Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Wednesday, 9 September 2020

Allah Subhananhu is baat ko napasand karta hai ke is ke ilawa kisi aur ki Qasam khayi jaye




Bismillahirrahmannirahim

Hadith: Allah Subhananhu is baat ko napasand karta hai ke is ke ilawa kisi aur ki Qasam khayi jaye
------
Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu  anhuma se riwayat hai ke Allah ki Qasam khao, usay pura karo, nekiya karo aur sach bolo kuy na ke Allah Subhananhu is baat ko napasand karta hai ke is ke ilawa kisi aur ki Qasam khayi jaye
-----
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہما سے مرفوعا مروی ہے كہ اللہ كی قسم كھاؤ، اسے پورا كرو،نیكی كرواور سچ بولوكیونكہ اللہ تعالیٰ اس بات كوناپسندكرتا ہے  كہ اس كے علاوہ كسی اور كی قسم كھائی جائے
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#927-Sahih


 

Jo bhi ek baar La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur...




Bismillahirahmanirrahim

✦ Hadith : Jo bhi ek baar La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur...
-----
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge 
Masnad Ahmed, 7813-Sahih
---------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جو بھی (ایک بار) لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ   کہےگا  اس کے لئے ٢٠ نیکیاں لکھی جائے گی اور ٢٠ گناہ مٹا دیے جاینگے 
مسند احمد ٧٨١٣ صحیح 
-------
✦  रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फ़रमाया जो भी (एक बार) ला इलाहा इलअल्लाह कहेगा उसके लिए 20 नेकिया लिखी जाएगी और 20 गुनाह मिटा दिए जाएँगे,
मसनद अहमद . 7813 - सही
-----
Bismillahirahmanirrahim

Hadith: Whoever says la ilaha illAllah twenty deeds will be recorded for him...
-----

.✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said whoever says La ilaha illAllah twenty good deeds will be recorded for him and twenty sins will be removed from him
Masnad Ahmed, 7813-Sahih




 

apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai
-----
Sayedna Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya jo shakhs apni zabaan ko aisi neki ke liye istemaal karta hai ke jis par is ke baad bhi amal kiya jata hai to Allah Subahnahu taala usay Qayamat ke din taq sawab se nawazta rehta hai aur qayamat ke roz usay poora poora sawab ataa karega
----------------
 ۔ سیدناانس بن مالک رضی اللہ عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم  نے فرمایا:  جو شخص اپنی زبان کو ایسی نیکی کے لیے استعمال کرتا ہے کہ جس پر اس کے بعد بھی عمل کیا جاتا ہے تو اللہ تعالیٰ اسے  قیامت کے دن تک ثواب سے نوازتا رہتا ہے اور قیامت کے روز اسے پورا پورا ثواب عطا کرے گا۔ 
------------------
Musnad Ahmed Hadees # 3638-Sahih


 

La illaha illallaha kehne se Allah Subhanahu apne bandon ko jawab dete hain







Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: La illaha illallaha kehne se Allah Subhanahu apne bandon ko jawab dete hain
----
Saabit RadiAllahu Anhu kehte hain : shaam ke Ek bashinde ne hamein bayan kiya, woh aadmi syedna Abdullah bin Umro bin Aass RadiAllahu Anhu ke saath rehta aur un ki baten sunta tha, woh kehta hai Ek din mein un ke saath tha ke woh nauf ko miley, nauf ne kaha hamein yeh baat batlai gayi hai ke Allah Subhanahu taala ne firshton se kaha mere liye mere bundon ko bulao unhon ne kaha Eh RABB! un ko kaise bulaya jaye, jab ke un ke samne saat aasman haail hain aur un ke uper Arsh hai? Allah Subhanahu taala ne kaha jab woh Laa illaha illallaha kahenge to woh jawab denge
------
 ۔ ثابت کہتے ہیں: شام کے ایک باشندے نے ہمیں بیان کیا، وہ آدمی سیدنا عبد اللہ بن عمرو بن عاص  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کے ساتھ رہتا اور ان کی باتیں سنتا تھا، وہ کہتا ہے: ایک میں ان کے ساتھ تھا کہ وہ نوف کو ملے، نوف نے کہا: ہمیں یہ بات بتلائی گئی ہے کہ اللہ تعالیٰ نے فرشتوں سے کہا: میرے لیے میرے بندوں کو بلاؤ، انھوں نے کہا: اے ربّ! ان کو کیسے بلایا جائے، جبکہ ان کے سامنے سات آسمان حائل ہیں اور ان کے اوپر عرش ہے؟ اللہ تعالیٰ نے کہا: جب وہ لَا اِلٰہَ إِلَّا اللّٰہُ کہیں گے تو وہ جواب دیں گے۔ 
-----
Musnad Ahmed#5431-Sahih


 

Namaz ke baad padhne ki dua




Bismillahirahmanirrahim

✦ Namaz ke baad padhne ki dua
-----------
✦ Soban Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ jab apni namaz se farig hote to 3 baar astagfar padhte (ur uske baad ye dua padhte 

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏
✦ Allahumma Antas-Salam wa minkas-salam. Tabarakta Ya Dhal-jalali wal-ikram.

Ya Allah tu hi As-Salam hai aur salamati teri hi taraf se hai, tu barkat wala hai, Eh jalal wale aur ezzat bakhshne wale.
Sahih Muslim, 1334
-------
  رسول  اللہ ﷺ جب اپنی نماز سے فارغ ہوتے تو تین دفعہ استغفار پڑھتے (استغفر اللہ ، استغفر اللہ،استغفر اللہ )  اور اس  کے بعد یہ دعا پڑھتے 

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏
اے اللہ ! تو ہی سلام ہے اور سلامتی تیری ہی طرف سے ہے  ، تو برکت والا  ہے  ،  اے جلال والے اور عزت بخشنے والے 
صحیح مسلم حدیث ١٣٣٤ 
-------
✦ रसूल-अल्लाह ﷺ जब अपनी नमाज़ से फारिग होते तो 3 बार अस्तगफार पढ़ते (अस्तगफीरुल्लाह, अस्तगफीरुल्लाह,अस्तगफीरुल्लाह)और उसके बाद ये दुआ पढ़ते 

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏
✦अल्लाहुम्मा अन्तस सलाम वा मिनकस-सलाम. तबारकता या ज़ल-जलाली वल-इकराम.

या अल्लाह तू ही अस-सलाम है और सलामती तेरी ही तरफ से है, तू बरकत वाला है, एह जलाल वाले और ईज्ज़त  बख्शने वाले 
सही मुस्लिम, 1334
----------
Bismillahirahmanirrahim

✦ Dua to Recite After Salah (Prayer)
-----------

✦: When the Rasool-Allah (ﷺ) finished his prayer. He used to ask forgiveness three times  (by saying Astagfirullah, Astagfirullah, Astagfirullah) and then says this Dua 

اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏
✦ Allahumma Antas-Salam wa minkas-salam. Tabarakta ya Dhal-jalali wal-ikram.

O Allah, You are As-Salam, From You is all peace, blessed are You, O Possessor of majesty and honour
Sahih Muslim, Book 4, 1226






 

Jo banda Emaan lata hai phir seedha rehta hai, usay Jannat mein chalaya jayega


Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Jo banda Emaan lata hai phir seedha rehta hai, usay Jannat mein chalaya jayega
----
Rafah bin Imran RadiAllahu Anhu se riwayat hai ke iss zaat ki qasam  jis ke haath mein Mohammed Sallallahu Alaihi wasallam ki jaan hain jo banda Emaan lata hai phir seedha rehta hai, usay Jannat mein chalaya jayega aur mujhe umeed hai ke tum is waqt tak Jannat mein daakhil nahi honge jab tak tum aur tumhaarii Naik Aulaad Jannat mein jagah na banale lennge aur mujhse mere RABB ne wada kiya hai ke meri ummat mein se sattar hazaar bande baghair hisaab ke jannat mein daakhil karega
-----
رفاعہ بن عمران جہنی سے مرفوعا مروی ہے كہ: اس ذات كی قسم جس كے ہاتھ میں محمد( صلی اللہ علیہ وسلم ) كی جان ہے، جو بندہ ایمان لاتاہے ، پھر سیدھا رہتا ہے ، اسے جنت میں چلایا جائے گا، اور مجھے امید ہے كہ تم اس وقت تك جنت میں داخل نہیں ہو گے جب تك تم اور تمہاری نیك اولاد جنت میں جگہ نہ بنالیں اورمجھ سے میرے رب نے وعدہ كیا ہے كہ میری امت میں سے ستر ہزار بندے بغیر حساب كے جنت میں داخل کرےگا ۔
----
Al-Silsila-tus-Sahiha#1412-Sahih


 

Main tumhe waseeyat karta hu ki har namaz ke baad is dua ko parhna kabhi na chorhna




Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Har Namaz ke baad padhne ki dua...Allahumma Aainni Ala Zikrika wa shukrika wa husni ibadatika...
----
Muadh bin Jabal RadiAllahu Anhu se riwayat hain ke Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unka haath pakdha aur farmaya Eh Muadh! kasam Allah ki mein tum se mohabbat karta hu, kasam Allah ki mein tumse mohabbat karta hu phir farmaya Eh Muadh mein tumhe waseeyat karta hu har Namaz ke baad ye dua padna kabhi na chordhna 

 اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ

Allahumma Aainni Ala Zikrika wa shukrika wa husni ibadatika

Eh Allah apna Zikr, Shukr aur apni behtareen ibadat ke silsile mein meri maddad farma
https://youtu.be/siZlyAMo-xQ
Sunan e Abu Dawood#1522-Sahih
-----
 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے میرا ہاتھ پکڑا اور فرمایا:  اے معاذ! قسم اللہ کی، میں تم سے محبت کرتا ہوں، قسم اللہ کی میں تم سے محبت کرتا ہوں ، پھر فرمایا:  اے معاذ! میں تمہیں نصیحت کرتا ہوں: ہر نماز کے بعد یہ دعا پڑھنا کبھی نہ چھوڑنا:
اللهم أعني على ذكرك وشكرك وحسن عبادتك
اے اللہ! اپنے ذکر، شکر اور اپنی بہترین عبادت کے سلسلہ میں میری مدد فرما 
----
Bismillahirrahmannirrahim

Hadith: Never leave this dua to recite after prayer... Allahumma Aainni Ala Zikrika wa shukrika wa husni ibadatika...
----
Muadh bin Jabal reported that the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi wasallam caught his hand and said: By Allah, I love you, Muadh. I give some instruction to you. Never leave to recite this supplication after every (prescribed) prayer:  

اللَّهُمَّ أَعِنِّي عَلَى ذِكْرِكَ وَشُكْرِكَ وَحُسْنِ عِبَادَتِكَ

Allahumma Aainni Ala Zikrika wa shukrika wa husni ibadatika

O Allah, help me in remembering You, in giving You thanks, and worshipping You well. 
Sunnan e Abu Dawood#1522-Sahih
https://youtu.be/jOy6LxcAIls

Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz - 950❗ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne aisa kyu kaha mein apne RABB ke Hasne ki wajah se Hans pada Sawal...