Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 21 July 2020

Sahi Milan Kijiye❗ A: Ziyada Hasne wala B: Jo apne liye pasand karte ho wahi logon ke pasand karne wala C: Haram kamon se bachne wala D: Jo Allah ne muqqadar kar diya usper raazi hone wala E: Padosi ke saath neki karne wala

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sahi Milan Kijiye❗

A: Ziyada Hasne wala
B: Jo apne liye pasand karte ho wahi logon ke pasand karne wala
C: Haram kamon se bachne wala
D: Jo Allah ne muqqadar kar diya usper raazi hone wala
E: Padosi ke saath neki karne wala
------------
1: Jahannun mein jayega
2: Momin banjayega 
3: Ghanni banjayega
4: Logo mein mehboob ban jayega
5: Muslaman banjayega
6: Ibadat Guzar banjayega
7: Jannat wajib hojayegi
8: Inmein se koi nahi

F: Sahi Jawab Ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - A8/B5/C6/D3/E2✅

Paanch amal karne wale shaqs ke liye inamaat

Reference📚:
------
Abu Huraira RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mujh se kaun shakhs yeh kalimat seekh kar un par amal karega, ya is shakhs ko seekayega jo un par amal kare. Abu Huraira RadiAllahu Anhu ne kaha : Eh Allah ke Rasool mein. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne mera haath pakdha aur paanch cheeze ginwaen, farmaya :Mehram (haraam kamon) se bacho tum intehayi ibadat guzaar ban jaoge. Allah Subhananhu taala ne tumharay liye jo muqqadar kar diya is par raazi ho jao sab se ziyada ghanni ho jaoge apne padosi se neki karo tum momin ban jaoge jo apne liye pasand karte ho logon ke liye bhi wahi pasand karo musalman ban jaoge ziyada mat hanso kuyke ziyada hasana dilon ko murda kar deta hai.
------
ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ سے مرفوعا مروی ہے كہ (رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا): مجھ سے كون شخص یہ كلمات سیكھ كر ان پر عمل كرے گا،یا اس شخص كو سكھائے گا جو ان پر عمل كرے ؟ابو ہریرہ‌رضی اللہ عنہ نے كہا: اے اللہ كے رسول میں۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرا ہاتھ پكڑا اور پانچ چیزیں گنوائیں ، فرمایا: محارم(حرام كاموں)سے بچوتم انتہائی عبادت گزار بن جاؤ گے۔ اللہ تعالیٰ نے تمہارے لئے جو مقدركر دیا اس پر راضی ہو جاؤتم سب سے زیادہ غنی ہو جاؤ گے۔ اپنے پڑوسی سے نیكی كرو تم مومن بن جاؤ گے۔ جو اپنے لئے پسند كرتے ہو لوگوں كے لئے بھی وہی پسند كرو مسلمان بن جاؤ گے۔ زیادہ مت ہنسو كیوں كہ زیادہ ہنسنا دلوں كو مردہ كر دیتا ہے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1410-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...