❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗
Sawal: Kaunsa amal karne wale ke liye farmaya gaya ke wo Tahajjud ki namaz ke barabar ka amal hai
A: Kasrat se Astagfaar karna
B: Fajar ke waqt Quran ki tilawat karna
C: Asar ki chaar rakat sunnat padna
D: Magrib ki farz namaz se pehle 2 rakat sunnat padna
E: Zohar ki chaar rakat sunnat padna
F: Raat ko Surah Al Baqrah ki akhiri doh ayate padh kar sona
G: Inmein se koi nahi
H: Sahi jawab ka intezaar
❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye
**************
Sahi Jawab - E✅
Zohar se pehlay ki chaar rakate sehri (Tahhajjud) ki namaz ke barabar hain
Reference📚:
------
Abu Saleh RadiAllahu Anhu se marfua marsala rivayet hai, Zohar se pehlay ki chaar rakate sehri (Tahhajjud) ki namaz ke barabar hain
-----
ابو صالح سے مرفوعا مرسلا روایت ہے ،ظہر سے پہلے كی چار ركعات سحری(تہجد) كی نماز كے برابر ہیں۔
-----
عن أبي صَالَحٍ مَرفُوعاً مُرْسَلًا: أَرْبَعُ رَكَعَاتٍ قَبْلَ الظُّهْر يَعدِلْنَ بِصَلَاةِ السَحَرِ
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#536- Sahih
No comments:
Post a Comment