Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 6 May 2020

wo kaunsi cheez thi jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unki biwi se farmaya ke yh tumko jahannum le ja sakti hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: wo kaunsi cheez thi jiske liye Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unki biwi se farmaya ke yh tumko jahannum le ja sakti hain

A: Shohar ki nafarmani
B: Jhooth
C: Geebat
D: Hasad
E: Ziyada bolna
F: Riyakari
G: Riba
H: Inmein se koi nahi

i: Sahi Jawab ka Intezaar

Note: agar apka jawab H hai toh apna jawab likiye❗

*******************

Sahi Jawab - H✅

Pahanne wale zewaraat ki zakat adaa na karne par

Reference📚:
------
Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha se paas gaye wo kahne lagi mere paas Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam aaye Aap ne mere haath mein chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? Maine arz kiya ki ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya jo Allah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko jahannam mein le jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)
---------
Narrated Abdallah bin Shaddad bin Al Had Radi allahu anhu We entered upon A’ishah, wife of the Prophet (ﷺ). She said The Apostle of Allaah (ﷺ) entered upon me and saw two silver rings in my hand. He asked What is this, Aishah? I said I have made two ornaments myself for you, Messenger of Allah (ﷺ). He asked Do you pay zakat on them? I said No or I said Whatever Allah willed. He said this is sufficient for you (to take you) to the Hell fire.
Sunan Abu Dawud, Book 9, 1560-Sahih
-----
عبدالله بن شداد سے روایت ہے ہم لوگ ام المؤمنین عائشہ رضی اللہ عنہا کے پاس گئے، وہ کہنے لگیں: میرے پاس رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم آئے، آپ نے میرے ہاتھ میں چاندی کی کچھ انگوٹھیاں دیکھیں اور فرمایا: عائشہ! یہ کیا ہے؟ میں نے عرض کیا: میں نے انہیں اس لیے بنوایا ہے کہ میں آپ کے لیے بناؤ سنگار کروں، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے پوچھا: کیا تم ان کی زکاۃ ادا کرتی ہو؟ میں نے کہا: نہیں، یا جو
 کچھ اللہ کو منظور تھا کہا، آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: یہ تمہیں جہنم میں لے جانے کے لیے کافی ہیں ۔ 
-------
Sunan Abu dawud, Jild 1, 1552-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...