAllahi Wa Bihamdihi” excessively, because this action is more valuable to Allah then spending in his path, a mountain load of gold and silver 
Tabrani Kabeer -7795-Sahih

Kin ko bura kehne se mana kiya gaya hain?

 ❗Only-Quran-Hadith- Quiz❗

Jawab ek se zyada hain

Sawal: Kin ko bura kehne se mana kiya gaya hain?

A. Baarish. 
B. Cheenk
C. Dhoop.
D. Hawa.
E. Zalzala.
F.  Murdon
G. Bukhar .
H. Shaitan.
I. Sahi Jawab ka intezaar
**************
Sahi Jawab DFGH✅

 Reference 📚:
-----
Abu Hurairah (Radi'Allahu Anhu) se rivayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Hawa ko bura na kaho, kyun ki woh Allah Ta'ala ki rehmat mein se hai, woh rehmat bhi laati hai aur azab bhi laati hai, albatta Allah Ta'ala se is ki bhalai ka sawal karo aur us ke sarr se Allah ki panah maango.
(Sunan Ibn Majah 3727).
Aisha (Radi'Allahu Anha) se rivayat hai ke Nabi kareem ﷺ ne farmaya: Murdon ko bura na kaho kyun ki unhone jaisa amal kiya is ka badla paa liya. 
(Sahih Al Bukhari 1393).
Abu Hurairah (Radi'Allahu Anhu) se marvi hai Shaitan ko gali mat do (ya bura na kaho) aur us ki shar se Allah ki panah maango.
(Al Silsila Tus Sahiha 2991).
Jabir bin Abdullah (Radi'Allahu Anhuma) se rivayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya: "Umm Saib ! Tumhein kya hua ? Kya tum siddat se kaano rahe ho ?" Unhone kaha: Bukhar hai, Allah Ta'ala is mein barkat dein ! Aap ne farmaya: "Bukhar ko bura na kaho, kyun ki yeh aadam ki aulad ke gunahon ko is tarah dur karta hai jis tarah bhati lohe ke jangh ko dur karti hai".
(Sahih Muslim 2575).
-------
It was narrated from Abu Hurairah (Radi'Allahu Anhu) that the Messenger of Allah ﷺ said: "Do not curse the wind, for it is from the mercy of Allah, bringing rehmah (i.e., rain and breezes) or destruction. But ask Allah for its goodness, and seek refuge with Allah from its evil".
(Sunan Ibn Majah 3727).
Narrated Aisha (Radi'Allahu Anha): The Prophet ﷺ said: "Don't abuse the dead, because they have reached the result of what they forwarded".
(Sahih Al Bukhari 1393).
Narrated Abu Hurairah (Radi'Allahu Anhu) do not curse the Shaitan (do not say bad) and take refuge with Allah from it.
(Al Silsila Tus Sahiha 2991).
Jabir bin Abdullah (Radi'Allahu Anhuma) reported that Allah's Messenger ﷺ visited Umm Sa'ib or Umm Musayyib and said: Umm Sa'ib or Umm Musayyib why is it that you are shivering ? She said: "It is fever and may it not be blessed by Allah, whereupon he (the Holy Prophet) said: Don't curse fever for it expiates the sin of the children of Adam just as furnace removes the alloy of iron.
(Sahih Muslim 2575).

Aasan hisab ki dua



Bismillahirrhamanirrahim


Aasan hisab ki dua
----- 
اَللّٰهُمَّ حَاسِبْنِىْ حِسَا بًا يَّسِيْرًا

Allahumma Haasibni Hisaban Yasira
---------
Eh Allah mere hisab ko aasan farma de
---------
اے اللہ! میرے حساب کو آسان فرما دے
------
एह अल्लाह मेरे हिसाब को आसान फार्मा दे
---
O Allah! Grant me an easy reckoning
---------
Al Baihiqi, Suab Al Iman, 252-Sahih


 

Quran ki sabse badi aayat hain Aayat Al Kursi


Bismillahirrahamnnirrahim

Hadith: Quran ki sabse badi aayat hain Aayat Al Kursi
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah ki kitaab mein kaunsi aayat badi hain? Abi bin Kaab RadiAllahu Anhu ne kaha Allah aur is ka Rasool behtar jante hain Aap ne kayi martaba ye baat dohrai phir Abi bin Kaab RadiAllahu anhu ne kaha Aayat Al Kursi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : Abu Al-Mundhir tumhe ilm mubarak ho is zaat ki qisam jis ke haath mein meri jaan hain is ki Ek Zabaan aur do hont hain jo Arsh ke paaye ke neeche Allah ki taqdees (paaki) bayan kar rahe hain.
----
Bismillahirrahmanirrahim

Aayat- Al-Kursi
--------
اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ
لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ
لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ
 مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ 
يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ
وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِه
ِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّه السَّمَاواتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ
حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ
-----
Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi,
Zinda hamesha rahne wala,
usse na ungh aati hain na neend,
jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hain sab ussi ka hain,
kaun hain jo uski ejazat ke bagair us se sifarish kar sake,
jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hain aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usse sab malum hain
aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe,
uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hain
aur usse unki hifazat kuch bhi dushwar nahi
wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hain
Surah Al Baqara (2:255)
------
اﷲ اس کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں ،  ہمیشہ زندہ رہنے والا ہے  ( سارے عالم کو اپنی تدبیر سے )  قائم رکھنے والا ہے ،  نہ اس کو اُونگھ آتی ہے اور نہ نیند جو کچھ آسمانوں میں ہے اور جو کچھ زمین میں ہے سب اسی کا ہے ،  کون ایسا شخص ہے جو اس کے حضور اس کے اِذن کے بغیر سفارش کر سکے ،  جو کچھ مخلوقات کے سامنے  ( ہو رہا ہے یا ہو چکا )  ہے اور جو کچھ ان کے بعد  ( ہونے والا )  ہے  ( وہ )  سب جانتا ہے ،  اور وہ اس کی معلومات میں سے کسی چیز کا بھی احاطہ نہیں کر سکتے مگر جس قدر وہ چاہے ،  اس کی کرسیء  ( سلطنت و قدرت )  تمام آسمانوں اور زمین کو محیط ہے ،  اور اس پر ان دونوں  ( یعنی زمین و آسمان )  کی حفاظت ہرگز دشوار نہیں ،  وہی سب سے بلند رتبہ بڑی عظمت والا ہے
-----
ALLAH! La ilaha illa Huwa (none has the right to be worshipped but He), 
Al-Hayyul-Qayyum (the Ever Living,
the One Who sustains and protects all that exists). 
Neither slumber nor sleep overtakes Him. 
To Him belongs whatever is in the heavens and whatever is on the earth. 
Who is he that can intercede with Him except with His Permission? 
He knows what happens to them (His creatures) in this world, and what will happen to them in the Hereafter. 
And they will never compass anything of His Knowledge except that which He wills. 
His Kursi extends over the heavens and the earth, 
and He feels no fatigue in guarding  and preserving them. And He is the Most High, the Most Great.
Surah Al Baqara(2:255)
-----
ابی بن کعب رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ کی کتاب میں کونسی آیت بڑی ہے؟ ابی بن کعب نے کہا: اللہ اور اس کا رسول بہتر جانتے ہیں۔ آپ نے کئی مرتبہ یہ بات دہرائی۔ پھر ابی بن کعب رضی اللہ عنہ  نے کہا: آیۃ الکرسی، نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ابو المنذر تمہیں علم مبارک ہو۔ اس ذات کی قسم جس کے ہاتھ میں میری جان ہے اس کی ایک زبان اور دو ہونٹ ہیں جو عرش کے پائے کے نیچے اللہ کی تقدیس بیان کررہے ہیں۔ 
-----
It is narrated on the authority of Abi bin Kaa'b that the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Which verse is greater in the Book of Allah? Abi bin Kaa'b said: Allah and His Messenger know best. Prophet have said this many times. Then Abi bin Kaa'b RadiAllahu Anhu said: Ayat-ul-Kursi, the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said: Abu Al-Mundhir, may you have blessed knowledge. I swear by the One in whose hand is my soul, he has one tongue and two lips which are expressing the holiness of Allah under the feet of the Throne.
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2486-Sahih



 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...