Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Sunday, 27 September 2020

La illaha illAllah ki Fazilat




Bismillahirrahmanirraheem

✦ La illaha illAllah ki Fazilat
-------
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne farmaye  agar mere alawa Saato Asman aur Saato Zameen aur unke darmiyan Sab ke Sab ek palde mein ho aur dusre palde Mai Laa illaha illAllah ka kalma ho to ye Kalme wala palda phir bhi bhari hoga
Sahih Ibn Hibbaan , 6353
Al-Hakim , 1936-Sahih
----
رسول الله صلی علیہ وسلم نے فرمایا اللہ سبحانه نے فرماے اگر میرے علاوہ ساتوں آسمان اور ساتوں زمینیں اور ان کے درمیان سب کے سب ایک پلڑے میں رکھے جائیں ،اور  دوسرے پلڑے میں لا الہ الا اللہ کا کلمہ ہو تو یہ کلمے والا پلڑا پھر بھی بھاری ہو گا
صحیح ابن حبان ٦٣٥٣
الحاکم ١٩٣٦-صحیح 
----
रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की अल्लाह सुब्हानहु ने फ़रमाया अगर मेरे अलावा सातों आसमान और सातों ज़मीन और उनके दरमियान सब के सब एक पलड़े में हों और दुसरे पलड़े में ला ईलाहा इलअल्लाह कलमा हो तो ये कलमे वाला पलड़ा  फिर भी भारी रहेगा 
सही इब्न हिब्बान 6353
अल-हाकिम -1936-सही 
----
Bismillahirrahmanirrahim

✦ The Virtue of La illaha illAllah

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  said  Allah subhanahu said if the seven heavens and all their inhabitants except Me, and the seven earths, were (placed) in one pan (of the Balance) and Laa ilaaha ill-Allah was placed in the other pan, Laa ilaha illAllah would be heavier than all.
Sahih Ibn Hibbaan , 6353
Al-Hakim , 1936-Sahih


 

Allah Subhanahu se Maghfirat Mangne ki dua




Bismillahirrahmanirrahim

Dua: Allah Subhanahu se Maghfirat Mangne ki dua
----
اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Allahumma innaka afuwwun tuhibbul-Aafu, faafu anni
---
Ya Allah tu maaf karne wala hai aur maaf karne ko pasand karta hai isliye mujhe maaf farma
Sunan ibn Majah, Jild 3, 731-Sahih
---
یا اللہ تو معاف کرنے والا ہے اور معاف کرنے کو پسند کرتا ہے اس لئے مجھے معاف فرما
----
O Allah, You are Forgiving and love forgiveness, so forgive me.
Sunan ibn Majah, Book 34, Hadith 24-Sahih


 

kisi Musalman Gulam ko azaad karna Jahannum se azaadi ka baais hain



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: kisi Musalman Gulam ko azaad karna Jahannum se azaadi ka baais hain
-------
Syedna Malik bin Haris RadiAllahu Anhu se riwayet hai ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jis ne Maa Baap dono ki taraf se hojane wale yateem ko apne khane aur peene mein apne saath mila liya, yahan tak ke woh yateem is se ghanni hogaya to aisi aadmi ke liye qatai taur par Jannat wajib hojaye gi aur jis ne Musalman gulam azad kiya to woh is ke liye Jahannum se azaadi ka baais hoga, is gulam ka har uzoo azad karne wale ke har uzoo ko aag se kifayat karne wala hoga.
-----
سیدنا مالک بن حارث رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم نے فرمایا: جس نے ماں باپ دونوں کی طرف سے ہو جانے والے یتیم کو اپنے کھانے اور پینے میں اپنے ساتھ ملا لیا،یہاں تک کہ وہ یتیم اس سے غنی ہو گیا تو ایسے آدمی کے لیے قطعی طور پر جنت واجب ہو جائے گی اور جس نے مسلمان غلام آزاد کیا تو وہ اس کے لیے جہنم سے آزادی کا باعث ہو گا، اس غلام کا ہر عضو آزاد کرنے والے کے ہر عضو کو آگ سے کفایت کرنے والا ہو گا
------
Musnad Ahmed#9064-Sahih


 

Eh Eman walo! Bohat badgumaaniyon se bachte raho kuy ki baaz gumaan toh Gunah hain.





Bismillahirrahmannirrahim

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اجْتَنِبُوا كَثِيرًا مِّنَ الظَّنِّ إِنَّ بَعْضَ الظَّنِّ إِثْمٌ ۖ
-----
Eh Eman walo! Bohat badgumaaniyon se bachte raho kuy ki baaz gumaan toh Gunah hain.
-----
اے ایمان والو بہت سی بدگمانیوں سے بچتے رہو کیوں کہ بعض گمان تو گناہ ہیں
-----
O Believers! Avoid being very Suspicious, surely some Suspicions are Sinful
-----
Surah Al Hujurat: (49:12)


 

Jannat mein jaane wale Mard aur Aurat



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jannat mein jaane wale Mard aur Aurat
----
Raool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya mein tumhe Jannat mein jaane walay mardon ke baarey mein nah batlao Nabi Jannat mein hai, Siddiq Jannat mein hai, Shaheed Jannat mein hai, Bacha jannat mein hai, aur joh shaqs sahar ke kisi kone mein apne bhai se mulaqaat sirf Allah ki raza ke karta hai wo Jannat mein hai kya mein tumhe jannat mein jaane wali aurton ke baarey mein nah batao? Har Mohabbat karne wali ziyada bachay jan'nay wali, jab tum ghusse ho isse narazgi ka izhaar karo (ya is ka shohar is se ghusse ho jaye) to woh kahe yeh mera haath aap ke haath mein hai jab taq aap raazi nahi honge mein surma nahi daloon gi
----------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا:کیا میں تمہیں جنت میں جانے والے مردوں کے بارے میں نہ بتاؤں؟ نبی جنت میں ہے، صدیق جنت میں ہے،شہید جنت میں ہے، بچہ جنت میں ہے،اورجوشخص شہرکےکسی کونےمیں اپنےبھائی سےملاقات صرف اللہ کی رضاکےلئےکرتاہےوہ جنت میں ہے۔کیا میں تمہیں جنت میں جانے والی عورتوں کے بارے میں نہ بتاؤں؟ہر محبت کرنے والی زیادہ بچے جننے والی، جب تم غصےہو جاؤیا اس سےناراضگی کااظہار کرو(یا اس کا شوہر اس سے غصے ہو جائے)تو وہ کہے:یہ میرا ہاتھ آپ کے ہاتھ میں ہے۔ جب تک آپ راضی نہیں ہوں گے میں سرمہ نہیں ڈالوں گی
-----------
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 1911-Sahih


 

Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.



Bismillahirrahmanirrahim


✦ Hadith: Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho. 

---

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs bistar par jaye aur ye kalimat kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho. 

-----------

لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد

وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير

لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله

سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

-----------

✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, 

✦ Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir

✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah

✦ SubhanAllah, Walhamdulillah, 

✦ Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar

Al Silsila As Sahiha , 415

-----------

رسول الله  صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو شخص اپنے بستر پر جائے اور   یہ کلمات کہے تو  اس کے گناہ معاف کر دیئے جائیں گے۔ چاہے سمندر کی جھاگ کے برابر ہوں


لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه، لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير

لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله

سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

السلسلہ صحیحہ ٤١٥  

-----------

✦ रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया जो शख्स बिस्तर पर जाए और ये कलीमात कहे उसके गुनाह मिटा दिए जायेंगे चाहे वो समुंदर के झाग के बराबर हो. 


لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد

وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير

لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله

سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

✦ ला ईलाहा इललल्लाह वाहदहु ला शरीका लहू, 

✦ लहुल-मुल्क वा लहुल-हम्द  वा हुवा अला कुल्ली शयईन  क़दीर

✦ ला हौला वा ला क़ुव्वता इल्ला बिल्लाह

✦ सुबहानअल्लाह , वल हम्दुलिल्लाह, 

✦ वा ला ईलाहा  ईलअल्लाह  वा अल्लाहु अकबर 

अल सिलसिला अस सहिहा  , 415

--------

✦ RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam said whoever go to his bed and says below words his sins will be forgiven,even if they are like the foam of the sea.

Al Silsila As Sahiha ,415

-----------

لَا إِلَه إِلَا الله وَحْدَه لَا شَريك لَه لَه الْملَك وَلَه الْحَمْد

وَهو عَلَى كُل شَيْء قَدِير

لَا حَوْل وَلَا قُوة إِلَا بِالله

سُبْحَان الله وَالْحَمْد لِلهِ وَلَا إِلَه إِلَا الله وَالله أكبر

-----------

✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, 

✦ Lahul-mulk wa lahul-hamd wa huwa Ala kulli shayin qadir

✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah

✦ SubhanAllah, Walhamdulillah, 

✦ Wa la ilaha illAllah WallahuAkbar

 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki shaan



Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ki shaan
----------------
Nabi Kareem Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe paanch cheeze aisi di gayi hain jo mujh se pehlay kisi ko nahi di gayi theen ek Mahine ki masafat se roab ke zareya meri madad ki gayi hai aur tamam zameen mere liye sajda gaah aur paki ke Laiq banai gayi pas meri ummat ka jo insaan namaz ke waqt ko (jahan bhi) paley usay wahan hi namaz ada kar leni chahiye aur mere liye ghanemat ka maal halal kiya gaya hai mujhse pehlay yeh kisi ke liye bhi halal nah tha aur mujhe Shafaat ataa ki gayi aur tamam Anbia apni apni qoum ke liye maboos hotay they lekin mein tamam insanon ke liye aam tor par nabi bana kar bheja gaya hon
------------
Sahih Bukhari Hadees # 335-Sahih
----------------
Sayedna Ali RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke Rasool- Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mujhe woh cheezian ataa ki gayi hain, jo kisi Nabi ko nahi di gayeen. hum nay kaha EH Allah ke Rasool Sallallahu Alahih Wasallam! woh kaun si hain? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya roab ke sath meri madad ki gayi hai, mujhe zameen ki chabiyan ataa ki gayi hain, mera naam Ahmed rakha gaya hai, matti ko mere liye pakk karne wala bana diya gaya hai aur meri ummat ko sab se behtareen ummat banaya gaya hai.
---------------
Musnad Ahmed Hadees # 991-Sahih


 

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...