Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday 8 September 2020

Ek baar kisi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke koi aisa Amal bataye jisse Allah Subhanahu unhe ajar de

 ❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗


Jawab ek se ziyada hain

Ek baar kisi ne Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam se farmaya ke koi aisa Amal bataye jisse Allah Subhanahu unhe ajar de

Sawal: Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unhe kaun sa amal karne ke liye farmaya


A: 10 baar SubhanAllah

B: 10 baar La illaha illallaha

C: 10 baar Astagfirullah

D: 10 baar Alhumdullilahi Rabbil Aalameen

E: 10 baar Allah hu Akbar

F: 10 baar SubhanAllahi wabiHumdehi

G: 10 baar la hawla wala quwwata illaha billah

H: 10 baar Alhumdullilah


I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahih Jawab - ABCEH✅

Namaz Mein khade hone se pehle padne ke azkar aur uska ajar


Reference📚:

-----

Umm Raafia RadiAllahu Anhu se riwayat hai unhone kaha: Eh Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi mujhe koi aisa amal bataye jis per Allah Subhanahu taala mujhe ajar de? Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Umm Raafia jab tum Namaz ke liye khadi hone lagoo toh dus martaba سبحان اللہ (SubhanAllah) dus martaba الحمدللہ (Alhumdullilah) dus martaba اللہ اکبر (Allahu Akbar) aur dus martaba bakshish (Astagfirullah) talab karo kyun ke tum jab das martaba Subhan Allah kahogi toh Allah Subhanahu taala farmaiye ga yeh mere liye hain jab tum la illaha illallaha kahogi toh Allah Subhanahu taala farmaiye ga yeh mere liye hai, aur jab tum Alhumdullilah kaho gi to Allah Subhanahu taala farmaiye ga yeh mere liye hain aur jab tum Allah hu Akbar kaho toh Allah Subahnahu farmayega yeh mere liye hain aur jab tum bakshih  (Astagfirullah) talab karogi toh Allah Subahnahu taala farmayega mein tumhe baksh diya

-----

ام رافع  رضی اللہ عنہا سے مروی ہے انہوں نے کہا: اے اللہ کے رسول! مجھے کوئی ایسا عمل بتایئے جس پر اللہ تعالیٰ مجھے اجر دے؟ آپ  ‌صلی اللہ علیہ وسلم ‌نے فرمایا: اے ام رافع! جب تم نماز کے لئے کھڑی ہونے لگو تو دس مرتبہ سبحان اللہ ،دس مرتبہ الحمدللہ، دس مرتبہ اللہ اکبر کہو، اور دس مرتبہ بخشش طلب کرو، کیوں کہ تم جب دس مرتبہ سبحان اللہ کہو گی تو اللہ تعالیٰ فرمائے گا یہ میرے لئے ہے۔ جب تم لا الہ الا اللہ کہو گی تو اللہ تعالیٰ فرمائے گا :یہ میرے لئے ہے، اور جب تم الحمدللہ کہو گی تو اللہ تعالیٰ فرمائے گا: یہ میرے لئے ہے اور جب تم اللہ اکبر کہو گی تو اللہ تعالیٰ فرمائے گا: یہ میرے لئے ہے ،اور جب تم بخشش طلب کرو گی تو اللہ تعالیٰ فرمائے گا: میں نے تمہیں بخش دیا۔

-----

Al-Silsila-tus-Sahiha#2996-Sahih

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...