Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 21 July 2020

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ne Muttaqi shaqs ke liye kaunsi neimat (yh cheez) ko behtar kaha hai

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wa sallam ne Muttaqi shaqs ke liye kaunsi neimat (yh cheez) ko behtar kaha hai

A: Sehat
B: Allah Subhanahu ka Zikr
C: Tahajjud padna 
D: Sabr karna 
E: Apni Namazo ki hifazat karna
F: Ilm hasil karna
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka intezaar

❗Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye

*****************

Sahih Jawab - A✅

Muttaqi shakhs ke liye Sehat daulat se behtar hai

Reference📚:
-----
Maaz bin Abdullah bin Khabib RadiAllahu Anhu apne waalid se woh unke chacha se bayan karte hain ke unhon ne kaha Hum ek majlis mein baithe huwe thy, Nabi Sallallahu Alaihi wasallam aaye toh aap ke sir par pani ka nishaan tha hum mein se kisi ne kaha aaj hum aap ko tar o tazah dehk rahe hain Aap ne farmaya : haan, Alhumdullilah (الحمدللہ), phir log daulat ka tazkira mein mashgool hogaye. Aap ne farmaya : jo shakhs muttaqi hai is ke liye daulat mein koi harj nahi, aur muttaqi shakhs ke liye sehat daulat se behtar hai aur Tayyab al-nafs hona bhi nematon mein se hai .
-----
معاذ بن عبداللہ بن خبیب اپنے والد سے وہ ان كے چچا سے بیان كرتے ہیں كہ انہوں نے كہا: ہم ایك مجلس میں بیٹھے ہوئے تھے، نبی  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌آئے تو آپ كے سر پر پانی كا نشان تھا۔ ہم میں سے كسی نے كہا: آج ہم آپ كو تروتازہ دیكھ رہے ہیں۔ آپ نے فرمایا: ہاں ، الحمدللہ ، پھر لوگ دولت كے تذكرے میں مشغول ہو گئے ۔ آپ نے فرمایا: جو شخص متقی ہے اس كے لئے دولت میں كوئی حرج نہیں، اور متقی شخص كے لئے صحت دولت سے بہتر ہے اور طیب النفس ہونا بھی نعمتوں میں سے ہے۔
-----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1416-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...