Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Saturday 9 May 2020

Mafuhm e hadith ke mutabiq inmein se Allahu Subahnahu kis ke liye asaani aur khushi ki rah assan kar dete hain?

❗ Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hai!

Sawal: Mafuhm e hadith ke mutabiq inmein se Allahu Subahnahu kis ke liye asaani aur khushi ki rah assan kar dete hain?

A: Allah Subhanahu ke raaste mein karch karna
B: Ristedaro ke saath husn salooq karna 
C: khana khilana
D: Jhoot se bachna
E: Allah Subhanahu ka darr
F: Raato ko tahajjud padna 
G: Salam mein pehal karna
H: Kalma tawheed ki tasdik karna 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

*************

Sahi Jawab - AEH✅

Wo amal jiske karne wale ke liye Allah Subhanahu asaani aur khushi ki raah asaan kar dete hai

Reference📚:
--------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne Allah Subhanahu Ka ye farman Irshad faramaya jo Shaks Allah Subhanahu Ke raste mein kharch Karen Allah Subhanahu se dare aur Kalma tawheed ( laa illaha illallaha) ki tasdik karen to ham Uske liye asani aur Khushi ki rah asan Kar denge aur Jo Shaks Bukhl Karen duniya ki shehwat ( duniya ki Khuwaish) mein padh Kar Jannat ki naimaton se be parwayee Karen aur Kalma e tawheed ko jhutlaye to ham Uske liye sakhti aur badbakhti ki raah asan Kar denge
------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے اللہ تعالیٰ کا یہ فرمان سنایا: جو شخص اللہ کے راستے میں خرچ کرے، اللہ سے ڈرے، اور کلمہ توحید کی تصدیق کرے تو ہم اس کے لیے آسانی اور خوشی کی راہ آسان کر دیں گے، اور جو شخص بخل کرے، دنیوی شہوات میں پڑ کر جنت کی نعمتوں سے بے پروائی برتے اور کلمہ توحید کو جھٹلائے تو ہم اس کے لیے سختی اور بدبختی کی راہ آسان کر دیں گے ۱؎۔
------
Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam  recited: “So he who gives (in charity) and fears (Allah), and in all sincerity testifies to the best, we will indeed make smooth for him the path to bliss. But he who is a greedy miser and thinks himself self-sufficient, and gives the lie to the best, We will indeed make smooth for him the path of misery. ” 
---------------
Reference : Sunan Abi Dawud 4694
In-book reference : Book 42, Hadith 99
English translation : Book 41, Hadith 4677

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...