Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Monday, 27 January 2020

Allah ke waha Emaan ke lehaaz se logon mein ya makhlooq mein sab se pasandeeda kaun hain?

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Sawal: Allah ke waha Emaan ke lehaaz se logon mein ya makhlooq mein sab se pasandeeda kaun hain?

A: Faristey
B: Adam Alahi Salam
C: Ambiya Alahi Salam
D: Sahaba RadiAllahu Anhuma
E: Jin
F: Chand aur Suraj
G: Inmein se koi nahi

H: Sahi Jawab ka Intezaar?

Note agar apka jawab G hai toh sahi jawab likhiye!

***************

Sahi Jawab - G✅ (Ummat joh wahi ko kitab ki surat mein dehnkge aur uss par emaan layege aur uski pairawi karenge)

Reference📚:
------
Anas bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Nabi Kareem Sallahu Alahe WaSallam ne farmaya kaunsi Makhlooq Emaan ke lehaaz se sab se pasandeeda hai? sahaba ne kaha : Farishtay Aap Sallahu Alahe WaSallam neh farmaya : Farishtay kis terhan Emaan nah layein? Sahaba ne kaha Ambiya Aap Sallahu Alahe WaSallam neh farmaya Ambiya ki taraf wahi ki jati hai woh kis terhan Emaan na layein? Sahaba ne kaha Sahaba Aap Sallahu Alahe WaSallam  ne farmaya : Sahaba Ambiya ke saath hote hain to woh kis terhan Emaan nah layein? lekin Emaan ke lehaaz se sab se pasandeeda woh log hain jo tumahray baad ayenge, to wahi ko kitaab ki soorat mein dekhenge, is par Emaan layeinge, aur is ki pairwi karenge yeh (Allah ke haan) Emaan ke lehaaz se logon mein ya makhlooq mein sab se pasandeeda hain
-----
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 3139

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...