Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 27 January 2020

Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya Raaston ka haq ada karo.

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se zaida hain!

Rasool-Allah Sallahu Alahi waSallam ne farmaya Raaston ka haq ada karo.

Sawal: Raaston ka kaun kaunsa haq hain

A: Nigahe neeche rakhna
B: Muskurana
C: bhatkay huwe ko rasta dikhana
D: Takleef na pahoochna
E: Neiki ka hukum dena
F: Burai se mana karna
G: Salam ka jawab dena
H: Musafa karna

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*****************

Sahi Jawab - ACDEFG✅

Reference📚:
-----------
Umro RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya raastoon mein baithnay se bachcho (aur ek riwayet mein ke raastoon mein) agar tum laazmi tor par aisa karne walay ho to rastay ko is ka haq do poocha gaya is ka haq kya hai? farmaya nigahain neechi rakhna, Salam ka jawab dena, aur bhatkay huwe ko rasta batana.
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 103
--------
Abu Saeed Khanderi RadiAllahu Anhu Nabi Sallahu Alahi WaSallam se riwayet karte hain, Aap Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya :raastoon mein bethnay se ijtinab karo. 'Sahaba ne arz kiya, Allah ke Rasool Sallahu Alahi WaSallam wahan baithna hamari majaboori hai is ke baghair guzara nahi, hum wahan baith kar bathein karte hain, Aap Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya :'”agar tum ne zaroor baithna he hai to phir rastay ka haq ada karo.' Unhon ne arz kiya Allah ke Rasool Sallahu Alahu WaSallam rastay ka haq kya hai? Aap Sallahu Alahi WaSallam ne farmaya :'Nazarain jhukana, takleef nah pahunchana, Salam ka jawab dena, neki ka hukum dena aur buraiee se mana karna
---------
Sahih Hadees
Mishkat ul Masabeeh Hadees # 4640

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...