Islamic Images

Islamic Images
La Ilaha IllAllah

Tuesday, 4 February 2020

Ek baar kuch Sahaba ne Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam se poocha Saaf Dil wala kaun hain

❗Only-Quran-Hadith-Quiz❗

Jawab ek se ziyada hain

Ek baar kuch Sahaba ne Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam se poocha Saaf Dil wala kaun hain?

Sawal: kaun kaunsi khubi Rasool-Allah Sallalahu Alahi Wasallam ne farmayi? 

A: kisi ke liye keena nahi rakhna
B: Saaf Shafaf dil jismein koi gunah na ho 
C: Narami 
D: Parezghar
E: kisi se hasad nahi karna
F: Sirkashi nahi karna 
G: Muttaqi
H: Waada Khilafi 

I: Sahi Jawab ka Intezaar

**************

Sahi Jawab - Sahi Jawab - ABDEFG✅

Reference📚:

Abdullah bin Umro RadiAllahu Anhu se riwayat hain unhon ne kaha ke poocha gaya : Eh Allah ke Rasool Sallalahu Alahi waSallam! kaunsa shakhs Afzal hai? Aap ne farmaya har saaf Dil wala, sachhi zabaan wala, Sahaba ne kaha sachhi zabaan walay ko to hum jante hain ye saaf dil wala kaun hain? Aap Sallalahu Alahi WaSallam ne farmaya Muttaqi Parhaizgaar Saaf shafaaf jis mein nah koi gunah hai nah sirkashi nah keena aur nah hasad.
----------
عبداللہ بن عمرو رضی اللہ عنھما سے مروی ہے انہوں نے کہا کہ : پوچھا گیا : اے اللہ کے رسول! کونسا شخص افضل ہے؟ آپ نے فرمایا: ہر صاف دل والا ،سچی زبان والا، صحابہ نے کہا: سچی زبان والے کو تو ہم جانتے ہیں یہ صاف دل والا کون ہے؟ آپ نے فرمایا : متقی پرہیزگار صاف شفاف جس میں  نہ کوئی گناہ ہے نہ سر کشی نہ کینہ اور نہ حسد۔
---------
Sahih Hadees
Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees # 146

No comments:

Post a Comment

Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) aur Tamheed (Alhumdullilah) padha karo

Bismillahirrahmannirrahim Hadith: Dhul Hijja ke shuru ke 10 dino mein ziyada se ziyada Tahleel (La ilaha illAllah), Takbeer (Allahu Akbar) a...