Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 28 October 2020

Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Ek Amal aisa hain jiske bare mein Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalam ne farmaya ke ye amal Arsh ke pass tumhari yaad dilaata rehta hain


A: Namaz qayam karne wale

B: jo rizaq Allah ne diya usmein se karch karne wale

C: jab Allah Subhanahu ka naam liya jata hai toh unke dil darr jate hain

D: jab Allah Subhanahu ki ayaton ka zikr hota hain toh unka imaan aur badh jata hain

E: jo tanhai mein Allah Subhanahu ko yaad karte hain aur unke aankh se aansoo jari hojate hain

F: SubhanAllahi wa biHamdihi, Subhan-Allahil-azeem kehne par

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - G✅


Ye Azkar arsh ke ird grid jakar uske padhne wale ka tazkira (Zikr) karte hain.....SubhanAllah Alhamdulillah Laa illaha IllAllah Allahu Akbar


Reference📚:

------

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya : jab log Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed Alhumdulilah ), Takbir (Allahu Akbar) aur Tehleel (La illaha IllAllah) ki surat mein Allah Subhanahu ke jalal ka zikr karte hain, to ye (azkar) Arsh ke ird gird aajizi karte hain, Shehad ki makhi ki bhinbhinahat ki terhan unki aawaz hoti hai aur ye apne (zikr karne wale) sahib ka tazkara karte hain. to ab kya tum log nahi chahte ke tumhara koi aisa amal ho jo (Arsh ke paas) tumhari yaad dilaata rahe.

-----

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جب لوگ تسبیح (سُبْحَانَ اللّٰہ)، تحمید (اَلْحَمْدُ لِلّٰہ)، تکبیر (اَللّٰہُ اَکْبَر) اور تہلیل (لَا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہ) کی صورت میں اللہ تعالیٰ کے جلال کا ذکر کرتے ہیں، تو یہ (اذکار) عرش کے اردا گرد عاجزی کرتے ہیں، شہد کی مکھی کی بھنبھناہٹ کی طرح ان کی آواز ہوتی ہے اور یہ اپنے (ذکر کرنے والے) صاحب کا تذکرہ کرتے ہیں۔ تو اب کیا تم لوگ نہیں چاہتے کہ تمہارا کوئی ایسا عمل ہو جو (عرش کے پاس) تمھاری یاد دلاتا رہے۔ 

----

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said when you recite Tasbeeh (SubhanAllah), Tamheed (Alhumdulilah), Takbir (Allahu Akbar) and Tehleel (La illaha IllAllah) it revolves around the throne buzing like bees, reminding for the one who recited it. So anyone of you like to have or continue to have something which reminds of him revolving around the throne in the presence of Allah Subhanahu

----

Musnad Ahmed#5464-Sahih

Shaitaan ke nifaq se kya murad hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Shaitaan ke nifaq se kya murad hain


A: Gussa

B: shar

C: junoon

D: hasad

E: Takkabur

F: Zulm

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka Intezaar

*****

Sahi Jawab - E✅


Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasalalm Shaitan ki humz, nafs aur nifaq se panah talab kiya karte thy


Reference📚:

------

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam shaytan ke humz, nafs aur nifaq se panah talab kiya karte thy, humz se murad uska Junoon hain, nafs se murad us ka shar hain aur nifaq se murad us ka takabbur hai

-----

The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam used to seek refuge from the devil's hamz, nafs and nifaq. Hamz means his Madness, nafs means his poetry and nifaq means his arrogance.

-----

 سیدنا عبد اللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم شیطان کے ہَمْز، نَفْث اور نَفْخ سے پناہ طلب کیا کرتے تھے، ہَمْز سے مراد اس کا جنون ہے، نَفْث سے مراد اس کا شعر ہے اور نَفْخ سے مراد اس کا تکبر ہے۔ 

---- 

Musnad Ahmed#5682-Sahih

Mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumhare liye bhali ho aur ye bhi Mumkin hai ke tum kissi cheez ko achchi samjho halanke wo tumhare liye buri ho haqeeqi ilm Allah he ko hai tum mehaz be khabar ho.





Bismillahirrahmannirrahim

وَعَسَىٰ أَن تَكْرَهُوا شَيْئًا وَهُوَ خَيْرٌ لَّكُمْ ۖ وَعَسَىٰ أَن تُحِبُّوا شَيْئًا وَهُوَ شَرٌّ لَّكُمْ ۗ وَاللَّهُ يَعْلَمُ وَأَنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ

------

Mumkin hai tum kissi cheez ko buri jano aur wohi tumhare liye bhali ho aur ye bhi Mumkin hai ke tum kissi cheez ko achchi samjho halanke wo tumhare liye buri ho haqeeqi ilm Allah he ko hai tum mehaz be khabar ho.

------

ممکن ہے تم کسی چیز کو بھول ہی جانا اور وہ تمہارے لئے بھی ہو اور یہ بھی ممکن ہے کہ تم کسی چیز کو اچھی سمجھو حالانکہ وہ تمہارے لیے بری ہوں حقیقی علم اللہ ہی کو ہے تم محض بے خبر ہو

----

Perhaps you may dislike something which is good for you, and like something which is bad for you. Allah knows and you do not.

------

Surah Al Baqarah (2:216)

 

Quran majid ke baad ye chaar kalimat afzal hain....SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Quran majid ke baad ye chaar kalimat afzal hain....SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar
----
Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Quran majid ke baad chaar kalimat Afzal kalam hain aur ye bhi Quran kareem se hi hain wo char kalmat ye hain SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar , jis kalme se chahe shuru karo is se koi farq nahi padhega
Musnad Ahmed-5455-Sahih
------
 رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  قرآن مجید کے بعد چار کلمات افضل کلام ہیں اور یہ بھی قرآن کریم سے ہیہیں، تو جس کلمہ سے مرضی شروع کردے، اس سے کوئی فرق نہیںپڑے گا، وہ چار کلمات یہ ہیں: سُبْحَانَ اللّٰہِ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ، وَلَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ، وَاللّٰہُ أَکْبَرُ۔
------
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: After Quran these four words are the best...SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar

RasoollAllah Sallallahu Alaihi wasallam said after the Quran these four words are the best and these are from the Quran also, SubhanAllah wa Alhamdulillah wa lailaha illallah wa Allahu Akbar ,  you can start to recite any of the word you like,  it will be same
Musnad Ahmed-5455-Sahih


 

Tuesday, 27 October 2020

Tum naik kaamo mein ek dusre se agay badhne ki koshish karo





Bismillahirrahmannirrahim

فَاسْتَبِقُوا الْخَيْرَاتِ ۚ 
-----
Tum naik kaamo mein ek dusre se agay badhne ki koshish karo
-----
تم نیک کاموں میں ایک دوسرے سے آگے بڑھنے کی کوشش کرو
-----
Compete with each other in performing good deeds.
-----
Surah Al Baqrah: (02:148)


 

Jo Shaqs apne Musalman bhai ki gair majoodgi mein gheebat hone na de usse Allah Subhanahu Aag se azzad farma dega



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo Shaqs apne Musalman bhai ki gair majoodgi mein gheebat hone na de usse Allah Subhanahu Aag se azzad farma dega
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ‌jis ne apne (Musalman) bhai ki ghair maujoodgi mein is ki gheebat na hone di to Allah Subhanahu par haq hai ke woh usse Jahannum ki Aag se Azad kar de
----
 اسماء بنت یزید ؓ بیان کرتی ہیں ، رسول اللہ صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا :’’ جس نے اپنے (مسلمان) بھائی کی غیر موجودگی میں اس کی غیبت نہ ہونے دی تو اللہ پر حق ہے کہ وہ اسے جہنم کی آگ سے آزاد کر دے
----
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4981-Sahih


 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam Dua





Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki aam Dua
-----
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam ki aam dua yh hoti thi 

اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ

Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu

Tarjuma: Eh Allah ! Mere liye woh gunah baksh de, jo mein ne nadanista taur par kiye, jo jaan bujh kar kiye, jo makhfi taur par kiye, jo Ehlaniya taur par kiye, jo jahalat ki wajah se kiye aur jo janne bujhne ke bawajood kiye
-----
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith:The Regular dua of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam

The regular dua of the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam was: 

اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ

Allahumma Agfirli Ma Aakhta’tu wama taammadtu wama aasrartu wama aalantu wama jahiltu wama taammadtu

O Allah, please forgive sin for me, which I did unknowingly, that Intentionally, what I did secretly, what I did openly, what I did out of ignorance, and what I did knowingly
-----
 ۔ سیدنا عمران بن حصین  رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  کی عام دعا یہ ہوتی تھی: اَللّٰھُمَّ اغْفِرْ لِی مَا أَخْطَأْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ وَمَا أَسْرَرْتُ وَمَا أَعْلَنْتُ وَمَا جَہِلْتُ وَمَا تَعَمَّدْتُ۔(اے اللہ! میرے لیے وہ گناہ بخش دے، جو میں نے نادانستہ طور پر کیے، جو جان بوجھ کر کیے، جو مخفی طور پر کیے، جو علانیہ طور پر کیے، جو جہالت کی وجہ سے کیے اور جو جاننے بوجھنے کے باوجود کیے)۔  
-----
Musnad Ahmed#5660-Sahih


 

Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karne wale shaqs ka maqam buland hojata hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Allah Subhanahu ki khatir Aajizi ikhtiyar karne wale shaqs ka maqam buland hojata hain
---------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Sadqe ne maal main kabhi koi kami nahi ki aur maaf Karne se Allah Subhanahu bande ko ezzat hi main badhata hai aur jo shakhs  sirf Allah Subhanahu ki khatir  Aajizi  ikhtiyar karta hai to Allah Subhanahu uska Maqam buland Kar deta hai
Sahih Muslim, Jild 6, 6592
------
رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وسلم نے فرمایا  صدقے نے مال میں کبھی کوئی کمی نہیں کی اور معاف کرنے سے اللہ تعالیٰ بندے کو عزت ہی میں بڑھاتا ہے اور کوئی شخص  صرف اللہ کی خاطر تواضع ( عاجزی ) اختیار  کرتا ہے تو  اللہ تعالیٰ اس کا مقام بلند کر دیتا ہے ۔ 
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam said Charity does not in any way decrease the wealth and the servant who forgives Allah adds to his respect, and the one who shows humility Allah elevates him in the estimation (of the people). 
Sahih Muslim Book 32, Hadith 6264


 

Jo Shaqs is Azkar ko padhe toh har kalme ke badle uske liye Jannat mein ek darakht laga diya jata hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo Shaqs is Azkar ko padhe toh har kalme ke badle uske liye Jannat mein ek darakht laga diya jata hain
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shaks ne kaha

سُبْـحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْـدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَـٰهَ إِ لاَّ اللَّهُ وَا للَّهُ أَ كْبَـرُ

SubhanAllah walhamdullilah walailaha illAllah wallahuAkbar

Allah Subhanahu har kalme ke badle uske liye Jannat mein ek darakht laga dega 

Al-Silsila-As-Sahiha-2971
-----
رسول اللہ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: جس شخص نے کہا:
سُبْـحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْـدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَـٰهَ إِ لاَّ اللَّهُ وَا للَّهُ أَ كْبَـرُ اللہ پاک ہے تمام تعریفات اللہ کے لئے ہیں، اللہ کے علاوہ کوئی سچا معبود نہیں اور اللہ سب سے بڑا ہے، اللہ تعالیٰ ہر کلمے کے بدلے اس کے لئے جنت میں ایک درخت لگا دیاک
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihu wasallam said if anyone says 

سُبْـحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْـدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَـٰهَ إِلاَّ اللَّهُ وَا للَّهُ أَ كْبَـرُ

SubhanAllah walhamdullilah walailaha illAllah wallahuAkbar

Alalh will plant a tree in the paradise for him for each words of these Azkar

Al-Silsila-As-Sahiha-2971


 

La illaha illallaha Allahu Akbar kehne ki taqat aur fazilat



Bismillahirrahmannirrahim


La illaha illallaha Allahu Akbar kehne ki taqat aur fazilat
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tum ne ek aise shehar ke mutaliq suna hai jis ki ek janib khushki hai aur ek taraf samandar hai, unhon ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam! Jee haan, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Qayamat qaim nahi hogi hatta ke Banu Ishaq ke sattar hazaar afraad wahan Jihaad Karenge, jab woh wahan pahonch kar padao dalenge to woh nah to aslah se ladenge aur nah teer andazi karenge,' woh La illaha illallaha Allahu Akbar ' padhenge to is ki ek janib gir padegi Sore bin Yazid Ravi bayan karte hain, mein nahi jaanta magar Hazrat Abu Huraira RadiAllahu Anhu ne is janib ke mutaliq farmaya jo samandar ki taraf hai' ' phir woh dusri martaba :' La illaha illallaha Allahu Akbar ' padhenge toh is ki dusri janib bhi gir padhegi, phir woh teesri martaba' ' La illaha illallaha Allahu Akbar' padhenge to woh (Shehar) un ke liye khol diya jayega to woh is mein daakhil honge aur maal ghanemat haasil karenge, woh maal ghanemat taqseem kar rahe honge ke ek zor daar aawaz inhen sunai degi ke Dajjal ka zahuur ho chuka hai, chunancha woh har cheez chodh kar wapas aa jayenge
-------
حضرت ابوہریرہ   ؓ  سے روایت ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ کیا تم نے ایک ایسے شہر کے متعلق سنا ہے جس کی ایک جانب خشکی ہے اور ایک طرف سمندر ہے ؟‘‘ انہوں نے عرض کیا ، اللہ کے رسول ! جی ہاں ، آپ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا :’’ قیامت قائم نہیں ہو گی حتیٰ کہ بنو اسحاق کے ستر ہزار افراد وہاں جہاد کریں گے ، جب وہ وہاں پہنچ کر پڑاؤ ڈالیں گے تو وہ نہ تو اسلحہ سے لڑیں گے اور نہ تیر اندازی کریں گے ، ’’ وہ لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر ‘‘ پڑھیں گے تو اس کی ایک جانب گر پڑے گی ۔‘‘ ثور بن یزید راوی بیان کرتے ہیں ، میں نہیں جانتا مگر حضرت ابوہریرہ   ؓ  نے اس جانب کے متعلق فرمایا جو سمندر کی طرف ہے ’’ پھر وہ دوسری مرتبہ :’’ لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر ‘‘ پڑھیں گے تو اس کی دوسری جانب بھی گر پڑے گی ، پھر وہ تیسری مرتبہ ’’ لا الہ الا اللہ و اللہ اکبر ‘‘ پڑھیں گے تو وہ (شہر) ان کے لیے کھول دیا جائے گا تو وہ اس میں داخل ہوں گے اور مال غنیمت حاصل کریں گے ، وہ مال غنیمت تقسیم کر رہے ہوں گے کہ ایک زور دار آواز انہیں سنائی دے گی کہ دجال کا ظہور ہو چکا ہے ، چنانچہ وہ ہر چیز چھوڑ کر واپس آ جائیں گے ۔‘‘ رواہ مسلم ۔
--------
Mishkat ul Masabeeh#5423-Sahih


 

Duniya aur Akhirat mein khair mangne ki dua






Bismilahirrahmanirrahim

Duniya aur Akhirat mein khair mangne ki dua
----
 رَبَّنَا آتِنَا فِي الدُّنْيَا حَسَنَةً وَفِي الآخِرَةِ حَسَنَةً وَقِنَا عَذَابَ النَّارِ

Rabbana Aatina fid-dunya hasanatan wa fil Aakhirati Hasanatan Wa Qina Azabann naar.
-----
Eh hamare RABB humein Duniya mein bhi Bhalaii de aur Aakhirat mein bhi bhalaii de aur humein Dozakh ke azab se bacha.
------
اے ہمارے رب ہمیں دنیا میں بھی بھلائی دے اور آخرت میں بھی بھلائی دے اور ہمیں دوزخ کے عذاب سے بچا  
------
Bismilahirrahmanirrahim

Dua to ask for the best in the both worlds
----
"O Allah! Give to us in the world that which is good and in the Hereafter that which is good and save us from the Fire.
------
Al Quran Surah Baqara (2), 201

Quran Namaz aur Allah ne joh rizq diya hai usmein se karch karne wale log kabhi nuqsan nahi uthayege



Bismillahirrahmannirrahim

Al Quran: Quran Namaz aur Allah ne joh rizq diya hai usmein se karch karne wale log kabhi nuqsan nahi uthayege
----
إِنَّ الَّذِينَ يَتْلُونَ كِتَابَ اللَّـهِ وَأَقَامُوا الصَّلَاةَ وَأَنفَقُوا مِمَّا رَزَقْنَاهُمْ سِرًّا وَعَلَانِيَةً يَرْجُونَ تِجَارَةً لَّن تَبُورَ
---
Jo log Allah ki kitab ki tilawat karte hain , aur jinhon ne Namaz ki pabandi kar rakhi hai , aur hum ne unhen jo rizq diya hai , uss mein se woh (Naik kamon mein) khufiya aur Elaniya kharch karte hain , woh aisi tijarat ke umeedwaar hain jo kabhi Nuqsan nahi uthaye ge.
--- 
Indeed, those who recite the Book of Allah and establish prayer and spend [in His cause] out of what We have 
provided them, secretly and publicly, [can] expect a profit that will never perish
----
Al Quran: (Surah Fatir 35:29)

Darood Images







Bismillahirrhamanirrahim

Hadith: Jumma k din mujh per zyada se zyada darood bheja karo
-----------
Hazrat Aws bin Aws Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wassalam ne farmaya tumhare tamam dinon men Jumma ka din sabse afzal hai ki is din Hazrat Aadam Alaihi salam ko paida kiya gaya aur usi din unki rooh qabz ki gayi aur usi din soor  phunka jayega aur isi din sab behosh honge isliye is roz (Juma ko)mujh per zyada se zyada darood bgeja kero kyunki tumhara darood padhna mujh per pesh kiya jata hai, logon ne kaha ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam humara darood parhna aap per kis tarah se pesh honge to aap Sallallahu Alaihi wassallam ne farmaya Allah subhanahu ne Anbiya karam ke jism ko mitti per haram kar diya hai.
Sunnan Abu Dawud,Vol 1, 1035-Sahih
----------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:  تمہارے دنوں میں سب سے افضل (بہترین) جمعہ کا دن ہے، اسی دن آدم علیہ السلام پیدا ہوئے، اسی میں ان کی روح قبض کی گئی، اور اسی دن صور پھونکا جائے گا، اور اسی دن بیہوشی طاری ہو گی، لہٰذا تم مجھ پر زیادہ سے زیادہ صلاۃ (درود و رحمت) بھیجو کیونکہ تمہاری صلاۃ (درود و رحمت) مجھ پر پیش کیے جائیں گے ؎ لوگوں نے عرض کیا: اللہ کے رسول! ہماری صلاۃ (درود و رحمت) آپ پر کس طرح پیش کی جائیں گی حالانکہ آپ ریزہ ریزہ ہو چکے ہوں گے یعنی وہ کہنا چاہ رہے تھے، کہ آپ بوسیدہ ہو چکے ہوں گے، آپ نے فرمایا:  اللہ تعالیٰ نے زمین پر حرام کر دیا ہے کہ وہ انبیاء علیہم السلام کے جسم کو کھائے ۔
---------
Narrated By Aws Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sallallahu Alalhi Wasallam said: Among the most excellent of your days is Friday; on  this day Adam Alaihi salam was created, on this day  he died, on this day the last trumpet will be blown, and on this day the shout will be made, so send more blessings on me this day (means on friday), for your blessings will be submitted to me. The people asked: Ya Rasool-Allah SallallahuAlaihi Wasallam  how can it be that our blessings will be submitted to you while your body is decayed? Rasool-Allah SallallahuAlalhi Wasallam replied: Allah Subhanahu has prohibited the earth from consuming the bodies of Prophets. 
Sunan Abu Dawud, Book 3, 1042-Sahih
------

Bismillahirahmanirrahim

اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّد

Allahumma Salli Ala Muhammed
----
 Eh Allah Rahmat nazil farma Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam par 
--------
اے الله رحمت نازل فرما محمد صلی علیہ وسلم پر 
-----
Oh Allah send blessings on Prophet Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam


 

As Salamu Alekum and Walekum As Salam,



























السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُه

Aap par Salamati ho aur Allah ki taraf se Rehmatein aur uski Barkatein aap par Nazil ho


 

Maqam e Mahmood Shaffat hai



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith:Maqam e Mahmood Shaffat hai
----
Abu Huraira RadiAllahu Anhu sw riwayat hai ke Maqam e Mahmood Shafaat hain
----
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: مقام محمود”شفاعت“ہے
----
عَنِ أَبِي هُرَيْرَةَ مَرفُوعاً: الْمَقَامُ الْمَحْمُودُ: الشَّفَاعَةُ. 
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#2712-Sahih

 

Monday, 26 October 2020

Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain



Bismillahirrahmannirrahim

Alhumdullilah kahne se Meezan bhar jata hain
----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Alhumdullilah kehne se Meezan (Nekiyon se) bhar jata hain.
----
Sunan Ibn Majah, Vol 1, 280- Sahih
----
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا الحمد لله  کہنے سے میزان (نیکیوں سے)  بھر  جاتا ہے
-----
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam said Alhumdullilah Fills the Scale (of Good Deeds)
Sunan Ibn Majah, Book 1, 280-Sahih

Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne kaunse kalimaat ke liye farmaya yh Jannat ka darwaza hain

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Rasool-Allah Sallalahu Alaihi wasallam ne kaunse kalimaat ke liye farmaya yh Jannat ka darwaza hain


A: La hawla wa la Quwata illa Billah

B: Laa illaha illAllah

C: Durood

D: SubhanAllahi wa bihamdihi

E: SubhanAllah Alhamdulillah laa illaha illAllah Allahu Akbar

F: Surah Ikhlas

G: Inmein se koi nahi 


H: Sahi Jawab ka Intezaar

**********

Sahi Jawab - A✅


La hawla wa la Quwata illa Billah Jannat ke darwaze mein se ek darwaza hain


Reference📚:

-------

Qais bin Saad bin Abadah RadiAllahu Anhu se rivayaat hain ke unke waalid ne inhen Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki khidmat ke liye bheja Qais RadiAllahu Anhu kehte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam mere pass se guzre, mein namaz padh chuka tha. Aap Sallallahu Alaihi wasallam apne pav se mujhe zarb lagai, aur farmaya kya mein tumhe Jannat ke darwazon mein se kisi darwaze ke barre mein na batlao?

لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ (La hawla wa la Quwata illa Billah)

------

It is narrated on the authority of Qais ibn Sa'd ibn 'Abadah that his father sent him to serve the Prophet Sallallahu Alaihi wasallam Qais RadiAllahu Anhu said: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam struck me with his foot and said: Shall I not tell you about one of the gates of Paradise? لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ (La hawla wa la Quwata illa Billah)

------

قیس بن سعد بن عبادہ  رضی اللہ عنہ سے مروی ہے کہ ان کے والد نے انہیں نبی  صلی اللہ علیہ وسلم کی خدمت کے لئے بھیجا قیس  رضی اللہ عنہ کہتے ہیں کہ نبی  صلی اللہ علیہ وسلم میرے پاس سے گزرے ،میں نماز پڑھ چکا تھا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے اپنے پاؤں سے مجھے ضرب لگائی ،اور فرمایا: کیا میں تمہیں جنت کے دروازوں میں سے کسی دروازے کے بارے میں نہ بتاؤں ؟ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ

-------

Al-Silsila-tus-Sahiha#2785-Sahih

Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen



Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Pareshani, Museebat ya duniya ki aazmayeesh ke waqt padhne ki dua
-------
Saad RadiAllahu Anhu se rivayat hain ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya kya mein tumhe aisee dua na sikhauu ke jab tum mein se kisi shakhs ko koi takleef ya duniya ki koi aazmayeesh pahunche aur woh yeh dua kare to is ki pareshani dur ho jaye? Aap Sallallahu Alaihi wasallam se arz kiya gaya kyun nahi. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Machhli wale (Yuuns Alaihi Salam) ki dua hai:
لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
Eh Allah tere siwa koi ibadat ke layaq nahi, tu paak hai (aur) beshak mein Qusurwar hu.
Al Silsila As sahiha 2784-Sahih
------
سعد رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہتے ہیں کہ ہم نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌کے پاس بیٹھے ہوئے تھے آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: کیا میں تمہیں ایسی دعا نہ بتاؤں کہ جب تم میں سے کسی شخص کو کوئی تکلیف یا دنیا کی کوئی آزمائش پہنچے اور وہ یہ دعا کرے تو اس کی پریشانی دور ہو جائے؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم ‌سے عرض کیا گیا: کیوں نہیں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: مچھلی والے (یونس علیہ السلام) کی دعا ہے: (لا الٰہ الاّ أنت سبحٰنک انی کنت من الظلمین) اے اللہ تیرے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں تو پاک ہے اور بے شرمی قصوروار ہوئے۔
-----
Hadith: Dua to be recited at the time of distress, difficulties or calamities
-------
Narrated by Saad Radi Allahu Anhu that the Prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said shall I not teach you a supplication which anybody recite in any distress, difficulties or calamities it will be removed ? 
he said yes (teach me) The prophet Sal-Allahu Alaihi wasallam said it is the dua of Dhun-Nun (Yunus Alaihi salam) 
لَّا إِلَهَ إِلَّا أَنتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
La ilaha illa Anta subhanaka inni kuntu min Az-zalimeen
None has the right to be worshipped but You , Glorified be You ! Truly, I have been of the wrong-doers.
------
Al Silsila As sahiha 2784-Sahih


 

Sunday, 25 October 2020

Kaunlog honge jinhe Jannat ki Khusbu bhi nahi payega

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Sawal: Kaunlog honge jinhe Jannat ki Khusbu bhi nahi payega


A: Noha karne wale

B: balon ko siyah rang karne wale

C: thakno ne neeche izhar latkane wale

D: jo maal gin gin ke rakhta hain

E: Jo insaaf nahi karta

F: Jo qarz wapis rakhne ki niyat nahi rakhta 

G: Inmein se koi nahi


H: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - B✅


Balon ko siyah rang karne wale Jannat ki Khusbu bhi nahi paa sakenge


Reference📚:

-----

Nabi Kareem Sallallahu Alaihi wasallam kareem ne farmaya Aakhri zamane mein kuch log aise honge jo balon ko siyah rang se ranga karenge jaisay kabutaro ke seene ke baal hote hain, yeh log Jannat ki khushbu bhi nahi payenge .

-----

سیدنا عبد اللہ بن عباس ‌رضی ‌اللہ ‌عنہما بیان کرتے ہیں کہ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا: آخری زمانہ میں کچھ لوگ ایسے ہوں گے جو بالوں کو سیاہ رنگ سے رنگا کریں گے، جیسے کبوتروں کے سینے کے بال ہوتے ہیں، یہ لوگ جنت کی خوشبو بھی نہیں پائیں گے۔ 

----

Musnad Ahmed#8211-Sahih

Inmein se kis ko shafaat kaha gaya hai

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗



Sawal: Inmein se kis ko shafaat kaha gaya hai


A: Al Kauthar

B: Maqam e Mahmood

C: Namaz

D: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ka mimbar

E: Surah Al Baqrah

F: La illaha illallaha

G: Surah Ikhlas

H: Inmein se koi nahi


I: Sahi Jawab ka intezaar

********

Sahi Jawab - B✅


Maqam e Mahmood Shaffat hai


Reference📚:

----

Abu Huraira RadiAllahu Anhu sw riwayat hai ke Maqam e Mahmood Shafaat hain

ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے کہ: مقام محمود”شفاعت“ہے

----

عَنِ أَبِي هُرَيْرَةَ مَرفُوعاً: الْمَقَامُ الْمَحْمُودُ: الشَّفَاعَةُ. 

----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2712-Sahih

Aur mujhe us din ruswa na karna jab sab log zinda karke Uthaye jayenge




Bismillahirahmanirrahim

وَلَا تُخْزِنِي يَوْمَ يُبْعَثُونَ
-----
Aur mujhe us din ruswa na karna jab sab log zinda karke Uthaye jayenge
---
اور مجھے اس دن رسوا نہ کرنا جب سب لوگ زندہ کرکے اٹھائے جائیں گے
---
And do not disgrace me on the Day when all will be resurrected
----
Surah Ash-Shu'raa - (26:87)


 

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah



Bismillahirrahmannirrahim

لآ اِلَهَ اِلّا اللّهُ مُحَمَّدٌ رَسُوُل اللّهِ

La ilaha illAllah Muhammedur Rasool-Allah
----
Allah ke Siwa koi Ibadat ke layaq nahi aur Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam Allah ke Rasool hain
-----
الله کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں اور محمد صلی اللہ علیہ وسلم الله کے رسول ہیں
-----
There is No God but Allah and Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam is the 
Messenger of Allah


 

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...