Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 23 September 2020

Allah subhanh wa Ta'ala ko sabse zyada ye 4 kalme pasand hain



Bismillahirrahmanirrahim

✦Allah subhanh wa Ta'ala ko sabse zyada ye 4 kalme pasand hain
--------------
🌹 SubhanAllah  🌹
----------
🌹 Walhamdulillah 🌹
----------
🌹Wa La ilaha illAllah 🌹
----------
🌹 Wallahu Akbar  🌹
----------
✦ Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ek aise darakht ke pass se guzre jiske patte sukh chuke they , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne us par laathi maari to uske paththe jhadne lage , phir Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Alhamdulillah wa SubhanAllah wa La ilaha illAllah wa Allahu akbar kahne se isee tarah gunah jhad jate hain jis tarah is darakht ke patte jhad gaye 
jamia Tirmizi, Jild 2, 1456-Hasan

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu ko sabse zyada ye 4 kalme pasand hain SubhanAllah Wa Alhamdulillah Wa La ilaha ilAllahu Wa Allahu Akbar.
Sahih Muslim, Jild 6, 5601 

✦ Rasool-Allah Sal Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya 
SubhanAllah wa Alhamdulillah wa  La ilaha illAllah wa Allahu Akbar,  Al-Baqiyat As-Salihat yani baqi rahne wali nekiya hain
Al-Silsilat As-Sahiha-2854

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasllam ne farmaya 100 bar Subhanallah kaho ye tumhare liye Ismail Alaihi Salam ki aulad se 100 gardenein (Gulam) Aazad karne ke barabar hai,Aur 100 bar Alhamdullilah kaho ye tumhare liye 100 zean aur lagam pehne huye(tayyar shuda) ghode ke barabr hoga Jo tum Allah Subhanahu ke raste mai do,Aur 100 bar Allah hu Akbar kaho ye tumhare liye Nakel dali maqbul Oontniyo ke barabr hoga, Aur 100 bar La ilaha ilAllah kahao Ibn khalf ne kaha: mere khayal mai Aap Sallahahu Alahai Wasllam ne farmaya ye asman aur Zameen ko bhar dega ,us din kisi 
Shaqs ka ammal itna buland nahi hoga siwaye us shaqs ke Jo us tarah kare 
At Tabrani , 298 , Hasan
Al-Silsilat As-Sahiha-2855
----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم ایک ایسے درخت کے پاس سے گزرے جس کی پتیاں سوکھ گئی تھیں، آپ نے اس پر اپنی چھڑی ماری تو پتیاں جھڑ پڑیں، آپ نے فرمایا: ” «الحمد لله وسبحان الله ولا إله إلا الله والله أكبر» کہنے سے بندے کے گناہ ایسے ہی جھڑ جاتے ہیں جیسے اس درخت کی پتیاں جھڑ گئیں
جامع ترمزی جلد ٢ - ١٤٥٦- حسن 

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا: اللہ تعالیٰ کے نزدیک سب سے زیادہ پسندیدہ چارکلمات ہیں
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ‏
صحیح مسلم جلد ٦ / ٥٦٠١ 

رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: سُبْحَانَ اللهِ، وَالْحَمْدُ لِلهِ، وَلا إِلَهَ إِلا اللهُ، وَاللهُ أَكْبَرُ باقی رہنے والی نیکیاں ہیں
سسلہ صحیحہ ٢٨٥٤  

رسول اللہ ﷺ نے فرمایا: سو مرتبہ سبحان اللہ کہو، یہ تمہارے لئے اولاد اسماعیل سے سو گرد نیں آزاد کرنے کے برابر ہے۔ اور سو مرتبہ الحمدللہ کہو، یہ تمہارے لئے سو عدد زین اور لگام پہنائے ہوئے( تیار شدہ)گھوڑوں کے برابر ہوگاجو تم اللہ کے راستے میں دو۔ اور سو مرتبہ اللہ اکبر کہو، یہ تمہارے لئے نکیل ڈالی ہوئی مقبول اونٹنیوں کے برابر ہوگا۔ سو مرتبہ لا الہ الا اللہ کہو۔ ابن خلف 
نے کہا: میرے خیال میں آپﷺ نے فرمایا: یہ آسمان و زمین کو بھر دے گا، اس دن کسی شخص کا عمل اتنا بلند نہیں ہو گا سوائے اس شخص کے جو اس طرح کہے
طبرانی ٢٩٨ حسن 
سسلہ صحیحہ ٢٨٥٥
---------
Bismillahirrahmanirrahim

✦The dearest phrases to Allah Subhanahu are four
----------
🌹 SubhanAllah 🌹
-
🌹 Wa Alhamdulillah 🌹
-
 🌹 Wa La ilaha illAllahu 🌹
-
🌹Wa Allahu Akbar 🌹
--------
✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said "The dearest phrases to Allah are four: Subhan Allah (Glory be to Allah), Al-Hamdulillah (Praise be to Allah), La ilaha illa-Allah (There is no God but Allah), Allahu Akbar (Allah is Greatest)
Sahih Muslim,Book 25, Hadith 5329


 

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...