Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 11 August 2020

Jo Emaan lata hai phir seedhe raaste per rehta hai uske liye kya inam hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Jo Emaan lata hai phir seedhe raaste per rehta hai uske liye kya inam hai

A: Jannat ka raasta asaan kar diya jata hain

B: Uske Gunah maaf kar diye jayenge

C: Allah Subhanahu  khud usse Mohabbat karte hain

D: Qayamat ke din noor hasil hoga 

E: Qabr ke azab se mehfuz kar diya jata hain

F: Dozak us par haram kar de jati hain

G: Inmein se koi nahi 

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hain toh sahi jawab likhiye

****************

Sahi Jawab - G✅

Jo banda Emaan lata hai phir seedha rehta hai, usay Jannat mein chalaya jayega

Reference📚:

----

Rafah bin Imran RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke iss zaat ki qasam  jis ke haath mein Mohammed Sallallahu Alaihi wasallam ki jaan hain jo banda Emaan lata hai phir seedha rehta hai, usay Jannat mein chalaya jayega, aur mujhe umeed hai ke tum is waqt tak Jannat mein daakhil nahi honge jab tak tum aur tumhaarii Naik Aulaad Jannat mein jagah na banale lennge aur mujhse mere RABB ne wada kiya hai ke meri ummat mein se sattar hazaar bande baghair hisaab ke jannat mein daakhil karega

-----

رفاعہ بن عمران جہنی سے مرفوعا مروی ہے كہ: اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں محمد( صلی اللہ علیہ وسلم ) كی جان ہے، جو بندہ ایمان لاتاہے ، پھر سیدھا رہتا ہے ، اسے جنت میں چلایا جائے گا، اور مجھے امید ہے كہ تم اس وقت تك جنت میں داخل نہیں ہو گے جب تك تم اور تمہاری نیك اولاد جنت میں جگہ نہ بنالیں اورمجھ سے میرے رب نے وعدہ كیا ہے كہ میری امت میں سے ستر ہزار بندے بغیر حساب كے جنت میں داخل کرےگا ۔

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#1412-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...