Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 11 July 2020

wo kaunsa Amal hai jis ka darr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko apni ummat per tha?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsa Amal hai jis ka darr Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ko apni ummat per tha? 

A: Gali dena
B: Jhoot bolna
C: Sood lena aur dena
D: Aurat 
E: Ilm hone ke bawajood Amal nahi karna
F: Maal jama karne ki chahat mein bhukli karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

************

Sahi Jawab - G✅
Janbuch kar galti karne se
-----
Ummat ki galtiya jo Janbuch kar ki jaye usse Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam darra karte thy
-----
Reference📚:
-----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mein tumare bare mein mohtaji se nahi darta lekin mein tum par daulat ki kasrat se darta hu aur mein tumare bare mein khata hone ( bagair ilm ke galti ho jane) se nahi darta lekin mujhe tumare bare jaan buchkar galti karne se darr lagta hai
------
ابو ہریرہ  رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ: میں تمہارے بارے میں محتاجی سے نہیں ڈرتا  لیكن میں تم پر دولت کی کثرت سے سے ڈرتا ہوں اورمیں تمہارے بارے میں خطا ہونے(بغیرعلم كےغلطی ہو جانے)سے نہیں ڈرتا لیكن مجھے تمہارے بارے جان بوجھ كر غلطی كرنے سے ڈر لگتا ہے
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha # 1277- Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...