Bismillahirrahmannirrahim
Hadith: Jo shaqs chahata hai ke wo apne walid ke saath Qabar mein sila rehmi kare woh unke (doston/ya milne wale se milta rahe
-------
Abu Barda se rivayat hai kehte hain ke mein Madine aaya to mere paas Abdullah Bin Umar Radi Allahu Anhuma aaye aur kaha kya tum jantay ho ke mein tumahray paas kyun aaya hon? Mein ne kaha nahi, Abdullah ne kaha ke mein ne Rasool-Allah (ﷺ) se suna farma rahe thy jo shakhs yeh pasand karta hai ke woh apne waalid se is ki qabar mein sila rehmi kare to woh apne waalid ke doston se is ke marne ke baad milta rahe mere Walid Umar Radi Allahu anhu aur aap ke waalid ke darmain muvakhat (bhai charah) aur mohabbat thi is liye mein ne pasand kiya ke mein is sila rehmi ko qaim rakhon.
---------
ابو بردہ سے مروی ہے کہتے ہیں کہ میں مدینے آیا تو میرے پاس عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما آئے اور کہا: کیا تم جانتے ہو کہ میں تمہارے پاس کیوں آیا ہوں؟ میں نے کہا: نہیں، عبداللہ نے کہا کہ میں نے رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم سے سنا فرما رہے تھے : جو شخص یہ پسند کرتا ہے کہ وہ اپنے والد سے اس کی قبر میں صلہ رحمی کرے تو وہ اپنے والد کے دوستوں سے اس کے مرنے کے بعد ملتا رہے۔ میرےوالد عمر رضی اللہ عنہ اور آپ کے والد کے درمیان مواخاۃ(بھائی چارہ) اور محبت تھی اس لئے میں نے پسند کیا کہ میں اس صلہ رحمی کو قائم رکھوں۔
---------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 404-Sahih
No comments:
Post a Comment